More

    Swine Flu Ka Ilaj: Gharelu, Ayurvedic Aur Homoeopathic Upchaar

    Disease - बीमारीSwine Flu Ka Ilaj: Gharelu, Ayurvedic Aur Homoeopathic Upchaar

    Swine Flu Ka Ilaj: Duniya bhar mein swine flu(H1N1)ka virus kaafi teji se fail raha hai aur pichle kuch saalo se Bharat mein bhi iske parbhaav dekhne ko mil rahe hai. Aajkal mausam badalne ke sath khas kar garmi ke jaate hi dengu aur swine flu jaisi bimariyaa apna asar dikhana shuru kar deti hai. Swine flu ek gambhir bimaari hai jo teji se failati hai aur agar samay rehte hi swine flu ka upay na kiya jaye to ye bimari jaanleva bhi ho sakti hai.

    Swine flu suaron ke bukhar ko kehte hai, jo ki unki saans se judi hui bimaari hai. Swine flu ka virus 4 tarike ka hota hai H1N1, H1N2, H3N2 aur H3N1. In chaaro mein se H1N1 virus sabse khatarnaak hai aur ye virus puri duniya mein bahut se logo ko parbhavit kar chuka hai.

     

    Swine Flu Ka Ilaj: Gharelu, Ayurvedic Aur Homoeopathic Upchaar

     

    Swine Flu Ke Lakshan Kya Hai (Symptoms)

    Swine flu ka sabse pehla lakshan jukaam aur bukhaar hona hai. Shuruaat mein rogi ko jukam hota hai fir dhere dhere bukhaar ki shikayat bhi hone lagati hai. Swine flu ke lakshan influenza ke lakshano ke jaise hi hote hai.

    1. Tej thand lagana aur fir bukhaar aana.
    2. Gala kharab ho jana aur khaansi aana.
    3. Badan dard karna aur sir mein tej dard hona.
    4. Sharir mein kamajori mehasoos karna.

     

    Swine Flu Ka Gharelu Upchaar – Best 5 Homeremedies in Hindi

    1. Swine flu ka ilaj karne ke liye thaaymol, menthol aur kapoor ko barabar maatra mein mila kar ek ghol bana le. Ab is ghol ki sugandh ko rumaal ya tissue paper mein bandh kar thodi thodi de sunghe. Isse swine flu ka virus H1N1 asar nahi karega aur is ghol ko sunghane se aapko bheed mein maask pehan kar jaane ki jarurat nahi padegi.

    2. Rojana nahane ke baad tulsi ki pattiya dhoo kar khaye. Tulsi khane se gala aur fefade saaf rehate hai aur is rog se ladane ki shamta badhti hai.

    3. Giloy bel ki dandi ko paani mein ubaal kar fir chhaan kar piye. Aadha chammach amla paudar 1 cup paani ke sath peene se bhi shareer ki pratirodhak shamta badhti hai.

    4. Tulsi ke patte, kaali mirch aur adarak ko ubaal kar use chhaan kar piye. Ho sake to normal water ki jagah tulsi ke patte wala gunguna paani piye kare.

    5. Swine floo mein haldi ka sevan karna bhut laabhkaari hota hai. Rojana kam se kam ek baar haldi wala doodh piye.

     

    Allopathy Mein Swine Flu Ka Ilaj

    1. Swine flu ka treatment allopathic mein kuch had tak sambhav hai. Shuruaati lakshano se pata chala hai ki america aur mexico ke kuch mareejo ka ilaaj tamiflu aur relenza jesi davaiyo se kiya gya hai jo ki virus ko khatam karne ka kaam karti hai.

    2. Tamiflu aur relenza vaccine swine flu hone se rok to nhi sakti par is bimari ka asar kam kar ke rogi ki jaan jarur bacha sakti hai.

     

    Swine Flu Ka Ayurvedic Upchar in Hindi

    1. Swine flu mein tribhuvan kirti raas ya sanjeevani vatti ya fir bhoomi aawla le. Ye dawa aapko kisi bhi ayurveda ya fir baba ramdev ki medicines wali pantjaali ki dukaan se mil jayengi.

    2. Bukhaar hone par agnikumar raas ki 2 – 2 goli din mein 3 baar le.

     

    Swine Flu Ka Homoeopathic Upay

    1. Swine flu ka upchaar homoeopathy se karne ke liye Sulfur 200 ki 4 se 5 boonde din mein 2 baar 5 din tak le. Isse shareer ki pratirodhak shamata badhti hai.

    2. Aur agar aap ye dava samay se pehle le to aapko swine flu nahi hoga.

     

    Swine Flu Mein Kya Khaye Tips

    1. Swine flu ki bimari ke upchaar mein jada se jada anti-oxidant se bharpur khana khana chahiye. Antioxidant, vitamin aur minerals wali cheeje kisi bhi rog se ladne ke liye hamari body ki partirodhak shamta badhati hai. Hari sabjiyo aur fruits mein antioident ki maatra jada hoti hai.
    2. Fruits mein seb, aanaar, naashpaati, santra, angoor, anaanaas or tarbooj mein rog pratirodhi shamata jada hoti hai kyuki inme vitamin, minerals aur antioxident ki maatra adhik hoti hai.
    3. Sabjiyo mein pattagobhi, matar, broccoli, tamatar, paalak aur lauki khane faaydemand hota hai.
    4. Jo log kamjoor hai unhe apne khane mein maans, machhli aur soya jaise poshak tatvo ko shaamil karna chaahiye.
    5. Aamla, palak aur gaajar ks juice peene se bhi swine flu ka ilaaj karne mein madad milti hai.
    6. Tulsi, haldi aur lehasun khane se bhi rog pratirodhak shamata badhti hai.

     

    Swine Flu Se Kaise Bache (Precautions)

    Swine flu ka virus bahut hi teji se failta hai. Is virus se sankramit vyakti dawara khaasne, chheekne, darwaje ke handal aur telephone ke receiver ya paani ke nal ke sparsh karne se ye virus failta hai. Jab koi tandrust vyakti in cheejo ke sampark mein aata hai aur fir apne muh ya naak par haath lagata hai tab vo bhi is virus se sankramit ho sakta hai.

     

    Kehate hai kisi bimari ke ilaaj se jada behtaar hai hum pehle hi uske bachaav ke upay karle. Agar aap is leekh mein bataye gaye upaayo ko amal mein laeynge to aap apne sath sath kai logo ke liye swine flu ki is khatarnaak bimaari ke jokhim ko kam kar sakenge.

    Dosto is leekh mein humne swine flu se judi hui saari jaankari aur homeremedies aapse share karne ki koshish ki hai kyuki jab tak hame kisi bimari ke lakshan, karan, bachaav aur usse rokthaam ke tarike nhi malum honge tab tak hum us bimari ka upchaar nhi kar sakte. Agar aapko swine flu ka ilaj karne ke gharelu, ayurvedic, homoeopathic aur allopathy upay kaam ke lage to apne dosto ke sath is leekh ko share kare aur logo ko swine flu ke baare mein jagrook karne mein hamari madad kare.

    Recent Articles

    1 COMMENT

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles