More

    बालों का झड़ना रोकने के 15 घरेलू उपाय

    Hair fall - बाल झड़नाबालों का झड़ना रोकने के 15 घरेलू उपाय

    आज के प्रदूषित शहर में बालों का झड़ना आम बात हो गई है। बालों का झड़ना रोकने के लिए लोग लाखों रुपये खर्च कर देते हैं। लेकिन आज हम आपको पांच ऐसे घरेलू नुस्खे बताने जा रहे हैं, जो न सिर्फ आपके बालों का झड़ना रोकेंगे बल्कि आपके बालों के झड़ने की जगह नए बाल भी आएंगे। इसके लिए इस लेख को अंत तक पढ़ें।

    Baalo Ka Jhadna Roke: Aaj ke samay mein bahut se karano ki vajah se samay se pehle hi hamare baal girane ya tutne lagte hai. Agar baalo ki dekhbhaal sahi tarike se na ki jaye to baal girane shuru ho jate hai. Chahe aadmi ho ya aaurat baal jhadne ki samasya se har koi pareshan hai.

    Vese to logo ke baal thode bahut jhadte rehte hai par agar hair fall normal se jada hai to ye ek badi aur gambhir samasya hai. Yahan hum aapko jhadte baalo ko rokne ke gharelu nuskhe bata rahe hai jinke paryog se aap baalo ke girne aur tutne ki samasya se chutkara pa sakenge. Aaiye jane dadi maa ke gharelu nuskhe in hindi for hair fall.

    Baal Jhadne Ke Karan

    1. Baal jhadne ki sabse badi vajah tanaav aur hamara khan-paan hai.
    2. Harmons ka asantulan
    3. Kisi cheej se allergy ya koi infection.
    4. Body main poshak padartho(nutrition’s) ki kami hona.
    5. Kisi dava ka side effect.
    6. Baalo ki sahi dekhbhaal na karna, ghatiya saabun aur shampoo ka use karna.
    7. Kai baar mausam ke badalne ki vajah se bhi baal tutne aur girne lagte hai.

    Baalo Ki Dekhbaal Kaise Kare

    1. Jo shampoo ya sabun aapko suit na karta ho uska isteemaal na kare.
    2. Hafte mein kam se kam 2-3 baar apne baalo ko ache se dhoye.
    3. Kam se kam 1 baar tel se sir ki maalish jarur kare.
    4. Nutrition wala khana khaye.
    5. Rojana 3 se 4 litre paani jarur piye.
    6. Baalo mein russi(dandruff) na hone de.
    7. Baalo mein juyen na padne de.

    Baalo Ka Jhadna Rokne Ke 20 Gharelu Upchaar

    1.  Aaj kal kafi log ye jaana chahte hai ki baal jhadna kaise kam kare. Agar aapke baal jhadte hai to is leekh mein bataye gaye gharelu upayon ko apnakar aap 7 dino mein apne baalo ka girna aur tutna rok sakte hai.

    2. Hamare sharir ki banawat mein paani ki maatra lagbhag do teehayi hoti hai. Sharir ke sabhi ango ko healthy banaye rakhne mein paani ki jarurat padati hai. Har roj 10 se 12 gilass paani pene se rakt sanchar mein sudhaar hota hai. Paani se hamare sharir ke kisi bhi rog ko rokne ke liye shakti paida hoti hai. Aur isse hamare balo ki jaade bhi majboot hoti hai. Paani hamare baalo mein ek nayi chamak paida karta hai, aur unhe swasth aur sundar banaye rakhta hai. Agar aap apne baalo ko girane se rokna chahte hai to aap paani peene mein koi kanjusi na kare aur jee bhar ke paani piye. Paani se hamara wajan bhi kam hota hai.

    3. Jhadte baalo ko rokne mein dahi ek bahut hi asardar gharelu upaay hai. Dahi se baalo ko nutition milta hai. Baalo ko dhone se adha ghanta pehle baalo mein dahi lagaye aur jab ye puri tarah sukh jaye to paani se dho le.

    4. Baalo ko dhone se 1 ghanta pehle baalo mein anda lagane se bhi baal majboot hote hai.

    5. Kai baar hamari body mein thik se rakt sanchar (blood circulation) na hona balo ke girne ki vajah hoti hai. Rakt sanchar thik se rakhne ke liye hame har roj exercise aur yoga karna chahiye jisse hamari body ke un chidro tak poshak tatv pahunch sakenge jahan se baal ugte hai.

    6. Baal jhadne se rokne ke upay ke liye dahi mein nimbu ka ras mila kar prayog kiya ja sakta hai. Nimbu ke ras ko dahi mein milakar paist bana le aur nahane se pehle is paist ko baalo mein lagaye. Aadha ghanta baad baalo ko dho le. Baalo ka girna kam ho jayega.

    7. Dudh ya fir dahi mein besan mila kar ek ghol bana le fir is ghol se baalo ko dhoye. Isse bhi baalo mein chamak aati hai aur jhadna bhi band hota hai.

    8. Shahad ke prayog se bhi baalo ka jhadna roka ja sakata hai. Hafte mein ek baar 1 chamach shahad aur 1 chamach nembu ko mila kar baalo mein lagaye aur aadhe ghante baad sirv dho le. Baalo ka girna bahut kam ho jayega.

    9. Daalcheenee aur shahad ko mila kar baalon mein lagane se bhi hair fall band hota hai.

    10. Baalo ko majbut banane aur tutane se bachane ke liye baalo ko poshan dijiye. Mehandi mein bharpur poshan hota hai jo baalo ke liye faaydemand hai, isliye baalo mein mehandi lagani chaahiye. Menhadi ko ande(egg) ke sath mila kar lagane se bhi bahut fayda hota hai.

    11. Vitamine D baalo ke liye bahut jaruri hota hai. Vitamine D baalo ko badhne mein madad karta hai. Iske liye aap ko vitamin ki koi dava lene ki jarurt nahi. Suray ki kirano mein vitamin D bharpur maatra mein hota hai. Agar aap har roj kam se kam 15 minute ke liye suray ki kirane apne sharir par padne dete hain to aapko us din ke liye jaruri vitamine D ki khuraak mil jayegi. Par dhyaan rahe bahut jada garmi aur teej dhoop aapki skin ko nuksaan pahuncha sakti hai. Aap subah aur shaam ko suray ki kirano ka fayda le sakte hai.

    12. Kache papete ka paist 10 se 15 minute ke liye sir par lagaye. Isse baal bhi nahi jhadege aur dandruff(rusi) bhi nahi hogi.

    13. Baalo ka girna rokne aur baalo ko lamba karne ke liye hafte mein ek baar rosemary oil se apne baalo ki masaaj kare, isse baal majaboot hote hain.

    14. Jadatar logo ko hair fall ki shikayat galat khane ki vajah se bhi hoti hai. Junk food aur tale hue khane mein paushtik tatvo ki kami hoti hai isse hamari body ko sahi maatra mein iron, calcium, jink, vitamin C aur protein nahi mil paate jo baalo ke badhne ke liye bahut zaruri hote hai. Is liye hame hari sabjiyaa, fruits, sukhe meve, doodh, ande khane chahiye jisse hamari body mein paushtik tatvo ki kami na rahe.

    15. Garam jaitun ke tel mein 1 chamach shahad aur 1 chamach daalchini paudar mila kar ek paist bana le aur ye paist nahane se 15 minute pehle baalo par lagane se baal girna band ho jata hai.

    16. Neem ke patto ka paist bana kar apne sir par kuch der lagaye rakhye. Fir baal dho le. Baalo ka jhadna band ho jayenge.

    17. Hafte mein ek baar til ka tel baalo mein jarur lagaye. Is tel ke upayog se baalo ka girana kam ho jaata hai.

    18. Aadha cup dahi mein 1 graam kaali mirch aur thoda nembu ka ras mila kar baalo mein lagaye, isse baalo ko bahut fayda hoga.

    19. Smoking karna aur sharab peena hamari puri body ke liye hanikaarak hai ye hamare shareer mein aise vishaile tatv paida karte hai jo hamare hairs ke liye ache nahi hote hai. Is liye agar aap apne shareer aur apne baalo se pyaar karte hai to bidi, cigrate aur sharab ke sevan se puree tarah se parhej kare.

    20. Naariyal ka tel bhi baal girne se rokne mei kafi kargar sabit hua hai.

    Gharelu Nuskhe for Hair Fall in Hindi

    Is leekh mein bataye gaye sabhi hair fall ke gharelu upay logo ke anubavo ke aadhar par tyaar kiye gaye hai. Vese to gharelu nuskhe ayurevedic hote hai aur inka koi nuksaan ya side effect nhi hota fir bhi hamari yahi salah hoti hai ki agar aap kisi bimari ka ilaj doctor se karwa rahe hai aur uski dawa chal rhi hai to aap kisi bhi gharelu nuskhe ko shuru karne se pehle apne doctor se salah jarur karle.

    Agar aapki skin jada senstive hai to koi bhi upay karne se pahle use apni body par kahi aur lga kar test jarur kare.

    Dosto Baalo Ka Jhadna Roke 7 Dino Mein aap ko ye lekh kaisa laga hame jarur bataye aur apne anubhav hamare sath share kare. Aur agar aap ke pass bhi hair fall rokne ke gharelu upay ya desi ilaj hai to yaha hamare sath share kare. Aap ke dawara di hui jankari se dusro ko bhi fayda milega.

    Recent Articles

    233 COMMENTS

    1. sir_
      yae batayae ki 20 tips choonaa hai ki kise 20 Mae se kise ek choonaa hai mujhe samjh nhi aa raha mujhe salah de plezzz

      • Dharmendra ye sabhi tips baal jhadne se rokne mein madad karte hai, aap koi jo bhi upay acha lage aap use kare..sabhi karne ki jarurat nahi..agar ek bhi sahi tarike se kiya to result mil jayega.

    2. Mere baal bohot had sw jada ghane the bur 3 month se mere baal bohot jada aasani sw gir rahe hai to mai kya karu ki hafte ke anade mere baal girna hi band ho jaay.. Plzz kuch idea de bhagwaan apka bhala kare..

      • Akash abhi sabse pahle aapke balo ko poshan milna bahut jaruri hai, aur agar aap baalo ke liye koi chemical wala product use kar rahe hai to use turant band kare. Healthy khana haye taaki aapke baalo ko poshan mil sake aur baal majboot ho, iske sath is article mein bataye hue upay sahi tarike se apnaye aap ko fayda milega.

    3. Sir Mera Baal Bahut Gir Raha h Bich Me Se Aur Side Me Thik H Mai Kyaa Karu Jo Mera Baal Girna Band Ho Jaye Aur Ugene V Lag Jaye Please Upaay Bataye

      Dhanybaad

    4. Sir mere baal phir se vapash aa skte h jaise phle the mai apne baalo me roz pyaaj aur nemboo ragta hu aisha krne se koi nuksaan to nhi hoga jaha pr baal chle gaye h mai phle wahi pr try krta hi

    5. Hlo sir mere ball side se jhd rhe h or mere age abhi 21years h itni umr m mere ball jhd rhe h inko rokne k liye or bha dubara ball aa jaye koi upay btaye

    6. mere ball bahut dino se jhad rahe hai baal ko chilwa dene ke baad 3 mahina nahi jhdta hai iske baad jhdna shuru ho jata hai

      • Shailendra aapke baalo ko pura poshan na milne se ye kamjor ho gye hai, khane pine mein sudhar kare aur agar koi hair creame ya gel paryog karte hai to turant band kar de. Sath hi yha bataye hut tips kare fayda milega.

    7. Payele mere bal chote and thick achha tha inter thak payele degree me typhoid aya jab had ma shuru huva kam ne huva thin huva Sir dikta hai soob ayurved homeopathy medicine leyu bathali doc se home made bi henna lagathi natural oil shompo use kar ri bt improvement nee dik ra kya karu mere pahele thick hair nahi athe bolo tips char sal hora ye mera thin hair problem

      • Santoshi sabse pahle aapko ye dekhna hoga ki is samay aap esa kya istemal kar rhi hai jo kamjor balo ki wajah ho. Pta lagne par uska paryog band kare. Healthy diet le, exercises aur yoga se din shuru kare aur galat khan paan se bache. Baalo ko poshan milne par baal majboot honge, iske sath yha bataye hue tips bhi apnaye.

    8. anjali

      sir mere bal sir k agese chale boht hi kharab lagta he wha pe fir se nye bal jald se ugne ka koi ach6a upay btaye pls….

    9. dear zatoon ka tell kaisa hai ballo ke liye agar me zatoon ke oil me lemo mela kar lagaon to faida hoga ke nai???? aur pyaz ballo ko faida de sakta hai kya????

      • Sahil jaitun ka tel baalo ke liye acha hota hai aap 3 se 4 din mein isse sir ki malish kare. Aap tel ko halka garam kare aur fir massage kare. Pyaaj ka ras bhi baalo ke liye faydemand hai.

    10. Sir mere baal jhadrhe hai. 1 Day mai 8 baar mere baal jhadte hai. Aur mere sir pe ganjapan hoo rha hai. Aaap mujhe kooi tips de

      • Nishant baal jhadne ka karan baalo ki kamjori hai, aur kamjori hone ki wajah baalo ko sahi poshan na milna. Ab baalo ko poshan 2 tarike se milta hai. Pahla healthy diet lo aur dusra baalo ki ache se care karo. Iske ilava aese products istemal karna band karo jo baalo ko nuksan pahunchate hai. Aap upar bataye hue nuskhe apnaye aapko fayda milega.

    11. sar kahin pe me ne suna tha ke pyaz ko kuchal kar usme shahad mela kar 1gante tak laga rehne de uske baad sar ko dho le ,,to kya aisa karne se faida ho???????????

    12. प्याज के रस और सहद से कितने दिन में फायदा हो जायेगा

    13. sir
      Just cap use karnese bal girane lagate hai.
      sir mere bal pahale bahut Acche the . lekin ab bich me kam hone lage hai. kya use rokhana possible hai. plz help me

    14. mera sar me posadiya hone par baal teji se girne suru ho jata our baal girna suru ho jata main nahi janta ki fosadiya ke karan ball girata hai aapne aap aap bata ye kaise solve hoga

    15. Mere baal bhut girre h takla bhi hora h meri zada age bhi nai h abhi to mai kya karu jisse mere baal ruk jye plzzzzz koi dawa batye plzzzz…my name shavez

    16. Sir mere baal karib 14 saal se jhadna shuru ho gya hai.jo regular jhad rhe hai. koi upay bataye. main sochta hoon Hair Trnsplant karva lu. plz iska side effect bataye.

    17. Sir maine dahi aur nibu milakr balon me lagaya fir aadhe ghante baad dula to bahut se baal tut rhe the tabse dobara dahi lgaya hi ni kya kru sir plz help me

    18. Sir hapte me kitne din dahi lagau dar lagta hai sir g us din bahut tut gye the na aisa qu hua? Dahi lagane se baal ghane ho jate h kya sir please kuch bataiye……….

      • Onkar aap ke baal jhadte hai aur aesa nhi hota ki pahle hi din upay karne se ye band ho jayenge. Aap ko dahi lagane se dar hai to koi aur upay kar sakte hai.

    19. Sr mai mrng mai jb bhi hath marta hu mere bal 25-30 jhad te hae abhi to balo ko pkd ke khechu to bhi 2-3 hath me a jatte hai je hair fall hai ja normal pls btao or je btao hmme shammu use krna chahie ja soap ja kuch bhi nhi

    20. sir mai Shivangi
      sir Maine bht se nuskhe apnaye
      jaise dahi aur mehendi, dahi nimbu, nariyal tel se malish, mehendi anda, multani mitti aur nimbu besan mix pest,…… but mjhe koi fayeda nhi hua… mjhe lambe balo ka bht sauk hai.. mai kisi v frnds ko dekhti hu lmbe baal to mera v bht man krta hai ki kash mere baal v lmbe hote… sir yesi halat hai ki mai oil lga k room se bahar tak nhi niklti Itne kam baal hai… to sir plz apse request hai ki mjhe koi Achi tips btaiye… sir Maine Dr se v dikha chuka hai… mai Patna v rhti hu yha PMCH k Dr se jo skin specialist the unse dikhwaya Maine but thik nhi hua sir plz plz plz…. mera help kijiye

    21. Hello sir meri age abhi 18 sal hai or mere bal abhii sy bhot sfaid ho gye hai or ab aage sy dhire dhire udne bhii shuru ho gaye hai sir plzz koi achha upaye btaiye jisse mai jld sy jld apne bal thik kr sku..

    22. Mera bal pahle bahut kala aur ghana tha. Achank se mera bal bahut jhrne lga hai. Bal jaro se hi tut rha h . Aur sfed v ho rhe h.Bal jhrne k karn mai din me ek bar hi nahata hu . Thoda sa chune ke bad hi jhrne lgte h. Aur bal v bhut km ho gye h . Mai yog v krta hu vitamin ka v dava le raha hu. Fir v jhna ny ruk raha h hai. So plz hme ye btaye mai kya kru jo jhrna ruk jaye.

      • Nishant sabse pahle to aapko baal tutne ka karan hai baalo ki kamjoori ya fir kisi cheej se side effect. Khane pine ki aadto ko sudhare aur poshak tatvo se bharpur diet le taki baalo ki jado ko poshan mil sake aur vitamin ki dawao se behtar hai aap natural cheeje khaye.

    23. hello.. mere bal pehle bht jyada tut rhe te fir pyaj ka ras istemaal krne pr thik ho gya fir vo dalna bndh kr diya to bht jyada bal tut rhe he.sirf hath lgao to bht sare bal puri lat hath me aa jati he.me castor oil coconut oil nd sesame oil mix krke dalti aaisu bht tym se. BT kya kru ki bal ruk jaaye.bht aayurvedic tarika try kiya pr kuch ni ho rha yoga b krti hu nd diat ka b dhyan rkhti hu.plz ku6 help krdo koi

    24. Sir
      Mamta from Kolkata
      Mene just abhi staring kryei hu or mera bhut hair fall ho raha hai plz sir mujshe koi upy batye

    25. Sir mera name akram Azam hi I mai engineering student hu mera bal baut km ho gaya hi I or me kio vi shampoos ues ni krta or ise kase roku bhaut se oil use kya but no chance hii

    26. mere bal bhot jagada jagad chuke h or to plz btaiye ki m kya kru ki mere jagada chuke bal fir se aajaye.
      or shayad mere hostel m rhne ki vjh se to mere bal nhi jad rhe h n

    27. namste sir.. mere baar 5 yrs s jhad re hai. mene bhut sare medicine use kar liya thik ni ho rha..mathe k uper sare baar gir gye hai…. koi upay btaye pls… ya aesi medicine btaye jis s naye baalo k saath saath balo ka jhadna v roka ja ske….

    28. Hello sir nmskar mera umar 18 sal he ar mera
      Baal bohot jadeta he agar sarpe haat marta hun to 4 6 baal jadeta he me bohut parisan hun jab mera sab dost comedy karrte heto
      Meriku roona atahe me kiya karu sir meriku bataye

    29. hello sir mere bal kafi gir rhe hai hafte me ek bar anda balo me lga bhi rha hu pr koi fark nhi pd rha so plzzz btae mai kya kru inme se koi aur upay try kru

      • Dost aap yha likhe upay padhe aur unhe sahi tarike se kare baalo ka jhadna rukega, iske ilava khane pine ki achi aadte apnaye aur adhik paani piye taki baalo ko poshan mile.

    30. Sir mera bal bht jada gir raha he. …me kiya koru kuch samaj nhi aata…isme se lagbag use kar liya mane….ab kaise roku…?

      • Sohil agar aap ko shampoo hi use karna h to koi herbal ya ayurvedic use kare aur agar vo bhi suit na kare to shampoo ka paryog a kar ke baal dhone ke natural upay apnaye. Dost aap upar likhe hue tips follow kare fayda milega.

    31. Sir mere bal bahut jhdte h hala ki mere papa ke bi bal jhd chuke h pr unka bal jhdna start hua tha 30 ke bad se PR mera to abi 23se hi start ho gya h or m dahi suhaga pyaj ka rs nibu Ka rs pest bna kr use krna 2din se start kiya hu kya ye ghrelu upay shi h or m tel kon sa use kro or kese oil till ka ya sarso ka ya coconut ka ya jaitun ka or kbi kbi egg or mehdi bi lgata hu fir bi bal girte h plzzz shi upay btaye

      • Rishabh aap ke sabhi sawalo ka jawab is lekh mein detail mein diya gya hai aap inhe padhe aur in upayo ke sath apne khane pine par dhyaan de healthy food khaye taki baalo ko jaruri pishan mile aur paani bhi adhik piye. Agar aap apne baalo par koi hair gel ya koi aur cosmetic product paryog karte hai to use band kare, kai bar inki wajah se bhi baal jhadne ki samasya ho jati hai.

    32. Sir kya baalo me tel dalna jruri hota h sir jb bi m baalo me tel se massage kiya h tb tb mere bal Jada tutate h to plzz btaye m kese tel lgau or kon sa tell coconut, sarso,till ,jaitun ka plzz tell me or ha mane 2.3 Dino se use kr rha hu apne hi bataye me se dahi,suhaga, nibu rs or pyaj ka rs pest bna kr 7dino tk lgaunga to kya ye ghrelu upay sahi h or ek bat is pest KO lgane ke 1ghnte bad dhota hu pr use m sirf pani se dhou ya shempu se kyoki rojana shempu krne se ap ap log mna kie ho or sirf pani se dhone se dahi ki smell ati h plzz tell me m confused hu muje puri jankari de plzz m apne baalo KO lekr bhut Jada dukhi hu

      • Rishabh baalo ko healthy rakhne ke liye jaruri hai ki baalo ko poshan mile, tel lagana baalo ke liye acha hai. Aap ke baal tut te hai kyuki vo kamjor hai, aap ko jo oil sahi lage vo lagaye aur upay jis tarah bataye gye hai vese kare.

    33. Mere baal bhut jhad Rahe h ye jaitun oil use karne se Koi problem toh nhi hogi because mere balon ko week m ek tail ki jarurat padti h m Koi bhi oil use karti hun Koi profit nhi milta plzzz bataye solution

    34. sir g mera baal to bachpan se ghana nahi hai or ye baal jhadna suru ho gaye hai me kya karu plz koi upai bataiye jisse mera baal v ghana ho jaye plz

    35. Sir mere Baal bahut jhad rhe h..3 saal ho gye but mere Baal jhdna km nhi hua..aapne Jo tips diye h kya inme se keval ek hi tips hme apnana h ya sabhi

    36. Sir,
      main jitni bar apne baalo me hath lgati hu ya kanga krti hu ya baal dhulti hu to utni bar mere Baal km se km 25 30 Baal niklte h..isse b jyada niklte h.. Meri age abhi 21 saal h or hair fall bahut ho rha… Pareshan ho gyi hu m.. Sir plzzzzzzzz help me

    37. My age is just 17 years nd 2-3 saalo se mere hair bohot jada white ho gye he jiske liye me hair color use krta hu but 2 mahine se hairfall bohot bad gya he jiska mujhe koi ilaaj nhi mil rha, i dont use any shampoo, oil or anything
      So plz help me

    38. SR coconut oil Rozana Balo me lgana hai kya aur kB lgana hai Aur kitne der tk oil Balo me rkhna. Hai plz btauu q k Balo ko oxygen k bhe jrurt hute. Hai

    39. Sir mera hair fall bohot jyada ho RHA h.everyday 150 bal lag bhag gir RHA h or jyada side ka gir RHA h hm bohot presan h. Aap Kuch bataye k hm kya kre

    40. Sir mere baal jab bhi kanghi krti hu to baalo ki laate gir rahi hai chahe baal dhoti hu to baalo ki laate hath m aa jati hai mujhe dar hai ki kahi m ganji na ho jau plzz help meine 2 nuskhe apnaiye hai but koi fark nahi pada. . . .

    41. Mene ek baar aboshan ki dwayi khayi thi uske baad se mere Baal bhot jhadne lage hai ab to aesa hai ki agar mei sir pe haath bhi firati hu to kaafi saare Baal jhad jate hai to plz aap mujhe koi best tarika btaye baalon ki ROK than ke liye..

    42. Sir mere bhai bahut bal jhadte h…aur aksar he mosam ki Bajah we hote h baris ke. Mosam me yesa hota h..ye 2 Saal h…aur meri abhi age 24 year old.h Sir me is me se kon opye kru.

    43. Sir mere baal bahut jadh rahe h rukte nahi jo girte unki jagah dusre baal nahi ugate ballo ke beech kafi gaaping hogayi plzz kuch upay bataiye

      • Dost sab se pahle to aap apne khane pine ki aadto mein sudhar kare aur apne baalo par kisi product ke experiments na kare, iske sath aap upar btaye hue nuskhe apnaye kuch dino mein hi baalo ka jhadna band ho jayega.

    44. Hlo sir
      Pehle mere Baal bohot ache the lkn jb se thyroid hua h tb se mere Baal bht jad rhe h maine bht kuch try kiya h lkn Baal jhadna band nhi ho rha ab to baal or v bht jada jhad rhe h….jbki mai thyroid ki medicine v le rhi hu…plzz bataye ki mai kya karu

    45. Plss mere balo ki bhi bhaut badi problm h uske liye Kuch tarike btao ..mere balo m Kuch bhi use kro to koi frk nhi pdta plss aisa Kuch ho to btao jisse frk pade..aisa Kuch.. Ye sv se koi frk nhi pdta??

      • Yasmin ji upay dawa tabhi asar dikhati hai jab aap use sahi tarike se paryog mein laye, dawa lene ke sath ye bhi jaruri hota hai ki aap apne khane pine par dhyan de aur aesi cheejo ke paryog se bache jo side effects kar sakti hai. Aap yha likhe hue upay padhe aur sahi tarike se kare fayda milega.

    46. Sir. Mere bal bahut jadh rahe hai aur hissa baal jhadhte jhadhte seer ka bal aadha ho gya hai sir eska koi upay jo mere firse bal ug jaye

    47. hi sir. Mere baal bhot hi jada jhad rahe hai. Piche luch saalo se jhad rahe the. Maine bhot tail use kiye kuch frk nhi pada.. Es saal to bhot se baad jhad rahe hai. Rukne ka naam hi nhi le raha. Maine bhot se tail use kiye. Kesh king. Patanjali divya kesh. Or b bhot se kuch kr chuka hu koe frk nhi pad raha. Mere baal barsat k mosam me baal jhadna start hote hai. Har saal bhot se jhad jade hai. Pls pls koe aasa upaye bate baal jhadna band hojaye. Apka bada dhanyawadi rahuga

      • Deepak baal jhadne ke upay karne se pahle ye janna jaruri hai ki iska karan kya hai, kai bar hamare khan pan ki aadte aesi hori hai ki balo ko jaruri poshan nahi mil pata, kai bar hamare daware paryog kiye gye naye natye products ki wajah se ye samasya aa jati hai aur kai bar hame kisi agah ka pani suit nahi karta. Dost aap bhi pahle apni problem ke karan jane aur use dur kare iske sath aap yha btaye hue upay kare.

    48. Hello Sir mere baal dheere dheere safed ho rhe h aur jhadte b h
      aur inme khujali b chalti h
      pr mere balo me dandruff b ni h….
      Iske liye muje kya krna chahiye
      aur sir ek baat me janana chahta hu ki balo k liye konsa tel sahi h
      mujhe konsa tel use krna chahiye.

      • Dost baalo ko healthy rehne ke liye care aur nutritions ki jarurat hoti hai, aap khane pine mein achi aadte apnaye aur yha btaye hue tips padhe aapko sabhi sawalo ka jawab milega.

    49. hellow sir, mere baal pehele to jada ghane the ur lambe thee .parantu ab mere baal jhad rehenhe..is bajah se patla hochuki he .. avi lambe hen perantu ghane ball nehin he .. men meri baal ko dekhke bahut sad mehesus karta hun ..plz ..in tips men se koi achhi tips mujhe choose karke de sakte ho ..jis se jaldi jhadna ruk jayega ..to apki badi meherbani hungi . plz sir , help me .. or sir mujhe hamesa sardhi ragi reheti he . ogar me baal hapte me 1baar dhoota hun ..to faran sardi hojati he ..me kyaa karun kuchh samjha me nehin araha he ..plz..plz..sir, help me ..

      • Rasmi ji sabse pahle to baalo ki care kare aur hairs par kisi bhi experiment se bache, khane pine mein bhi healthy cheee khaye taki baalo ko jaruri poshan milta rahe. Dost yha likhe sabhi upay asardar hai aapkom jo aasan lage vo kare. Sardi ka reason janne ke liye doctor ki salah le.

    50. sir, thank you ..apne meri madat karne keliye..
      sir, ase kounsi healthy food khana chahiye jisse baalonko posan milta ho ? krupaya ..ye bataenge ????

    51. Sir mere baal sar ke hr hisse se girte hai kuch smjh me nhi aata kya kru.. Phle aisa nhi tha jb mai apne ghr me rhta tha ab jb se bahr rhne lga room lekr tbhi se ye smsya bhut jyada hai maine suru me 2-4 upay bhi kiye pr koee fayda nhi. Kya smsya hai kya karn hai kis vjh se sir kuch smjh me nhi aata… Plzzz help because i likes my hair…

      • Dost jagah badlne par hamare khaan paan, paani aur vatavaran mein baddlav hota hai. Jadatar logo ko nayi jagah ka paani suit nahi karta jis wajah se baal jhadne lagte hai. Aap apne daily routine ko dekhe aur jane ki aapko hair fall kin karno se ho rha hai tabhi aap iska upay sahi tarike se kar payenge.

    52. Kuch din se mere sar me dandruff ho gaye hai aur maine dekha ki mere sar ke centre ke baal bahut kam hai kya ye dandruff ki wajah se ho sakta hai.. Plz koi accha sa solution bataye jisse ki mere baal fir se ghane ho jaye..

    53. Sir mere bal 2 month se bahut adhik jhad rahe hain Maine kesh king tel air kapsule use kar RaHA hun lekin band nahi ho raha hai aur sar me dard bhi hota hai plz aisa bataye jald thin ho jaye

    54. sir mere bal bahut jayada jhad rahi hai please kuch upaye bataye ki jaldi fayda ho me bahut paresan hu me baba ramdev ka tel or sempu yous karti hu lekin koi fayda nahi huaa kya me ye band kar du

      • Sheelu ji baba ramdev ke products ayurvedic hote hai agar aap ko inse benefit nahi mil rha hai to aap ptanjali ki website par is bare mein puche. Iske ilava aap gharelu nuskhe bhi apna sakti hai.

    55. Sir
      Mera name SHRWAN Kumar MISHRA hai. Mai abhi 20 saal ka hu. Achanak mere saare Baal tootne lge hai. Mai kaafi paresaan hu sir koi upaay btaaye Jo mai is SE chhutkara PA saku. Mai aap ka aabhari hu sir.

    56. Mere baal bhut jayeda he jhadh rhe h.may gharelu ellaj ke hu.par koye fayda nh ho rha h.pls btaye may ab kya kru.mere bal bhut mote hua karte the.par ab to phle ke mutabik kuch nh bchhe h.plssss….help me

      • Aman baal jhadne ke bahut se karan ho sakte hai jese balo ko poshan na milna ya fir balo par chemical wale hairs product istemal karna. Safed baalo ko natural tarike se kale karne ke tips padhe.

    57. Govind sir mere baal bahut hi mote hai aur baal mud se jate hain aur bahut jyada zyada jhad rahe hai mai sirf nariyal ka tel istemal karta hu govind sir koi upay ho to bataye aapki bahut meherbani hogi please sir

    58. Sir hm hpte me 2 bar nibu aur dahi use krte h fir v koi fayda nhi h sir hm bahut presan ho gye h ab kya kru mera age ka bal pura jhd gya h

      • Varsha ji aap yha likhe hue dusre upay padhe, aur upay karne ke sath sath apne khane pine mein healthy food khaye aur balo par kisi bhi parkar ke cosmetic product paryog karne se bache.

    59. Sir mera naam meraj hai mere baal bhut hi ghane the lekin pta nhi kyu pichhale 1month se mere baal bhut hi jyada gir. Rha hai mai bhut. Hi presan hu. Please sir koi upay btaiye

    60. Hii sir my name is jess
      My age is 19 year old
      Mere hair tutne ki vajay jad se niklte ja rhe h
      Jiske karan me bahut pareshan hu
      Me koi b hair product change kr kr k use nhi krti hu dr ko b bta diya
      But no improvement
      So
      Pls tell me any solution

    61. Hello sir mera naam fatima hai .meri age 19 hai.mere baal bachpan se hiii maahin hai aur bohot barik hai.aur bachpan se hii nahi badhte.maine bohot oil use kiye .kafi sare doctor ki bhi dikhaya .magar kuch nahi hua.phir kisi ne mujhe Trichup hair oil bataya.iss oil ko use karte mujhe ek saal se zyada ho gaya magar kuch result nahi mila .walki mere baal kam jhadte the magar ab bina kanghi ke bhi baal itne girte hai bohot lat ki lat utar rahi jab bandti hoo toh mujhe jharu lagani padhti hai kyuki mere tute hue baal pure farsh pe rehte hai yahi nahi .sir mujhe baal lambe ghane karne hai .6 mahine baad meri shaadi hai. Mere saas ne mujhe baal badhane ko kaha hai .sir mai kya karu mari madad kijiye.

    62. Sir mere pass bhot questions hai mai ummid karunga ki aap sab sawalo ka jawab denge
      1 meri age 20 hai sir mera Baal roz toot rahe hai baalo me hath ferta hu to haatho me Baal toot ke aa jate hai

      2 mai confuse hu ki konsa shampu use karu or
      Konsa oil qki market me bhot saare product hai plzz aap mujhe achi salah de ki mai hamesha ke liya konsa oil ya shmpu use karu jise a age future me dobara hair fall na ho
      Or sir bhot pareshan hu plzz help me……!!!!!!

      • 1. Aap khane pine mein healthy diet le taki balo ko jaruri nutritions mile aur baal majbut bane, iske sath sath aap balo par kisi bhi parkar ke experiments se bache.
        2. Aap koi herbal ayurvedic shampoo paryog kar sakte hai aur balo ke liye oil ki jankari yha se padhe.

    63. Hello sir plz help me mere husband k hear fall bhot jyada ho RHA h or unke mathe she bal itne jyada jhad the h ki age se ganjapan sa mhsus ho RHA h m kya upay kru

      • आनंद बालों की जड़े कमज़ोर होने की वजह से बाल झड़ना टूटना और गिरना जैसी समस्या होती है. आप खाने पिने में हेल्थी फ़ूड खाये ताकी बालों को पोषण मिले. इसके इलावा बाल झड़ने से रोकने के लिए आप ऊपर लिखे घरेलू उपाय और देसी नुस्खे कर सकते है.

    64. sir mere bal pichle 4 sal se jad rhe , alopthy, hompthy, ayurvdc , sab use krke dekh liya lekin koi labh nahi h apne jo upay bataye bo bi kr rha hu pichle ek sal se . sir bataye mai kya karu plz,….plz…

      • Sachin agar aap ko koi bhi ilaj kare se fayda nhi mil rha to pahle baal jhadne ki problem ko smjhne ki koshish kare kyuki jab tak samasya ke karno ko khatam na kiya jaye tab tak sahi tarike se upchar sambhav nahi. Aap khane pine mein bhi healthy food khaye aur paani jada piye taki balo ko nutritions mile aur baal majbut bane.

    65. Govind ji mere hair dandruff ki wajah se bhut jhadte hain meri dikkat dandruff aur baalon ka jhadna hai….main ye jaanna chahta hun ki pehle dandruf ka treatment krun ya fir baalon ke jhadne ka….please btaayen

    66. M only 18 or mere baal jhadh rhe hai or bilkul patle ho gye hai mere bhaiya k baal v jhadh gye hai 22 k hai unke v is umar me jhdna start hua tha v shape me aage se mujhe dar lg rha hai plz help me

    67. Sir mera bal bhut jharta hai mai kya karu.
      Mai sb kuchh try kr liya bt bal lagatar jharta hai.mai to lagatar kai bar apna bal v chhilwa liya bt jb v bal aate hai fir se jharna suru ho jata hai….mai bhut paresan hu….mai kya kru sir aap hi kuchh btaiye mai kya kru…….

      • मनजीत जी बालों को जरुरी पोषण न मिलने और कई बार किसी हेयर ब्यूटी प्रोडक्ट जैसे की शैम्पू, कलर या हेयर जैल के साइड इफ़ेक्ट से बालोंकी जड़े कमजोर हो जाती है जिससे बाल टूटने और झड़ने लगते है. आप खाने पिने में हेल्थी फ़ूड खाये, पानी अधिक पिए और बालों पर किसी भी प्रकार के एक्सपेरिमेंट से बचे. इसके इलावा बालों का झड़ना रोकने के घरेलू तरीके ऊपर लेख में पढ़े.

    68. Sir mere bal bahut jyda jhad rahe hai air rusi bhi bahut hai khujli bhi padti hai meri umar abhi 20 sal hai me bahut paresan hu sir koi accha sa upay de plz plz sir

      • दवेंद्र जी आप बालों की रूसी हटाने के उपाय करे, रूसी से बाल झड़ने की समस्या आ जाती है. बालों में डेंड्रफ का इलाज के घरेलू नुस्खे का लेख की जानकारी ऊपर लेख में दी गयी है आप उसे पढ़े.

    69. sir aapke bataye hue upay kar rha hu lekin saamne ke baal kaaffi had tak khatam ho gaye h kuch aisa bataiye ki saamne ke baal vapis aa jaaye

      • रोहित बाल उगाने के घरेलू उपाय के लेख का लिंक ऊपर लेख में दिया गया है आप उसे पढ़े.

      • कार्तिक आप घरेलू नुस्खे से बाल झड़ने से रोकने के उपाय कर सकते है, आप ऊपर लिखे हुए टिप्स पढ़े.

    70. sir mere head k middle or side k sare baal ja chuke h m kya kru abhi marrige bhi nhi hue mere ……..kuch batayein jisse mere bal aa jaye

      • बाल गिरने से रोकने के उपाय ऊपर लेख में बताये गए है आप इन्हें पढ़े और गीले बालों पर कंघी न करे इससे भी बाल झड़ने और टूटने की समस्या आने लगती है।

    71. Sir mera baal halka sa kam ho gaya mai dr. ko dhikha raha unhino mujhe morr f10 solution aur biobal tablet diye h kya use karne se mera bal aa jayega.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles