More

    बाल लंबे करने का बेस्ट तेल और शैम्पू – Baal lambe karne ka tel

    Hair - बालबाल लंबे करने का बेस्ट तेल और शैम्पू - Baal lambe karne ka tel

    Baal lambe karne ka tel aur shampoo ka naam in hindi: Balo ko jhadne se rokne aur baal lambe ghane karne ke liye aksar hum kai tarike apnate hai jese shampoo karna, hair oil lagana, dawa aur upay. Aajkal bajar me kai parkar ke shampoo aur balo ke tel mil jate hai par hum ye nhi jaan pate ki kon sa tel sabse acha hai. Vese to balo ko lamba aur ghana karne ke liye gharelu nuskhe kafi kargar hai par agar iske sath sath agar acha shampoo aur tel bhi istemal kiya jaye to balo ki samasya ka ilaj jaldi kiya ja sakta hai. Aaj is lekh me hum janenge baal badhane wala tel aur shampoo kon sa hai, best oil and shampoo name for long hair in hindi.

    बालों को शैम्पू कब करे – Balo Ko Shampoo Kab Karna Chahiye

    • Aksar kuch logo ka ek sawal hota hai ki kya har roj balo ko dhona sahi hai aur kya hum har roj balo ko shampoo kar sakte hai.
    • Shampoo ke jada istemal se balo ki natural shine khone lagti hai isliye ho sake to hafte me 2 se 3 bar se upar shampoo na lagaye.
    • Shampoo ke pack ke upar bhi use pryog karne ka tarika btaya jata hai aur ye bhi likha hota hai ki use hafte me kitne bar lagana chahiye.
    • Balo ki malish karne se balo ko poshan milta hai jisse ve lambe ghane aur sundar hote hai, isliye hafte me kam se kam 1 bar balo ki malish karna bhi acha upay hai.

    बाल लंबे और घना करने का तेल

    Baal Lambe Karne Ka Tel in Hindi

    1. Balo ke liye tel me sabse pahla naam hai nariyal tel. Rukhe aur bejan balo ke ilaj ke liye nariyal ka tel kaafi acha hai. Is tel ke niyamit pryog se balo ka jhadna band hota hai aur baal chamakdar bante hai.

    2. Lambe aur ghane baal pane ke liye sarso ka tel paryog kare. Is gharelu tel me omega 3 aur 6 hota hai aur isse balo ki massage karne par baal majbut aur lambe hote hai.

    3. Hairs aur skin ke liye til ka tel bhi kaafi acha hai. Is oil me viamin A, B aur protein hota hai jo sabhi tarah ki hairs problem dur karne me upyogi hai. Raat ko sone se pahle til ka tel sir par lagaye aur subh dho le.

    4. Jaitun ke tel (olive oil) se balo ki malish karne par balo ka jhadna kam hota hai aur teji se baal bdhane me mdad milti hai.

    5. Baal badhane wala tel ka naam me ek naam hai badam ka tel. Isme vitamin A, D aur minerals hote hai jo baal jhadna bhi rokta hai aur baal lambe karne me bhi fayda karta hai. Ye hair oil naye baal ugane me bhi upyogi hai.

    बालों के लिए सबसे अच्छा शैम्पू – Balo ke liye achha shampoo

    • Baba ramdev patanjali kesh kanti shampoo ayurvedic jadi buti se bana hai. Ye hair fall problem, dandruff dur karne me kafi upyogi hai. Is shampoo me kuch aese natural tatv bhi hai jo baal bdhane ke liye karagar hai.
    • Vaadi herbal amla shikakai shampoo me amla, reetha aur shikakai hote hai jo balo ko majbuti dete hai, jhadna kam karte hai aur baal lambe karne me bhi mdad karte hai.
    • Aloe vera herbal conditioning shampoo balo ko mulayam, majbut, lambe aur ghane banane me kargar hai. Aloe vera balo ko conditioning kar ke chamkdar bhi bnata hai.
    • Rukhe balo ke liye aesa shampoo pryog karna chahiye jisme nami ho taki balo me nami bani rahe par jinke baal oily hai vo moisturizer aur conditioner se dur hi rahe.
    • Shampoo ke pack par kai instructions di hoti hai unhe jarur padhe aur shampoo karne ke baad thande paani se hair wash kare, garam paani istemal naa kare.
    • Har shampoo ke gun aur fayde alag alag hote hai isliye apne balo ke hisab se hi shampoo pryog karna chahiye. Iske liye aap shampoo pack par lage label ko dhyan se padhe us par likha hota hai ki kis type ke balo par use lgana chahiye.
    • Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe
    • Baba Ramdev Patanali ki Dawa

    Dosto Baal lambe karne ka tel aur shampoo, Best hair oil for long hair in hindi ka ye lekh kaisa laga hame btaye aur agar aapke pass baal badhane wala tel aur ke liye sabse accha shampoo konsa hai isse jude sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles