Thyroid mein motapa kam karne ke upay in hindi: Thyroid granthi hamari body ka metabolism control karti hai aur jab ye sahi tarike se apna kam na kare tab kai parkar ki health problems hone lagti hai. Jab thyroid granthi normal se kam matra mein thyroid harmons banati hai tab ise hypothyroid kehte hai jis mein sharir ka vajan aur motapa teji se badhne lagta hai. Is rog mein weight control karna mushkil ho jata hai par apni diet ko sahi tarike se plan kar ke wajan ko control kar sakte hai aur bdha hua motapa kam bhi kar sakte hai. Aaj is article mein hum janege hypothyroid mein vajan kaise kam kare, gharelu nuskhe for weight loss in hypothyroid.
Normal vyakti ke liye bhi vajan kam karna aasan nahi hota aur jis vyakti kaa motapa thyroid ke rog ki vajah se badh gya ho uske liye ye aur bhi mushkil ho jata hai. Hypothyroid ke do lakshan hai metabolim rate slow hona aur weight badhne lagna. Is rog ko sahi tarike se pehchan kar diet control kar ke, regular yoga, exercise aur sahi ilaj kar ke is rog ke hote hue bhi weight kam kiya ja sakta hai.
Weight kam karne ke liye first step
- Agar aapko hypothyroid ke lakshan dikh rhe hai to ise confirm karne aur weight badhne ke karan janne ke liye doctor se mile aur checkup karwaye. Jaruri test ke bad hi aap iske ilaj ki parkriya shuru kar sakte hai.
- Agar aap iske symptoms dikhne ke baad bhi doctor se milne aur treatment shuru karne mein laparwahi dikhayenge to aage chal kar ye rog aur bhi gambhir ho sakta hai.
Hypothyroid mein motapa badhne ke karan
Sabse pahle body weight badhne ka karan jaruri nahi ki thyroid ka rog hi ho, ye aapki galat lifestyle aur khane pine ki galat aadto ki wajah se bhi badh sakta hai.
- Hypothyroid mein body mein namak aur pani adhik matra mein hona vajan badhne ka karan hai. Vese khaan paan par dhyan na dena aur body fitness ka khayal na rakhna bhi motapa badhne ka ek karan hai.
- Is rog mein 2 se 5 kg tak weight badh jata hai aur agar aapka weight isse jada bdha hai to ye aap ke khane pine ke galat tarike ki wajah se hai.
Thyroid Mein Motapa Kam Karne Ke Upay
Hypothrroid Weight Loss and Diet Tips in Hindi
Thyriod ka ilaj aap bina dawa ke gharelu upay aur ayurvedic nuskhe se bhi kar sakte hai par iske sath aapko apni diet par bhi dhyan dena hota hai kyuki aesi bhut se chije hoti hai jinhe khane se thyroid ka rog aur jada badh sakta hai. Isliye ye janna behad jaruri hai ki thyroid mein kya khana chahiye aur kya nahi khana chahiye.
Thyroid mein kya nahi khana chahiye
1. Soyabean thyroid harmons ke liye hanikarak hota hai. Agar aapko hypothyroid hai to soya aur soya se bane products ka istemal kam se kam karna chahiye. Jese soyabean ka tel, soya milk, soya paneer. Chinese food ka sevan bhi kam kare.
2. Thyroid ke rogi ko gluten ka sevan kam karna chahiye. Gluten jada tar bread, double roti aur maide se bani chijo mein adhik hota hai. Is tarah ke khane ki chijo ko digest hone me jada time lagta hai isliye iska sevan bhi kam se kam kare.
3. Jin logo ko iodine ki kami ke karan thyroid hua hai ve bandgobhi, fullgobhi aur brocli jesi sabjiyo ka istemal kam kare.
4. Thyroid me vajan kam karna hai to chini aur chini se bani mithi chijo ka sevan kam se kam kare. Thyroid me body ka metabolism slow ho jata hai isliye aese mein chini ka istemal kam se kam karna chahiye. Meetha khane se motapa teji se badhta hai jisse wajan aur badhne lagta hai.
5. Thyroid ke marij ko junk food bilkul bhi nahi khana chahiye. Junk food mein tala hua khana, maide se bani hui chije aur processed food aate hai jo sharir mein charbi aur motapa bdhate hai.
6. Agar aap thyroid ki medicine lete hai to caffeine ka sevan karne se dawai ka asar kam hone lagta hai. Coffee aur tea mein caffeine adhik matra mein hota hai aur jab isme chini mila de to ye aur bhi hanikarak ho jata hai. Isliye coffee aur tea kam se kam piye aur agar pini hi hai to bina sugar ke piye aur dawa lene ke beech ek ghante ka gap rakhe.
Thyroid diet in hindi: Kya khana chahiye
Thyroid ke rogi dawara li gyi diet agar sahi ho to thyroid to control hota hi hai sath mein motapa aur weight bhi kam hota hai.
1. Ache aur jaldi results ke liye apni diet mein 30% salad, 30% ubla hua khana aur 40% bhojan le.
2. Salad mein pyaj, gajar, kheera aur sprouts (ankurit dale aur chane) ka sevan karna faydemand hai.
3. Uble hue bhojan ke liye aaloo ka pryog kar sakte hai. Aaloo ubalne ke baad motapa nahi karta aur isme potassium adhik hota hai jo metabolism acha karta hai. Iske ilava shakargandi, gawarfali ko bhi ubaal kar kha sakte hai.
4. Bhojan mein falidar sabji jada istemal kare. Inme jink aur iron ki matra adhik hoti hai joki thyroid ke liye jaruri poshak tatav hai.
5. Brown rice aur dale bhi pryog kar sakte hai, isse body ko protein milta hai aur charbi bhi nhi badhti. Isse hamara sugar level bhi control me rehta hai.
6. Thyroid me weight loss karne me vitamin B ka sevan bhi faydemand hai, iske liye doodh aur dahi ka sevan kare.
7. Agar aap non veg kha lete hai to thyroid mein machli yani fish ka sevan behad faydemand hai. Fish mein omega 3 fatty acid paya jata hai jo thyroid ke liye sab se jaruri poshak tatv hai.
8. Egg mein vitamin B aur protein ki matra adhik hoti hai jo body mein harmons ka balance bnane mein upyogi hai.
9. Vitamin D bhi thyroid me upyogi haii, iske liye mashroom ka sevan kar sakte hai. Isme antioxident tatv hote hai jo thyroid granthi ke liye kafi faydemand hai.
10. Dry fruit kha sakte hai, isme akhroat ka paryog dimag ke liye acha hota hai aur hamari thyroid ki granthi bhi sahi tarike se kaam karti rehti hai.
11. Fruits mein seb, pinapple, anar, kharbuja ka rojana sevan karna kafi laabhkari hai.
12. Juice mein orange, pinapple aur gajar ka juice din mein jarur piye. Isse body ko energy milti hai aur poshak tatvo ki kami bhi dur hoti hai.
13. Khana pakane mein nariyal tel ka pryog kare.
14. Oat meal ka sevan kare. Pani bharpur matra mein piye.
15. Hypothyroid mein vajan control mein rakhne ke liye body ko detox karna behad jaruri hai. Body detox karne mein green tea, wheatgrass juice aur adarak bhut effective hote hai. Adrak ko ubaal kar uska paani pi sakte hai isse gale ki sujan mein bhi aaram milta hai.
Thyroid Weight Loss Tips in Hindi
- Jin logo ko thyroid ki problem hai unhe apne daily routine mein kuch baato ka khayal rakhna jaruri hota hai. Jisme sab se important hai physical activity aur diet control.
- Thyroid ki dawa har roj ek hi samay par le taki kabhi aap bhul na jaye aur agar aap thyroid ke treatment ki dawa ke sath koi aur medicine, multivitamin ya supplement le rhe hai to pahle thyroid ki dawa le le uske kuch ghante baad hi koi aur dawa le taki 2 medicine milne se kisi parkar ka side effect na ho.
- Bina doctor ki salah ke na hi koi medicine shuru kare aur na hi band kare.
- Kuch log ek dum se thyroid me motapa kam karne ke liye dieting karne lagte hai aur medicines ka sahara bhi lete hai. Par is rog mein motapa kam karne ka ye tarika galat hai. Aap healthy tarike se dhire dhire vajan kam karne ka pryas kare.
- Agar aap thyroid ke upchar ke liye koi dawa nhi le rhe hai to bhi moatapa kam karne ke liye diet aur exercise se jude sabhi rules follow kare jo dawa lene ke dauran karte the.
- Rojana exercise, yoga ke liye samay nikale aur agar ye nahi kar sakte to morning aur evening walk par jarur jaye.
Ab aap jan gye hai thyroid ke rogi ko diet mein kya khana chahiye aur kya nahi. In sab chijo ko mila kar aap subah se sham tak ka diet plan tyar kar sakte hai jisse thyroid control hone ke sath sath motapa bhi kam karne mein madad milti hai.
Dosto Thyroid Mein Motapa Kam Karne Ke Upay, Hypothrroid Weight Loss and Diet Tips in Hindi ka ye article kaisa lha hame comment karke bataye aur agar aapke pass thyroid ka ilaj ke gharelu nuskhe ya fir thyroid me vajan aur weight kam karne ke tarike se jude anubhav ya koi sujhav hai to hamare sath share kare.
Thank you for the information sorry i have no any information.