More

    Slim aur Fit Body Pane ke 5 Aasan Tarike aur Upay Hindi Mein

    Weight loss - वजन घटाएSlim aur Fit Body Pane ke 5 Aasan Tarike aur Upay Hindi Mein

    Slim Hone ke Upay in hindi: Mens mein jadatar six pack body pane ka courage hota hai aur womens mein patli kamar pane ka. Pet ki badhi hui charbi aur badha hua wajan kisi ko bhi pareshan kar sakta hai. Har koi chahta hai ki uski body slim aur fit dikhe. Jin mahilao ka motapa adhik hota hai ve slim hone ke liye upay aur kafi mehnat karti hai jinme se kuch mahilaye pet ki charbi ghatane mein kamyab bhi ho jati hai par kuch ko saflta nahi mil pati. Aaiye jane patli kamar pane ke aasan tarike kya hai aur slim body kaise paye, fit and slim body tips in hindi.

    Motapa badhne se diabetes, blood pressure aur heart se judi bimariya hone ka khatra adhik hota hai isliye sehat ke liye bhi wajan badhna thik nahi. Abhi tak humne jaldi weight loss karne ke liye yoga, exercise, diet, gharelu nuskhe aur kuch dusre tarike jane hai par aaj is lekh mein hum kuch aese jaruri tips janenge jo slim body pane mein kafi madadgar hai.

    Slim Hone ke Upay – Slim Body Kaise Paye

    Fit and Slim Body Tips in Hindi

    1. Khane ki Aadate Sudhare

    Hamare khane pine ki galat aadato ke karan hame wajan badhne aur kharab pachan ki samasya aati hai isliye jaruri hai ki sabse pahle hum apni isi aadat ko sudhare.

    • Slim hone ke liye jarurat se adhik khane se bache. TV dekhte hue khana khana bahut se logo ki aadat hoti hai, aese mein hum kitna kha lete hai hame khud nahi pta lagta isliye is aadat ko chode.
    • Kai bar thali mein khana bach jata hai aur use khatam karne ke liye hum pet bharne ke baad tak khate rehte hai. Isliye bhojan lete samay utna hi le jitna aap kha sake taki aap jada khane se bache aur khana bhi waste na ho.
    • Life busy hone ke karan hum bhojan karne mein bhi jaldi dikhane lagte hai aur kai bar to kaam karte karte khana kha lete hai, isse hame ye nahi pta lagta ki hamara pet bhar gya hai aur hum jada kha lete hai.
    • Patli kamar pane ka tarika kar rahe hai to raat ko sone se do se teen ghante pahle khana khaye aur bhojan karne ke baad aadha ghanta tak walk kare.
    • Subah ka nashta, dopehar aur raat ka khana sahi samay par kare, bewaqt khane se digestion system par bura asar padta hai.
    • Humne raat bhar kuch nahi khaya hota isliye jaruri hai ki subah nashta jarur kare, isse aapko pure din ke liye energy bhi milti hai.

    2. Slim Hone ke Liye Calorie kam le

    Slim body pane ke liye calorie kam karne ki koshish kare. Wajan kam karne ke liye apni daily calorie ko 1200 – 1500 ke beech mein rakhe. Kam calorie karne ke sath sath is baat ka bhi dhyan rakhe ki aapki body ko jaruri nutritions milte rahe.

    • Aesi chije khane se bache jinme nutritions na ho aur bas fat badhati ho jese junk food, cod drinks, energy drinks aur meetha.
    • Fresh fruits, hari sabjiyo ko apni diet mein shamil kare. Sabjiyo mein paani adhik hota hai jisse wajan ghatane mein madad milti hai.
    • Khane mein fiber ki maatra adhik kare isse aapko pet bhara bhara lagega aur aap bar bar khane se bachenge. Fiber ke liye aap daliya, low fat dahi aur sukhe meve ka paryog kar sakte hai.
    • Kamar patli karne aur fat ghatane ke liye apni diet mein protein badhaye, sharir mein jama charbi ghatane mein protein kafi helpfull hai.
    • Meethe mein jada calorie aur carbohydrates hote hai jisse body mein flavat aati hai. Kabhi agar aapka meetha khane ka man kare to aap fruits ya fir thodi dark chocolate khaye.

