More

    Balo ko Jhadne se Rokne ke 10 Aasan Upay aur Gharelu Nuskhe

    Hair fall - बाल झड़नाBalo ko Jhadne se Rokne ke 10 Aasan Upay aur Gharelu Nuskhe

    Balo ko jhadne se rokne ke upay: Baal kanghi karte waqt aur nahate waqt thode bahut bal jhadna aam hai par jab hair fall kaafi jada ho to pareshani badh jati hai. Mens mein balo ka tutna aur girna jada hone par ganjapan ki samasya aa jati hai. Hamare khane pine ki galat aadte aur busy lifestyle ki wajah se hum bhojan mein bharpur nutritrions nahi le pate, hairs ko jaruri poshan na milne se baalo ki jade kamjor hone lagti hai aur baal tut kar girne lagte hai. Hair fall rokne ke liye medicine (dawa) ki bajay agar oil, gharelu upay aur desi nuskhe apnaye to bina kisi side effect ke balo ka jhadna ka ilaj kar sakte hai. Aaiye jane home remedies tips and ayurvedic treatment for hair loss solution in hindi.

    Balo ko Jhadne se Rokne ke Upay aur Nuskhe

    Hair Fall Treatment Tips in Hindi

    1. Hair fall rokne aur naye baal ugane ka ramban upay hai pyaaj ka ras. Pyaaj mein sulphur hota hai jo balo mein collagen badha kar unhe badhne mein madad karta hai. Pyaaj ka ras nikal kar ise balo ki jado aur sir ki tvacha par ache se lagaye aur 15 se 20 minute ke liye chod de aur fir ise dho le. Is upay ko hafte mein 2 baar karne se baalo ki bahut si samayo ke ilaj mein fayda milega.

    2. Baal jhadne se rokne ka desi ilaj lehsun se bhi kar sakte hai. Pyaaj ki tarah lehsun mein bhi sulphur ke gun hote hai jo natural tarike se baal ugane aur baal tutne se bachane mein asardar hai. Is gharelu nuskhe ko karne ke liye lehsun ki kuch kaliya pees kar nariyal ke tel mein milaye aur garam kare. Thanda hone ke baad is oil ko baalo par laga kar aadhe ghante ke liye chod de fir hair wash kare.

    3. Aksar log ye janna chahte hai ki kis vitamin ki kami se baal jhadte hai. Hair fall stop karne ke liye jaruri hai ki baalo ki jade majbut bane jiske liye baalo ko poshan milna jaruri hai. Vitamin A aur vitamin C se bharpur chije khaye.

    4. Coconut oil hair loss treatment mein kafi upyogi hai, ye ek balo ko ghana karne ka oil bhi hai. Nariyal tel ko halka garam kar ke halke hatho se head massage kare. Ab ek toliya le aur ise garam paani mein bhigo kar nichod le aur isse sir par lapet kar balo ko bhap de. Is nuskhe ko hafte mein 1 bar karne par baal majbut hote hai aur girne band hote hai.

    5. Heena ek natural hair color aur hair conditioner hai. Heena balo ki jade majbut banane mein madadgar hai. 50 se 60 graam sukhe heena ki pattiya dho kar saaf kar le aur 250 graam sarso ke tel mein dale aur pattiya jalne tak inhe ubaale fir chaan le. Is oil ko ek dibbe mein daal kar rakhe aur har roj isse apne sir ki malish kare.

    6. Balo ko jhadne se rokne ka ilaj aawla se bhi kar sakte hai. Nariyal ke tel mein kuch sukhe aanwle daal kar gehra laal hone tak ise garam kare fir is oil ko balo ki jado par lagaye.

    7. Nariyal ka doodh balo ke liye kafi acha hota hai jisse hairs ko nutrition milta hai. Hair fall solution ke liye nariyal ko kaddukas kar ke ise nichod le aur iska ras sir par lagaye.

    8. Dadi maa ke nuskhe in hindi for hair fall ke liye neem ki taaji pattiyo ko ubaal le aur ise tab tak ubaale jab tak paani aadha na reh jaye. Jab is paani ka rang hara ho jaye tab isse thanda hone ke liye chode. Balo ka girna rokne ke upay karne ke liye is paani se dhire dhire apne baal dhoye.

    9. Adhik tanav lene ke karan bhi baal jhadne ki samasya hone lagti hai. Apne aap ko stress free rakhne ka paryas kare. Yoga, meditation aapko isme madad kar sakte hai.

    10. Sir mein russi (dandruff) hone par bhi hair fall hone lagte hai. Russi hatane ke liye aap kuch gharelu upay bhi kar sakte hai.

    Hair Fall Tips in Hindi

    1. Geele baalo par kanghi na kare aur baal khinch kar kanghi karne se bache, aesa karne se balo ki jado par dabav padta hai jisse ve tutne lagte hai.

    2. Hafte mein 2 se 3 baar sir ki ache se malish kare. Isse sir mein blood circulation improve hoga aur baalo ko jaruri poshan milega.

    3. Aksar kuch log balo ko nayi look dene ke liye balo par tarah tarah ke experiments karte hai jese hair gel lagana, baal color karna jis wajah se baal kamjor hone lagte hai aur hair loss problem aane lagti hai. Natural tarike se balo ki dekhbhal kare to jada behtar hai.

    4. Balo ko adhik garmi se bachaye. Sardi ke mausam mein hum apne baal garam paani se dhote hai jisse baal jhadne lagte hai. Paani ki garmi se baal kamjor hone lagte hai jisse ve jaldi jhadte hai. Balo ko thande ya gungune paani se dhoye aur baal sukhne ke liye hair dryer ke paryog se dur rahe.

    5. Hyper thyroid aur harmons mein changes aane se bhi hair loss ki samasya hone lagti hai, aese mein agar baal teji se jhad rahe hai to doctor se mile aur ray le.

    Aur Padhe:

    Naye Baal Ugane ke Tarike

    Dadi Maa ke Desi Nuskhe

    Baba Ramdev Ayurvedic Upchar

    Dosto Balo ko Jhadne se Rokne ke Upay, Hair Fall Treatment Tips in Hindi ka ye article aapko kaisa lga hame comment kar ke bataye aur agar aapke pass baal jhad ka ilaj ke gharelu nuskhe, natural hair loss solution  ya koi sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    4 COMMENTS

    1. Sir pyaj lagane ke sath sath
      Nariyal ka oil use Kar sakte h kya kyoki nahane ke bad balo Mai oil jaruri hota h
      Or sabun ya shampu se Naha sakte h ya nahi
      Pls help

    2. Sir Maine aap ke sare diye huye tarike use kar liye hai lekin koi fayda nhi ho rha hai
      Sir 4 sal se mere baal lagatar jhadte ja rahe aur mere baal dusre ki sabun use karne se jhadna shuru ko gaye kyoki uske jhadte the.

      • दोस्त ऐसे में आप किसी का साबुन या शैम्पू इस्तेमाल ना करे और बालों पर जेल या कोई क्रीम के इस्तेमाल से भी बचे.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles