Chehre ke gadde kaise mitaye in hindi: Chehre par khadde ya gadde hone se face ki khubsurati kharab ho jati hai. Face par ye gadhe kai karan se ho sakte hai jese pimples hona ya fode funsi nikalna. Chehre ke gadde bharne ke liye kuch log gadde aur khadde mitane aur hatane ki cream istemal karte hai, par hum gharelu upay aur desi nuskhe se gadde bharne ke upay kar sakte hai. Aaj is lekh mein hum janenge face ke gadde ko kaise bhare, gharelu nuskhe for chehre ke gadde in hindi.
Face ke gadde hone ke karan
- Fode aur funsi hone se bhi ye samasya aati hai.
- Pimples thik hone ke baad aksar chehre par gadda pad jata hai.
- Chehre par chot lagne, jalne aur katne ki wajah se bhi khadde aur gadde pad jate hai.
- Chicken pox ke rog mein bhi chehre par daane nikal aate hai jinke thik hone ke baad gadhe dikhne lagte hai.
Chehre ke gadde mitane ka treatment
Chehre ke gadde hatane ke liye agar aap skin specialist se treatment karwate hai to usme doctor alag alag tarike apnate hai jese lesar treatment, dermabrasion aur cream. Ye tarike thode mehnge ho sakte hai. Agar aap janna chahte hai ki gharelu upay kar ke face ke gadde kaise bhare to aap niche btaye hue upay aur ilaj ke nuskhe pdhe.
Face ke gadde bharne ka tarika karne ke liye gadde bharne ki cream ya dawa jo hum aksar ghar par paryog karte hai inhe lagane se kai bar fayde ki bajay nuksan bhi ho sakta hai kyuki inme chemicals hote hai jo skin ko kharab kar sakte hai, aur agar aapki skin jada sensitive hai to koi bhi cream ya gadde bharne ke upay karne se pahle use skin par kahi aur lga kar test jarur kare.
Chehre ke Gadde Kaise Mitaye
Face ke Gadde Bharne ke Upay Hindi
- Gadde mitane ke upay ke liye nimbu ke ped ke patte pees kar usme brabar matra me haldi ka paste mix kar le aur chehre par lagaye. Haldi ke gun gaddo ko jaldi bharne mein upyogi hai. Nimbu ke patte na mile to nimbu ka ras istemal kare. Is upay ko 2 hafte tak kare aapke gadde aur khadde bharne lagenge.
- Aloevera aur vitamin E oil ka mishran bana kar lagane se chehre ke daag dhabbe, pimples aur chechak ke karan hue gadde hatane mein mdad milti hai. Is upay ko sahi tarike se regular karne par kuch hi dino me gadde ke nishan aur khadde saaf hone lagenge.
- Dahi me nimbu ke ras ki kuche boonde mila kar face par lagane se gadho ke nishan aur daag dhabbe dur hone lagenge.
- Doodh, besan aur nimbu ka ras mila kar paste bana le aur chehre par lagaye. Sukhne ke baad face wash kar le. Is nuskhe se skin mein kasav aata hai, pimple hatane mein mdad milti hai aur gadde bhi saaf hone lagte hai.
- Gulab jal, nimbu ka ras aur multani mitti ka paste bna kar lgane se bhi chehre ke gadde ka ilaj kar sakte hai.
Chehre ke gadde kaise bhare iske gharelu tarike to aapne jaan liye hai. In upayo ko karne ke sath sath kuch aur bhi baate hai jinke bare mein aap ko jankari honi chahiye. Inse aap gadde mitane ke tarike karne ke ilava gadde hone se rokne mein bhi fayda milga.
चेहरे के गड्ढे कैसे भरे: Chehre ke gadde mitane ke upay in hindi
- Face par agar koi pimple ya funsi nikal aaye to ise bar bar hath na lagaye aur na hi ise pakne se pahle fode.
- Muhase thik hone ke baad iski papdi ko haath se na hataye, isse muhase ke nishan aur gadde pad jate hai.
- Aahar mein fal aur hari sabjiya jada khaye taki skin ko poshan milta rahe aur skin swasth rahe. Iske sath sath junk oily food khane se parhej kare.
- Face ke gadhe se bachne ke liye apni diet mein vitamin A, C, E aur fatty acid se bharpur food khaye.
- Hafte mein 1 se 2 baar skin ko bhaap de taki face par dhool mitti ke kan saaf ho jaye, isse bar bar pimples nikalne ki samasya bhi dur hoti hai.
- Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe
- Face ke Gharelu Beauty Tips in Hindi
Dosto Chehre ke Gadde Kaise Mitaye, Face ke Gadde Mitane ke Upay Hindi ka ye article aapko kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass chehre ke gadde ko kaise bhare aur khade bharne ke upay hai to hamare sath share kare.
Chehere gadhe aasal mai ja sakte hai
Par ham kuchbhi lagate h to pimpels or badh jate hai Kya Kare bataiye
Mere face pe bhi hai gadde aur dane main bahut pareshan hu koi acha sa upay batao.
Number 1 wala nimbu ke ped ke patte pees ke haldi milay aur face pe lagaye to kitne der tak laga rehne de.