    3. Patli Kamar Pane ke Upay : Cardio Exercise

    • Heart ko healthy banana aur fat burn karne ka ek tarika cardio workout bhi hai. Agar aap jaldi motapa ghatana chahte hai to daily cardio exercise kare.
    • Cycling, running, walking swimming kafi achi cardio exercise hai, aap inme se koi bhi chun sakte hai, weight loss ke liye in exercise ko normal se thodi adhik speed se kare.
    • Agar aapne abhi shuruaat ki hai matlab aap beginner hai to shuraat aadhe ghante ke workout se kare aur dhire dhire samay badhaye fir har roj 30 se 45 minute apni exercise ko de.
    • Baba ramdev ke anusar agar har roj ek ghanta hum apni normal speed se kuch tej walk kare to hum ek mahine mein sirf walk se hi 3 se 4 kg wajan kam kar sakte hai.

    4. Pani Jada Piye

    Paani adhik piye, isse shair mein jama vishele padarth peshab ke dwara sharir se bahar nikal jate hai aur body detoxify hoti hai. Paani jada pine se sharir ke sabhi ango tak jaruri nutritions pahunchte hai aur hum kai parkar ki bimariyo se bhi bache rehte hai.

    • Thanda pani pine ki bajay gunguna pani piye.
    • Subah uthte hi khali pet pani pine ki aadat banaye.
    • Agar aap normal pani jada na pi sake to pani mein nimbu daal kar pi sakte hai.
    • Bhojan karne ke aadha ghanta pahle 1 gilass paani pine se digestion acha rehta hai. Khana khane ke turant baad paani pine se bache.

    5. Slim Hone ke Liye Exercise Tips

    • Slim body aur acha figure pane ke liye diet control karne ke sath sath workout karna bahut jaruri hai. Din mein khali samay milne par kuch der sidhiya chadhe aur utare isse calorie jaldi burn karne mein help milegi. Office aur ghar mein lift ki bajay sidhiya istemal kare.
    • Slim hone ke upay karna hai to apne aalaspan ko chode, aksar hame kisi kaam se bahar jana hota hai par thodi dur jane ke liye bhi hum bike nikal lete hai, kuch dur jane ke liye walk kare to aap extra calories burn kar sakenge.
    • Agar aap morning ya evening walk ke liye jate hai to walk ke beech beech mein kuch der daud lagaye.
    • Sports khelna bhi ek acha option hai. Rassa kudna aur kick boxing hatho aur thighs par jama extra fat kam karne mein madad karti hai.
    • Ghar ke kaam aur saaf safai khud kare ye aap ko slim body pane aur fit rehne mein madad karte hai.

    Slim Body Tips in Hindi

    • Aksar log jaldi weight kam karne ke liye excited ho jate hai aur sab kuch ek hi din mein karne ki koshish karte hai, aesa karne se behtar hai aap apna daily routine plan kare jisme aaram karne ke liye bhi pura samay rakhe.
    • Kuch log motapa ghatane aur slim dikhne ke liye ek dum se khana pina chod dete hai aur dieting karte hai, aesa karne se body mein weakness aane lagti hai.
    • Jada der bhukhe rehne se body ka metabolism slow ho jata hai jise motapa kam hone ki bajay badhne lagta hai.
    • Cigarette sharab aur kisi nashili cheej se parhej kare.

    Dosto Slim Hone ke Upay, Fit and Slim Body Tips in Hindi ka ye lekh aapko kaisa laga hame comment karke bataye aur agar aapke pass kamar patli karne ka tarika ya slim body kaise banaye se jude koi anubhav ya sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    6 COMMENTS

    1. ग्रीन टी 250 ग्राम कितने की आती है और कैसे और कहाँ से मंगाए.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles