More

    चेहरे से तिल हटाने के 20 घरेलू उपाय

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेचेहरे से तिल हटाने के 20 घरेलू उपाय

    चेहरे से तिल हटाने के 20 घरेलू उपाय इस लेख में चेहरे से तिल हटाने के पांच घरेलू उपाय बताए गए। इस उपाय से चेहरे के किसी भी हिस्से से तिल को आसानी से हटाया जा सकता है। इस पांच उपाय से चेहरे के तिल को हटाने के बाद उस जगह पर कभी तिल नहीं होता है। उपाय जानने के लिए इस लेख को पूरा पढ़ें।

    Til Hatane ke Upay : Chehre par til(mole) aur masse(black warts) ek dark black spot jaise dikhate hai jo koi dard ya takleef nhi dete par ye face ki khubsurati ko kharab karte hai. Kuch til janam se hi shareer par hote hai aur kuch umar badhne ke sath ho jate hai. Ye kale aur bhure rang ke hote hai. Jab face par hotho ke pass til ho to ye chehre ki sundarta badha dete hai, par jab ye til jarurat se jada ho jaye to chehre ki khubsurati bigad bhi dete hai.

    Shareer par til, masse aur daag dhabe kisi bhi jagah ho sakte hai. Vese to hum masse hatane ke liye doctor se surgery bhi karwa sakte hai, ya koi allopathy treatment bhi le sakte hai. Par hum kuch gharelu nuskhe apna kar tilo aur masso ka ilaj kar sakte hai. Is leekh mein hum masse aur til ka ilaj karne ke kuch aasan upay bata rahe hai.

    Til Hone Ke Kaaran

    • Skin par til aur masse hone ka kaaran hai pepiloma virus, jisse tvacha par til aur masse ban jaate hai. Pahle masso ki samasya jada umar ke logo mein hoti thi par aajkal masso ki samasya kam umar mein bhi hone lagi hai.
    • Kuch logo ko til janam se bhi hote hai.
    • Sugar, motapa, pregnancy aur steroids ka jada isteemaal til aur masse hone ke parmukh kaaran hai.

    Face se Masse, Til hatane ke upay: 20 Gharelu Nuskhe in Hindi

    Niche bataye gaye kisi bhi homeremedies aur gharelu upay ko aajmane se pehle apne face ko ache se dhoye.

    1. Agar kisi ke chehare par massa jada bada hai to ghode ki punch(horse) ka baal masse par bandhane se massa apne aap kat kar kuch hi dino mein gir jata hai.
    2. Chehare ka til khatam karne ke liye ek agarbatti jalaye fir uske jale hue hisse ko masse par lagaye aur lagate hi turant hata le. Is pryog ko 8 se 10 baar karne par massa sukh kar jhad jayega. Dhyaan rahe ki agarbatti sirf masse par hi lagni chahiye.
    3. Til aur masse jaldi nikalne ke liye aloevera gel ka istemaal bhi kar sakte hai.
    4. Rui(cotton) ke fahe ko sirke mein bhigo kar masso par lagaye aur 15 minute bad halke garam paani se chehre ko dho le. Kuch dino mein masse apne aap gir jayenge.
    5. Gulab jal(rose water) ki ek bottle surj ki dhoop mein rakhe aur thoda garam hone par rui ke faahe se gulaab jal face par lagaye. Gulaab jal chehare par lagane se chehare ke romchidaro se chiknayi bahar nikal jaati hai aur skin saaf ho jaati hai. Jin logo ko bar bar masse hone ki shikayat hoti hai unke liye dadi maa ka ye gharelu nuskha bhut hi faydemand hai. Gulaab jal ko face par 15 se 20 minute tak lagaye rakhe fir taaje paani se muh dho le.
    6. Lehsun ki kaali ko cheel kar use kaat le fir til, masse par ragade. Lagatar kuch din lehsun ke is gharelu nuskhe ke isteemaal se chehre ke bhure aur kaale til aur dark spot gayab ho jayenge.
    7. Ek aaloo le use kaat kar uski faank ko masse par ragade. Din mein 4 se 5 baar is upay ko karne se kuch dino mein hi masse jhadne lagenge.
    8. Taja kata hua ananaas(pineapple) lekar use face ke til par lagane se jald hi fayda milta hai.
    9. Bargad ke patto ka ras til, masso ke upchaar ke liye bhut faydemand hota hai. Is ras ko tavacha par lagane se skin soft ho jati hai aur masse apne aap jhad jaate hai.
    10. Aalsi ke beejo ko pees kar isme aalsi ka tel aur shahad mila kar masse par lagaye. 4 se 5 din is upay ke isteemaal se massa khatam hone lagega.
    11. Hare dhaniya ko pees kar ek paist bana le aur masso par lagaye, isse masse naram ho jayenge aur girne lagenge.
    12. Taaza anjeer masal kar use aadhe ghante ke liye masso par lagaye fir mgungune paani se dho le. Kuch din tak ye upay karne se masse apne aap gir jayenge.
    13. Face se Til hatane ke upay me pyaaj bhut gunkari hai. Pyaaj ka ras se aap apne face se til aur masse hatta sakte hai. Pyaaj cheel kar use kaat kar pyaaj ka ras nikal le, uske baad rui ko pyaaj ke ras mein dubo kar chehre ke til par lagaye. Aadhe ghante tak rui ko til par hi rehne de fir rui hata kar chehare ko thande paani se dho le. Rojana 2 se 3 baar is gharelu upchaar ko karne se kuch dino mein til gayab ho jayega.
    14. Rojana raat ko baking soda aur arandi ka tel(castor oil) mix karke chehre ke kaale til par lagane se masse dhere dhere gayab hone lagte hai.
    15. Khati lassi bhi til ka ilaj karne mein fayda karti hai. Khatti lassi se face ko 10 se 15 minute tak massage karne ke baad chahre ko dho kar sukga le ab gulab jal ko glisreen ke sath barabar matra mein milakar face par kuch der tak massage kare aur ek ghante baad chehre ko dho le. Aisa karne se kuch dino meinface ka til, masse aur pimples gayab ho jayenge.
    16. Masso par nail polish laga kar thodi der baad saaf kar le. Din mein 2 se 3 bar aisa karne se masse jhad jayenge.
    17. Raat ko sone se pahle aur subah uthane ke baad face ke kaale masse par shahad lagane se masse jaldi hi gir jayenge.
    18. Kele ke chilke ka bhitari hissa masse par ragadne se bhi fayda milta hai.
    19. Asprine ki 1 goli paani mein pees kar ek paist bana le aur masso par lagaye. Isse masse kuch dino mein jhad jayenge.
    20. Khatte seb(apple) le kar unka juice nikale fi ris juice ko din mein 3 se 4 baar face ke til par lagane se kuch dino mein til,masse jhadne lagenge.

    Jane Chehre se Jhaiya Hatane ke Upay

    Nimbu aur shahad mein vitamin C aur antioxidents ki maatra adhik hoti hai. Nimbu aur shahad ko mila kar chehre par lagaye aur halki massage kare. Kuch der baad chehra dho le. Is upay se face par glow aayega aur chehre ke nishaan mitane lagenge.

    Til aur masse nikalne ke liye ye tips bahut kargar hai. Lekin achanak aap ko kisi shaadi ya kisi function mein jana hai to aap chehre ke til ko kuch der ke liye makeup se chupa sakte hai. Aajkal market mein herbel makeup products bhi mil jate hai isliye hamesha yahi koshish kare ki chemical wale cosmetic items lene ki bajay herbel product le.

    Kuch til, masse aur daag aise hote hai jo kuch dino mein khud hi gayab ho jaate hai par kuch masse aise bhi hote hai jinhe khatam karne ke liye kisi ilaj ki jarurat hoti hai. Tilo ko katane aur chilane se kai baar iska infection shareer par ho jata hai jisse body ke dusre hisso par bhi masse nikalne lagte hai. Upar bataye hue homeremedies ke isteemaal se aap til aur masse aasani se remove kar sakenge.

    Dosto face se til hatane ke upay aur masse hatane ke gharelu upchaar in hindi ka ye leekh kaisa laga hame bataye aur agar aapke pass bhi koi sujhaav ya anubhav hai to hamare sath share kare. Agar aapke pass chehre ke til, masse nikalne ke gharelu tarike aur desi nuskhe hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    94 COMMENTS

    1. meri age 24 hai..
      meri aankho ke niche kaale ghere bahut h..bahut se upay kiye lkin koi frk nhi pada..
      mai dubli bhi bahut kya iss wajah se…
      or mere lips ke side side kalapan wo kaise jayega..plzz koi upay btaye jisse mera bhi face glowing dikhe..

      • Navya aap sabse pahle apne mind mein kisi parkar ka stress mat rakhiye tension free aur khush rahe, iske ilava aap achi neend le aur healthy diet khaye taki aapki skin ko nutritions mil sake aur bejan tavacha mein fir se jaan aa sake. Agar aapko pet se judi koi bimari hai to uska bhi upchar kare.

      • Navya First of all Aap proper soye. Coz Ye problem Kam Soney se Jyda hoti hai. Aur din me Kam se Kam 8glass water pipe. Aur aalu ko giss kr us ka ras lgaye. Aap ko jrur fayda hoga.

        • Ranjana ji til nikalne ke upay karne par us jagah nishan ban jata hai jo samay ke sath thik ho jata hai agar aapka til nahi nikla to aap kisi ayurveda vaid se mile aur upay karne ka sahi tarika jane.

    2. sir ji,
      meri age 28ys h mere face par chick (galo) par black dag (jhaiya) h mane kai type ki cream use ki oar koi effect nahi hua h,balki area badh gya h 5-6 years ho gaye h in dago ko,plzzzzzz koi gharelu upchar ya koi treatment ho to bataye plzzz sir ji me bahut pareshan hu.
      thanking you,
      Param singh

    3. meyre chere pr til bhut jayda h inko htaney ka koi asa nuska btaye jissey meyrey chere key til saf ho jaye, jo upaye btaye gye h jasey pyaj ka rs mey cotan dal kr til br rkh dey , pr meyrey chere pr til jayda h usmey koi asa upaye btaye jiska use asani sey kiya jaye.

    4. Mere chehre me til the kisi ne kaha chuna or sabau ko mila kr uspe rakh ke kat do bd me gaddhe bhar jayenge 2 gaddhe bhar gye but do gaddhe nai bhar rahe kya kare unko bharne ke liye.. Plz help me..

        • Maine lahsun wala tarika apnaya tha or till hatt bhi gya…..magar mujhe darr hai ki kya ye till dobara ayenge ya nhi…..???
          Plz mujhe bataiye ki till hatne k baf ayega ya bhi….??

    5. Sir, Mere face pe chhote chhote bhut sare til h..kuchh til nikla huaa..mai kisi ke samne Jane se mai sarminda masus krta hu. .Sir app mujhe kuchh upaye btaye ki til bilkul trah khatm ho jaye. .mai apka bhut bara avari rhunga. .

    6. sir ye nailpaint wala treatment kitne din tk krna h ….I try to do that for two days ….isse lgate hi jalan hoti h…so isse ur kitne din tk lgana h ..plZ say

    7. Sir mujhe under eye par bhut sare white dane hai bhut chote chote aur masse jaise ho rhe hai eye par mai kya kru bhut pareshan hu pls sir kuch bata dijiye

    8. Sir Maine Lahsun Wala formula try kiya hai lekin til ke aaspaas kala dhabba pad gaya hai,Kya ye permanent rahega,Help me sir mai bahut pareshan hu.

    9. Sir meri age 24 hai jab me 5 saal Ki thi mere chechak Ki bimari Ki vjh se mere face par kale dag rhe gye mene bhut Kuch kiya but ye thi nhi hote ak nishan bhut gahra kala h ise thik karne ke liye kya karu sir please help me in dag Ki vjh se koi mujhe pasand nhi karta meri shadi nhi ho rhi please help me sir.u are my last hope.

    10. Hello sir,

      Mere chere par ek chotisi funsi huyi fir vo thodi badi huyi par bohot din hogaye vo ab ek mattar ke dane ke barabar hogayu tab mene use masal diya usmese bohot khun nikla koe pulse nahi nikla…abhi sab keh rahe hai ki voh massa hai to kya karu…?
      Pls help me out

    11. Sir mai 24 yr ka hu or mere face me bhut se Chotte Chotte black color ka massa hai, massa itna jada hai ki agarbatti se Jalana possible nhi hai or massa itna Chotte hai ki horse k baal bahandna bhi possible nhi hai,

      Mere pure face me 50 percent chotte Chotte massa nikal geya hai,
      Aapne jo 20 upai Btai hai unme se mai kon sa formula use kru jo mere face k leya suitable hoga , kyunki mere pure face me massa hai , please help me .
      Mujhe smjh nhi aa raha hai ki kon sa formula use kru mai so please help me.

      • Dost yha btaye hue nuskhe massa hatane mein asardar hai, aap inhe padhe aur kisi ayurvedic chikitsak ki salah le aur janne aapke liye kon sa upay behtar hoga.

    12. Sir mere chehre p kbhi kch ni hua… Abi achank se bhoot sare kil muhase or dag ho gye h… Abi 13 din bd meri sadi h or ye thik hi ni ho rhe alovera try kiya… Sahad or hldi bhi try kiya.. Plzz aesa koi upay btaye ki sadi se phle chehre ekdum saf ho jaye plzzzzz aap personally likh k bta de kyuki inme se konsa try kru smjh nhi aa rha or tension bhoot h sadi ki.. Plz help me sir

    13. sir mere sir me hai msa .or me takriban sabi elaj kar ke dekh liye jo apne btaye hai bt muje koi fark nhi pad rha kya karu me plz help me muje sir ke back said hai msa

    14. sir mere face pr 2 se 3 til hi mujhe isko remove krne ka asan tareeka bataye aur jisse daag bhi na pade aur sur mujhe til nikalne ka upay batayega masa ka ni

    15. Hello sir mene lahsun vala tarika apnaya tha par us se side effect ho rhe he so sir help me or vaha kala gera ban gaya he or til to hat gaya par vo til vapis ho gaya

      • Dost til nikalne ke baad wha kuch nishan ya gadha ban jata hai jo dhere dhere thik ho jata hai agar aap ko lag rha hai ki til wapis aa gya hai to aap kisi ayurvedic vaid se salah le aur jane kya upay karna chahiye.

    16. Sir meri age 25 h or meri nak par chote chote til 10-12 sal se h. Bahut chote chote or bhure rang k h. But bahut sare h. Koi upay batae

      • अदिति जी चेहरे के टिल निकलने के घरेलू नुस्खे और उपाय ऊपर लेख में लिखे है आप इन्हें पढ़े और आयुर्वेदिक वैद की सलाह से जाने आप के लिए कौन से उपाय जादा बेहतर होंगे.

    17. Sir my name kusum mere chehre par halke black teel lagbhag 50 se jyada hai to esa konsa jyada asardar upay apanau jo inko khatm kar sake or kitna time tak use karu plzzzz

      • Kusum ji upar btaye hue upay til nikalne mein madad karte hai kyuki aapke til bahut jada hai to kisi ayurvedic vaid se milkar salah le aur jane kon sa upay aapke liye behtar hoga.

    18. Hello sir.
      My name heer .
      Sir mere face pr or all body PR chote 2 masse hone lage the mein masse hatane ki cream lagi or vo chune ki bani thi.
      Sir usse mere face pr jaln or lal lal nishan pdne lage hai .. Or uske nishan b ho rhe hai sir plz mujhe koi ek achaa upay batiye m kya kru plz plz sir mere face PR koi nishan na reh jaye . plz sir help me jaldi reply kriyega
      Thanku

      • Heer kyuki kuch logo ki skin jada senstive hoti hai isliye koi bhi cream ya dawa ke istemal se pahle uske bare mein puri jankari lena chahiye, til hatane ke upay karne par wha ek bar nishan ban jata hai, aap upar likhe upay padhe aur kisi ayurvedik chikitsak ki salah se jane aapke liye kon sa upay jada behtar hoga.

    19. Sir Meri me 20 years ka hu mere chahre par pimple ke Karan kale dhabbe ho Gaye he uhe ke se nikale usko nikale ne ke gharelu upay batao muje ye dhabbe ko 5 din me mitana he

    20. Mere face per 4 masse hai and iski wajah se mera chehra bahut Bura lagta hai Mai aloevera gel use kar Raha hoon ye kitne din me thik ho jaega please reply

    21. Sir kya in upayon se til hatane par gaddhe ya dag ho jayenge..masse hatane par ye samasya hoti hai..par kya til hatane par ye samasya hogi?

      • तिल और मस्से हटाने के बाद एक बार उस जगह दाग जरूर रह जाता है जो समय के साथ ठीक होने लगता है.

    22. Alovera gel se be till nikalta hai kya or mera pahela till tha wo till tu koi chemical se nikal gaya but waha khada ho gaya wo khada kaisa bhara or nishan kaisa sahi kara

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles