More

    Food Poisoning ka ilaj ke 10 Aasan Gharelu Upay Hindi Mein

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेFood Poisoning ka ilaj ke 10 Aasan Gharelu Upay Hindi Mein

    Food Poisoning ka Gharelu ilaj in Hindi: Aaj ke daur mein logo ki lifestyle aur khane pine ki pasand mein kaafi badlav aa rha hai. Pahle log healthy aur ghar par bani hygienic chije khate the par ab log fast food jaesi chije khana jada pasand karte hai, aur hamara hazma kharab hone ka ek bada karan bahar ka khana hai. Kai bar bhukh shant karne ke liye hame khane ki jo bhi chij jaldi milti hai khaa lete hai jis wajah se hame kai bar food poisoning ho jati hai. Hum jo kuch khate hai agar vo gandagi wali jagah par hai to usme hanikark bacteria chale jate hai aur ye bacteria stomach infection aur food poisoning ke roop mein dikhayi dete hai. Aaj is lekh mein hum janenge food poisoning ke upay kaise kare, home remedies tips for food poisoning treatment at home in hindi.

     

     

    Food Poisoning ke Lakshan : Symptoms

    Agar hame pahle se hi kisi rog ke lakshano ki jankari ho to samay par rog ko pehchan kar badhne se rok sakte hai.

    1. Sir dard hona
    2. Pet mein dard hona
    3. Bar bar ulti aana, ji machalna
    4. Dast lagna, pet mein marod uthna
    5. Body mein weakness mehsus karna

     

    Food Poisoning Kaise Hota Hai : Causes

    Harmful bacteria jab hamari body mein jate hai tab food poisoning hone ki sambhavna kai guna badh jati hai. Khane pine ki chijo mein saaf safai ka dhyan na rakhna food poisoning ka parmukh karan hai.

    • Baasi khana khana
    • Khana khane se pahle haath na dhona.
    • Khane ki chijo par makkhi machhar baithna.
    • Bhojan pakate waqt ganda paani istemal karna.
    • Khane se pahle fal aur sabjiyon ko ache se na dhona.

     

    Food Poisoning ka Gharelu ilaj aur Desi Nuskhe

    Food Poisoning Treatment at Home in Hindi

    Is smasya ko rokne aur upchar ke liye sab se pahle jaruri hai ki saaf safai ka dhyan rakhe. Sadak kinare lagi rehadiyo se pahle se hi kate hue fal na le. Fal aur sabjiyo ko khane se pahle dho le. Aesi choti choti baato ka dhyan rakh kar food poisoning se bach sakte hai aur agar aap ko food poisoning ho jati hai to iske upchar ke liye yha bataye hue gharelu nuskhe padhe.

    1. Food poisoning ke waqt toxins bahar nikalne ke liye hamari body jada pani istemal karti hai isliye is baat ka dhyan rakhna jaruri hai ki body mein pani ki kami na ho. Isliye jada paani piye aur iske ilava soup, nariyal paani aur glucose lene se bhi pani ki kami puri karne mein madad milti hai.

    2. Pachan se judi samasya ka ilaj adarak se kar sakte hai. Ek chammach shahad (honey) mein adarak ke ras ki kuch boonde mila kar sevan karne se pet dard mein aaram milta hai.

    3. Food poisoning dur karne ke upay mein jeera ka paryog kafi faydemand hai. Ek chammach jeera bhun le aur soup mein mila kar piye. Isse pet dard aur pet ki sujan dur hoti hai.

    4. Nimbu ka ras, thodi chini aur thoda sa namak mila kar shikanji banaye aur har 2 ghante mein pite rahe.

    5. Dahi mein anti bacterial tatav hote hai jo liver ko hone wale infection ko rokta hai. Food poisoning se grast vyakti ko khali pet ya fir khana khane ke baad dahi khana chahiye.

    6. Kela (banana) mein potassium adhik hota hai, food poisoning ke upchar mein kela khane se fayda milta hai. Agar dast lage hue ho to dahi mein kela pees kar khane se dast dur hote hai.

    7. Food poisoning hone par kuch bhi aesa khane se bache jise pachane mein adhik samay lagta ho aur pachan tantr ko jada mehnat karni pade. Khichadi kha sakte hai ye aasani se pach jati hai.

    8. Lehsun mein anti bacterial aur antiviral gun hote hai jo food poisoning se ladne ke liye ek utam desi dawa hai, iske liye ek taja lehsun ki kali ko paani ke sath nigal le.

    9. Stomach infection ke treatment ke liye tulsi bahut upyogi hai. Tulsi ke patto ko pees kar iska ras ek chammach shahad mein mila kar lene se aaram milta hai.

    10. Ghar ki bani chaach, chawal ka maand bhi food poisoning se rahat dilate hai.

     

    Food poisoning Tips in Hindi

    1. Agar ghar mein kisi vyakti ki food poisoning ki shikayat hui hai to baki ke family members ek baat ka dhyan rakhe ki raat ka bacha hu baasi khana bilkul na khaye.
    2. Khana khane se pahle acchi tarah se hath dhoye, khas kar bathroom se aane ke baad apne hath ache se dhoye taaki infection se bache rahe.
    3. Agar ulti aur dast lage hue hai to liquid diet jada le.
    4. Jis jagah aap khana khate hai wha aas pass gandagi nahi honi chahiye.
    5. Khana khane mein istemal hone wale bartan ache se dhone ke baad hi paryog kare.

     

    Agar food poisoning ke upay karne ke baad bhi aapko aaram nahi mila aur samasya badhti ja rahi hai to doctor se milkar test karwaye taki bimari ke karano ka pata lage aur sahi disha mein ilaj ho sake.

     

    Dosto Food Poisoning ka Gharelu ilaj, Food Poisoning Treatment at Home in Hindi ka ye article aapko kaisa lga hame comment kar ke bataye aur agar aapke pass stomach problem, infection ke upchar ke desi nuskhe ya ayurvedic dawa se jude anubhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    1 COMMENT

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles