दोस्तों अगर आप भी रीढ़ की हड्डी में पुरानी चोट से परेशान हैं तो आप बिल्कुल सही जगह पर आए हैं। रीढ़ की हड्डी में चोट लगने से लोगों को काफी परेशानी होती है। लोग इस चोट को ठीक करने के लिए लाखों रुपये तक खर्च करने को तैयार हैं. आज बिना किसी खर्चम पुरानी रीढ़ की हड्डी की चोट से छुटकारा पाने के उपायों के बारे में बात करने जा रहे हैं, जो रामबाण का काम करेगा।
Spinal Cord Injury: Aapne aksar lakwa aur polio jesi bimariyo ke bare mein suna hoga jiske kaaran shareer ke bahut se ang kaam karna band kar dete hai aur insaan chalne firne mein asamarth ho jata hai. Par ridh ki haddi mein chot lagne se body ko paralysis ho jata hai aur shareer ke parbhavit ang kaam karna band kar dete hai. Is leekh mein hum log janege reedh ki haddi mein chot lagne par kya hota hai aur uske baad patient ko kya karna chahiye.
Spinal Cord(Reedh ki Haddi) Kya Hai
Spinal cord hamari body ka sabse important hissa hai jise hum reedh ki haddi bhi kehte hai jo chote chote manko(vertebrare) se mil kar bani hoti hai. Ye hamare mastishak(brain) ko hamari body se jodta hai jisme spinal nerve ke 31 pair hote hai. Spinal cord ke 4 hisse hote hai jisme 8 cervical, 12 thoracic, 5 lumbar, 5 sacral aur 1 coccygeal nerve hoti hai.
Spinal cord mein nerves(tantrikaye) hoti hain jise hum spinal nerve kehte hai. Spinal nerve hamare brain ke signal aur message hamare shareer ke dusre hisso tak pahunchata hai aur shareer ke ango ke message brain tak bhi pahunchata hai.
Spinal nerve 2 tarike ke message bhejta hai motor aur sensory function. Jab hame body ke kisi hisse ki movement karte hai tab spinal nerve motor function ka signal bhejta hai aur jab kisi ang ko sparsh karte hai tab sensory signal send karta hai aur receive karta hai.
Spinal cord mein ek taral padarath(fluid) hota hai jise cerebrospinal fluid kehte hai. Ye taral padarath reedh ki haddi ko suraksha pardaan karta hai aur kisi bhi tarike ki chot(injury) se bachata hai.
Spinal Cord Injury : Reedh ki Haddi Me Chot
Jab hamari reedh ki haddi par kisi bhi jagah koi chot lagti hai ya kisi parkar ka damage hota hai tab hamari body ko paralysis hone ka khatra hota hai jisme sharrer ke ang kaam karna band kar dete hai aur ango ko chune ka pta bhi nhi lagta.
Spinal cord injury(SCI) mein mobility aur sensory function kaam karna band kar dete hai. Spinal cord par jis jagah injury hoti hai uske niche ke hisso par iska asar padta hai, agar chot kamar par lagi hai to kamar ke niche ke hisse kaam karna band kar dete hai aur agar chot gardan par lagi to iska asar haatho par bhi padta hai.
Spinal Cord Injury Ke Kaaran (Causes)
- Road Accident
- Sports Injury
- Gunshot
- Falls
- Dive in low water level
Effects of Spinal Injury
Spinal injury ka body par kitna parbhaav padta hai ye injury ke level aur injury type se pta lagta hai. Rirh ki haddi par jitna upar chot lagti hai utna hi jaada asar shareer ke ango par padta hai.
- Agar Sci cervical vertebrae (C1 – C8) par hoti hai tab shareer ke dono haatho, dono pairo, kamar, chest, bowl, bladder aur sexual function kaam karna band kar dete hai jise Quadri-paralysis kehte hai. Cervical injury mein kuch logo ke dono hatho ki jagah ek hi haath par paralysis hota hai jise hum tetra-paralysis kehte hai.
- Cervical ke C1 – C4 par damage hone par dono haath aur dono pairo ki movement bilkul band ho jaati hai aur laterine – bathroom ka sensation aur control bhi nahi rehta.
- C5 – C8 par injury hone par patient apne dono haatho ko utha paate hai par wrist, triceps aur fingers kaam nahi karti. Is level ki injury mein kuch logo ki triceps aur wrist ki movement hoti hai par fingers fuction nahi karti.
- Agar injury lumbar aur sacral vertebrae par hoti hai to iska asar dono pairo par, hips, stomach, bowl, bladder aur sexual function kaam karna band kar dete hai.
- Thoracic nerves ki T1 – T5 par damage hone par kamar ke niche ka hissa, legs, bowl bladder function aur sexual piwer par effect padta hai.
- T6 – T12 aur usse niche kisi vertebrae par injury hone par bowl bladder, sexual power aur legs par paralysis hota hai.
Complete aur Incomplete Injury
Jab bhi spinal cord injury ki baat hoti hoti hai tab injury type jarur pucha jata hai. Sci 2 tarike ki hoti hai. Complete Injury aur Incomplete Injury.
- Incomplete Injury: Incomplete injury ka matlab hai ki spinal nerve ki signal transfer karne ki shamta puri tarah khatam nahi hui hai. Isme patient ko body sensation aur ango ki kuch mobility hoti hai.
- Complete Injury: Isme spinal cord koi signal pass nahi kar paati aur shareer mein sensation nahi hoti.
Reedh ki Haddi Mein Chot Lagne ke Baad ki Pareshaniya (Complications)
Ye to hum jaan gaye hai ki reedh ki haddi par chot ke baad vyakti ke sharrer ko lakwa ho jaata hai par iske baad bhi kuch cheeje hai jo patient ko aksar pareshaan karti rehti hai.
1. Bed Sore: Pure samay bistar par letne ke kaaran patient ki kamar par aur pairo par jakham hone ka khatra jada hota hai. Kyuki patient ko sensation nahi hoti, yahi kaaran hai ki use dard mehsoos nahi hota aur vo kisi bhi parkar ke jakham ke baare mein nahi bta sakta. Isliye jo person patient ki care karte hai unhe hi is baat ka khyaal rakhna hai ki kisi bhi jagah koi sore na ho paye. Iske liye patient ko kabhi bhi ek position mein jada der letne ya baithne na de aur letne par har 2 ghante mein side change karye, rojana bistar aur kapde badle.
Aaj kal bed sore se bachne ke liye air mattress aur water bed bhi aate hai par inke paryog ke bawjood bhi body ki puri care kare.
2. Akdan: Spinal injury ke baad body mein tightness aati hai aur kai baar pairo mein jhatke aane lagte hai. Vese to akdan(spasticity aur spasm) ke upay ke liye kuch medicines bhi aati hai par regular exercise kare to shareer mein hone wali akdan kam hone lagti hai.
3. Urine Infection: Spinal cord injury mein patient ko bathroom karne ke liye bladder mein cathater lagana padta hai jiski wajah se urine tract infection(UTI) hone ka khatra jada hota hai. Isse bachne ke liye paani jada piye aur cathater sahi samay par change karte rahe. UTI hone par doctor ki salah se kuch medicine le sakte hai.
Injury ke Baad Exercise (Physiothearpy)
- Dosto reedh ki haddi ki chot se ubharne, body ki sahi dekhbhaal, recovery aur pareshaniyo se bachne ke liye niyamit roop se exercise jaruri hai.
- Shuruaat mein patient khud exercise nahi kar sakta to jo person uski care karta hai use hi haatho pairo ki exercise karni chahiye.
- Exercise shuru karne se pahle doctor ki salah jarur le aur ho sake to kisi professional physiothearpist ki help le.
- Yoga aur pranayam karna bhi acha hai.
Spinal Cord Injury Treatment
Dosto durbagyawash abhi tak spinal cord injury ka kuch asardar treatment nahi hai.
- Aap ne shayad Stem Cell Transplantation ke bare mein to suna hoga. Bahut se patients is treatment ko karwa chuke hai kuch logo ko sensation recovery mein fayda bhi mila hai par abhi tak kisi ko complete recovery nahi mil paayi hai.
- Duniya bhar mein doctors aur scientist stem cell ki research par lage hai aur aksar ye umeed bhi ban jaati haim ki bahut jald isse result milne shuru honge.
- Kuch log ayurvedic aur homeopathy treatment bhi le rahe hai, par abhi tak hamare pass mobility recovery ki koi pukhta jankari nahi hai.
Is leekh mein hum ne spinal cord injury ke baare mein kuch jaruri jankari batane ki koshish ki hai. Hum aage bhi apne paryaas jaari rakhenge ki aapko SCI se judi sbhi jaankariya detail mein share kare aur hum kuch aese logo ki stories bhi share karenge jo is injury ke baad bhi apni life ko ek ache tarike se jee rahe hai aur samaaj ke liye ek misaal hai.
Agar aapke pass Spinal Cord Injury (SCI) ke treatment se judi koi jaankari, sujhaav, upay ya anubhav hai to hamare sath share kare taki aur logo ko bhi aapke anubhav aur jankari ka fayda mil sake.
Nice I am also suffering from trumtic paraplegia since last 18 year & running a computer training institute at Indore m p any one want help please contact me at rajeevpotdar@rediffmail .com
Hello sir
Mera 5 mahine phle accident ho gya tha T11 or T12 ki surgery hui hai . Physiotherapy se mujhe kaffi fayada mila hai . But urine apne app nikal jaa ta hai . Koi aisee tablet batao ke urine controlled ho jaye
Satpal ji aap kisi urologist se mile aur is bare mein salah le.
muje spinal cord ki problem ha
Arshad kya aap batayenge ki spinal cord mein problem kis wajah se hai aur uske baad body ki kya condition hai.
meri rid ki haddi tutne se mere pair nhi chal rahe hain aur sore jakham bhi ban gaye hain aur wo theek nhi ho rhe hain mujhe 5 sal ho gaye hain me theek kaise hunga bolo aap ilaz kr sakte ho bolo
Monu jesa aapne bataya reedh ki haddi tutne ke baad apke pair nahi chal rahe, is condition ko paraplegic kehte hai, jesa mene is article mein bhi bataya spinal cord injury ke baad exercise sabse bda rasta hai body ki recovery ka. Regular exercises karte rahe.
Bed sore ke treatment mein sab se jaruri hai ki sore par pressure na aaye,agar jakham par dabav padta rahega to ye thik nahi hho payega. Iske sath sore ki safayi kare ar har roj dressing karte rahe. Khane pine mein bhim kych esi cheeje add kare jo jakham jaldi bharne mein madad kare.
sr kya me kabhi thik bhi ho paunha.
ya jindgi bhar esa hi rahunga akhir kb tk
plz help me.
koi gharelu upay bya do
I’m belong to a very poor family.
Monu hum aapki condition ko jante hai aur aapki feelings bhi smjhte hai, agar aapko is condition se bahar nikalna hai to aap physiothearpy par jada dhyaan de. Aur koshish kare kisi wheelchair par baith kar ghar se bahar ghumne firne jaye. Bahut se ese log hai jo spinal injury ke baad wheelchair par ache tarike se apni life ji rahe hai, aap facebook par ese logo se jud sakte hai. Aap sports bhi khel sakte hai, isse body bhi active rahegi aur exercise mein bhi madad milegi.
sr jb chot lagi thi to mere pair sidhe the 2 mahina ke baad sukad gaye aur bhi tk sithe nhi huye hai pairon ko exercises krke sihde krte hai to jate hai pir un ko chhodo to pir se sukad jate hai sidhe krte pe pairon me bhi dard hota hai aur ease pade bhi dard hota hai aur jkham me bhi bahut dard hota hai sr me 15 din pahle muradabad hospital me gaya tha MRI karai doctor ne pir doctor ne kaha tha ki nas sookh gai hai davani se theek hota hai to theek ho jayega barna nhi hoga please help me
Monu ye sab exercise na karne ki wajah se hua hai. Exercises karne se shareer ke ango mein blood circulation sahi hota hai jisse ang kamjoor nahi hote. Aap exercises shuru kare nahi to ye problem aur badh jayegi.
sr esa kya khaya piya jae ki mere jakham jaldi theek ho aur pair bhi ? sr mere pair apnaap sidhe ho jate hai aur sukad bhi apnaap jate hai aur sr pairon me bhi dard hota hai aur jakham me bhi bahut. sr kya me theek ho jaunga please batao
Monu pair thik karne ke liye physiothearpy sab se jaruri hai, iske sath body mein takat lane ke liye healthy food khao, jese daale, salad, daliya. Agar non veg kha lete ho to vo bhi kha sakte ho. Pairom mein akdan(spasticity) hone ke karan ye apne aap ikatha ho jate hai.
sr mere jakham theek nhi ho rhe hai please sr koi goli batado jakham ? aur mera ling bhi khada hota hai fir bhi me sahi nhi ho raha hu kyon sr please batao
Monu Jakham thik karne ka sab se acha tarika hai iski dressing kare aur jakham par dabav na aane de. Bed sore treatment ke liye ek medicine hai jise aap sore par laga sakte hai – Intrasite Gel. Aap ise paryog karne se pahle apne doctor se jarur discuss kare. Vo aapka ghav dekh kar aapko bta sakte hai ki ise pryog karna hai ya nahi aur karna hai to kese.
sr ? intrasite Gel ki campni kya hai please batado medical wale puch rhe hai
Monu medicine ka yahi naam hai ye wound dressing ke liye hoti hai. Monu ghav jaldi bharne ke liye kya khana hai uske liye aap ye article bhi padhe http://sehatdoctor.com/ghav-bharne-ke-upay-wounds-healing-tips-in-hindi/
sr exercises kaise ki jaye batado please aur jakham ki koi goli mere pair ilaaz krne se sahi ho sakte hai app kr do ge bolo please
Monu exercise do tarike ki hoti hai active aur passive. Passive exercises mein dusra vyakti aapki exercises karta hai aur active mein aap khud karte hai. Iske ilava posture exercises bhi hoti hai, meri yahi salah hai ki kisi physiothearpist se mile aur shuruaat mein unse exercise karwaye.
sr maine aap ko apni sari condition bata di hai sr aap mujhe itna bata do ki me aap ke paas akar theek ho jaunga batao sr please
Monu hum koi doctor nahi hai, is website par hum health counsling karte hai aur bimariyo ke ilaj ke liye ayurvedic tariko ko apnane ki salah dete hai. Aap ki problem aur aapki bhavnao ko hum samjhte hai par dost ye bimari ek din ya ek mahine mein thik hone wali nahi hai. Aap ko mayus hone ki jarurat bhi nahi hai. Apne aapko strong kare aur dil lga kar mehnat kare. Aap jese bahut se log hai jo is problem se jujh rahe hai par kabhi haar nahi maani. Aap rehablitation ki ye videos dekhe yha par aapko bataya jayega ki kese hum apne kaam khud se kare http://sehatdoctor.com/
Sir, mera ek best friend he jo vo apne job hours me gir gaya tha. Or usko kammar ka ek manka crake ho gaya he. Or uake report me iss tarah se aaya he.
Compression facture through L1 vertebral body with minimal wedging and marrow odema resultant retropulsion of posterior cortex noted at these level causes mild spinal canal narrowing and indenting the conus modullaris and traversing nerve roots.
Please sir reply fast. Ab mera friend kitane dino me thik ho jayega? Or usko kya kya karna pdega???
Bhumi agar aapke friend ki surgery ho gyi hai to abhi sabse pahle unhe dusri complications se door rakhna hai taaki physiothearpy ke dauran koi problem na ho. Is situation mein bed sore ki aashanka sab se adhik hoti hai to patient ko sore se bachne ke liye khas dhyan rakhna hoga. Iske sath dostor se salah le ki patient ki physiothearpy kab shuru ki ja sakti hai aur kisi ache physiothearpist se contact kar ke exercises shuru karwaye. Spinal cord injury mein exercises se hi recovery ho sakti hai to isme laparwahi na kare.
Sir usko surgery ki jarurat nahi he. But tottaly 2 month bed rest bola he. To uske bad vo konsi execrcise kare to a6a rahega?
Bhumi ek bar kisi dusre doctor se 2nd opinion jaru le kyuki ho sakta hai ki ccompression hatane ke liye surgery karni pade ya fir koi aur tarike se compression hataya jaye. Exercises mein active passive movments hoti hai jo kai parkar ki hai, aap kisi ache physiothearpist se milo yahi sabse better hoga.
Sir hamne 3 doctr ko dikhaya. Sabhi ne yahi bola
Bhumi to fir physiothearpy par jada dhyan de.
Sir mere spinal cord me c4 c 5 me injury hui thi 14 june ko uske baad mai bed rest par hu kya mujhe ab itne dino baad lakva aa sakta h kya
Amit pahle aap apni present physical condition bataye.
Abhi mai thik hu chal fir satka hu kabhi kabhi hatho me halka dard or pairo me halka dard hota Ye dard abhi 3 se 4 din pahle se hone laga h iske alawa or koi problem nahi h
Amit aap ki injury critical nahi hai, par jo symptoms aap abhi bta rhe hai ye bhi thik nahi hai. Vese to ye exercises se thik ho jayega par hamari salah ye hai ki aap ek bar kisi ache neuro specialist se mile aur proper test karwaye.
Hello amit ap kitne dino me thik ho gaye the
Sir mera name nikhil. H mere C4, D2,C2 me factor h or muje continue 21days bed rest PR ho gye h
..ab AGR m chlna chau to muje lkva ni aayega na
Muje kitna rest or ktna chahiye total
Nikhil ye sab proper diagnose se hi pta lag sakega. Aap kisi neuro specialist se mile aur test karwaye.
I am mahesh raikwar from mp damoh
Mujhe spinal cord injury
D12 fracture hai
Mahesh aap ki physical condition ke bare mein bataye aur apna question bhi puche.
My d12 fracture paraplegic
In 2010 now diwal ke sahare chal sakta hu lekin ghutne ke niche se per shoonya (no sensation)
Best treatment
Mahesh sabse pahle aap ye article aur yha likhe hue comments ko ache se padhe aapko bahut se sawalo ka jawab milega. Spinal cord injury mein recovery ka best option physiothearpy hai. Kisi ache physiothearpist se contact kare aur sahi tarike se exercises kare. Abhi agar aap kisi sahare se chal pa rhe hai to pahla maksad yahi rakhe ki aapko isme improvement laani hai. Exercises nhi chode aur positive mind se mehnat karte rahe. MP ke Indore mein sci ke kafi log hai aap unse jude vo bhi aapko guide kar sakte hai.
Please advise
About stem cells tharapy in mumbai
I am try or not try stem cells
Mahesh stem cells abhi tak research process mein hi hai, bahut se logo ne stem cell transplantation karwaya hai aur unme se kuch logo ko sensation ka fayda hi mila hai. Abhi tak isse koi aur acha result nhi mila hai. Dost abhi aap is treatment se door rhe, ye mehanga to hai hi aur koi result bhi nahi hai. Aap physiothearpy par jada dhyan de.
Mera question ye hai ki operation ke pahle or operation ke bad jitna sensation pero main pehle tha utna hi abhi hai 1 kya operation ke bad pero sensation hona chahiye tha ya nahi ?
2 Operation karne ke bad sab fixed kar diya hai to sensation bilkul improve kyuo nahi hua
Please help
Mahesh operation me spine ke upar pda dabav hataya jata hai aur sensation aur mobility mein recovery aap ko ab physiothearpy karne se milegi.
Sir physiotherapy & rehabilitation
in india koi center government ho ya kam kam pesa lagta ho
please any information
Vellore mein ek CMC hospital hai jha kam kharche mein acha rehab mil sakta hai aur agar aapke pass BPL card hai to delhi mein indian spinal injury center (vasant kunj) mein rehab ho sakta hai.
Delhi india spinal injury cente
Rahne ki vyavstha hai kya
Paraplegic foundation in mumbai me mein hai yah kya hai
Mahesh delhi mein hospital hai ye aur mumbai mein jis foundation ki aap baat kar rhe hai ye ek trust hai jo spinal cord patients ke liye work karti hai.
Sir mere father ka accident 22 – 06 – 2016 ko hua tha or unke hanth or pairon ne kaam krna bnd kr diya tha.isic vasant kunj delhi mein operation k baad ab unki physiotherapy krva rhe hain or unke hands mein thoda movement or pairon ki fingers mein thodi movement ai hai…qa india mein koi aisi jagah hai jaha free mein physiotherapy hoti hai ya jaha army retired persons ko free therapy di jati ho…
Maan mohali aur pune mein army ke rehablitation center hai aap wha contact kar sakte hai.
Pune :: Paraplegic Rehabilitation Centre, Range Hills, Kirkee, Pune
Mohali :: Near Dara film studio, Face 6, Sahibzada Ajit Singh Nagar, Punjab
Sir i am 25 yr old. mere left hemiparesis 4 year pahle hua tha or mera left hand or per ka movement band ho gaya.
Dr. Ne kaha ki brain ki nas crack ho gayi.
Delhi me operation karvaya or mera hand to fit ho gaya but per ki anguliya or talwa aaj bhi move nahi karta
Sir iske liye koi exercise ya koi or upay bataiye taki mera per bhi feet ho jaye.
Kishan aap kisi ache physiothearpist se contact kare aur exercises par dhyan de.
Sir mai exercise to karta hu but regular nahi karta.
Sir delhi me dr.ne kaha tha exercise karo 2-3 year me sahi ho jayega.
Sir mai yoga karta hu.
Iske alawa bhi koi exercise k bare me detail me jankari de.
Sir kuch bujurg kahate h ki tel se malish karo
Malish kis tel ki kau or usme kya milaye.
Thanx sir.
Kishan regularly exercises karni bahut jaruri hai. Exercises bahut hai jese active, passive, posture. Aap se yahi salah hai ki kisi ache physiothearpist se contact kare aur agar aap ke liye ye possible nahi hai to youtube par videos dekh kar sikh sakte hai. Malish ke liye koi bhi tel use kare.
Sir mere bhai ko sci injury hui hai 6 mahine se bed par hai baith nhi pate thoda bhi uthane par chakkar Ata hai wheel chair pe kaise baithai pse help
Amzad 6 mahine lete rehne ke bad abhi baithne par chakar aayenge, aap ko 1 process follow karna hoga. Pahle kuch din apne brother ko bilkul sidha na baithaye dhere dhere sidha baithne tak pahunche. Shuruaat mein 5 minute tak baithaye fir 10 minute, aese dhere dhere baithne ka time badhaye. Dost wheelchair par baithane se pahle kuch baato ka dhyan jarur rakhe.
1. Agar bed sore hai aur baithne par sore par pressure aaye to baithna avoid kare.
2. Wheelchair par ache cushion ka paryog kare taki baithne par koi jakham na ho.
3. Wheelchair par baithane ke baad har 10 se 15 minute mein pushup le taki pressure release ho sake, isse sore hone ka dar nahi hota.
Sir physiotherapy ya rehabilitation center jaha par jayada se jyada spinal cord injury patient jate physiotherapy karane ke liye kyuki unko achchaa anubhav hoga sci patient ka
Mahesh aapko jo center bataye hai vo sci patients ki rehab ke liye kafi behtar hai.
Thanks sir…
Humne apne father ko bithaya to vo 5-10 minutes tk baith lete hain or unke hanthon or pairon ki fingers bhi movement hoti hain to unke theek hone k qa chances hain.
Dost chances to exercises par hi depend karte hai, aap bas sahi tarike se mehnat karte rahe aur apne father ko positive kare taki vo dil se pryas kar sake.
sir mere mamaji ko 1 month pahle spinal cord me chot lagi he une T2 se T7(thoracic) me sir unka kamar se niche ka hissa kam nhi kar rha he sanchiti hospital pune me unka operation huwa he or wo abhi sirf apne per ka angutha hi hila pate he wo bhi kabhi kabhi
Gopal ji aap ye article aujur yha likhe comments jarur padhe aap ko kaffi jankari milegi, iske ilava agar aapke mama ji khud angutha hila pa rhe hai to pairo mein revovery hone ke chances kafi ache hai, bas jarurat hai sahi tarike se aur regular exercises ki.
Thanks sir for reply
Sir main ataur rahman hoon actually sir 5 saal pahle mera ek accident hua jis me mera dono pair work karna band hogay the mera urin aur latrin Ka sens bhi band hogay tha MRI me pata chala ki ek tumer back bone par hai aur 3/4 pinal cord par hai mera ek opretion hua jis me backbone Ka tumer nikaal diya laikin cord Ke tumer Ke liye rediotheropy Lena pada aur 25 redio hue es Ke ek saal tak mujhe kuch ehsas nahi tha laikin aaj mujh ko latrin ka sens hai mere pairon me movement aur sens hai pair movment to karte gain laikin chalne ki ye khade hone ki taqat nahi hai abhi do din pahle MRI kiya Dr Ka kahna hai Ke cord pura sukh chuka hai thin hogaya hai is Ka ilaj sci me nahi hai phsyotheropy karo sir mera aap se sirf ye sawal hai Ke kya spinal cord Ka kuch bhi ilaj nahi ager us me taqat lane Ke liye koi ghareloo nuske ya aurvedik dawa ho to plz bataiye
Atur spinal cord injury ka ilaj karne ka abhi tak koi treatment nahi hai, physiothearpy hi ek aesa rasta hai jisse aap apni body ko recover kar sakte hai. Dost gharelu nuskhe se sharir mein takat aa sakti hai, aap ka stemina badh sakta hai. Par spinal cord ko recover karne ka abhi tak koi nuskha nahi hai.
mere ek friend ka dec 2015 me accident hua tha .he feel down from about 12 feet height.and uski spinal cord surgery hui thi.wo roj psyotherepist k sath exercise bhi kr rha hai but abhi tk koi benefit nhi hua.
Neha spinal cord injury se recover hone mein physiothearpy sabse important hai, physiothearpist ke ilava khud se bhi pryaas kare. Aap yha likhe hue comments aur ye article thik se padhe aur apne dost ko bataye.
how much time is needed to recover from spinal cord surgery man to recover.or kya wo fir se normal life je sakta hai
Neha recocery time bassically depends on type of injury and efforts patient is puting on doing exercises. Vo normal life ji payega ya nahi iska kehna abhi mushkil hai kyuki ye recovery aur injury par hi depend karta hai.
is there any medicine for bed sore . because mere friend ko spinal cord injury ki wajah se ye problem aati rehti hai
Neha first thing to do is dont put pressure on sore. For medicine i suggest you to contact with doctor only.
Sir mai phale gym jata tha muzme takat bot aage thi to maine sir tavtav akar cylinder utha liya tha usk bad mai mera right hand lUss hogy aur cammer k niche ka hissa bhi sikudta jarha hai sir mare sir mai bhi blockage saman lag rha hai sir kohi tarika btae sudher ne ka sir muze sci injurt l1,l2,l3 mai hai sir mai chal fir sakta hu aur bike bhi chala leta hu
Ajay aap sabse pahle kisi neuro specialist se mile aur jaruri test karwaye taki problem ko diagnose kar ke treatment sahi disha mein kar sake, iske sath kisi ache physiothearpist se mil kar exercises shuru kare.
sir g mera name Dhanesh hai chhattisgarh se 6 agust ko mera D2seD8 tak tumer surgery hua hai surgery ke baad meri condition thik tha akele walk kr leta tha but abhi thik 7 September se mere laft pair paralise and chest se niche sensation nhi ho rha urin loos motion me control bhi nhi hai pls ese thik karne ka koi upay batae….
Dhanesh spinal cord ki surgery mein paralysis jesi problems aati hai, par aap ko ye samasya operation ke lagbhag 1 mahine baad aayi hai to ek bar apne doctor se mile aur salah le. Dost paralysis se recover karne ke liye physiothearpy ka role sabse bda hai, aap regular exercises karte rahe.
Mere hath ki Nash kat gai this kya krna chaiye
Rakesh aap doctor se mile.
Sr me hospital me gaya tha to doctor ne MRI karai thee MRI dekh kr doctar ne bola reeth ki nas sukh gai hai me davande raha hu koi fayda ho to aur lelena nhi ho to mt lena sr koi fayda nhi hoa kyon kaise hungi sahi bolo please
Monu is samasya mein medicine se result nahi mil pata, dost spinal cord mein recovery ks best tarika hai physiothearpy. Kisi ache physiothearpist se milo aur exercise shuru karo.
hello sir maine aapki blog ko padha aur saare comment bhi padhe mai servical spine se prsan hu kai nuro doctors ko dikhaya and last me S G P G I Lucknow se mera treatment bhi chala bt koi relief nhi huwa mrng me exercise bhi kr rha bt phle ki apecha halt bigad hi rahi mujhe neck and right hand me prblm hai mera right solder and right chest and right hand left ki apekcha patla o gya hai aur ye abhi 1 saal se frk padna start huwa phle sirf right hand ke fingers me prblm thi jo ab wo bhi kafhi badh gy hai doctor ne MRI wagirh karwai thi bt shi treatment samjh me ny aaya aur surgery ke liye bhi mna kr diya tha mujhe samj me nhi aa rha nai kya kru kya sir mai theek ho sakta hu….pls sir aap kuch bataiye…
Mithlesh jo aapne bataya aur jo report aapne share ki hai isse cervical problem hi pta chal rhi hai.
Dost aap apni reports kisi aur neuro specialist ko dikhaye aur 2nd opinion le aur unki salah se kisi ache physiothearpist se mile, is problem se bahar nikalne ka sab se behtar option hai sahi exercise. Aap surgery ke bare mein na hi soche.
sir report me yhi hai aap pura deh le aur kuch jarur bataye.. yah 5 month ago ki hai
straightening of cervical of spine os seen.Mid thinning is seen involving of lower cervical cord (C5-C7) with prominence and enhancement of posterior epidural venous plexus (C3-D3 max thickness 6.1 mm) on flexion studies and anterior shifting of posterior dural sac on flexion. Rest of the intervertebral discs are grossly alignment and signal intensity and height. Vertebral bodies are normal in height alignment and signal intensities.
Sr me UP me raha hu sr yahan koi physiothearpy nhi hai sr aap kisi physiothearpy se contact karado please sr mere pairo me bahut dard hota aur sore me bhi kyon sr
Monu hame bhi is bare mein koi jankari nahi hai. Dost aap internet par search kar sakte hai, iske ilava UP mein kisi SCI person se contact kare vo aap ko bta sakenge. Facebook par aap SCI logo se jud sakte hai.
Good mrng sir
kamal hare
sir muje d6 to d11 non compresive myelopathy hai.
almost 4 months ho gye h n bad sore ki surgery b ho gyi h.
abi mere dono perro me movment h but ek per me thande garam ki feeling h or ek me nhi.
jis per me feeling nhi h us per me acha movment h.
n me abi excise b kr rha hu n khada b ho rha hu but walkar ke sath and walking b kr rha hu with walker. Kya aap muje bta skte ho ki me kb tk shi ho skta hu?
and dusre per me feeling kb tk aayegi ya kese aayegi ?
Kamal aap ki body mein kafi achi movement hai aap ko regular exercise ki jarurat hai. Agar ho sake to kisi physiothearpist se mile taki physiothearpy sahi tarike se ho sake. Dost spinal problem mein puri recovery kab tak milegi is bare mein kehna mushkil hai, aap se bhi yahi salah hai ki aap abhi exercises par hi focus kare.
Thanks sir
Can u suggest me ki agr me acupressure krau to usse kuch or improvement aa ske
Kamal kai logo accupressure karwa chuke hai par inse kitna recovery mili hai is bare mein abhi tak hamare pass koi jankari nahi hai.
Sir,mere nanaji bed se gir gaye the baithte time. Pehle unhe kamar dard halka tha ab unki condition hilne ki bhi nahi ho pa rahi hain. vo baith nahi pa rahe hain. Unhe hospital me admit kiya hain aur doctor ne unhe spinal compression bataya hain. Unka aur achhe tarike se kaise treatment ho aur kab tak thik hone ke chances hote hain is condition me. Please sir suggest me.
Priya ji is condition mein thik hona injury par depend karta hai, abhi ke liye jaruri hai ki sahi tretment mile aur spinal cord se compression remove ho, aap doctor salah kare aur jarurat pade to kisi duare doctor se 2nd opinion le taki sahi upchar ho sake.
sir maine lucknow me & allahabad me spieslist doctor ko dikhaya bt koi sahi response ny mila sabse vadi baat sir ki meri prbm bhut badi abhi to nahi hai bt ye kreeb ik saal se kafi teji se badh rahi hai….mere neck solder and hand me prbm badhti hi ja rhi..
Mithlesh ji jesa mene btaya ki aap kisi physiothearpist se mile aur sahi tarike se exercises kare, agar fir bhi aaram na mile to kisi aur doctor se checkup karwaye.
sir mery mother ke age 72 hae wo 15 din pahle ek seerde se gir gai the unkee reerd ke haddy d12 tut gayee had dr ne dard ke dawai aur bed rest bola hae wase wo uth bath sakte hae aage koi problem to nahe hogee calcium ke dawai aor sashe bhi le rahe hae pl.guide me
Sangeeta ji reedh ki haddi par chot lagne se body ko paralysis ho jata hai par agar aap ki mother ko ye pareshani nahi hai to ye achi baat hai kuch logo mein humne dekha hai ki baad mein pareshani ho jati hai aur kuch ko nahi, aap se yahi salah hai ki ek bar kisi dusre doctor se bhi 2nd opinion jarur le aur doctor ki salah follow kare.
Sir mere bhai KO sci hai aur wo 6 mahine se bistar pe he hai jisse unko bed sore Ho Gaya hai please ap batai Ki wo kab tak wheel chair PE baith sakte hai unko jab bistar pe sahare se baithate hai to kabhi 2\3 ghante baith lets har par kabhi unke hath pair me aithan and lagte hai ankhen palat hate hai aur kuch bol bhi nhi pate 5 min tak aisa kyo hota hai kya karo pse help.
Amzad agar bed sore niche hai aur baithne par dabav pade to yahi salah hai ki abhi na baitha jaye, dabav padne se bed sore thik nahi ho payega. Sharir mein akdan SCI mein aati hai, exxercisesw se ise kam kar sakte hai.
Sir sci ka patient kab tak nhi baith sakta une kyo baithane par daura padta hai pls help bahut tension hai pure family ko
Amzad kafi samay tak lete rehne ke bad jab baithte hai tab chakar aane lagte hai, par nirantar pryaas se ise door kar sakte hai. Aap dhere dhere practice kare, shuruaat mein 5 minute baithe fir dhere dhere samay badhaye.
Sir meri backbone me compression fracture hua that 15 sal pahle uske bad mere 2 babies hue koi problem nahi hui . mera weight 85kg hai ,height5 ,2hai ab mere thoda pain hota hai backbone mei koi problem to nahi hogi in future
Srishti ji ho sakta hai abhi ye pain kisi aur wajah se ho aur ye bhi ho salta hai ki purani chot ki wajah se ye dard hone lga ho, aap kisi doctor se mile aur checkup karwaye taki pain hone ka sahi karan pta lag sake, tabhi aap iska sahi treatment kar sakengi.
Sir par unke pure sarir me aithan kyo hoti hai baithane par ankh bhi palat jati hai bol nhi pate kaise koi daura padta Ho kya ye sab sci se hota hai
Amzad spinal cord injury hone par body ke motor functions aur sensory functions par effect padta hai jis wajah se injury ke niche wale hisse ke signals brain tak nahi pahunch paate hai jis wajah se body mein reflexes aane lagte hai, jise hum stifness, spasticity aur akdan ke naam se jante hai.
Dost aap ek bar doctor se mile aur bola na pana aur ankh palatna in chejo ke bare mein discuss kare.
Thanks Sir
Sir me age 23 mere reed ki haddi jhuki hai jub 5,6 saal ka tha to giraya tha jub se aisi halt hai Sir mujhe chalne me pitt me aur sine me takleef hoti hai
Sir reed ki haddi ko siddha karane ka koi ilaj hai?
Umar aap kisi physiothearpist se mile aur salah le.
Sir rubeena ke spine me tumor tha uska opretion karana pada opretion hone ke bad hath pair shi se kam nhi kar rhe hai na उठ बैठ pa rahi hai kiya ye shi ho payegi 22year ki ladki hai abhi uski shadi bhi nhi hui hai kiya kiya jye sir bhut problem me hai
Rubeena ji humne is baremein is lekh mein bhi likha hai, spinal cord ki surgery mein paralysis ki problem aa jati hai, isse bahar nikalne mein physiothearpy bhut helpful hogi, kisi physiothearpist se mile aur sahi tarike se exercises kare.
Sir maine acche neurologist dikha hu unone kha ki MRI karo our unone MRI deha our kha ki zada problem nhi hai bus l1,l3,l5, mai compression hai bola our medicin de our kha ki thick hoga per mai thick nhi hua to mai second time gya Maine doctor se kha ki sir much imprument nhi hai our kha ki mare hato pairo me zunzunahat hoti hai to unone muze physiotherapy k liye kha Maine physiotherapy wali madam ko mare MRI report dikhaya to unone kha ki appki prob thodi serious hai app k nick porshan mai l1 l3,l5 mai to compression per muze c7 mai bhi compression dikh RHA hai sir Maine 15 din physiotherapy kiya our excise bhi kiya per kohi imprument nhi ho RHA hai mera sir dhere dhere body ka sensesion khatam ho RHA hai Kay bato sir jaldi
Ajay is problem se recover karne ke liye aap physiothearpy kare aur agar ho sake to kisi dusre doctor se mile aur 2nd opinion le.
Sir mare problem serious hai aapko Kay lagta hai bto sir mera sarier kamjor ho rha our sikudta ja RHA hai mera sensation bhi dhare dhare khatm ho RHA sir roj yoga karat hu our waking kar RHA hu sir maine physiotherapy 15 din kiya bad me madam ne nhi aane ko kaha sir mai jab physiotherapy karta tha tab muze khmjori nhi gati thi par abhi mai bhot kamjori mai sus kar RHA hu sir mare pahle jaise takat wapas aye GI Kay treatment k bat our sir kuch execise bato muze
Ajay hum aapki pareshani ko smhj sakte hai par dost aap khud hi bta rhe hai ki jab aapki physio chal rhi thi tab aapko kamori nahi thi. Ajay spinal cord aur brain se judi pareshaniyo se niklne ke liye physiothearpy sabse jaruri hai.
Hi sir mai spinal cord injury patient from last 5 months on bed . Aab mere legs apne app movement karte rehte hai wo kya reason hai specially at night mere legs edhar udhar move krate hai Jo ki mai nhi karta khud apne aap hoye hai Ye acha sign hai ta bad pls tell me
Karan pairo ka apne aap hilna sharir mein spasm (akdan) ki wajah se hota hai jo SCI patients mein ye samasya hoti hai par ye acha nahi hai, aap regular exercises karke ise kam kar sakte hai.
Sir t1,t2, weighted & STIR sequence in multiple planes on 1.5 Tesla MR scanner ka matlab Kay hota hai sir bato sir muze
Ajay iski sahi details to aapko doctors hi bta sakenge aap kisi neuro specialist ko report dikhaye.
Hi
I am javed ashrAfi
Sr mera accident 15.1.2015 ko huwa tha aur carvikal c5 tut gi the aur c4.5.6.7 buljing huwa hy pr oppression 6.2.15 ko huwa hy àbhe Raith hanth aur payr pr kam pawar hy aur urine control nhi hota aur bar bar hoti hy aur kabz bhe ho gi hy plz kuch ilaz bato
aved spinal injury ki wajah se patient apne bowl aur bladder ki power kho deta hai is wajah se ye samasya aati hai, doat aap apne khane pine mein reshedar cheeje khaye taki pet mein kabz na ho, uske ilava kabz na bne iske liye aap isabgol ka sevan bhi kar sakte hai.
Sir mere right shoulder bohot dukh ta hai yoga karte time sir mera shoulder tuta hoga kay our sir MRI me d12 injury Bhi hai sir doctor kuch thick suggestion nhi de rahe hai physiotherapy vali madam ko Maine puch to kaha ki app ki problem thodi serious hai our body p lal lal funci ho rhi hai sir abhi hato pairo mai khub zunzunahat horhi hai Kay muze lakhwa ho sata hai sir abhi to chalta hu bike chala hu sub kuch karat hu per sir shoulder pain our back pain hota hai problem k liye plz sir kuch bato sir
Aay agar ye sirf manko ke dabav ki wajah se hai to ye physiothearpy se thik ho jayega, dost aap kisi neuro specialist ko apni report dikhaye aur salah le taki kisi bhi tarah ki pareshani se bacha ja sake.
Sir mera 14 June ko accident hua tha jisme mere c4+ c5 disc subluxation or disc located hua tha doctor ko dikhane par unhone 6 week ka rest bataya tha ,. Baad me dikhe par some exercise batai thi. Abhi 20 dino se meri reedh ki haddi me gerdan se niche dard hota h bina Sahara liye baithene par . Or mujhe kya kya sawdhani bartni hogi
Amit aap kisi physiothearpist se mile aur is bare mein puri salah le.
Sir stem cell therapy ke bare main batana
Iske results kya hai
Yeh krwani chahiye ke nhi
Satpal ji abhi stem cells under research hi hai, abhi tak spinal cord ke patients ko isse koi aesi recovery nahi mili hai jisse vo thik ho jaye, kuch logo ka sensation jarur behtar hua hai.
But sir Neourogen hospital bombay main kaffi patients ki recovery hui hai. 3to 6 month maim
Satpal ji jo information hamare pass hai vo humne aapke sath share ki, hum aapko yahi salah denge ki stem cell treatment ke bare mein sochne se behtar hai ki aap physiothearpy par dhyan de.
is there any medicine is pain in back of a spinal cord injury patient
Neha for any medicine in spinal cord injury please consult doctor.
Sir mera 20 may ko accident hua tha aur D7 and D8 me compression fracture tha aur 3 month bad fir se MRI karai to fir se report me compression fracture aya .as per dr compression kabhi thik nhi hoga .aur me tab se rest kar rha hu muje sensation aur movment me jyda problem nhi he .kya in future ho sakti he koi problem ? Aur ab 5 month ho gye he kya bike chala sakta hu ab? Ya aur rest kru ?
Shubh ye sab to aapko doctor hi thik se bta sakte hai, aap apne doctor se dubara consult kare aur ye bhi jane ki future mein koi patreshani na ho uske liye kya karna hoga.
hlo sir my name is sandeep, 4 saal pehle mera accident hua tha jis se meri spine ke cervicle c5 c6 injured ho gye the,sir PGI chandighar mera opretion hua or doctors ke instruction the ki me thik ho jaunga lekin sir pichle 4 saal se me weelcheir pe survive kar rha hun ,pls sir tell me about that what i do for rehebilitation of tha body once agion.
sir mere hath or tango(legs) me ajib tarike ki jhanjhnaht or current chalta rahta hai at 24 hour or kabhi kabhi tango me jhatke lagta hai.sir plz btayen me kya krun ki phir se chal phir sakun.
Sandeep spinal cord injury hone par physiothearpy ka role sabse bda hota hai, aap exercises par dhyan de aur kisi physiothearpist se consult kare taki aapko sahi rehablitation mile sake. Hatho aur pairo mein jhanjhanahat hona aur jhatke aana SCI mein hota hai jise exercises se kam kiya ja sakta hai, iske ilava aap facebook par dusre wheelchair users se contact kare unke experience aur knowledge se aapko sabhi sawalo ka jawab aur solution milega.
sir electric stummilation or jhanjhnahat kya ye mre liye positive symtums hai?kis tarh ki exercises kre sir taki me jaldi uth saku.wese mere papa har joint ko movment dete rhte h.
Sandeep jhanjhanahat SCI patient ko hoti hi hai ise positive sign nahi keh sakte, aap active aur passive movements kar sakte hai…active mein aap khud exercise karte hai aur passive mein koi aur help karta hai. Iski sahi aur puri jankari ke liye aap physiothearpist se consult kare.
sir kya jitni jayda exercises hogi utna hi jaldi fayda hoga?
Sandeep exercises ka role kafi aham hai par jada exercises itni jaruri nahi jitna exercise ko sahi tarike se aur regular karna jaruri hai.
Hello sir,
I am Vinay.
Mere gao me ek 22 sal ka yuvak hai uska nam Vishal hai 10 month pahle uska tracter se accident (spinal cord injury) Hua hai tabhi se vo chalne me asamarth hai sirf ded par hi rahta hai, uske father farmer hai aur kafi garibi ka samna kar rahe hai.
Kya aap uski koi help karsakte hai , kya karwa sakte hai .
Plz sir ho sake to much help kijiyega ya koi rasta bataiyega.
Thankyou.
Vinay aap facebook aur google ke jariye aesi foundations aur trust se connect kar sakte hai jo disables logo ki madad karti hai, iske ilava aap letter likh kar sarkar se bhi madad mang sakte hai. Aap hame apne gaav ka naam bhi bataye.
मेरा c5, c6 छतिग्रस्त हो गया है। क्या इसका कोई इलाज है।
Shiv ji abhi tak iska koi treatment nahi hai aap exercise karke hi recover kar sakte hai.
Sir mera accident 25 jun ko hua or mere rir ki hadi d11 or d12 ka surgery hua hai mera pair kaam nhi krta hai or urine hota hai to pta nhi chalta hai
Sir pheagiothoropist hota hai filhal mujhe uss se bahat fayada hau hai mera pair ka nichla hisa yani panja kaam nhi kr rha hai koe upaye bataea jis se vo v jaldi thik ho jye
Avi to filhal thora chal leta hu diwar pakar k
Koe ahacha upaye btaea jis se mai jaldi thik ho jau
Dost exercises ke ilava aesa koi upay nahi jo aap ko jaldi thik kar de, aap ko physiotheapy karne se fayda mil rha hai aap ise regular karte rahe.
Dear sir,
Meri mother ka 11-10-2016 me road accident hua tha. Accident me per or kamar me fracture or hath ki 2 fingure kat gyi.
Hame Jyada tention kamar ki hai. Doctor ne MRI karaya tha report me ..
Compression fracture and marrow edgema in D1, D2, D5, D6, and D12 shown h.
Doctor ne bataya h ki apke pas 2 raste h
1. Operations
2. Normal treatment
Operation ke liye doctor bol rahe the ki operation k fayade bhi h or nuksaan bhi kyuki bhot se case me aisa hota h operation k baad patient k hath per kam krna band kr de. Or filhal mummy k hath per proper working h lekin ek hath me jyada chot lagne ki wajah se usko uthane me dikkat aati h.
Doctor mummy ko 2mahine bilkul bed se uthne ya bethne k liye mana kiya h.
Kamar or gardan ki support ki liye doctor ne Ortho cel belt banwa di h.
Sir plz bataye mummy is tarah thik ho jayegi ya name operation krwana hi padega.
Regards
Sarjeet verma
Sarjeet reedh ki haddi ke operation karwanne par chances hote hai ki body ko paralysis ho jaye aur hath pair kaam karna band kar de. Dost agar bina operation ke agar iska ilaj sambhav hai to operation na karwaye, aap iske liye kisi dusre doctor se 2nd opinion jarur le ki kya bina surgery ke treatment ho sakta hai.
Sir doctor ne mummy ko complete 2 month bed rest bola hai is doran wo na to uth sakti hai or na hi beth sakti hai. Jaisa ki apne spinal cord injury ke bare me likha hai. Kya is type ke treatment me mummy water or air mattress ki jarurat padegi.
if yes so please suggest mujhe water mattress lena chahiye ya air mattress better rahega.
Dost complete bed rest mein normal mattress par sone se bed sore hone ka khatra rehta hai isliye water ya fir air mattress ka paryog karna padta hai, water mattress ka paryog behtar hai par kyuki abhi sardiyo ka mausam aa rha hai to iska paryog bahut hi sawdhani se karna hoga, dost aap koi bhi matress lene se pahle ek bare apne doctor se 2nd opinion jarur le.
Sir mjhe asi prblm thoda shi ho jate h.to smoking drink gutka vegrha hmesha k lye chodna padta h
Dost ye sab nashili chije body ki muscles kamjor karti hai inke sevan se dur hi rahe.
sir mere sine aur rid me karib 1 saal se dard ho raha tha mri karane par pata chala hai ki tb hai jisase d6 and d7 me mawaj ban gaya hai. is se mere ek pail thora kam kaam kar rha hai Dr. ne tb ki dawa de kar complite bed rest kaha Wahi dusre
Dr. Ne operation karne ko kah rahe the mai kya karu agar dawa thik ho jata hun to bad me koi paresani to nahi hogi na so plz help me
Satya ji reedh ki haddi ke operation mein body ko paralysis hone ka khatra rehta hai, dost aap kuch aur doctors se mile apni report dikhaye aur opinion le agar bina operation ke iska ilaj sambhav ho to behtar hai.
sir mera naam rajat hai. mera 10 oct ko accident huya jisse spine fracture ho gya 5 se 7 manke tut gye. abhi meri surgery huyi to bleeding ki bjah se puri ni ho payi 5 or 6 ka huya bas. operation k baad ab mere legs apne aap hilte hai kabhi kabhi or pet se niche pure sun body mai current jaisa rehta hai. kuch btye iske bare m aisa Q hone lga. kya j theek hai. m chal paunga kbhi.. pls anwser jldi dena sir
Rajat legs ka apne aap hilna akdan ki wajah se hai ise aap exercises se kam kar sakte hai. Dost is in jury mein recovery physiothearpy par depend karti hai isliye exercise par dhyan de.
I am rajesh kumar from kaithal haryana. meri kamr pr lgbhg 13-14 sal pahle chot lgi thi. hm ramlila manch pr ek natk kr rhe the mai usme teache ka rol kr rha tha aur apne pichhe pant me ek dnda chhupa rkha tha. drisy anusar jb mai baithna chahta to ek bche ko mere niche se kursi khichni thi. aur vaisa hi hua mai dnde ke sath dhdam se gira aur bahut pain hua. bt natk comedian tha isliye mujhe jldi hi uthna pda. us vkt bahut drd hua 2-1 din drd rha. bt kbhi bahut tej drd nhi hua. ab bhi tej pain to nhi hota bt hmesa thoda drd rahta hai. bahut jyada der tk jmin pe baith nhi skta. mujhe kamr me nichle hisse me drd hai. kripya kuchh upay btaye jis se aaram ho. dhnyvad
Rajesh aap kisi neuro specialist ya physiothearpist se consult kare.
sir mera D5D6 fracture hai. koi serious enjury to nhi hai ja normal hai.. mera chest k niche sensation nhi hai. operation hona hai abhi Monday ko. btayo sir details d5d6 ka
Rajat injury kitni serious hai ye spinal cord par impact se pta chlta hai jo doctor report dekh kar hi aapko bta sakenge.
kya sir operation k baad thodi bhut movement hone lgegi
Rajat ye depend karta hai ki spinal cord par kitna asar pda hai, physiothearpy aap ko recovery karne mein madad karegi. Aap upar article ko aur yha likhe hue comments bhi padhe aap ko spinal cord injury se judi aham jankari milegi.
hello sir.. mera 12 Aug. ki c- section hua tha nd 14 Nov.ko road accident ho gya tha. jiske Karan mera ek vertebrare press ho gya hai. plz kya app muje jldi aaram aane k kuch tips bta sakte ho. dr. ne mujhe bad rest recommend ki hai . lekin abhi tak kuch jyada aaram nhi aaya
Kamal aap kisi physiothearpist se consult kare aur salah le vo aap ki reports dekh kar aapko guide kar sakte hai.
hii sir my self Mukul keer I m from chittorgarh Rajasthan
sir mera accident 11.10.2015 ko hua tha ek car accident tha usme mere C5 &C6 me nerve compression aaya h usko operation se vaps shi kiya h abhi me chl fir nhi skta or abhi hath me recovery aayi h BT wrist n finger me nhi or pav me hlka movement h ab kya kru sir btaye
Mukul aapko recovery mil rahi hai aap exercise karte rahe aur ho sake to kisi physiotnearpist se bhi consult kare taki aapki exercises sahi tarike se ho sake aur achi recovery mil sake.
Govind sir 2005 me mai 17 feat uche PED se gir gya right site hip me chot lgi thi jo us samay dwa huwa thik ho gya . Ab 2013 se mujhe bar bar tayfyd ki shikayt hone lgi lgbhg 6,7 mahine pe doctar bole ki pani ke wajah se ho rha h . 201 4 me jb bhi tayfyd hota tha back me thanda lgane lgta tha 2015 me back me dard hone lga MRI karwane pe pta chala ki s1 se l5 me disk harnition dwa chala kuchh aaram Mila lekin is samay 2016 ke 9 we mahine se dard jyada rahne lga 11 mahine me fir se MRI karwaye to l4 l5 me specs nil ho gya h aur s1 se l5 wale right side nil ho gya h . Aur iske alawa hip me jaha chot lgi thi waha chubhan ke sath dard rhta h hmesha . Aur jb bhi badal lgte h hme bhukhar aur susti ho jata h aur khana khane ke bad sir bhari ho jata 3,4 ghante tk . Sir please help me sir
Dost aap kisi physiothearpise se consult kare aur salah le.
sir physiotherapy chl rhi h aaj muje chlaya h mera right per hlka hlka uth RHA h .or me wheel chair p bhot der tk betha rhta hu ..sir ab mere right per me movement left me utna nhi h PR hlka movement h ..ab kitna time lgega
Mukul thik hone mein kitna samay lagega ye to injury ke effect aur aapki mehnat par depend karta hai. Dost spinal injury mein recovery dhere dhere hoti hai aap ko movment mil rahi hai aap apni exercise continue kare.
Sir plz mere kuch madat kijiye
Mera naam sk.shakeel hai mera ek bhai hai uska ladai me talwar se chot aai hai to spinal cord ka surgery hua hai opration ke pahele to left haath aur left pair kaam nahi karta tha par abhi thodi movement hai haath me bhi aur pair me bhi to sir kitne din lagengge use thik hone me
Dost spinal cord injury ke bare mein aap upar padhe, abhi jesa aap bta rahe hai recovery milni shuru ho gyi hai to aap se yahi salah hai ki apne bhai physiothearpy ache se karwaye. Unhe thik hone mein kitna samay lagega ye kehna thoda mushkil hai kyuki ye depend karta hai ki spinal cord par kitna parbhav pda hai.
Sir me bahut sale pehle zeene se phisal gaya tha tab se mere kaafi dard rehta h niche ki side hath lagane se dard nahi hota h andruni h
Sam aap doctor se consult kare aur checkup karwaye taki agar andruni koi chot hai to uska pta chal sake.
sir mera name hariom soni h sir mera accident bike se 4 year pahle hua tha tab mai chal nahi pata tha dr. ne 3 month only bed rest hi bola tha na baithna or na palti lana fir maine exercise kar ke chlne laga or mera hath bhi nahi uthta tha uthao to gir jata tha aaj vi bhi thik ho gaya h par sir mete c8 d1 ki nash mai injury hai jiske karan right hand ki muthi nahi band hoti h mai likh nahi pata mause bhi click nahi ho pata sir kuch batiye mai kya karo exercise bhot karta hu par ab recovery nahi ho rahi h mai bhot dukhi hu
Dost aapne kafi improvment kya hai aur haath ki recovery bhi exercise se hi milegi, hath ki exercise ke bhut se tarike hai jise gripper aur soft ball use karna, aap kisi physiothearpist se mile aur hath ki exercise ke aur tarike jane.
sir doctor ne bola ki veins cutt gyi hai., to kya veins apne aap reconnect ho jati hai. muje d6 fracture hai.
Rajat spinal cord cut jane par reconnect nahi hoti hai, jada jankari ke liye doctor se discuss kare.
Sir..mera naam Parag hai .mere papa ka 1&1/2 year pahele head& neck cancer ki surgery hue thi.Lekin aab 4 month pahele WO cancer spread hoke spine me gaya hai jise chalte unka d12 l1 fracture hua tha.fir ek surgery karke usme rod fixed kiye they .Lenin aab for se durd shure hone ki waja se docter me pass gaye the to unone MRI nikalne ke liya bola usme for se fracture bata rahe or unka leg movement much bhi nahi sirf sensation hai or urine pe control nahi plz kuch answer baitay
Dost aap is bare mein doctor se hi salah kare vo bta sakte hai ki ab kya karna chahiye, treatment se pahle aap kisi dusre doctor se 2nd opinion bhi le sakte hai.
Bhai d5 d6 h koi moment nhe h
Rahul aap upar article aur likhe hue comments padhe.
Sir.. Mera 4th july 2016 ko bike se accident hua thaa. Accident me mera c7 damage hua thaa Dr. Uday Pawar (mumbai.) Ji ne mera operation kiya tha unhone kaha ki jo cord he vo 75% to 80% damage ho chuke he.
Operation ke bad 15 days me hilnahi paraha tha iske vajahase muze bed sor hua.
Or muze kamar ke nichese per ki ungliyo tak kuch fill nahi horaha he or per hil bhi nahi rahe he.
Physiotherapy chalu he but koi improvement nahi horahi he.
Toilet or bathroom hotahe to bhi muze pata nahi chalta.
But muze ye fill hota he ki mere dono pero me andar se continue vibration horaha he or mere per bich bich me automatic hilte he.
So kya me life time bed or wheelchair pehi rahunga…?
Agar apke pas kuch solution he to please muze help kare jisse me phir se chal saku.
Please help me…
Atul spinal cord injury se recover karne ke liye abhi tak koi effective treatment nahi aaya hai, aap physiothearpy kar ke hi recover kar sakte hai. Aap ke pairo mein jo vinbrations aa rhi hai ya fir jhatke aate hai vo spasticity ke karan aati hai aap regular exercise karke ise kam kar sakte hai. Dost mumbai mein aese bahut se log aur foundation hai jo spinal injury peoples ko guide karte hai aap unke bare mein search kar sakte hai.
Sir mera naam mohammad zuber hai sir mera 2 mahine pahle car accident hua tha jhatka lagne k karan mere reedh ki haddi me bich ka manka dab gaya Dr ne kaha that 2 mahine rest karo rest karne me baad bhi mujhe kamar dard hota aur sir mai zyada der baith nahi sakta sir aap mujhe aaram ka tarika batayena please
Dost aap doctor aur physiothearpist se consult kare, kyuki 2 mahine rest ke baad present conditions ko dekhte hue doctor aap ko behtar bta payenge.
hi sir mera naam gaurav h mai 2 month phela ek 10 12 fut uchi chat se kudh gya tha jeske karan mare Read ki haadi ki l2 db gyi h doctar ne bad reast bataya tha 1 month KA WO MENA KR LEYA Ab muje na hat mai or ma pero mai koi problam h mai chal skta hu bath skta hu hr km kr skta hu mauj ye janna h ki muje aage koi problam to ni hogi abi kabi kabi chast mai or back or kamar mai pain hota h plz help me
Gaurav 1 mahine ke bed rest ke baad aap doctor se consult kare vo aapki present condition dekh kar aapko sahi se bta payenge.
Sir mera name ashish tiwari sir hamara accident 22 aprail 2016 ko huaa tha jisme t7 haddi toot gayi thi sir hame bed sour ghav adhik ho gaya hai jab baithe hai to jalan bahut hoti hai sir koii dawa bataye please sir help me
Ashish bed sore thik karne ke liye sabse pahle jaruri hai ki ispar pressure na aaye, agar aapke baithne se bed sore par dabav aata hai to baithna band kare, iske ilava khane pine mein bhi healthy cheee khaye jisse ghav aldi bharne mein madad milegi. Medicine ke liye aap doctor se consult kare.
hello! sir mera name rahul kuswaha hai me 21 sal ka hu. sir mere road acident me c3 crak hi aj 8 month ho gaye bed rest karte karte
.sir pehle pura sarir kam nhi karta tha par ab
hath chalne lage aur per v hilne lage. par chlte nhi banta
sir ap bata payenge ki muje aur kitna time lagega plz sir
Rahul kitna time lagega is bare mein kehna mushkil hai par aap ki recovery achi ho rhi hai aap continue exercise karte rahe.
sir hath aur per me jhatka sa lagta hi. aur rat ke time somay v ese jhatke kyu lagte hi.
Sir mera d12 fracture ho gya h.1year pahle
Foot drop ho gye ha kya y sahi sakte h ya bhi .physiotherapy continue chal rhi h
Laken foot drop hi h.sahi ilaz bataye
Mera naam VijAy h
Age 34 year
Aur kya 1 year baad Jo foot fracture hua Tha no us time operate bhi hua Tha kya ab foot operate ho sakta h.aur kya mare foot drop. Kabhi sahi ho paynge ya bhi.
Meri age.34 year
My name .vijay
Vijay foot drop ki recovery physiothearpy se hi hogi aur ye thik ho payega ya nahi ye kehna abhi mushkil hai. Aap physiothearpist ki salah se foot ko support karne ke liye AFO banwa sakte hai, isse foot ko support milegi.
Sir mere husband ka car accident hua 24 december 2016 ko unki reed ki haddi mud gyi h c6,c7 unke hatho mai movement h lekin pet ke niche ka hissa kaam nhi karta unki exercise chal rahi lekin pero mai garam thanda mahsus hota kya mere husband chal payenge
Neeru ji aapke husband thik honge ya nahi ye injury ke effect par aur recovery par depend karta hai. Recovery ke liye physiothearpy par focus kare.
Sir mera accident huye 5sal ho gya h mere pair patle ho gye h but mai joota pahan ke thoda bahut chalta v hu kya mere thik hone ka koi chance hai ya nhi open btaiyega plzzzzz
Ankit ye to aap ko doctor hi behtar bta sakte hai.
Sir mere bhai ka accident bike se huwa 3 mahina phle D12 pe choat lg gya kamar ke niche kuch v kam nhi krta hai delli oppolo me surgery huwa lekin ab thoda thoda pair ka ungli hilta hai sir plz btaye kya chances hai aur kaise thik hoga plz help me
Dost recovery ke liye regular physiothearpy par dhyan de aur kitna recovery milega ye injury ke effect par depend karta hai.
Hi Sir my name Mahendra he.mera 17 months pehle car accident huva he jiske karan spinal code c4 c5 me chot aayi he..pehle pura boby block ho gaya tha par ab thoda thoda movement he.pehle haath ya per kuch bhi movement nahi karta tha but ab movement he thodi si hath me greep nahi kuch pakad nahi sakta or pura body jatko k karan tight ho jata he..kya iska koi upai he kitne chances he required hone k..
Body mein jhatke akdan ki wajah se aate hai jinhe exercise se kam kar sakte hai, hath ki grip bdhane ke liye aur recovery ke liye physiothearpy par dhyan de.
Hii sir, am Rajat 25 yr age old. D6D7 fracture 23Nov ko surgery huyi hai. phle chest tak pta chalta tha but ab kamar tak sensation aa gya, mai j janna chahta hu ki sensation ruk b jata hai ja ab start ho gya to chalta rehega. physiotherapy continue chal ri hai . according mri 25 %nerves judi huyi hai. pls rply
Rajat sensation aur movement ka aana injury aur physiothearpy par depend karta hai, aap ko recovery mil rhi hai exercise regular karte rahe.
Sir I m VijAy
Spine fracture hua tha d12 fracture ho gya Tha. Foot drop h dono pair ke.
Physiotherapy chal rhi h .l year se koi fayda nhi h.bus itna hua h ki pahle pair sukh rhe the an sukh nhi raha h.
Laken sabse badi samasya foot drop h.medicine bhi le raha hu.neurosurgeon se koi fayda .
Foot drop m nahi ha
Stick se chalta hu . air
Kabhi bhi kahi bhi
Gir jata hu
Laken foot drop hi ha.
1 year pura ho gya ha.sir kya kabhi mere foot drop sahi ho paynge ya nhi.
Ya kabhi kisi person k foot drop ho gye ho .aur bo sahi hua ha kya ya kabhi sahi hote hi nhi ha ma bahut pareshan hu
Plz bataye
Vijay doctor aur physiothearpist aap ko in sawalo ka sahi jawab de sakte hai. Dost foot drop rokne ke liye ek AFO milta hai jise pehane se foot ko support milti hai, aap physiothearpist se is bare mein aur jankari le sakte hai.
Sar mai ajis shaikh hu mere spainal kord me chot lagne se kamar ke niche or pair kaam nahi karte me wakar or pair mai कैलीपर pehen ke chalta hu or din mai 3 baargym karta hu or muzko aaram milta hai lekin mai puri tarha kab thik ho jaun ga sarr
Ajis ji aap puri tarah thik ho payenge ya nahi ye to aap ki injury par depend karta hai, aap exercise karte rahe.
Sir
Spinal code injury (incomplete injury)
Ka recovery time kitna hota ha
Vijay revovery time injury ke effect par depend karta hai.
sir mera nam sumit hai my jharkhand ka hu mera accident may 2015 hui thi or kamar se niche sunn ho gaya doctor ne kaha operation se jaldi thik hoga but operation 2 month bad kiya 9mahine ho gya exercise vi hota h par vi koi movement nahi h koi upay bataye
Sumit regular exercise karne se hi recovery mil sakti hai.
Sir’namaste do sal pehle kitchen mai slip ho ker gir gayi thi us samay to aisa kuch pata nahi chala bus thoda sa pain hua tha.lekin six month pehle achanak kamar dard hua.dr ko dikhaya x ray karwaya or halka sa slip disk ka problem bataya.ab kabhi kabhi kamar dard hoti hai period time mai thoda jyada dukhta hai.per sir tabhi se agar mai jyada der baithti hun to reedh ki haddi ka last point per bahut dard hota hai.bathne ke bad uthne mai bhi bahut pain hota hai.jyada duri travel bhi nahi kr pati hun.bahut dukhta hai.meri age 48 yrs hai .please suggest me mai kya kru.ye acha hoga ki nahi.thanks
Seema ji agar sahi tarike se ilaj karengi aur kuch baaton ka dhyan rakhengi to ye thik ho jayega. Aap bhari saman uthane se bache aur physiothearpist se mile ve aap ki reports dekh kar aapko ache se guide kar sakte hai.
sir’ mera nam prachi h mere bhai ka accident 8 septembr 2016 ko hua tha sir uski spine me T-8 & T-9 damage hui thi jiske karan lal bahadur shastri medical colg me 23sep ko uski surgery hui ab wo apne pairo ko mahsus kr pata h ar kbi kbi apne pairo ki ungliyo ko move kr pata h injury ki vjah se uske pair bilkul ptle pd gye the ab pairo me growth hua h ar pairo ko toch krne pr wo feel kr pata h … sir mai yah janna chahti hu k abi uski recovery me kitna tym lgega
Prachi ji spinal cord injury mein recovery hona injury ke effect aur mehnat par depend karta hai, recovery ho rhi hai ye achi baat hai abhi physiothearpy par jada dhyan de.
Sir. I am vishal choudhary my 23yr ..Mera accident hua tha 14sep 2016 ko 5month phele mare c6.c7 ma injury hue ..jisse paraplagia hua…. uske baad maine lst month stem cell krayi mumbai ma par abhi koi moment nhi..h…. exercise bhi daily krta 2 hours pr chakar ate h…. koi or treatment h …mari un complete injury h
Vishal abhi tak stem cells se treatment research mein hi hai abhi tak isse kuch results nahi mil paye hai, kuch logo ko sensation mein farak njarur dikha hai. Aap regular physiothearpy karo dhire dhire chakar aane band honge aur recovery mein bhi help milegi.
Sir i am vishal . Sir m ye bhe puchna chahta hu ki mere incomplete injury h kya m chal bhe skta hu plz tell me
Vishal incomplete injury mein recovery ke aasar jada ache hote hai aap regular exercise kare.
Hello sar mera naam Ranjeet hai or mera injury 10/11/2014 ko huw tha or mera level L1 complete injury hai to mera kuch sudhaar ho sakta hai ya nhi….plz
Dost aap upar likha hua article aur comments padhe aapko puri jankari milegi.
Sir khi na khi or koi na koi to treatment hoga… sir regular exercise kr rha hu kuch improvment nhi h… pls help
Vishal spinal cord injury ka treatment abhi tak under research hi hai.
sir mai jab sir ko pichhe ki or krta hu to mere kandhe ke paas hatho ke joro me dard krta hai or pith ke paas ke ridh ki haddi me v dard karta hai…
or dono hatho ke muscles tak naso me khichao hota hai or bahut h teji se dono hatho ke fingers tak jhanjhanahat v hoti hai….
haddi ki doctor se dikhaya or nas ke doctor se v dikhaya lakin faida nahi ho raha hai…..
samajh nahi aaraha kya karu ye dard or khichao mere body me load parne se hua tha jo aaj 1 mahina ho gaya lakin abhi tak thik nahi hua…
Aap koi bhari cheej uthane se bache aur kuch din jada sharirik mehnat wala kaam karne se bache, iske ilava kisi physiothearpist se milkar salah le.
Hello Sir! Mere bro ka accident hoa hai recently 20 Feb ko.. Uske hath to thik kam krr rhe hai.. Mgr pairon me sirf sensation hi pta Chal paa rhi hai Abhi.. Dr bol rhe hai ki unki Reed ki haddi Ke manke Ke niche nurve dab gye hai.. To unhone patta aur khich Dali hai.. Taki vo nerve Uper aa jaye.. Vo keh rhe hai ki operation ki jrrort nhi hai.. Time lgge ga aur vo thik ho jayega..lakin m bhut fikarmand ho Uske liye.. Kya Aap bta skte ho ki unki injury kitni serious hai aur thik hone Ke chanses kitne hai. Thank you
Aman ye problem kitni serious hai ye to spinal cord par aaye pressure aur treatment par nirbhar karta hai, kisi bhi pareshani se bachne ke liye aap kisi dusre doctor se milkar 2nd opinion jarur le.
sir am Rajat Kaushal. only physiotherapy se hi sci patients ko recovery milti hai. physiotherapy mai esi kya cheez hai jisse ki spinal cord injury mai recovery mai fyada milta hai.
Rajat physiothearpy mein active passive exercises hoti hai, sahi jankari ke liye kisi physiothearpist se contact kare.
Sir urine bhi cntrol nhi h pta chal ta h iska koi ilaj to bta do… sir
Vishal spinal cord injury mein bladder aur bowel program par bhi effect padta hai.
sir mere kamar me chot bahut din pahle lagi thi 2014 me tab kamar me dard hua karta tha .kuchh din bad thik ho gaya . magar us samay kuchh problume aa rahi thi pesab me aur latrine me .latrine hoti nahi kafi time baithna padta hai tab hoti hai .urine pata nahi chalta vo ruk jati hai .aur jab peeth me dard hota hai to pata chalta hai ki pesab lagi hai .tab jana padta hai .vo bhi bahut der se utarti hai .ye problume pahle itni jyada nahi thi ab jyada ho gai hai . pahle itna mahsoos nahi hua hamko laga ki aise hi hai .sir jaldi bataiye kya ye thik ho sakta hai . ab bahut problume hai kyoki left kedny me stone bhi ho gaye isi wajah se .
Ashish kamar mein chot lagne ki wajah se aapki spinal cord par effect pda hai jis wajah se aapko ye samasya aa rhi hai. Aap spinal specialist doctor se mile.
Sir,stem cell trophy ,spinal cord injury ke liye thik hai ya nhi plz mujhe eske bare me knowledge chahiye
Dost abhi tak stem cell treatment se spinal cord injury ke logo ko result nahi mil paye hai, ye abhi tak research mein hi hai.
Sir mera spinal cod L1 facture huo hai or me 8fit ke diwal par se gir gaye the or me 22 sal ka hu. Gira huo 1year ho gaya hai. Abhi hum exercise karwa rahe hai fehle se thora thik hai lekin abhi bhi mera dono per ka ungli kaom nahi kar raha hai. Lekin hum wakar se chalte hai or dono per ka tarwa kam nahi kar raha hai or letring sahi tarah se nahi hota or pesab vi ruk ruk ke hota hai kya sir thik ho sakta hai mera
Manish rehular exercise karne se hi pairo ki ungaliya aur talve mein farak pad sakta hai.
Hi.sir i am vishal sir spinal injury ka accupreesure ya acupunture sa ilaj ho sakta h… iska koi side effect to nhi h…
Dost abhi tak hamare pass aesi koi jankari nhi jinhe accupressure aur accupuncture se fayda mila ho.
Sir koi to ilaj batao jindgi kya aise hi kaatni pdegi sir…
Sir meri mummy jinki age50 hai unki report me degenerative changes are seen c1-c2 level interbeErtable space are seen c3-c4andc4-c5 ye kitna chintajanak hai
helo sir me prachi.. sir mai apse pahle iss bare me bat kr chuki hu… sir mere bhai ka accident 8 sep,2016 ko hua tha jisse t8 facture hui thi.. t -9 pe bbi injury ka effect pda h.. sir abi pahle se to improvement h… sr uska cathatr 3 march ,2017 ko nikl gya ab usko toilet ho jati h tym se but toilet me sensation ni h ar sir ab jb uske pairo me hlka sa nail lgao ya pair sahlao to pair hilne lgte h ar raat me sote wqt mrng tk km se km 6-7 bar pair apne ap puree upar tk khinch jate h halski physiotherapy continue h.. sr jb usko stand krte h to uske tlvo me jln hone lgti h ar tlvo me jhanjnaht hone lgti h… kbi kbi uski psliyo me budbudaht mahsoos hoti h… ar pahle se ab pairo ka growth bdha h pait chhoone ka ehsas wo kr pata h… sir plz mujhe ye btaye k ye uski kmr pe t8 k neeche ar tlvo me jln kyu hoti h … uski recovry me kitna tym lg skta h abi…
Prachi ji, nail lagane par pair hilna aur raat ko sote waqt pair mud jana spasticity (akdan) ki wajah se hota hai jo ki exercise karne se kam hone lagti hai. Agar problem njada hai o iske liye medicine bhi aati hai jo aap apne doctor se puch kar hi le. Pairo mein jalan ki shikayat aksar spinal cord injury ke vyakti ko hoti hai iska abhi tak hame solution nahi malum hai par ye samay ke sath sath kam hone lagti hai. Recovery achi mil rhi hai regular exercise na chode.
Sir mera naam vijay pawar he sir mera accident hua usme meri rid ki hadddi tut gai sir mee sarir me movement ayega ki nahi mene opret bhi karba liya hu 5 mahine ho gaye magar koi movement nahi aya abi tak
Vijay aap upar article ko padhe aur yha likhe hue comments ke reply padhe aapke sabhi sawalo ka jawab aapko milega.
Hi. I am vishu… sir mujhe c7 ma facture hua h sensation h pairo ma to power ayegi kya… pls tell me
Dost power aayegi ya nhi ya fir kitni power aayegi ye injury ke effect par depend karta hai. Aap regular physiothearpy karte rahe aapko isse fayda milega.
Sir mera stone ka oprsn hua tha uretar me jo injection sun krne wala diya jata hi wo 2 diya gya tha fir oprsn ke bad mujhe back pain hone lga or jb me neurosurgery se dikhya to mri krwa kr mujhe bataya ki spinal cord ke bagal me pulse jama hi iska koi upay batye sir my no sir meri life khrab kr di hi doctor ne me delhi me ilaj krwa rha hu but koi doctor cler nhi kr rha hi mujhe bht dar hi sir plz help me sir apka bht bhalha hi hoga sir plz help me me bht dara hua hu khi paralysis na mar de sb doctor yhi bolte hi meri help kro kuch sir plz
Dost is bare mein hame koi jankari nhi, par koi bhi treatment karwane se pahle uske bare mein ache se jane aur ho sake to dusre doctor se 2nd opinion le.
Sir mera acident ho gya the oct 2015 mai spine hadi L1 fecture and repiar l1-d12 hua hai sir mai avi tak chal nahi pa rha hu or per ka talwa vi nahi hila pate or toilet ka vi pata nahi chalta hai
Dost spinal cord injury mein body ki movement, sensation aur bowl bladder par effect padta hai, aap rehablitation se ise manage karna sikh sakte hai.
Govind Ji mujhe slip disc L4 L5 h me jab dawai leta hu tab take theek rehta hu or phir pair me khichav,akddan, as jata iske baare sahi jankari bataye iske sahi ilaj ka tarika
Aap regular exercise se akdan ko kam kar sakte hai.
Sir mera road accident huwa that to mare reed ki haddi damej ho gaye ha to uska koe elaj ha
Abhi iska ilaj sirf exercise karna hi hai.
Sr iska ilaj nikalo koi to hum Pareshan hai
Dost iske ilaj ke liye kafi saalo se research chal rhi hai par abhi tak kamyabi nhi mil payi hai. Exercise karke bhut se logo ko achi recovery mili hai aap bhi isi par dhyan de.
Sir.mai chitranjan kae gambhir bimari se jujh rha hu.mai force me hu mujhe bachapan se kabj thi preshan rhata tha fir mujhe bhachpan me hi pet me gaanth hue to badane lgi to 2012
Me operatin krwaya epigastric horniya thi…mai socha kabj isi ki bajah se ho rhi hogi lekin thik nhi hua.ab 2 saal se bahut jyada kabj ho gae latrine kaala aur hara jaisa hoti hai chip chipa si ..aur 2 hi sal se sir urine jya aane lgi 50 bar 24 ghante me .aur erectile dysfunction hote gya.aur saat me ghabarahahat pulse badaa hua rhe but sir ghabarahat 3 mahune me thik ho gae.but urin tatrine aur erection thik nhi hua sir.fir tatine ki
1 .2 din fee na ho sir jb tk koi laxative nhi leta hu usake baad v ak baar me pet khali nhi hota
Urology aur gastro ko dikhya sir to urinary blader sikudata nhi sir isi liye urine baahar nhi aata mai pet ki takat lga kr urin aur latrine krta krta hu sir bahut jor lgana padata hai.a sab samsya ke baad sir ..sone pr left hand sunn hone lga aur kamar dhire2 dard hua aur badata gya fir pair me sir wickness .saans fulana kv kv hota hai.ab sir pure body ki masals fadakati hai. An dono hatho me sone
Pr sunn pann …aur sir sone pr haatho me bilkul jaan nhi rhata bahut treament liya but thik nhi huaa sir aar badata ja rha hai .neurology ko dikhaya bole ho sakta hai tumhari bachapan me nase kamjore ho gayi how surgen ko dikhaya mri to l5 s1 manaka movement krta hai apni jagah se yani grade 1 hai thida hi khiskta hai but koi nerve nhi dabati dhikhi mri me ji surgery kiya jay .spina biffida acculta v hai sir …dr bole surgery se kamar dard aur pair me aaram mil sakata scrue lga ker haddi ko set krdenge lekin urin latrin erection me thik nhi hoga kyuki koi nas dab nhi rhi hai….mai kya karu sir mai bahut presan hu meri age27 hai ……mujhe lgta hai sir ki urine aur erection latrin ki samasya v 10 sal se thi lekin kam thi isliye mai samajh nhi paya ab bahut jyada ho gae to samajg aarha hai..sir meri help kijiye kuchh kijiye sir mujhe lgta hai duniya ka mai akela hu jise sara rog hai .mujhe service v krna padata hai sir treatmwnt k liye aur mai kuchh v karne me aadamarth .dekhane se sir smart hu koi nhi bol payega ki mujhe kuchh bumari hai…kuchh kro sir mujhe ab marene jausa khyal aata hai kyuki aarthik aur saaruruk dono presan hu sir please..thanks sir reply ka wait hai sir…
Dost aap ki samasya ke ilaj ke liye hame jada jankari nhi hai aap kisi ayurvedic chikitsak se milkar salah le sakte hai. Hum aapke jaldi swasth hone ke liye pray karte hai aur aap man me kbhi bure khyal mat laye.
Sir mere father tree or se gir gae to unki rid ki hddi me t7 ander si side chli gai h kya vo operation se thik ho jaege
Pardeep ye chot par depend karta hai ki kitni gambhir hai.
Sir mera road accident hua tha us ki wajah se read ki haddi damage ho chuki hai us wajah se pura Badan band ho chuka hai uska koi ilaj ha
Sir us ka opresan se sarreal chalu ho sakta hai
Dost iska ilaj regular exercise hi hai. Aap upar article ko pdhe aur yha likhe hue comments bhi pdhe.
Sir kya rid ki hddi ka bina operation kiye ilaj ho skta h mere father ke rid ki haddi me nasse dbi hui h kya vo homopethy treatment se thik ho skti h unka niche ka sara hissa sunn h
Physiothearpy se aap ise thik kar sakte hai.
Sir mera Naam Parveen hai mein Delhi se hu mere l2 or l4 mein gap hai or tell bone mein Dard rehta hai niche ka hissa suun rehta hai sex ki ichha ne Karti sirf hamesha Dard or toilet me b dikkat hai bahut dikhaya SAB dwa dete hai par aaram bilkul nae hai kuch upaye btao gharwale apahiz bolne lag gaye hain
Dost aap physiothearpist se mile aur physiothearpy shuru karne ke bare me jane.
Hello sir mera naam vijay pawar he sir mera accident ho gaya tha to mujhe spinal cord problam ho gai he mene apna opretion bhi karba liya hu magar abi tab me chal nahi pa raha hu 7 mahine ho gaye sir me chal paunga ki nahi ore ha to kitna time lagta he sir
Vijay aap upar article ko padhe aur yha likhe hue comments bhi padhe aapko sabhi sawalo ka jawab milega.
Sir Namaskar mera name Sagar h meri age 30 h 5 mahine phle mujhe D4-D5 Potts spine hua ta jisse mere chest se niche ka portion sunn ho gya ta ab mera pairo ki ungliya thodi bhot hilne lagi h Jo phle bilkul b nhi Hilton ti but m abi na to chal pata hu or na thik se baith pata hu balance nhi bnaya mere left leg k guthne me bhot Akdan h ab aage kase or improvement aapayega plz help me
Dost spinal cord ki problem me regular physiothearpy se hi improvement mil sakti hai.
Sir mere father ki rid ki hddi tute hue 15 din hi gae h bt abi tk operation ni krvaya kya operation na krvane ki vjhh se body pr koi side effect pdega or filahal to vo desi ilaj krva rhe h kya desi ilaj se thik ho skte h abi unke gutni tk ander pain feel hota h bt bhar se hath lgate h tb fell ni hota unka niche ka hissa sun h or abi unke gutno tk ander pain feel hota h desi ilaj me dr maliss krta h kmr ki kya usse thik ho jaege plz sir reply unke pav bi phle se kmjor ho gae h
Dost operation ki jarurat hai ya nhi ye to doctor test kar ke hi bta sakte hai aap ek bar kisi ache neuro doctor se mile aur koi bhi decision lene se pale kisi dusre doctor se bhi second opinion le.
Sir doctor to sare operatin ki hi bol rhe h bt vo nerves ki garnty ni le rhe ki vo nerve vapis aaegi ya nhi mere father ki nerve system bi damage ho rkha h kya vo operation se thik hone ke chances h kya koi thik hua h iss situation me
Dost koi bhi doctor gurantee se operation nhi karta hai, operation ke bad thik honge ya nhi ye to nerve par aaye effect par depend karta hai.
sir mera acci. huwe 2 year ho gaya hai t2 level par chest ke niche sunn ho gya hai pairo me akadan bahut jyada hai , sir letrin bathroom thoda thoda pata chalta hai pairo ko chhune me thoda thoda pata chalta hai kya ham thik ho sakte hai ya thik hone ka samay kya hai
Dost namunkin kuch bhi nhi, aese bahut se log hai jo regular physiothearpy se fir se chalne lage hai, kitna samay lagega aur aap thik ho payenge ya nhi ye injury par depend karta hai.
Sir mera injury complet hair ya incomplet pairo me kabhi kabhi dard hota hai kuchh aisi aisi jagah hai jaha thoda bhi chune par dard hota hai letrin hone k pahle letrin wale raste par gadata hai jisase hame letrin ka pata chalta hai, pairo me hamesha koi n koi narvs hilti hai to puts pata chalta hai.
Dost incomplete injury me exercise karne ke baad kuch sensation aur thodi bahut mobility aane lagti hai.
Sir ek road accident Me mere gardan ke paas Wali reed ki haddi Me fracture ho gya tha jiski wjh se mai 1.5month bed pr rha. Ab mai puri trh sahi mhsus kr rha hu. Apne se chal fir rha hu. Lekin av v doctor ne gardan hilane k liye mna kiya h. Sir mai ye janana chahata hu ki av To mai thik hu kya Future Me is chot ki wjh se muje lkwa maar skta h. Kya mai phle ki trh jiwan ji skta hu ya koi sawdhani brtni hogi
Dost accident ki vajah se agar reedh ki haddi me chot lagti hai to paralysis hone ka khatra adhik hota hai par agar aap abhi thik hai to age iski sambhavna kam hogi, par aap ko doctor ki batayi hui instructions ko sahi tarike se follow karna hoga.
Hello sir mera name muntjeer hai 26/8/2016 ko mere spine main chot lag gyi thi c4,5 main.
Ab main thoda stik ke sahare chal sakta hun par thoda chalne ke bad sarir main anarji nahi rahti h
Or sir Kiya spain ka koi patient 100% sahi ho jata h. Agar ho jata h kitne time me
Dost spine ki injury me kitne perecent thik hote hai aur kitna time thik hone me lagta hai ye injury ke effect par padta hai. Aap ki chot kam hai aap doctor aur physiothearpist ki salah se aage badhe.
Govind sir- china ma stem cell jo ho rhi h wo spinal injury ma fayda kr rhi h ya nhi pls aap mujhe iski jankari da do mujhe krani H.. 1yr ho gya h bs sensation sa aage nhi badh pa rha hu power nhi ayi regural exercise jata hu..
Dost abhi tak stem cell under research hi hai, abhi spinal injury me isse result nhi mil rhe hai. Aap nirash na ho aur apni exercise regular rakhe.
Sir mera kaamar ki uppar kam karta hai but kaamar se niche 2 leg kami nahi karti. Sir mai mera problem thik nahi hoga kya? aur me kaise exercise karu? sir mai to chal fir nahi kar sakta.
Dost reedh ki haddi ki chot ka ab tak ilaj nhi aaya hai, isme exercise karne se kaffi fayda milta hai. Aap khud bed par haatho aur kamar ki exercise kar sakte hai aur pairo ki exercise ke liye kisi ki mdad le sakte hai.
Sir apka blog mera mil gaya isliye mujhe itna khus lag raha h ki mai apko bata nahi sakta.
Sir me chat se gir gaya tha reed ki haddi tut gai hai carvaical spine c3 c4 c5 demeg Ho gai mere hat ki ungliya or per kaam nhi karte hai koi ilaj hai kya ?
Dost aap ek bar upar likha hua article aur yha likhe hue comments padhe aapko reedh ki haddi ki chot se judi puri jankari milegi.
Sir mere father ped pr se gir gae the ab unka ek pav hilta h or pav me full pain hota h kya unki recory ho rhi h unhone sergery ni krvai hui or 3 mnth ho gae h kya vo thik ho rhe h recovery ho rhi h kya sir unke pav ki ungli ni hilti bt pav hila lete h
Agar pair pahle nhi hilta tha aur ab hilne lga h to ye recovery ke sanket hai.
Sir phle to pav bilkul sunn the kuch bi ni pta chl rha tha pav me papa ka operation ni krvaya dr ne operation ki bola tha unke fucture or compression tha kya bina operation bi unme recovry ho rhi h pab hil rhe h ab unhe abi 2 mnth hue h abi chek kraya to dr ne operation ke liye mna kr diya
Agar doctor ne operation ke liye mana kiya hai to aap unki baat maan sakte hai aur chahe to kisi dusre doctor se 2nd opinion bhi le sakte hai.
Sir meri mummi ghar me phisal kar gir gayee thi jisse spinal cord. Me fracture bataya gaya hai Dr ne unke age 68 ki wajah. Se bed rest ki salah di hai kintu. Kuch dino baad unko unka sodium ki kami. Hone lagi thatha aaj unnhe mentali problem ho rahi hai unhe. Peshab aur toilet ka ehsaas nahi. Hota kripya recovery ka upay batayen sodium level par. Chadha diya gaya hai Lenin mentali Abhi bhi dikkat hai
Spinal cord injury me sodium ki kami ke bare me hame koi jankari nhi aap doctor se mile aur salah le.
Sir mera name rohit h accident ke karan meri ridh ki haddi tut gai thi d9,d10,d11,d12 Me fectur h 20 july 2017 ko operation hua h ab me baithe leta hu pr achhe se nai Dr ne pero ki malish aur exercise krne bola h Jo me regular kr rha hu mere per bikul normal h but koi movement nai hota phle mere per bhut halka rhte the aur exercise krne ke bad bhari ho jate the pr ab mere per hmesa bhari rhte h aur pero me takat bi lagne lgi h bt moment nai hota sir ye pero ka bhari hona sai h kya me ghr pe hi exercise krte rhu plz sir advice me
Rohit jha tak hame jankari hai ye bharipan pairo me akdan ke karan ho sakta hai jisse regular exercise se kam kiya ja sakta hai.
SIR Meri ma gir gai hai kamar me chot lag gaya hai ak doctor se dikhaya vo chalne pirne ko bol rahe hai chalne me bahut jada paresani hai dusre doctor se dikahya vo kah rahe hai ki rirh ki ak haddi dab gai hai bed rest karne ko bole hai 20 din khara hone chalne baithne me bahut dikkat hai kya meri Maa thik ho jaigi please help me
Dost ek doctor bed rest bol rhe hai aur dusre doctor chalne firne ko bol rahe hai, aap kisi dusre doctor se mile aur jaruri test karwaye taki treatment ke bare me sahi jankari mil sake.
Sr.mere spine ki nass dab gayi this aur girne se usher crack ho gya hai air l1 ki surgery bhi ho gyi hai air bad sore bhi hua hai aur physeyotherepy bhi calu kiya hai to mai kab take think ho jaunga
Dost aap yha likhe comments aur article padhe.
Sir mere father ko vertebral compression fracture hua tha uske bad kyphoplasty ki jo 15 din bad fail ho gayi phir dr. Ne unke bone me rod fit ki h pr 1 mahine bad bhi wo chal nahi pate h or kitna samay lagega thik hone me . Unki physiotherapy abhi chal rahi h
Dost jis doctor se tretment liya aap unse mile vo aap ko is bare me sahi se bta sakenge.
Sir mere papa cycle se for Gaye the aur unka spinal cord injury fractured hua Tha humane docter dikhaya par operation me liye 5lakh padega bola par humlog garib admi itna Paisa kaha se laye sir aur humne ek gain ka medicine use Kiya himself unka fractured thik ho Gaya par unka Kamar me Joe ni Hai wo apne aap chal ni pate Hai kisi ko pakar kar chalna padta Hai aur unka pisab par control ni Hai hamesa leak hota rahta Hai par apne jesa kaha Hai incomplete injury Hai kyuki unko sab mahsus hota Hai unke pairo ke niche hath lagane se gudgudi hoti Hai wo apna pairo ko har angle me move kar sakte Hai 2years ho Gaya Hai bahut taklif me Hai humlog sir iska exercise karke bhi dekha humne par Jada dark ni pada koi Rasta ho to plzzz sir reply dijayega Kya karne se wo pura thik ho jayenge plzzz sir
Dost spinal cord injury se recovery ke liye abhi tak koi treatment nhi hai, exercise karne se hi isme fayda mil sakta hai.
Hello sir meri mom ko spinal mai chot lag gayi thi wo gir gayi thi floor pe unhe Dr ne 2months bed rest bolaa.. Ar fir Dikhane ko bola jb hum unhe Dikhane le gaye to X-ray v karaya normal nikala den unhone unhe belt diya usse wear kara kr unhe walk karaya den wo thodi door chali support se unko chakkar aaye ar wo behosh ho gayi iska kya matlb huaa sir ?? Please help me sir
Deepali ji ye weakness ki wajah se bhi ho sakta hai, sahi jankari aap ko doctor hi check kar ke bta sakte hai.
Hiiii sir mene phle bi apko msg kia tha. Sir me regular exercise Le ra hu 4month ho gai bt koi improvment nai hua h sir ye stem cell therapy apne india me success full h isse kitna improvment ho sakta h aur iske center kha h jha acchha treatment hota ho aur kam paise lage. Kya iska koi govt center h
Dost is injury me recovery slow hoti hai aap apni physiothearpy jaari rakhe aur stem cell ka abhi tak koi result nhi hai.
Dear sir , my ame is dev and my mother is suffering from spine proble, wo khadi nahi ho pati he, uppar ki hissa bhari he, or niche ki hissa kamjor hota ja raha he, mumy bolti he ki,,uske per se lakar kamar se bich ki hisee me darad rahata he or pit se niche ka hissa kamjore hota ja raha he,, we are getting treatment from a ortho doctore,, still confused ki kya kare,, aap kuch salah dijiye ki kya kiya jaye,, kya haddi rog visesag thik he ya fir koi or sahi rahea,,, stomach ke niche ke hisse ko wo kam mahsus kar pati he, sugar laven bhi badh jta he kbhi kabhi,,,,, kya me unko PGI chandigarh e dikhawoo
name dev saharanpur
Dost spine ki problem me neuro ke doctor se mil kar treatment ke bare me jane.
Sir maari beti ko spinal cord may sport kartay huyaa c 4 may injury huee hay joo kee 15 year old hay jiss time ussay chotee lagee thee 29 nov 2017 koo usee samay uss kaa purraa sareer kaam karnaa band ho gyaa thaa koiee bee sansion body may nhee thee jeeskay baad hospital may oppression kiyaa gyaa aaj 2 month hoo chukay hay but body kaa koi bee part kaam nhee kartaa haa par yoo Aab toilet or poti kay baaray may bataa daytee hay Orr haath paaroo may haat lagnaa parr battaa day tee hay hum haat koo thooda upper nechay bee helaa latey hay ussay apni body kay hesoo koo chunay par ptaa chltaa hay kay mari beti thik hoo paygee kbee kyaa yoo thik hoo shakti hay kitnay % chance hay doctors nay bolaa thaa kee ess kee nussay kuchel gyee hay please jarrur battay
Anil ji jesa aap bta rahe hai ye acchi recovery hai, aap apni beti ki physiothearpy continue rakhe.
Ha bhai abi sensation h kya apke pairo mai
Hi…
Sir mujhe 5 sal phle c7 me chot aayi thi low water me dive k karan then mera external surgery hua aur m 5 sal tk fit tha koi prblm n tha but ek din mera ungli tut gya fir judne k bad b kam n kiya mere dono hath k ungliyon me power ni h but movemnt h aur maine doctor ki salah se opration b kra liye h aaj 20days ho gye h dard km ho gya h jo chikne me hote the but m Lgbhg kb tk thik ho jaunga a btane ki kripa kre….
Dost aap kab tak thik ho jayenge ye aap ke doctor behtar bata sakte hai.
Hello sir 2years pehle mera accident ho gya tha aur D8 hadi crack hone k karan kamar se sab kuch suna ho gya tha but ab kuch kuch PTA chalta hai urine control Mai hai but puri trah se nhi aur Mai fingers bhi hlka hila leta hu but pehle mujhe kuch bhi PTA nhi chalta tha mera age 17 hai mujhe Jldi se thik hona hai to mujhe kya krna chahiye aur medicine and exercise usi time se continue chal rha hai but kuch khas profit nhi huaa abhi tk
Dost aap upar lekh aur comments pdhe aapke sabhi sawalo ka jawab milega.
hello dosto, spinal cord injury ek bahut he gambhir bimari hai isme sharirik aur manasik dono mein farak padta hai, pahle main govind ji ko thanks bolna chahunga is jaruri jankari ke liye lagbhag comment and conversation hamne padhe aur main yahi kehna chahunga sabko ki pahle to pareshan na ho tension na le aur himmat se kam lenge to 100% nahi to 70 se 85% tak aap thik ho sakte ho matlab is problem me sabse badi baat ye hai ki aapka jivan kisi dusre ke upar nirbhar ho jata hai aur dhire dhire iski aadat si padne lagti hai, taklif tab had paar kar jayegi jab aap aadi ho jaenge ki koi aaye aur mera ye personal kam kar de aur jab aap ke pass koi nahi hoga to aapki problem bahut badh jayegi so dosto main yahi kehna chahunga aap sabse ki aise situation me aap kisi ki aadi na ho kisi dusre ke upar jada nirbhar na rahe aur apna personal kam khud kare dhire dhire aapko aadat hone lagegi aur aapki recovery ka chance bhi increase hoga. Medicine kam se kam le exercise jada se jada kare aur mentally and physically fit rahe negative soch ko aane na de bas ye dhyan me rakhe ki main thik ho kar rahunga.
Boht khoob yr main khud is halat me 3 saal se hu lekin main kuch na hone ke bajud apne sare kaam khud karta hu baki God iska asar de.
I am satyam kumar I am 22 year old but I am suffering from spinal cord (C5 and C6), sir mera leg thin hote ja raha hai uska koi upay nahi hai.
Regular exercise aur standing exercise se aap apni legs ko acha rakh sakte ho.
Hi sir, Pls advice me about stem cell therapy.
Spinal cord injury me stem cell ka abhi tak aesa koi result nahi mila hai jisse person fir se chalne lage, kuch logo ko sensation me fayda jarur mila hai.
hii sir meri mammy ka accident ho gya tha 4 month ho gye h une c6 c 7 sabluxtine btya h dr ne aur na hi un ke pair kam karte h na une bathroom ka pata chalta h aur koi recovery bhi nhi h kch bhi kya vo sahi ho jye gi vo chal paue gi kbhi
Spinal se judi pareshani me rcovery physiothearpy par jada depend karti hai. Aap ke mother thik ho patenge ya nhi ye to spinal par impact par hi depend karta hai.
Hello sir mera naam tafsir khan hai aur mera abhi 2 mahine pahle ek deewar girne se reedh ki haddi tut kar nas dab gai hai haddi ki taraf se koi problem nahi hai but mujhe chalte nahi banta kya karu salah btaye.
Sir c1 c2 fracture ke baad kab tak recovery aati hai.