More

    माइग्रेन का टॉप 5 घरेलू आयुर्वेदिक इलाज हिंदी में

    Disease - बीमारीमाइग्रेन का टॉप 5 घरेलू आयुर्वेदिक इलाज हिंदी में

    माइग्रेन जिसे आम भाषा में आधा कपारी के नाम से भी जाना जाता है। इस लेख में दिए पांच आयुर्वेदिक घरेलू उपचार माइग्रेन के दर्द से तुरंत राहत देंगे। माइग्रेन के कारण, उपचार और लक्षण जानने के लिए नीचे दिया गया पूरा लेख पढ़ें।

    Migraine Ka ilaj Kaise Kare: Migraine ek sir dard (headache) ka rog hai jise aadha seesi sir dard bhi kehate hai jo jadatar aadhe sir mein hota hai. Migraine ka pain koi normal sir dard nhi hai, ye pain sir ke kisi ek hisse mein kafi teeji se hota hai jo ki itna bhayanak ho jata hai ki rogi naa to chain se baith pata hai aur naa hi so pata hai. Jab sir mein dard hone ke baad ulti aane lage tab ye dard aur bhi peeda dena wala ban jata hai.

    Migraine ka dard kuch ghanto se le kar kuch dino tak reh sakta hai. Migraine mein sir dard ke samay sir ke niche ki dhamani badi ho jati hai aur sir ke dard wale hisse mein sujan bhi aa jaati hai. Migraine ke dard ko kabhi halke mein nahi lena chahiye kyuki migraine ka dard lakwa aur brain haemorrhage ka kaaran bhi ban sakta hai.

    Migraine Ke Lakshan Kya Hai (Symptoms)

    • Aadhe sir mein ya fir pure sir mein bhut tej dard hona.
    • Dhundhala dikhayi dena ya fir aankho mein dard hona.
    • Bhukh kam lagna, jada passena aaye.
    • Jee machalna, ulti aana aur kisi kaam mein dhayaan na lagna.
    • Jada tej aawaj aur roshani se ghabrahat hona.
    • Hath, pair sunn padna.
    • Kamjori mehsoos hona .

    Agar aapko aadhe sir mein dard hone ke sath inme se koi aur lakshan bhi dikhayi de to kisi doctor se test jarur karwaye.

    Migraine Dard Ke Kaaran Kya Hai (Causes)

    Abhi tak sahi tarike se migraine ke kaarno ka pata nahi lag paya hai par sir dard ke dauro ki pehchaan kar migrain ke dooro ka aana kam kiya ja sakta hai.

    • Jada caffeen ka sevan karna.
    • High blood pressure
    • Neend puri na hona ya fir jada tension lena.
    • Kai baar mausam badalne se bhi migrain ho jata hai.
    • Jarurat se jada pain killer wali davao ka sevan.
    • Hormonal imbalance ki wajah se bhi migraine ki samasya ho sakti hai. Yahi kaaran hai ki migrain ki problem aaurto mein pursho ke muqable jada hoti hai. Hormonal imbalance ki problem mein doctor se iska treatment jarur karwaye.

    Migraine ka ilaj ke 10 Ayurvedic aur Gharelu Upay in Hindi

    Migraine treatment in hindi: Jab sir ka dard itna badh jaye ki kisi dawa ka asar bhi na ho, aise mein kuch gharelu nuskhe apna kar head pain se nijaat paayi jaa sakti hai.

    1. Migrain ka attack aane par bed par let jaye aur apne sir ko bed se niche latka de. Ab sir ke jis hisse mein dard ho raha hai us taraf wali naak mein sarso ke tel ki kuch boonde daale aur jor se saanso ko upar ki taraf khinche. Is gharelu upay ko karne se jald hi sir dard mein aaram milne lagega.
    2. Aaroma therapy migraine ke dard mein kafi fayda karti hai. Is thearpy mein harbal telo ko bhaap(steam) dawara chehre par dala jata hai aur sath mein dheme aawaj mein music chalaya jata hai, jisse dimag ko aaram milta hai.
    3. Rojana subh shaam Gaay ke shudh desi ghee ki 2-2 boond naak mein daalne se migraine ke dard mein aaram milta hai.
    4. Subh suraj nikalne se pahle naariyal aur gud ke sath chote chane ke brabar kapoor mix karke 3 din lagataar khaane se aadhe sir ke dard mein fayda hota hai.
    5. Head massage kare. Migraine ka sir dard hone par sir par jiss hisse mein dard ho waha halke haatho se maalish kare, Malis karne se pahle tel ko halka garm jarur kar le.Sir par malis karne ke sath sath garden, kandho, haatho aur pairo ki malish bhi kare. Malish karne ke thodi der mein aap ko dard mein aaram milne lagega.
    6. Barf ya garm panni ka paryog kar ke migraine ka ilaj aasani se kar sakte hai. Migraine mein kuch logo ko garam cheej se rahat milti hai aur kuch ko thande se. Agar aapko thande se aaram milta hai to ek toliye ko barf wale thande thande paani mein kuch der bhigo kar rakhe aur fir us toliye ko dard wale hisse par rakhe. Kuch hi der mein migraine dard se aaram milega.
    7. Kapoor aur Ghee ka paryog kare. Gaay ke ghee mein thoda kapoor mila kar sir par halke haatho se maalis karne se sir dard mein aaram milta hai.
    8. Nembu ke chilke ka paist banaye. Migraine ke dard mein nembu ke chilke ko ache se pees kar uska paist bana le aur maathe par lagaye. Nembu ke chilke ke is paise se jaldi aaram milta hai.
    9. Subh khali pet seb(apple) khane se migraine mein aaram milta hai.
    10. Badgobhi ki pattiyo ko pees kar ek paist bana le aur maathe par lagaye.

    Migraine Ka Ramban ilaj – Rajiv Dixit Treatment

    • Gajar aur palak ka juice peena migraine ke treatment mein kafi faydemand sabit hota hai. Ek gilass gajjar ka juice le. Ab isme ek gilass palak ka juice milaye aur ise ache se mix kare aur pi jaye.
    • Nembu ke chilke ko pees kar ek paist bana le aur maathe par lagaye.
    • Jab bhi migrain ka attack aaye kise khaali shaant room mein aaram se bed par leet jaye aur sone ki koshish kare. Migrain ke sir dard mein jada paani piye, chay bhi pee sakte hai. Aur sir par thande ya garam kapde ko rakhe.

    Migraine Se Bachaav aur Upay – Baba Ramdev Yoga Tips

    Rojana excersise aur yoga karke migraine se bache reh sakte hai. Aur jin logo ko migraine ke dard ki shikayat rehati hai ve bhi yog guru baba ramdev dawara bataye hue yoga aasan karne ke pain mein relief paa sakte hai. Aaiye jane kon se yoga karne se aadhe sir ke dard mein foran aaram milta hai aur migraine ka ilaj karne mein madad milti hai.

    • Pranayam – Anulom vilom
    • Adho Mukha Svanasana
    • Uttanasana
    • Janusirsasana
    • Urdhva Mukha Svanasana
    • Setu Bandha
    • Shishuasana
    • Paschimottanasana
    • Padmasana
    • Shavasana

    Homeopathic Treatment se Migraine ka ilaj

    Homeopathic medicine ke isteemaal se bhi migraine ka safal upchaar ho sakta hai. Niche homeopathic ki 5 medicines ke naam bataye hai jo migraine ke dard ki shikayat hone par le sakte hai. In davao ko isteemaal karne se pahle kisi homeopathic doctor se salah jarur le.

    • Belladonna
    • Glonoine
    • Natrum Mur
    • Sanguinaria
    • Spigelia

    Migraine mein Parhej aur Sawdhaniya (Precautions)

    Migraine se parbhavit rogi ko kabhi bhi migraine ka attack aa sakta hai isliye ye jaruri hai ki dard se bachne ke liye kuch savdhaniyo ko apnaye.

    1. Bhukhe na rahe. Migraine patients ko apne khan-paan ka dhyaan rakhna chahiye aur jada der khaali pet nahi rehna chahiye.
    2. Tension na le. Jada tanav aur bhaagdood wale kaam karne se migraine ka attack aa sakta hai, isliye kisi bhi cheej ka jada stress na le. Rojana yoga aur parnayam kare aur khud ko tanav se door rakhne ki koshish kare. Man aur dimag ko shaant rakhne ke liye aap music bhi sun sakte hai.
    3. Jada Paani piye. Rojana 12 se 15 gilass paani peeye. Raat ko sone se pahle tanbe ke jug mein paani bhar kar rakhe aur subh khaali pet piye.
    4. Kabhi kabhi kuch medicines ki wajah se bhi aadhe sir dard ki problem ho jaati hai isliye doctor ki salah ke bina kabhi koi treatment na le.
    5. Achi neend le. Jarurat se jada sona ya fir aadhi neend lene se bhi migraine ka dard badh sakta hai.
    6. Galat tarike se uthane baithne se kamar aur gardan mein dard hone lagta hai jo migraine ke dard ka kaaran bhi ban sakta hai. Isliye kaam karte waqt aur aaram karte samay apne posture ka dhyaan rakhe.
    7. Bazar mein migraine ka ilaj karne ki bhut si medicines milti hai par in davao ke side effect bhi ho sakte hai, isliye bina doctor se salah liye koi bhi dawa na le.
    8. Tej dhoop mein bahar na nikale, kisi kaaran wash agar aapko bahar jana pade to sir par koi topi jarur dale.
    9. Teej roshani ki taraf na dekhe aur jada uchayi wali jagah par jaane se bache.
    10. Computer chalate samay ya T.V. dekhte waqt jada pass na baithe.
    11. Mobile ya computer par jada der tak kaam na kare.
    12. Kisi bhi tarah ke head pain ko halke mein na le.
    13. Kam roshani wali jagah par koi baarik kaam na kare.
    14. Tej gandh wale itar, scent, deodrant ya perfum lagane se parhej kare.

    Migraine treatment in hindi: Dosto agar aap kisi aise vyakti ko jante hai jo migrain ya aadhe sir dard ki bimari se parbhavit hai to unke sath migraine ka ilaj karne ki ye jankariya share kare taaki vo is dard se chutkara pa sake. Aur agar aapke pass koi anubhav, desi ilaj ya gharelu upay hai to hamare sath bhi share kare.

    Gharelu nuskhe, ayurvedic aur homeopathic upchar ke sath sath is website par hum internet ki jankari hindi mein share karte hai.

    Recent Articles

    56 COMMENTS

    1. babaji, mujhe mahine me ek baar aakho se dhudhla dikhai deta hai kuch bhi thik tarah se nhi dikhai deta aisa kareeb aadhe ghante tak hota h or uske baad bahot tej sir me dard hota h

      • Mahendra ji aap ek baar aankho ke doctor se checkup karwaye aur kisi neuro doctor se bhi salah le. Agar ye confirm hota haim ki ye migraine ka rog hai to aap is article me bataye hue upay apnaye aap ko fayda milega.

    2. Sir mere aadhe sir me kuchh dino se bahut jayada durd hai jabki mai daily meditation aur paranayam bhi karta hu. Aur yh durd mujhe lagbhag raat ko hi hoti hai jb durd nhi saha jata to durd ki dwa bhi leta hu likin kuch time baad wah bhi fail ho jata aur is wajah se raat ko jaldi need bhi nhi aati to sir iska koi upay bataiye please

      • Golu jese syptoms aap bta rhe hai iske bahut se karan ho sakte hai. Aap ek bar doctor se mile aur proper diagnose karwaye, agar ye migrain ka pain hai to upar bataye hue upay kare aaram milega.

    3. Sir mera nam gautam hai . Jab main dhup main nikalta hu to kan or aankho ke bich nase phulne lagti hai jisse mera man kisi chij main nhi lgta hai or sarir main balance bhi nahi rahta hai.koi satik upchar batay ya yog .ya koi fruit ka sevan. Please sir.

    4. sie jis din rat m nightfall hota hai uske 2 din bae mere akho se dhundla dikhne lagra hai kreeb adhe ghante tk fir uske bad sr me dard hone lagta hai of mtli jaise ane lagti h fir ye dard jyada pen hone lagta h

    5. Sir. mere sara k ander bahot problem Hoti h Na chain se Beth sakta hu Na so sakta hu pata nhi din Bhar sad k under Kya hota h .m bahot paresan hu samajh nhi aa raha karu

      • Prem acha yahi hoga ki aap doctor se mile aur checkup karwaye, sir mein jesi problem aap bta rahe hai uske bahut karan ho sakte hai isliye jaruri hai ki pahle bimari ke karno ka aur bimari ka pta lagaya jaye tabhi iske sahi ilaj sambhav hai.

    6. hlo sir mera ada sir 7 8 month se dard krtaa hai kbe left side aoor kbe right sir bhut medicine lee kus araam nhi pad rhaa plzz help mee

    7. Sir mere garden ke upar sir me dard rehta hai ye 1 mahine se hai 24 ghante rehta hai thik nai ho raha btaiye sir help me

      • Dost agar ye normal sir dard hai ya fir migraine hai to aap upar likhe hue upay kar sakte hai aur agar aap is bare mein confirm nahi to ek bar doctor se checkup karwaye aur bimari ka sahi pta lgaye.

    8. Sir meri mammi k sar me dard hota ye dard lagbhag 1 mahine se hai. Kafi dawai chali magar sar dard thik nahi hua cityscan bhi karaya magar usme bhi kuch nahi nikla.

    9. mere hone vAli pati ko mIgraiNe ki proBlem h kya aagE jakr yE kok badi paresaani mae badal sakti h kya ,kya iskA koi ilaj ni jisse ye bilkul sahi ho jAYe

    10. plz sr help me iss paresaani ki vajah se vo shadi ni krna chahte h kEhte h agr kuch ho gya to ….kya isse kuch bhj ho sakta h kya unki life ko khatra h aage..

      • Maddhu ji migranie ki samasya ko hum gharelu aur ayrvedic nuskhe apna kar control kar sakte hai aur iska puri tarah ilaj bhi kiya ja sakta hai, is bimari ko hum apni soch se gambhir bna dete hai, iske bare mein sochne ki bajay iske sahi upchar ke bare mein soche.

      • Dost aesa sirf aapke sath nahi sab ke sath hota hai, kuch acha hone par hum khush ho jate hai aur kuch bura hone par man udass ho jata hai. Life mein ups and downs aate rehte hai.

    11. meri maa k maath me aage nus me kafi tej dard hota hai aur aakh se lekar mathe tak halki soozan aa jati hai bahut se doctor ko dikhaya per koi aaram ni hota plz kuch batai

    12. Kya sir durd pet ke gas kee bajah se bhi ho sakta hai
      Mere hafte mai 1 ya 2 baar ye dard hota hai jo kee kanpati ke barabar hota hai (kaan ke aage) lekin dono side ek saath ni hota ek time mai ek side hee hota hai. Sar dard ke saath saath aankh mai dard aur jabde mai dard bhi hkta hai

      • Jitendra ji jo lakshan aap bta rhe hai ye migraine aur sinus ke ho sakte hai, aap doctor se consult kare aur checkup karwaye taki bimari sahi se diagnose ho aur sahi upchar ho sake.

    13. Govind ji mere shir me bahut jada dard hota hai kuch dino se back side me pain v hota ct scan karya report normal hai dard subah halka rahata hai raat me badh jaata hai ye 2 dino se ho raha hai dard asahaniy ho jata hai ct scan normal hai to kya M R I karana chahiye doctor migrane ki dawa 3 dino ka diya hai mujhe kya karana chahiye salah de aur migraine me back side aur gardan me pain hota hai kya kripya bataye dard back side aur gardan me hai bus kabhi kbhi pith me v hota hai

      • Prashant ji gardan mein dard cervical priblem se bhi ho jata hai par jesa aap bta rhe hai ki test report normal hai aur doctors ne migraine ki medicine di hai, aap doctor ki iatructions follow kare aur agar aaram na mile to kisi dusre doctor se 2nd opinion le. Dost agar ye samasya migraine ki wajah se ho rhi hai to aap gharelu nuskhe se bhi iska ilaj kar sakte hai.

    14. Govind g maine doctor ke salah se dawa li shir dard to nhi hai ab but gardan se leke pure hanth me dard hai aur shir bhari bhari rahata hai sugar, thyriod , head ka ct scan v karaya bp 130-90 hai fhir v shir bhari bhari saa lagata hai kuch samjh me nhi aata kbhi kbhi aisa lagata hai koi chij yaad karane me dikkat ho rahi ho

      • Dost agar sab report normal aa rhi hai to aesa nahi hona chahiye, kai bar jada tension lene se bhi aesi pareshani ho jati hai aap apne aapko tension bfree rakhe aur relax rahe.

    15. Sir mere right side ki aank k upar ki haddi me subah k 8 se 11 baje tak Kafi Dard rahta hai AUR subah k bad band ho jata hai AUR agli subah fir suru ho jata hai .AUR yah Dard pichle Saal bhi Feb our March k mahine me bhi tha . Yah Kya ho sakta hai AUR upaay bataye

    16. Sir mera sir dard deta hai smooth pain or mai tension ni leta fir bhi sir bhari rehta hai or ajib lagta hai mai kya karu kuch karne ka man bhi ni krta

      • अजय सिर दर्द होने पर किसी काम में मन नहीं लगता आप ऊपर लिखे हुए घरेलू उपाय और नुस्खे पढ़े.

      • माइग्रेन की वजह से अगर आपके सिर में दर्द हो रहा है तो घरेलू तरीके से आप इसका इलाज कर सकते है। आप ऊपर लिखे हुए उपाय और नुस्खे पढ़े।

    17. Baba g mere sar me bahut dard hota hai fir kuch din bad thik hota hai lekin sath me ulti hoti hai sar gumta hai chakar aati hai aakho me dard hota hai tej rosin se paresani aaur bad jati hai tej away se bhi taklif hoti hai hath pao kapte hai ghnraht hoti hoi hai gardan me dard kando me dard nak se pani sas lene me taklif sine me bhi dard hota hai 20 sall se ye taklif Ho rhi hai

      • दोस्त ये लक्षण बहुत से रोगों में देखे जाते है आप पहले डॉक्टर से मिल कर जाँच करवाए ताकि बीमारी के बारे में पता लगे और सही तरीके से इलाज हो सके.

    18. Babaji Mujhe Do mahine se Sar mein bahut Dard Hai aur kaan mein bhi bahut Dard Hota Hai kaan se hokar Sar mein bahut chatke Chalte Hain Kaan mein bahut Dard Hota Hai Sar mein bhi bahut Dard Hota Hai

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles