Aloe vera ke fayde chehre (face) ke liye in hindi: Gora rang pane, pimples kil muhase hatane aur chehre ke daag dhabbe saaf karne ke liye hum aksar kai parkar ki cream aur dawa ka sahara lete hai, par skin ki in sabhi problems ka treatment hum gharelu nuskhe aur upay se aasani se kar sakte hai jisme aloe vera gel ramban ka kaam karta hai. Chehra saaf karne ke sath sath ye tvacha ko poshit bhi karta hai jisse tvacha jawan aur sundar dikhti hai. Chehre ki samasya ke smadhan, gorapan aur pimples ke liye aloe vera kafi upyogi hai aur ise lagane ka tarika bhi kaafi aasan hai. Aaj is lekh me hum janege aloe vera gel ko face par kaise lagaye aur iske fayde kya hai, benefits and how to use aloe vera for pimples, face dark spots and acne in hindi.
एलोवेरा जेल बनाने का तरीका – Aloe Vera Gel For Face in Hindi
- Aaj kal aloe vera ka podha gharo me aasani se mil jata hai. Iske patte lambe aur hare rang ke hote hai.
- Vese to jab bhi aap ko chehre ke upay karne ho aloe vera ko taja hi tod kar paryog me laye fir bhi agar ye aap ko aasani se uplabdh naa ho to iska gel nikal kar bhi rakh sakte hai.
- Gel banane ke liye aloe vera ke patte ko beech se kaat le ab isme paani ki tarah aap ko pdarth milega jise kisi kaach ke bartan me bhar kar rakh le.
- Ab aap ka aloe vera gel upyog karne ke liye tyar hai. Chehre ke ilava baalo (hairs) aur weight loss me bhi iska paryog kiya jata hai. Subh khali pet aloe vera juice peena bhi sehat ke liye faydemand hota hai.
- Agar aloe vera ka podha na mile to patanjali se bhi aloe vera gel le sakte hai.
एलोवेरा के फायदे चेहरे के लिए
Aloe Vera Ke Fayde Face Ke Liye in Hindi
1. Face par glow lane ke liye ye sabse acha natural tarika hai. Aelo vera chehre ki tvacha se gandagi aur dead cells ko hatane ka kaam karta hai jisse face saaf hota hai pimple dur hote hai aur nikhar aata hai.
2. Aloe vera skin par moisturizer ka kaam karta hai jisse tvacha me nami aati hai, iske sath sath ye tvacha ko poshan bhi deta hai jisse tvacha swasth rahti hai. Agar koi allergy naa ho to kesi bhi skin type ke log ise paryog kar sakte hai.
3. Aloe vera me natural anti aging gun hote hai aur isme anti oxidant barpur matra me hote hai jo chehre se jhuriya (wrinkles) hatane ka kaam karte hai, jisse aap lambe samay tak jawan aur sundar dikhte hai.
4. Pimples kil muhase ki samasya ke ilaj aur chehre ke daag saaf karne me bhi aloe vera kafi upyogi hai. Iske niyamit paryog se chehre se daag dhabbe dur hone lagte hai.
5. Sunburn ko thik karne me bhi ye faydemand hai. Skin par sunburn wali jagah par aloe vera gel lagaye aur ise sukhne de. Sukhne ke baad isse saaf na kare.
6. Chehre se makeup hatane ke liye makeup remover koi jagah aloe vera gel ka paryog karna natural aur acha upay hai, isse tvacha ko nuksan bhi nahi hota.
7. Motapa aur pregnancy ki wajah se aksar body par stretch marks pad jate hai. Aloe vera ke istemal se aap kafi had tak stretch marks ko kam kar sakte hai. Iske liye aloe vera gel me thoda gulab jal mila kar lagaye.
8. Ghav, chot ke nishan aur chote chote cut ko thik karne me bhi aloe vera kafi asardar hai.
9. Hotho ko mulayam aur sundar banane me bhi iska payog kiya jata hai.
10. Fati hui aediyo ko thik karne aur sundar rakhne me bhi aloe vera ke upyog se benefit milta hai.
एलोवेरा फेस पर कैसे लगाये – Aloe Vera Lagane Ka Tarika in Hindi
- Chehre par nikhar lane ke liye 1 chammach shahad, chutki bhar haldi, 1 chammach doodh aur gulab jal ki kuch boonde mila kar face pack bana le ab isme thoda aloe vera gel milaye. Ab ise 15 se 20 minute ke liye face par lagaye fir thande pani se dho le.
- Chehre ki jhuriya hatane ke liye nimbu ke chilke pees kar aloe vera gel ke ras ke sath mila kar chehre par lagaye.
- Muhase aur kale til ke nishan mitane ke liye aloe vera ke gude me neem ke ped ki chaal ka ras mila kar chehre par lagaye.
- Rang gora karne aur chehre par chamak lane ke liye tulsi ke patte, ajwaine, aloe vera aur shahad mila kar face par lagaye.
- Kale daag aur chakte saaf karne ke liye aloe vera me tamatar mila kar iska face pack chehre par lagaye. Is upay se chehre ki kaali jhaiya aur jhuriya bhi saaf hone lagti hai.
- Oily skin thik karne ke liye besan me haldi aur aloe vera ka ras mila kar garam kar le aur ise oily tvacha par male.
- Agar aap ko natural aloe vera nahi mile to aap patanjali aloe vera gel ka istemal kar sakte hai. Ise lagane se pahle face ko dho kar saaf kar le fir cream ki tarah ise apne chehre par lagaye.
Dosto Aloe Vera ke fayde aur ise face par kaise lagaye in hindi ka ye lekh kaisa laga hame btaye aur agar aapke pass chehre ke liye aloe vera gel ke fayde aur face par lagane ka tarika se jude sujhav hai to hamare sath share kare.