More

    Chehre ko Khubsurat Banane ke 10 Aasan Upay Hindi Mein

    Face - चेहराChehre ko Khubsurat Banane ke 10 Aasan Upay Hindi Mein

    Chehre ko Khubsurat Banane ke Upay Hindi Mein

    Har koi khubsurat aur chamakdar chehra pana chahta hai jis par daag dhabbe ka koi nishan na ho. Kehte hai khubsurati sirf chehre se nahi hoti, agar insaan dil se khubsurat hai tab bhi bheed mein apni ek alag jagah bana leta hai, par jab iske sath chehra aur personality bhi khudsurat dikhti hai tab hamara confidence level badh jata hai. Is article mein hum janenge chehre ko khubsurat aur sundar kaise dikhaye, Face Glow Tips in Hindi.

    Khubsurat chehra pane ke 2 tarike hai. Pahla makeup aur dusra natural ayurvedic upchar. Ayurvedic tarike se bina kisi allergy aur side effect ke aap sundar chehra pa sakte hai. Makeup aapke chehre ki kamiyo ko chupa deta hai par ayurvedic upay karke aap chehre ki kamiyo ko door kar sakte hai.

    Sundar Kaise Dikhe – How to Look Beautiful

    Vese to hum makeup karke bhi face ko beautiful bana sakte hai par ye koi permanent solution nahi hai. Kisi function ko attend karna ho to hum kuch der ke liye makeup ka sahara le sakte hai. Agar aap natural tarike se chehre ko khubsurat banana chahte hai to aap ye steps kare.

    Step 1: Sabse pahle aap ko chehre ke pimples aur kisi bhi parkar ke nishan ka upay karna hoga.

    Step 2: Chehra tabhi sundar dikhega jab aapki skin healthy hogi. Face ko healthy aur fresh banane ke liye aapko khane pine(diet) par dhyaan dena hoga aur kuch face pack bhi paryog karne honge. Iske liye hum aapko ayurvedic face pack isteemal karne ke salah denge.

    Step 3: Agar aapke chehre ka rang sawla hai to aap gora rang pane ke liye home remedies ka paryog kare.

    Makeup Kitne Parkar ka Hota Hai

    Agar aap sundar dikhne ke liye makeup karti hai to makeup hamesha aesa hona chahiye jisse aapke face par nikhar aaye. Makeup hamesha samay aur mahol ke anusar kiya jata hai. Din aur raat ke liye makeup bhi alag hota hai. Aaiye jante hai makeup kitne parkar ke hote hai.

    • Office ke liye make
    • Winter makeup
    • Summer makeup
    • Bridal makeup
    • Shaadi mein jane ke liye makup
    • Din aur Raat ke liye makeup

    Makeup Kaise Kare – Face Glow Beauty Tips in Hindi

    1. Makeup karte samay roshni jada honi chahiye.
    2. Makeup hamesha samay, mausam aur mahol ko dhyaan mein rakh kar karna chahiye.
    3. Makup karne se pahle ye samajhna jaruri hai ki aapki skin kesi hai aur aapko kis parkar ka makeup karna chahiye. Chehre ke aakar, skin ka color aur apni personality ko dhyan mein rakh kar makeup karna chahiye.
    4. Kisi bhi beauty product ko isteemaal karne se pahle ye check kare ki aapko ye suit kar rha hai ya nahi. Kuch products skin ko allergy kar jate hai isliye face par lagane se pahle haath ya pairo par lga kar check kare ki jo beauty product aap use karne wali hai vo aapko suit karta ho.
    5. Aajkal market mein makeup ke herbel products bhi aate hai jinke side effects nahi hoti, cosmetic products mein chemical hone ki wajah se ye skin ko nuksaan bhi kar sakte hai, isliye koshish kare makeup karne ke liye herbel aur ayurvedic products ka paryog kare.
    6. Agar jaldi mein kahi jana ho aur 5 minute mein makeup karna ho to BB cream ka paryog kare. Ye cream aap ki skin ko eksaar dikhati hai. Office girl ke liye ye creame bahut achi hai.
    7. Face ki dead skin nikalne ke liye face mask lagaye, par market se cosmetic face mask lene ki bajay ghar ki cheejo se bane natural face mask ka paryog kare. Isse chahre par nikhar bhi aata hai.
    8. Aloe vera ke murabbe mein dahi mila kar face par lagane se chehre mein nami aati hai.
    9. Baalo ki sundarta banaye rakhne ke liye din mein 2 baar kanghi jarur kare aur raat ko bhi sone se pahle baalo par comb kar ke soye. Iske ilava hair care ke liye hafte mein 2 se 3 baar shampoo karke baalo ko conditioner kare.
    10. Baalo ke sath naye naye experiments karne ki bajay hairs ko natural look dene ki koshish kare aur hairs coloring karne ki bajay gharelu nuskhe isteemaal karke baalo ko color kare.

    Chehre ki Dekhbhal Kaise Kare

    Chehre ko khubsurat dikhane ke liye agar natural gharelu nuskhe paryog kare to jada behtar hai, par kuch girls aur boys skin saaf rakhne ke liye beauty products ka paryog bhi karte hai jinme sunscreen aur scurbing jada istemal hoti hai. Aaiye jante hai in products ko kese paryog kare aur inke fayde kya hai.

    1. Sunscreen

    Mausam chahe sardiyo ka ho ya fir garmiyo ki kadak dhoop ka, aap ghar ke andar baithe ho ya ghar ke bahar ja rahe ho sunscreen laga kar jaye. Sunscreen aapki skin ko suraj ki ultra violet kirno ke effect se bachata hai. Agar aap hamesha jawan dikhna chahti hai to sunscreen ka isteemaal kare.

    2. Scurbing aur Cleansing

    Chehre ko saaf rakhne aur dust nikalne ke liye rojana raat ko sone se pahle cleansing milk ya fir face clean karne wale kisi beauty product se chehra saaf kare. Iske sath dead skin se chutkara paane ke liye hafte mein 1 baar scurb ka paryog kare. Isse skin se bacteria aur extra oil nikalne mein madad milegi. Dry skin ke liye mostouriser wala cleanser paryog kare.

    Dosto Chehre ko Khubsurat Banane ke Upay, Face Glow Beauty Tips in Hindi ka ye article aap ko kaisa laga hame comment kar ke bataye, aur agar aap ke pass sundar kaise dikhe, iske sujhaav ya anubhav hai to hamare sath share kare, aapki knowkedge se auro ko bhi fayda milega.

    Recent Articles

    8 COMMENTS

    1. Hai myमेरी मामी को कमर में दर्द और हमारे पास पॉज नहीं है मेरे पाप को भी सुर्विकाल हुआ है प्लीज मेरे मामी पाप की दिख कर दो नम्र सुमित दुबे

    2. me 1 week me 2 bar malish krta hu… tabhi mere bal jadte he… or nahane ke samay bhi mere bal jadte he…. to fir me kya karu…. or shampu use karu ya or kuch…

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles