More

    यूरिक एसिड में क्या खाएं और क्या परहेज करे – Uric Acid me Kya Khaye in Hindi

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेयूरिक एसिड में क्या खाएं और क्या परहेज करे - Uric Acid me Kya Khaye in Hindi

    Uric acid me kya khaye aur kya nahi khana chahiye: Sharir me uric acid ki matra badhne par jodo me dard aur sujan ki samasya aane lagti hai aur samay par ilaj na kiya jaye to ye gathiya ban sakta hai jis karan uthane baithne aur chalne me bhi pareshani aane lagti hai. High uric acid control karne ke liye dawa aur gharelu upay karne ke sath sath diet par dhyan dena bhi jaruri hai. Isliye is baat ki jankari hona aham hai ki uric acid badhne par kya khaye aur kya pahej kare. Apne aahar me badlav kar ke uric acid level ko kam kar sakte hai. Aaiye jane uric acid diet and foods tips in hindi.

    Hamare sharir me digestion ke dauran food me jo protein maujood hota hai usse pyurin banta hai aur pyurin se uric acid banta hai jo peshab ke jariye body se bahar nikal jata hai, par jab ye sharir me hi jama hone lagta hai tab kai problems aane lagti hai.

    यूरिक एसिड कितना होना चाहिए – Uric Acid Kitna Hona Chahiye

    • Mahilao me iska normal level 2.4 – 6.0 mg/dl aur purusho me iska level 3.4 – 7.0 mg/dl hona chahiye.
    • High protein aur sugar wale foods jada lene se sharir me uric acid badhne lagta hai. Kuch logo ko genetic karano se bhi uric acid high hota hai.
    • Kidney me kharabi ki wajah se bhi uric acid body se bahar nahi nikal pata aur body me hi jama hone lagta hai.

    यूरिक एसिड बढ़ने के लक्षण – High Uric Acid Symptoms

    • Pairo aur jodo me dard hona
    • Pair ke anguthe aur edhiyo me dard hona
    • Jodo me sujan aana
    • Jodo me gaanth padna
    • Uthne baithne me jodo aur ghutno me dard hona

    यूरिक एसिड में क्या खाना चाहिए

    Uric Acid Me Kya Khaye in Hindi

    1. Paani jada peene se body me jama uric acid peshab ke jariye bahar nikal jayega. Din me 3 se 4 liter paani peene ki aadat dale.

    2. Subah khali pet 1 gilass lauki ka juice piye. Juice banate samay isme tulsi aur pudeene ke 5-5 patte daal le. 30 se 90 din tak is gharelu upay ko karne par high uric acid kam hone lagta hai.

    3. Raat ko sone se pahle 1 gilass paani me 1 chammach arjun ki chaal ka churan aur aadha chammach daalchini powder mila kar chai ki tarah ubaal le aur chaan kar piye. 90 din tak is nukshe se uric acid control me aane lagega.

    4. Vitamin C body me uric acid ko badhne se rokta hai aur sath hi ise kam karne me bhi upyogi hai. Apni diet me vitamin C se bharpur aahar aur fal shamil kare jese ki nimbu aur santra.

    5. Apni diet me antioxidant se bharpur food khaye, ye body me free radicals ka asar kam karte hai. Laal shimla mirch, angur, blueberry, tamatar aur brocli me antioxidant aur vitamin adhik hote hai.

    6. High fiber food khane se body ka bdha hua uric acid control hone lagta hai.

    7. Khana pakane ke liye jaitun ka tel pryog kare, ye sharir me uric acid badhne se rokta hai.

    8. Seb ke sirka ke 2 se 3 chammach 1 gilass paani me mila kar pine se bhi fayda milta hai.

    9. Nariyal paani peene se bhi uric acid ko control me rakhne me mdad milti hai.

    10. Seb, gajar aur chakundar ka juice har roj peene se body me ph level badhta hai aur uric acid kam hota hai.

    यूरिक एसिड बढ़ने पर क्या ना खाएं – Uric Acid Me Kya Parhej Karna Chahiye

    • Uric acid badhne par non veg khane se parhej karna chahiye. Non veg khane se body me uric acid ka level badh jata hai. Maas aur machli khane se bache.
    • Bekri me bani hui chije nhi khana chahiye.
    • Ande (egg) me protein aur fat adhik matra me hota hai aur aese me protein khane se pareshani badh sakti hai.
    • Chawal aur daal khane se bhi uric acid badhne lagta hai.
    • Dibba band khana bhi uric acid badhta hai. Chips, cold drink, fast food se parhe kare.
    • Khana khane ke dauran paani naa piye. Paani khana khane ke ek ghanta pahle aur baad me hi piye.
    • Raat ko sone se pahle doodh aur daal ka sevan na kare.

    Dosto Uric acid badhne par kya khana chahiye aur kya na khaye in hindi ka ye lekh aapko kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass uric acid me kya khaye kya parhej karna chahiye aur ilaj ke liye gharelu upay se jude sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles