More

    Gar Par Pregnancy Test Kaise Kare- 5 Desi Nuskhe

    Pregnancy - गर्भावस्थाGar Par Pregnancy Test Kaise Kare- 5 Desi Nuskhe

    Ghar par pregnancy test kaise kare in hindi: Vese to periods late hone ke aur bhi kai karan ho sakte hai par periods na aane ya miss hone par sabse pahle womens ke mind mein garbhavastha ka hi khayal aata hai. Ab ye pta lagane ke liye ki periods na aana kahi pregnant hone ke symptoms to nahi ye janne ke liye aapko pregnancy test karna hoga. Aajkal ghar pe hi pregnancy check karne ke liye kit aati hai par kai bar inke results mein difference dikhayi deta hai jese ki pahli bar positive dikhna aur dusri bar negative aana. Aaj is article mein pregnancy test karne ke gharelu upay aur desi nuskhe ke bare mein janenge, without kit pregnancy test at home in hindi.

    Agar aapne kit se pregnancy check ki hai aur aap iske result par bharosa nahi kar pa rhe to aap gharelu tarike apna kar bhi apna doubt clear kar sakti hai.

    Pregnancy test kaise karte hai – Kit se

    1. Kit se garbhavastha ki janch ke liye urine sample lete hai aur kit se urine me maujood HCG harmons ka pta lagate hai. Agar peshab mein HCG paya jata hai to ye pregnancy ke symptoms hai.
    2. Test karne se pahle kit ke upar likhi hui instructions  ko acche se pdhe taki aap kit se pregnancy test karne ka sahi tarika follow kar sake aur test ke dauran koi galti na ho.
    3. First time pregnancy test karne par pregnancy test kit mein result negative aa rhe hai to 72 ghante baad fir test kare. Aksar starting days mein body mein HCG harmons ki pehchan nahi ho pati.
    4. Agar 72 ghante baad bhi periods nahi aaye hai aur pregnancy kit test mein result bhi negative aa rha hai to kisi lady doctor se mile aur unki salah se jaruri test karwaye, kyuki periods mein deri hone ke kuch aur bhi karan ho sakte hai.

    Pregnancy Test Kab Kare

    Agar aap ko pregnant hone ki sambhavna lag rahi hai aur periods date ke baad 8 se 10 din tak period na aaye to aap pregnancy test kar sakte hai.

    Ghar par ki jane wali pregnancy ki janch subah uthne ke baad hi karni chahiye.

    Pregnancy Test Kaise Kare Ghar Pe

    Pregnancy Test at Home in Hindi

    Kai bar pregnancy ke bare mein mahila ko pta nahi chalta aur ve apna normal daily routine follow karti rehti hai, par garbhavastha ke first month mein kafi care karne ki jarurat hoti hai aur aese mein pregnancy ka pta na hone par garbhpat hone ki sambhavna badh jati hai.

    Ghar par pregnancy check karne ka sab se bada fayda yahi hai ki result positive milne par aap usi waqt se apni care karna shuru kar sakti hai. Aaiye jante hai ghar par pregnancy check karne ke gharelu upay aur desi nuskhe kaise kare.

    Toothpaste se pregnancy test karne ka tarika

    Toothpaste se pregnancy check karna kafi aasan hai. Iske liye kisi disposal gilass mein toothpaste dale aur us mein thoda urine dale aur 2 se 3 ghante ke liye rakh de.

    Ab agar toothpaste ka color halka neela hone lage ya disposal mein toothpaste jhaagdar dikhne lage to iska matlab hai ki test positive hai jo ek pregnancy ka sign hai.

    Sugar se pregnancy test in hindi

    Sugar se pregnancy check karne ke liye ek disposal mein thodi chini dale aur us mein thoda urine dale. Ab kuch der mein agar chini ghulne ki bajay chini ke guche ban jaye to aapka pregnancy test positive hai aur aap garbhvati hai. Agar chini urine mein ghul jaye to result negative hai aur aap garbhvati nahi hai.

    Pregnancy Check Karne ke Desi Nuskhe in Hindi

    1. Pregnancy check karne ke liye aasan aur normal tarika ye hai ki kisi kaanch ke gilass ya fir white color ke disposal mein urine dale aur 3 ghante ke liye rakh de. 3 ghante baad dekhne par agar aapko urine mein koi safed rang ki parat dikhe to test positive hai.

    2. Ghar par istemal hone wale sabun (soap) se bhi aap pregnancy ka pta lga sakte hai. Is upay ko karne ke liye urine aur sabun ek disposal gilass mein dale aur kuch der wait kare. Thodi der baad agar disposal mein bulbule ban rhe hai to test positive hai.

    3. Ek cup mein 1 chammach sirka aur 1 chammach urine dale. Agar peshab ka rang badlne lage to ye pregnancy ke sanket hai.

    Symptoms of Pregnancy in Hindi

    • Jaldi thakan hona aur saans fulna.
    • Breast mein bharipan mehsus hona aur sujan aana.
    • Ulti aana (Vomiting), sir dard hona.
    • Bar bar peshab aana.
    • Kabz rehna aur kuch bhi khane ka man na karna.

    Aapne chahe pregnancy check karne ka koi bhi tarika apnaya ho chahe kit use ki ho ya desi nuskhe se pregnancy test kiya ho, ye ek tarike ke primary test hai jo aasani se ghar par kiye ja sakte hai par ye 100% sure nahi hai, isliye kisi bhi tarike ki shanka hone par doctor ke pass ja kar jaruri test bhi karwaye.

    Is lekh mein aapne jana periods miss hone ke baad pregnancy test kab kare. Ghar Par Pregnancy Test Kaise Kare, Pregnancy Test at Home in Hindi ka ye article aapko kaisa lga hame comment karke bataye aur agar aapke pass pregnancy check karne ke gharelu nuskhe aur desi tarike se jude anubhav ya koi sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    1 COMMENT

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles