More

    Swine Flu Se Bachane Ke Liye Kon Se Mask Ka Upyog Kare

    Disease - बीमारीSwine Flu Se Bachane Ke Liye Kon Se Mask Ka Upyog Kare

    Swine Flu Face Mask: Aapne aksar dekha hoga ki hospital mein doctor jab kisi rogi ko dekhta hai tab apne face par mask lagata hai. Maask pehane se doctor keetanuo ke sankraman se bacha rehta hai. Iske ilaava maask dhul mitti se bachaav karne ke bhi kaam aata hai. Swine flu ka virus H1N1 saans lene se failta hai, isliye is bimari se bachne ke liye mask ka isteemaal karna behad faydemand rehta hai.

    Pichle kuch saalo mein duniya bhar ke laakho log swine flu se grasit ho chuke hai, jisse bachaav aur ilaaj karne ke liye duniya bhar ke scientist aur doctor lage huye hai. Saaf safayi rakhne ke sath sath agar hum face mask ka upyog kare to hum kuch had tak swine flu se bache reh sakte hai.

    Swine Flu Kaise Failta Hai

    • Khaasne, chheekne aur thukane par vo hava aur jameen swine flu ke virus se sankramit ho jaati hai. Ye sankraman aisi hava mein saans lene par aur kisi sankramit cheej ko chhune par muh ya naak ke raaste vyakti ke shareer mein chala jaata hai.
    • Sankramit remote control, ghar aur office ke darwaaje, computer ka keyboard aur mobile ya landline phone jaisi cheejo ke jariye bhi ye virus failta hai.

    Swine Flu Mein Kon Sa Mask Pehane

    1. Swine flu se bachaav ke liye simple maask ke isteemaal ka koi fayda nhi iske liye three layer surgical mask aur N -95 face mask ka upyog faydemand hota hai.  Single leyar mask ki 20 parte bhi swine flu se suraksha nahi karti.

    2. Tripal leyar maask lagane par 70-75% tak aur N -95 maask 90 pratishat tak swine flu ke virus se bachaav ho sakata hai.

    Mask Kaise Pehane

    Koi bhi mask kisi infection se bachane mein tab kargaar hota hai jab use sahi tarike se baandha jaye. Mask bandhte waqt dhyaan rakhe ki aapka naak aur munh puri tarah se dhak jaye. Aur dhyaan rahe ki mask itana tight na ho ki vo aapki thook se gila ho jaye.

    Swine Flu Face Mask Kise Pehnana Chahiye

    1. Swine flu ke mareejo ko aur unke sath rehane wale logo ko bhi mask pehan kar rehna chahiye.
    2. Kisi bhi sarwajanik sathan aur bheed bhaad wali jagah par jane se pehale mask jarur pehane. Fir chahe aap shopping mall ja rahe hai ya fir movie dekhne mask pehnana na bhulle.
    3. Agar aap kisi doctor ya mareej se milne hospital ja rahe hai to swine flu face mask pehanana behad jaruri hai kyuki hospital mein sankraman sabse jada hota hai.
    4. Mareejo ki dekhbhaal karne wali nurse, doctor, hospital ke staff aur rogi ke rishtedaaro ko maask ka istemaal karna chahiye.
    5. Air condition bus aur train mein yatra karne wale logo ko safety ke liye maask pehanana chahiye.

    Mask Kab Tak Kaam Karta Hai

    • Three layer surgical mask 4 ghante aur N-95 maask 8 ghante tak suraksha deta hai.
    • 3 leyar surgical mask ko 4 se 6  ghante se jada isteemaal na kare, kyuki hamari khud ki saans se bhi maask kharab ho jata hai.

    Kya Saavadhaaniyaan Rakhe

    • Agar aapke pass swine flu mask nahi hai to aap kisi malmal ke saaf kapde ki 3 se 4 tahen banakar use naak aur munh par bandh sakte hai.
    • Ek mask ko ek hi baar isteemaal kare aur mask use karne ke baad isse nashat kar de, agar kisi mask ko ek se jaada baar isteemaal kiya jaye to swine flu failne ka khatra jaada ho jaata hai.
    • Yadi aapko ya aapke aas-pass kisi ko khansi ya jukaam ho to maask avashy pehane aur dusro ko bhi mask dalne ki salah de.

    Mask Ka Price Kya Hai

    1. Three layer mask aur N95 mask aapko najdeek ke kisi medical store se aasaani se mil jayenge. Aur agar aapke gaanv ya shahar mein ye mask uplabdh nhi hai to aap online bhi kharid sakte ho.
    2. Bazaar mein three leyar surgical mask ki kimaat 10 se 15 rupaye tak ho sakti hai aur N-95 maask ki cost 100 se 120 rupaye ke beech mein ho sakti hai.

    Ilaj se jada behtaar bachaav. Agar aap is leekh mein bataye gaye sujhaavo ko amal mein laeynge to aap apne sath sath kai logo ke liye swine flu ki is khatarnaak bimaari ke jokhim ko kam kar sakenge.

    Dosto is leekh mein humne swine flu face mask se judi hui saari jaankari share karne ki koshish ki hai kyuki jab tak hame kisi bimari ke rokthaam ke tarike nhi malum honge tab tak hum us bimari ka ilaj nhi kar sakte. Dosto is leekh ko apne friends ke sath share kare aur logo ko swine flu ke baare mein jagrook karne mein hamari madad kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles