More

    बाल झड़ने की दवा और पतंजलि तेल का नाम – Baal Jhadne Ki Dawa in Hindi

    Baldness - गंजापनबाल झड़ने की दवा और पतंजलि तेल का नाम - Baal Jhadne Ki Dawa in Hindi

    Baal jhadne ki dawa (medicine) patanjali tel aur upay in hindi: Din me 50 se 100 baal girna normal hota hai par jab baal normal se jada girne lage to ye ganje hone ki samasya ban sakti hai. Balo ko jhadne se rokne ki samasy ka samadhan karne ke liye log kai upay karte hai jese ki baal na jhadne ka shampoo aur oil lagana ya balo ki angreji dawa paryog karna. Isse pahle hum ne balo ko ghana karne aur jhadne se rokne ke liye gharelu upay aur ayurvedic nuskhe ke bare me jana hai. Aaj is lekh me hum baal jhadne ki ayurvedic patanjali aur homeopathic dawa ka naam janenge aur ye bhi padhege pursho aur mahilao me kis vitamin ki kami se baal jhadte hai, hair fall medicine name in hindi.

     

    बाल झड़ने के कारण – Hair Fall Ke Karan

    • Jada tanav lene ka bura asar body me harmons growth par padta hai jis se baal jhadte hai.
    • Thyroid ke rog me bhi baal jhadne aur tutne ki samasya hoti hai.
    • Pregnancy aur periods ke time mahilao ki body me kai parkar ke harmon badlav hote hai jiska asar balo par bhi padta hai.
    • Balo par chemical wale beauty product adhik lagne se bhi baal girne lagte hai.
    • Purusho me baal jhadne ka karan genetic bhi hota hai. Kuch logo ki baal jhadne ki samasya parivar ke itihas se judi hoti hai.

     

    बाल झड़ने की दवा और पतंजलि तेल इन हिंदी

    Baal Jhadne Ki Dawa Ka Naam in Hindi

     

    1. Aawla, shikakai, reetha, methi, aloe vera, bhringraj aur badam. Ye sab balo ko ghana aur majbut karne ke liye gharelu dawa ki tarah kam karte hai.

    2. Baal jhadne ki homeopathic dawa me SBL DROPS NO. 1 HAIR CARE ka naam parmukh hai. Ye medicine baal kamjor hona, russi, baal jhadna aur tutna jesi samasya ke ilaj me upyogi hai.

    3. Balo ko jhadne se rokne me patanjali almond hair oil kafi upyogi hai. Is tel se balo ki malish karne se baal jad se majbut hote hai aur baal jhadna band hote hai.

    4. Nariyal tel hairs ko sundar aur swasth rakhne ke liye jaruri poshan deta hai. Patanjali nariyal tel me ye sabhi gun maujood hote hai.

    5. Patanjali kesh kanti shampoo me kai parkar ki ayurvedic aushdhi hoti hai jo dandruff dur karne me asardar hai. Agar russi ke karan aapke baal jhadte hai to aap iska paryog kar sakte hai.

    6. Balo ka rukhapan dur karne aur bejan balo me jaan dalne ke liye patanjali hair conditioner ka paryog kar sakte hai. Bal dhone ke baad isse apne baalo ko conditioner kare.

    7. Patanjali tejus tailam ka tel puri body ke sath sath balo ke liye bhi faydemand hai. Isse dandruff se chutkara milta hai aur baal ghane hote hai.

     

    बालों की समस्या का समाधान – Balo Ki Samasya Ka Samadhan in Hindi

    • Agar aap ke baal kafi kamjor hai to hamesha bade danto wali kanghi ka paryog kare, isse kanghi karte samay aapke baal nahi tutege.
    • Har roj balo par shampoo nahi karna chahiye aur jab bhi shampoo kare uske baad balo par conditioner jarur lagaye aur thande paani se baal dhaye.
    • Samay par apne baal katwate rahe isse baal kanghi me nahi fasege aur kam tutege.
    • Baal sukhane ke liye hair dryer ka paryog na kare, balo ko natural tarike se sukhne de. Dryer istemal karne se baal kamjor hone lgte hai.
    • Balo ko shampoo karne ke 1 ghanta pahle agar nariyal tel se baalo ki malish kare to balo par chamak aati hai aur baal sundar dikhte hai.
    • Dandruff na hone de, balo me rusi hone se baal jhadne lagte hai. Agar aap ghar se bahar jaye to balo ko dhak le taki dhool mitti se baal bache rahe aur balo me dandruff na ho.

     

    किस विटामिन की कमी से बाल झड़ते है – Balo Ke Liye Jaruri Vitamin

    • Vitamin A, E, C, B12 ki kami hone se baal jhadte hai. Isliye aese food aur fruit khane chahiye jisme ye vitamin adhik matra me ho.
    • Baal kale aur jad se majbut karne ke liye vitamin A upyogi hota hai. Gajar, palak, shakarkand aur doodh ka sevan kare.
    • Baal jhadna kaise roke, iska ek jawab hai vitamin B12. Iske liye apne aahar me anda, cheej, doodh, palak, dahi jesi chije khaye.
    • Vitamin C baal safed aur rukhe hone se rokta hai aur balo ko ghana bnata hai. Amrud nimbu aur khate falo me ye adhik hota hai.
    • Hair fall rokne me vitamin E bhi faydemand hai. Fish, mungfli, badam aur palak khaye.

     

    Dosto baal jhadne ki dawa medicine aur patanjali hair oil ka naam in hindi ka ye lekh aapko kisa lga hame btaye aur agar aapke pass balo ki jhadne ki samasya ka samadhan ke upay hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles