आज की भागदौड़ भरी जिंदगी में नींद न आना एक आम बात हो गई है। लेकिन उचित नींद के कारण लोगों में चिड़चिड़ापन, चक्कर आना, कमजोरी, भूख न लगना जैसी कई तरह की गंभीर बीमारियां होने लगती हैं। इस लेख में सोने के कई तरीके बताए गए हैं, जो 100 प्रतिशत तक काम करते हैं।
Neend Nahi Aane ka ilaj Hindi Mein
Kai baar hum kisi cheej ya koi kaam ko le kar bahut excited hote hai, din raat usi ke bare mein sochte hai aur uske liye khub mehnat bhi karte hai. Jab hum us kaam mein asafal(fail) hote hai to hame tension hone lagti hai. Din raat kisi ek cheej ke bare mein chinta karne se neend na aane ki samasya hone lagti hai. Jo kai baar anidra (insomnia) ka rog ban jati hai. Humne ye lakshan students, employees aur businessman mein kai bar dekhe hai. Is article mein hum janege neend aane ke upay, Tips For Good Sleep In Hindi.
Achi neend na le pana anidra ke rog ke lakshan hai. Anidra mein rogi ko kai bar jaldi nind nahi aati aur jab neend aati hai tab bhi thodi der mein khul jati hai. Puri nind na lene ki wajah se body ko pura aaram nahi mil pata, jiske karan uski health par bura asar padta hai aur vyakti ke savbhav mein bhi chidchidapan aane lagta hai aur jaldi gussa hone lagta hai. Agar aap neend nahi aane ka ilaj aur ayurvedic treatment janana chahte hai to is leekh ko dhyaan se padhe.
- Jane Gussa Kaise Kam Kare
- Jane Tension Kam Krne Ke Upay
Anidra Kya Hai – What is Insomnia
Humne apne aaspass aise bahut se log dekhe hai jo bed par letate hi so jate hai aur kuch log aise bhi hai jo puri raat karwat badalte rehte hai. Anidra neend na aane ki bimari hai.
- Anidra mein pahle bahut der tak neend nahi aati.
- Jab neend aati hai tab thodi der baad khul jati hai, jisme dubara nind aane mein bahut samay lagta hai. Aisa tab hota hai jab insaan bahut jada pareshani mein ho aur kisi cheej ke bare mein bahut jada sochta ho.
- Insomnia ke kuch cases mein aisa bhi hota hai ki rogi ko bilkul bhi neend nahi aati. Agar sahi samay par iska ilaaj na ho to ye aur bhi kai parkar ki bimariyo ka karan ban sakti hai.
Jis tarah hamare sharer ko swasth rehne ke liye bhojan ki jarurat hoti hai thik vese hi dimag ko swasth rehne ke liye neend ki jarurat hoti hai. Agar puri neend na mile to mind to disturb hoga hi sath mein sharer ko bimariya hone ka khatra bhi hota hai. Isliye neend aane ke upay karna jaruri hai.
Anidra Se Hone Wali Bimariya
- High blood pressure
- Weight badhhna
- Sir dard
- Body Pain
- Stemina kam hona
- Kisi kaam mein man na lagna
Neend Na Aane ke Karan – Causes of Insomnia
Anidra ke 2 kaaran hote hai – sharirik aur mansik (physically, mentally). Aaiye neend na aane ke kuch aise karan jante hai jo kisi na kisi tarike se hamare sharer ya dimag se jude hai.
- Mobile phone aur landline phone.
- Aas pass shor hona.
- Bahut jada sochna.
- Shareer par khujli hona.
- Khansi, jukam ya koi sharirik bimari hona.
- Raat ko bar bar peshab(urine) aana.
- Jada garmi ya sardi hona.
Neend Aane ke Upay – Anidra ka Gharelu ilaj
Insomnia Treatment in Hindi
Kisi waja se agar aapko achi neend nahi aa rahi to yha hum aap ko kuch gharelu nuskhe bata rahe hai jinke paryog se aap gehri neend le sakte hai aur anidra ka ilaj kar sakte hai.
- Kisi bimari ki wajah se neend na aane ki samasya ho to iske liye jaruri hai ki pahle us bimari ka upchar kare.
- Stress ho ya koi mansik tanav meditation aur yoga karne se sab ka ilaaj milega. Mansik tanav ko kam karne ka sabse acha upay hai ye.
- Agar aapko nind kam aati ho ya fir deri se aati ho to sone se pahle pairo ko 10 minute ke liye garam paani mein daal ke baithe, fir pair saaf karke so jaye. Sote samay pair garam rakhne se neend achi aati hai.
- Sone ke liye badi height wale pillow ka paryog na kare, isse sir ka blood circulation ruk jata hai aur sir mein dard hone lagta hai.
- Achi nind lene ke liye sone se pahle ek glass garam doodh piye.
- Raat ko dinner mein halka bhojan hi kare. Heavy khana khane se bhi kai bar nind nahi aati. Dinner karne ke baad thodi walk bhi kare.
- Sone se pahle muh, garden, kaan aur dono pair ache se dhoye. Isse sir aur dimag mein khoon teji se dodta hai.
- Agar kisi mansik tanav ke kaaran neend na aati ho to suraj ki roshni mein baithna chahiye. Is upay se dimag ko shanti milti hai.
- Agar aapko neend na aane ki problem ho rahi hai to bed par aise hi lete mat rahe, uth kar koi book padhe ya fir sangeet sune. Aksar hum jagte hue lete rehte hai isse hamare mind me ye chalna shuru ho jata hai ki mujhe nind nahi aayegi.
- Sone se 4 ghante pahle chay, coffee, bidi,cigrate aur shraab ka sevan bilkul na kare.
Achi neend lene ke Gharelu aur Ayurvedic Nuskhe
- Sarpgandha, ashwgandha aur bhang ko brabar matra me le kar pees le aur iska churan bna le. Raat ko sone se pahle 4 se 5 graam churan paani ke sath le. Is upay se aapko achi neend milegi.
- Anidra ki samasya se rahat pane ke liye green tea ka paryog kare. Green tea pine se mansik tanav kam hota hai aur sir dard se bhi aaram milta hai. Dhyaan rahe aap pure din mein green tea ke 1 ya 2 cup hi piye, jada pine se ye aapki neend aane ki samasya ko badha bhi sakti hai.
- Pairo ke talvo ki sarso ke tel se malish karne par gehri neend aati hai.
Anidra Se Bachne ke Upay – Acchi Neend Aane ke Tarike
- Raat ko sone se pahle apne mobile phone ko ya to switch off kar de ya fir kisi dusre room mein rakh kar aaye. Aksar raat ko mobile par message ki tone bajti hai jisse neend khul jati hai.
- Har roj sone ka aur subh uthne ka time fix karo, fir chahe Sunday hi kyu na ho aap usi samay par soye aur uthe.
- Muh dhak kar sona bhi nind khulne ka ek bada karan hai, kyuki jab hum muh dhak kar sote hai tab saas lene mein dikat aati hai jisse neend tut jati hai. Isliye muh dhak karke na soye.
- Apne pasand ki jagah par apna bistar lagaye aur jis position mein aapko sona pasand ho usi position mein soye.
- Raat ko sone se pahle apne dimag se sabhi parkar ke mansik tanavo ko nikal de, aur ye bhi na soche ki agle din aapko kya karna hai, ye sab sochne ke liye aap subh samay nikal sakte hai.
- Aapke sone ki jagah ke aas pass saaf safai ho, room mein shor shraba na ho aur aapka bistar comfortable hona chahiye.
- Apne bedroom ka temperature normal hi rakhe na to jada thand ho aur na hi garmi. Apne bedroom mein TV, computer aur laptop na chalaye. Is sabke liye kisi dusre room mein jagah banaye.
- Agar raat ko achi neend leni hai to dopehar ko na soye.
- Agar kisi tension ki wajah se neend nahi aa rahi to sone se kuch der pahle aap acha music sune ya fir koi book padhe.
- Apne daily routine mein exercises shamil kare. Physical activity karne se sharer thak jata hai jisse bistar par letate hi neend aa jayegi.
Rojana Kitne Ghante Soye
- Agar aap 7 se 9 ghante ki neend lete hai to ye body aur mind ke liye bahut acha hai. Par agar aapko anidra ka rog hai tab bhi koshish yahi kare ki kam se kam 6 ghante ki neend jarur le.
Achi Neend ke Fayde
- Achi aur gehri neend lene se aap kai parkar ki bimariyo se door rehte hai.
- Neend puri aaye to body active rehti aur sara din kaam karne ke liye aapko energy milti hai.
Neend Aane ke Nuskhe in Hindi
- Bahut se log din aur raat dono samay khoob sote hai. Isse body mein aalaspan, sujan, kabz jese rog hone ki aashanka hoti hai aur kisi kaam mein man bhi nahi lagta. Garmiyo ke mausam ke ilava din mein nhi sona chahiye.
Gehri neend ke upay karne ke liye kabhi bhi neend ki goliyo ka sevan na kare, kyuki agar aapko iski aadat lag gayi to bina goli khaye aapko neend nahi aayegi.
Dosto Neend Aane ke Upay, Tips For Good Sleep In Hindi, Neend Nahi Aane ka ilaj ka ye lekh aapko kaisa laga hame comment karke jarur bataye aur agar aapke pass how to get to sleep ke upay, sujhaav ya anubhav hai to hamarecsath share kare.
Very Informative. Worth Reading. It covers major issues related with the mentioned topic.
Thanks Naved.
Wow.. Outstanding thank you so much.
sir mere ko neend bhot jada atte hai jaha tak ki kush pata nehi rehta kaya ho reha hai pl mere help kegeya zaida neend aane ke kaya karen hai
Amit tala hua masaledar cheeje khane se parhej kare aur halka bhojan kare jo jaldi digest ho jaye, iske satn apne aap ko busy rakhne ka pryaas kare.
Sir mere ko late need ati h
Sandeep aap upar likhe hue tips follow kare.
Thanks for this notes , it helps me lot lot beyond my expectations.
Joy share this site with your friends so they can get benefited too.
need jise nahi atha hai pahela karan a hai ke wo dukhi raheta hoga us ko koi paresani hogi wo paresani wo dur karnahi paraha hoga us parasani ka upai nahi dhund paraha hoga aur sochta hoga aur need use athi nahi hogi iss liye acha need pane ke liye sab se paheley allah iswar god ko manna hoga allah iswar god ke upar bharosa karna hoga fir apna sara dukh paresani allah iswar god ke hawale kardena hoga fir apne dil ko samjhana hoga main apne allah iswar god se kahe diya hai mere dukh aur paresani ko mitaye ab allah iswar god mere liye jo bhi karega mujhe manjur hai allah iswar god ke faisla ko manuoga allah iswar god mujhe dukh main rakhe ya sukh main mujhe har haal main khus rahena hai allah iswar god ka sukhriya bhi ada karna hai aisha dil ko samjha ne se dil ko sakoon milega need bhi acha ayega
Thank you so much for such a mind blowing & true things.
I am insomniac unfortunately nothing is working on me let see your tips may help!!
Thank you in advance..
Aap likha bahut se logo ke bahut kaam ata hai or muje bhi achha lagta hai filhal muje jo lagta hai ki ye jo aapka text hai iska thoda bold kare ya color change kare jo aapko thik lage aap ka likha padne me thoda light dikhta hai
Dhanyawad Ravi ji hum aapke sujhavo par dhyan denge.
Highly appreciate about the knowledge contained in your articles.
sar muze khujli hoti he kya karu
Thank me jarur try karunga
Sir 4sal pehle Maine pain killer lia ta ek he dose khane k bad pura pet phul gaya aur pet dard aur dusre din se dire dire neend kom hone lagi abi b ye dono problem se jil rahi hu
Nazu ji agar 4 saal baad bhi aapko same pareshani ho rhi hai to ayurvedic vaid se milkar salah le.
Sir muze bhot let nind har waqt muze vohi khyal aate hai tryngal love k vajh se btao mai ky kru
निखिल नींद आने के लिए जरुरी है की आप कोई तनाव न ले और किसी बात को बार बार न सोचे. नींद आने के घरेलू तरीके और उपाय ऊपर लेख में बताये गए है आप इन्हें पढ़े.
Very good knowledge about thanks
mein need ki goli lehta tha ab chod diya par need phir bhui nahi aati iska kya upay hai
Sir mere ko rat me neend nahi aati mai kya karu.Mai bahut paresan rahta hu aur din me chidchidapan sa lagta hai mai kya karu.
Sir mujhe neend nahi aati h or bahut tensan rahta h
दोस्त मानसिक तनाव हो तो नींद न आना और किसी काम में मन ना लगना आम बात है। आप मेडिटेशन और योग से तनाव कम कर सकते है। इसके इलावा नींद आने के घरेलू उपाय ऊपर लेख में बताये है आप पढ़े।
Mujhe bahut late nind aati hai aur aankhein band Karne pe bure sapne aate hai
अच्छी नींद लेने के उपाय और अन्य घरेलू तरीके ऊपर लेख में बताये गए है आप लेख पढ़े.
Sir your tips are very good for health.
me sone se pahale mere mind me itane bat chalte rahte he ke iske yajha se me so nahi pata
Sir mujhe raat ko nind nhi aati hai jab soti hu tab 5-10 min nind aata phir tut jata hai pta nhi heart me bhi ajib se lagta hai becheni se lagta hai phir subha 6 baje nind aata hai kya karu sir.
Mujhe raat me nend nahi aata hai kya kare.
Pichle 3-4 saal se mujhe neend ki problem hai mera dimag bahut chalta hai aur mai preshan ho jata hu na din me na hi raat me neend aati hai aur mai bhut pareshan ho jata hu please solve this problem.
sir mujhe raat me nind nahi aati sote samay pura dimag sochte rehta hai aur subah dimag bhari aur tarotaza feel nahi hota mujhe bas isi bat ka tension rehta hai ki aaj nind ayegi ya nahi. Please sir solution btaye aur bed me pade pade 9 ghante bhi ho jata hai.