Urine Infection Treatment Tips in Hindi: Jis tarah ruke hue paani mein bacteria jama hone lagta hai usi tarah peshab rokne par bladder mein bacteria jama hone lagte hai jisse infection hone ki aashanka badh jati hai. Boys ki bajay girls mein urine mein infection ka khatra adhik hota hai. Peshab mein sankraman ko urine tract infection (UTI) bhi kehte hai aur UTI hone par sahi samay par iska treatment karna jaruri hai. Is article mein hum janenge Urine Infection ka ilaj ke gharelu nuskhe aur upay se kaise kare.
Peshab mein kisi bhi parkar ka infection sidha kidney par asar karta hai jisse kidney failure tak bhi ho sakta hai. Kidney fail hone ka matlab hai ki sharir mein maujood hanikark chemicals bahar na nikalne ki bajay body mein hi ghulne lagenge. Agar aap kaafi der tak urine rok kar rakhte hai to aapne dekha hoga ki peshab ka rang gehra hota hai, iska matlab ye hai ki aap ki body ko infection ka khatra hai aur agar jada pressure ke baad bhi urine pass na kiya jaye to ye wapis gurde ki taraf jane lagta hai jise retention of kidney kehte hai.
Pursho ke mukable mahilao ka mutra marg chota hota hai, males ka mutar marg 7 cm ka aur females ka 4 cm aur yahi karna hai ki mahilao mein urine ka infection pursho ke mukable adhik hota hai. UTI ke samay agar sambhog kirya karni ho to condom ka paryog jarur kare, nahi to ye problem aur bhi gambhir ho sakti hai.
Urine Mein Infection Hone ke Lakshan : UTI Symptoms
- Peshab mein jalan hona
- Gupat ang par khujali hona
- Bar bar urine karne ka pressure ban na
- Ruk ruk kar peshab aana
- Peshab karte hue dard mehsus hona
- Urine ka color peela hona aur bathroom se badboo aana
- Bathroom karte waqt blood aana
- Thand lagna aur bukhar aana
- Thakan aur kamjori mehsus hona
Agar aap ko inme se koi bhi lakshan dikhe to test jarur karwaye.
UTI Hone ke Karan : Causes
- Adhik der tak peshab rokna.
- Sugar ke patient ko bhi urine mein infection hone ki aashanka adhik hoti hai.
- Mahilao ko Pregnancy aur periods ke samay UTI hone ki sambhawna adhik hoti hai.
- Spinal cord injury ke patient ko bhi urine tract infection hone ka khatra adhik hota hai.
Spinal Cord Injury mein Urine Infection ke Karan
Spinal cord injury (SCI) matlab reedh ki haddi mein chot lagna, jis wajah se chot ke niche wali body ko paralysis ho jata hai aur iske sath hi bladder aur bowl program karne ka control bhi chla jata hai. SCI ke baad vyakti ko urine karne ke dusre tarike apnane padte hai jese bladder mein catheter dalna, condom catheter use karna ya fir CIC karna. In sab tariko ke paryog se bhi urine infection ka khatra badhta hai. Isliye inhe paryog karne se pahle inhe ache se saaf jarur kare taki in par kisi parkar ka bacteria ho to vo nikal jaye.
Allopathy se Urine Infection ka ilaj
Doctors UTI ke treatment ke liye antibiotic medicines lene ki salah dete hai jo bladder mein maujood hanikarak bacteria ko khatam karta hai.
Par kai bar ye medicine infection ki wajah ko door nahi karte aur yahi karan hai ki ek baar infection thik hone ke baad kuch hi dino mein dubara ho jata hai.
Urine Infection ka ilaj ke Gharelu Upay
UTI Treatment Home Remedies in Hindi
Allopathy ki bajay agar UTI ke upchar ke liye natural gharelu nuskhe apnaye to infection door karne ke sath sath is samasya se bachav bhi kar sakte hai.
1. Paani Jada Piye (Drink lot of water)
Urine mein infection ka ek karan bladder mein bacteria ka hona hai, infection hone par jada se jada paani piye taki ye bacteria peshab ke raste bahar nikal jaye. Jada paani pine se peshab ki jalan aur dard bhi kam hone lagegi.
Seb ka sirka jise hum apple cider vinegar kehte hai, ye UTI ke symptoms ko kam karne aur gupatang ki samasyao ke upchar mein kafi madagar hai. 1 gilass paani mein 2 se 3 chammach seb ka sirka aur aadha chamach shahad mila kar piye. Is upay ko din mein 2 se 3 baar karne par UTI se rahat milegi.
2. Khatte Fal Khaye (Eat Fruits)
Khatte fruits mein citric acid hota hai jo ki bacteria ko khatam karta hai. Peshab mein infection hone par khate fal khaye aur unka ras bhi piye. Nimbu, santra aur aanwle khana behtar hai. Nimbu paani pina UTI se bachne aur iske upchar mein kafi faydemand hai.
Khate falo mein vitamin C bhi hota hai jo ki ek parkar ka natural antioxident hai. Vitamin C body se free radicals nasht karke body ki immunity badhata hai, jisse sharir ki rogo se ladne ki shamta badhti hai.
3. Baking Soda (Khane ka Soda)
Hamari body mein acids ka balance banaye rakhne mein baking soda kaafi kargar hai. Urine tract infection ke ilaaj ke liye 1 glass paani mein aadha chammach baking soda mila kar din mein 2 baar pina chahiye.
4. Cranberry Juice
Peshab mein sankraman ko rokne ke liye aur iske treatment ke liye cranberry juice pina acha upay hai, agar aap se ye nahi piya jaye to ise seb ke juice mein mila kar bhi pi sakte hai.
Urine mein infection ka upchar aananas se bhi kiya ja sakta hai. Ananas guptang ke bacteria ko khatam karne mein asardar hai. Isse aap aese hi kha sakte hai aur juice bhi pi sakte hai.
5. Lassi (Buttermilk)
Lassi ko hum chaach bhi kehte hai, UTI hone par lassi piye, ye bladder se bacteria ko bahar nikalta hai. Iske ilava peshab mein hone wali jalan se bhi chutkara dilata hai.
UTI ke samay dahi khana ek utam upay hai, dahi khane se body mein ache bacteria bante hai.
Bladder mein infection ke samay pyaaj ka sevan bhi utam hai, pyaaj body se toxins ko bahar nikalne mein madad karta hai.
Urine Infection se Bachne ke Tarike
- Jab bhi peshab tej aaye to use roke nahi turant jaye, nahi to urine infection hone ka khatra bad jayega.
- UTI se bachne ke liye paani adhik matra mein piye.
- Sambhog karne ke baad peshab jarur kare aur apne gupatang ko bhi saaf kare, isse bacteria saaf ho jayenge.
- Kahi bhi kisi jagah par peshab karne ki aadte badle, aesi jagah par peshab na kare jahan jada gandagi ho.
- Public toilet mein peshab karna ho to pahle flush chalaye aur uske 2 minute baad hi urine pass kare.
- Apne toilet ko hamesha saaf rakhe.
- Rojana nahaye aur apne guptang ko saaf rakhe.
- Cotton ke fabric se bane hue underwear pahne taki tavacha dry rahe aur bacteria jama na ho sake.
UTI mein kya nahi khana chahiye
Peshab mein infection ke samay chay, coffee aur choclate se door rahe.
Urine Infection Tips In Hindi
Aaj kal khane pine ki har cheej mein milawat hoti hai, genhu, daal, chawal, sabjiya, fruits ye sab ugane ke liye chemical wali khad aaur uriea ka paryog kiya jata hai jo ki jahar saman hoti hai. Aap inhe kitna bhi dho lo aur paka lo kuch chemicals to reh hi jate hai. Par achi baat ye hai ki hamare sharer ka digestion system aur dusre jaruri ang hamare dawara khayi hui chejo mein se hanikarak tatav alag kar deta hai jo mal aur mutar maarg se bahar nikal jate hai.
Peshab Mein Sankraman ke Dusre Upchar
Vese to gharelu nuskhe ayurveda se hi parbhavit hote hai par kuch ayurvedic medicine bhi mil hai jo UTI treatment mein upyogi hai. Baba Ramdev Patanjali ya fir kisi pansari ki shop se ye dawaye le sakte hai. Inhe shuru karne se pahle inke bare mein puri jankari jarur le.
Homeopathy treatment se bhi urine infection ka ilaj sambhav hai. Apne najdiki kisi homeopathic doctor se samapak kare vo aap ki bimari ko puri tarah study karne ke baad aap ko dawa denge.
Mal aur mutar ko sharer mein lambe samay tak rokna thik nahi isliye jaruri hai ki din mein kam se kam 1 baar aap mal tyaag kare aur 7 se 8 baar mutar tyaag kare, taki sharer se jaharile padarth bahar nikal jaye aur aap healthy aur fit rahe. Is kriya se aap kaafi bimariyo ko aane se pahle hi rok dete hai.
हम आशा करते है की sehatdoctor के द्वारा दी गई जानकारी आपको पसंद आई होगी और जिस भी परेशानी के नुस्खे आपने पढ़ें है उस परेशानी में भी आपको आराम प्राप्त हुआ होगा| किसी भी अन्य बीमारी या परेशानी के लिए हेल्थ टिप्स इन हिंदी ( health tips in hindi ) और घरेलु नुस्खे इन हिंदी ( gharelu nuskhe in hindi ) जरूर पढ़ें और लाभ प्राप्त करें| आपका अनुभव कैसा रहा इसकी जानकारी कमेंट करके जरूर बताए |
Hello i m sukru malli me urine infection ke karan bohut paresan hoon me chahta ki aap meri madat karo.
Sukru ji urine infection se chutkara paane se tarike is lekh mein btaye gaye hai aap inhe padhe.
Thanks urine information tarike batane ke liye maine in sabhi bataun ka khyal rakhti hun phir bhi muje kal se bhaot urine pass karte waqat jalan ho rahi he.
Zarin ji urine mein jalan ke upay aap yha padhe :: http://sehatdoctor.com/urine-peshab-mein-jalan-dard-ke-gharelu-nuskhe-upay-hindi-mein/
Hello sir muzhe toilet morning k time white milky color ka hora h or time normal koi khatre ki baat toh nahi h plz kuch btayen
Dost kisi bhi doubt se bachne ke liye aap doctor se consult kare aur test karwaye.
Meri beti 7 sal ki jb WO 3sal ki thi se use ye urine ki preshani h uska kai bar ilaj krwaya lekin mahine me 2-3bar use dikkat hone Lahti h bar bar toilet aana toilet drops me aane lgta h aur jalan hone lgti plz upay batay
Priyanshi ji jesa aap bta rhi hai ki ye samasya 4 saal purani hai aur ilaj karne se bhi fayda nahi hua, aap se yahi salah hai ki kisi ayurvedic chikitsak se milkar salah le.
Kidney me infection hai size bhi kam hai Pgi Lko se ilaj kar rahe hai skin me shuailing hai thakan Bht lagti hai
Hello sir.
Mujhe toilet bahut jaldi jaldi lagta hai.
Aur rok bhi nahi pata.
Aur peshab karne ke time pesab ki nas urin ko bahar aane mei paresaan karti hai. Toilet peela hota hai. Aur badbudar. Jyada pehaasb aata hai.
Pleas help me.
Sir andkosh ka size kam hone se uti h to koi upay bataye
Baar Baar swelling aati hai toilet me charbi aati hai.
dear sir , madam
1. agar kisi lady ko sugar ho or ye urine vali bimari bhi ho to vo kya kare , doctor ke pass kam se kam 15 din admit hone ke baad bhi thik nahi ho rahe to kya upaye kare, abi doctor change kiya ha , unhone jo test ke liye bola tha usse is bimari ka pata chala ha jo aapne likhi hui ha ,lekin kabhi to lagta ha ke thoda thik ho gaye ha kabhi vohi phale jasa haal ,kai baar to ye lagta ha ke ab mare ab jaan nikli is ka koi upaye jaru bataye
Mera urine mein jalan or dard ho raha hai jiski wajah se main kafi taklif mehsoos kar raha hoon.
Sir mere mutar me white drops aa rhi hai mujhe dehydration hua tha kya kuch us wajah se ya koi aur infection ho sakta hai jwab de.