Haklane ka ilaj in hindi: Haklana (stutter) matlab bolte hue beech beech mein rukna ya atak kar bolna aur tutlana matlab aawaj saaf na hona jis wajah se jo words bolte hai vo clear samjh nahi aate. Haklahat aur totlapan ki samasya jadatar chote bacho mein hoti hai par agar samay rehte hi iska upchar na kiya jaye to ye umar badhne ke sath badhne lagti hai. Stammering ki wajah se bacho ka self confidence girne lagta hai jisse jaldi nirasha aane lagti hai aur apni feelings ko bol ke btana mushkil sa lagne lagta hai. Haklane ke treatment ke liye abhi tak koi dawa (medicine) nahi hai par kuch gharelu upay aur desi ayurvedic nuskhe se haklana ka ilaj ghar par hi kiya ja sakta hai. Aaiye jane stammering problem treatment in hindi at home.
Haklana ke Karan : Causes
- Bolte waqt kaam mein aani wali manspeshiyo aur apni jeebh par control na hona haklane ke ek karan hai.
- Kuch log jada excited ya fir nervous hone par haklane lagte hai aur kuch logo ke sath tension mein haklane ki problem hoti hai.
Tutlane aur Haklane ke Lakshan : Symptoms
Kuch bhi bolte waqt ek hi word ko bar bar bolna haklane ka aam lakshan hai.
- Fast bolna
- Jabde ka hilna
- Hotho mein kampan hona
- Bolte waqt aankhe jhapakna
- Koi word bolne mein aatakna
Haklane ka ilaj ke Gharelu Upay aur Nuskhe
Home Remedies for Stammering in Hindi
1. Badam aur Makhan
Stammering ke gharelu ilaj mein badam khane se bhi fayda milta hai. Raat ko sone se pahle 5 se 6 badam paani mein bhigo de aur subah inhe cheel kar pees le. Ab ise 30 graam makhan ke sath khaye. Nirantar is upay ko karne se haklahat dur hoti hai.
Badam ke ilava makhan ke sath kali mirch khane se bhi haklane ki problem kam hone lagti hai. 1 chutki kali mirch 1 chammach makhan ke sath subah subah khaye.
2. Brahmi
- Brahmi oil se sir ki malish kare, is upay ko hafte mein 2 bar karne par haklana dhire dhire kam hone lagta hai. Brahmi tel ko gunguna kar ke aadhe ghante tak head massage kare. Is upay se yaddasht bhi tej hoti hai.
3. Aawla
Ayurveda mein aanwle ko ramban dawa mana gya hai, rojana ek aanwla khane se bahut si bimariyo se bache rehte hai. Haklane aur totlapan ki problem ke solution mein bhi aanwla bahut faydemand hai. Haklane se chutkara pane ke liye do mahine lagatar har roj ek aanwla khaye.
1 chammach gay ke ghee ke sath 1 chammach aanwla powder lene se bhi haklana kam hota hai.
4. Mishri
- 8 se 10 kali mirch, itne hi badam aur thodi mishri milakar pees le aur har roj khaye. 2 hafte tak is upay ko lagatar karne par stammering problem dur hone lagti hai.
5. Chuhare
Aawaj mein tutlahat ho ya fir haklane ki samasya ho to chuhare ka sevan kare, isse aawaj saaf hoti hai. Sone se pahle do chuhare khaye aur do ghante tak paani na piye.
Speech therapy se Haklana Kaise Thik Kare
Speech therapy se haklana aur tutlana jesi problems ko kafi had tak thik kiya ja sakta hai. Iske liye aap kisi expert ki salah le bhi sakte hai.
- Haklane tutlane ka treatment karne ke liye dawa ke sath sath bolne ki speed ko bhi control karne par dhyan de.
- Kisi book ya newspaper ko bol bol kar padhe aur aap jo bol rhe hai us par dhyan de.
- Shishe (mirror) ke samne khade ho kar bolne ki practice kare.
- Agar bacha haklata hai to aap use pahle ek word ko aaram se bolne ko kahe aur jab wah ek word thik se bolne lge tab 2 word bulwaye aur aese hi dhire dhire words badhate jaye.
Haklane se Chutkara Kaise Paye
1. Is problem se bachne ke liye pahle khud ko ye samjhaye ki ye koi badi samasya nahi hai. Bolte waqt haklahat na ho iske liye bolne se pahle apne dimag aur body ko relax kare aur haklane ke bare mein bilkul na soche. Tension kam karne aur man shant karne ke liye yoga karna chahiye. Iske ilava gehri saans lene se bhi man aur sharir ko aaram milta hai.
2. Kuch logo ko koi koi shabd bolne mein hi pareshani hoti hai, is samasya se bachne ke liye pahle aap un sabhi shabdo ki list banaye fir unke samne vo words likhe jinka meaning wahi ho aur aap use aasani se bol sake aur aage se wahi words use kare.
3. Speech therapy ke ilava aap music ka sahara bhi le sakte hai. Bolne ke mukable gaate waqt hakalaht kam hoti hai.
Agar 5 saal ki umar mein bhi aapka bacha haklata hai to kisi expert ki salah le aur stammering dur karne ke upay kare.
Dosto Haklane ka ilaj ke Gharelu Nuskhe, Stammering Treatment in Hindi ka ye lekh aap ko kaisa lga hame comment karke btaye aur agar aapke pass totlapan aur haklana ke upay ya koi sujhav hai to hamare sath share kare.