Pregnancy me kya kare aur kya nahi karna chahiye in hindi: Garbhdharan karne ke baad mahila ke sharir me kai badlav hote hai jiske lakshan first month se hi dikhne shuru ho jate hai. Aese me garbhwati mahila ko kuch baato ka dhyan rakhna behad jaruri hota hai jese ki diet me kya khaye aur kya nahi, konsa fruit khana chahiye aur konsa fruit nahi khaye, kaise aur kis taraf sona chahiye aur kon se month me travel nhi karna chahiye. Garbhavastha ke dauran pregnant lady ko kaise rehna hai aur kya savdhani rakhni hai agar iski sahi jankari ho to bacha aur maa dono swasth aur sehatmand rehte hai. Aaj is lekh me hum janege pregnancy care tips in hindi.
गर्भावस्था में सावधानी – Pregnancy Me Kya Dhyan Rakhna Hai
- Samay samay par doctor se mil kar salah lete rahe.
- Bina doctor ki salah ke koi dawa na le.
- Galat tarike se aapsi mel naa kare.
- Pregnancy ke dauran bleeding ko andekha na kare.
- Pet dard aur ulti ki samasya bar bar hone par turant doctor se mile.
- Jada bhari saman na uthaye aur jada sharirik mehnat bhi naa kare.
प्रेगनेंसी में क्या करे और क्या ना करे
Pregnancy Me Kya Karna Chahiye in Hindi
1. Garbhavastha ke dauran poshtik aahar khane ki salah di jati hai isse maa aur bache ko jaruri poshan milta hai. Fruits khane se garbhwati mahila ko kai vitamin aur minerals milte hai, isliye ye pta hona chahiye ki kon sa fal khana chahiye aur kon sa nahi khaye.
2. Pregnancy me konsa fruit khana chahiye seb, mausmi, aam, kela, avocado, lichi, kiwi, amrud aur tarbuj kha sakte hai aur papita, ananas, kala angur jese fruits nahi khana chahiye.
3. Bahut si garbhwati mahilao ke man me aksar ek sawal hota hai ki pregnancy me kaise kitna aur kis taraf sona chahiye. Pregnancy ke first month se 3 month tak bahut neend aati hai aur uske baad neend kam ho jati hai.
4. Pahle 3 mahine tak aap peeth ke bal so sakti hai par iske baad 3 se 9 month tak peeth ke bal sona thik nahi hai.
5. Peeth ke bal sone ki bajay dayi taraf sona jada behtar hai par sabse acha hai bayi taraf sona. Dayi taraf sone se liver par dabav padta hai aur bayi taraf sone se body me blood circulation sahi tarike se hota hai jisse baby ko bharpur poshan aur oxygen milta hai.
6. Pregnancy me sone ka tarika me sabse acha hai bayi taraf muh kar ke sona aur aese me kuch pareshani ho to dono tango ke beech me takiya rakh sakti hai.
7. Pregnant lady ko doctor travel karne ke liye bhi mana karte hai par agar kuch baato ka dhyan rakha jaye to garbhwati mahila travel kar sakti hai.
8. Pregnancy ke 1 se 3 month aur 6 se 9 month ke beech ke samay mahila ko apna khas dhyan rakhna chahiye aur is dauran safar karne se bhi bachna chahiye. Travel karne ke liye 3 se 6 month ke beech ka samay thik hai aese me jada thakan susti aur dusri pareshaniya kam hoti hai.
9. Pregnancy me safar karna hai to apne sath paani jarur rakhe aur thode thode samay me pite rahe taki sharir me pani ki kami na ho.
10. Garbh taharne ke baad mahila ke liye har pal bahut najuk hota hai isliye apni care karne ke sath sath samay samay par doctor se mil kar checkup jarur karwana chahiye, khaskar ve mahilaye jinhe garbhdharan karne me kafi pareshani hui ho.
प्रेगनेंसी में क्या नहीं करना चाहिए – Pregnancy Me Kya Kam Nahi Karna Chahiye
- Garbhwati mahila ko jada der tak bhukha nahi rahna chahiye aur apne bhojan me aese foods aur fruits khane chahiye jisse body ko iron, calcium, minerals aur protein mile.
- Is dauran kai mahilao ko pet dard ki shikayat hoti hai par jada dard hone ya fir bar bar dard hone par ise andekha nahi kare aur turant doctor se mile.
- Is dauran agar travel karna pade to aesi jagah jane se bache jha aap ko infection hone ka khatra ho.
- Pregnancy ke dauran agar bleeding ho to ise bhi andekha nhi karna chahiye kyuki ye garbhpat ke lakshan ho sakte hai.
- Pet ke bal lag kar koi bhi kaam nahi karna chahiye, jhukne se bachna chahiye, jada exercise aur kadi mehnat bhi na kare.
- Pahle 3 mahine aur aakhri 3 mahine garbhwati mahila ko aapsi mel karne se bhi bachna chahiye aur beech ke samay me bhi mel bnane ka sahi tarika apnana chahiye.
- Jada tala hua aur masaledar khane se parhej kare aur bajar me milne wala dabba band bhojan ka sevan bhi naa kare.
- Kuch mahilao ki aadat hoti hai ki ve kabi bhi dard ho to dard nivarak dawao ka sevan kar leti hai par is dauran bina doctor ki raay liye koi bhi dawa naa le.
Dosto pregnancy me kya karna chahiye aur kya nahi in hindi ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass garbhavastha me kya kare kya na kare, fruits, travel, sone ka tarika aur pregnancy care tips hai to hamare sath share kare.