More

    गुस्से को कम व मन को शांत करने के 5 असरदार टिप्स

    Uncategorizedगुस्से को कम व मन को शांत करने के 5 असरदार टिप्स

    अगर आप भी कोई ऐसा उपाय ढूंढ रहे हैं जो आपको गुस्से पर काबू पाने और अपने मन को शांत करने में मदद करे तो यह लेख खास आपके लिए है।

    इस लेख में क्रोध को कम करने और मन को शांत करने के पांच प्रभावी उपाय हिंदी में बताए गए हैं। यह 100 प्रतिशत तक काम करता है। इस उपाय से कई लोगों ने अपने गुस्से पर काबू पाया है। बहुत से लोगों को मन की शांति मिली है। उपाय की जानकारी प्राप्त करने के लिए इस लेख को अंत तक अवश्य पढ़ें।

    Gussa Kam Karne ke Upay: Gussa insaan ka sab se bada shatru hai kyuki gusse mein hum sochne aur smjhne ki shakti kho dete hai aur sahi galat ka faisla nahi kar paate. Gusse mein hum khud ka hi nuksaan kar lete hai jiska ehsaas hame baad mein hota hai. Is lekh mein hum janenge how to control anger.

    Har vyakti ko kabhi na kabhi gussa jarur aaya hoga. Gussa aur Pyaar dono aise emotions hai jo ek dusre se ulte hai. Pyaar insano ko jodta hai to gussa nafarat aur man mutaav paida karta hai. Kuch log gusse mein ut-ptaang harkate karte hai jese ki kisi ko gaaliya dena, cheeje todna, kisi par haath uthana aur ladayi jhagda karna.

    Gussa Kam Karne ke Upay : How To Control Anger in Hindi

    Gusse mein vyakti apne dimag aur jubaan ka aapa kho deta hai aur vo sab kuch kehta hai jo nhi kehna chahiye. Gusse mein insaan ke muh se kabhi achi baat nahi nikalti. Gussa aur bhi khatarnak roop le leta hsi jab ye insaan ke dimag mein ghar kar jata hai. Aaiye jaante hai ki gusse par kabu paane ke kya upay kar sakte hai.

    1. Agar aap kisi se baatcheet kar rhe hai aur aap ko koi baat buri lagi hai aur gussa aa rha hai to sabse behtar hai ki aap us jagah ko turant chod de. Isse aapka dimag shant hoga aur kisi se jhagda bhi nahi hoga.
    2. Tanav aur gusse se bachne ke liye tension ko kabhi khud par haavi na hone de kyuki bahut se log hai jo tanav nhi jhel paate aur apna aapa kho dete hai.
    3. Gussa kam karne aur man ko shaant karne ke liye dhyaan(meditation) lagaye aur yoga ka abhyaas kare. Dhyaan lagane ke liye aankhe band kar ke baith jaaye, ishwaar ko parnaam kare aur dimag mein positive thoughts laye. Jane Meditation Kaise Kare.
    4. Rojana yoga aur meditation karne wale vyakti ka man shant rehta hai aur jaldi gussa bhi nhi aata.
    5. Aaj ke lifestyle mein hum khud ke liye samay nahi nikalte. Jadatar hum kaam karne aur apni resposibilties ko pura karne mein lage rehte hai. Apne liye free samay nikale aur apne pasand ke kaam kare. Isse aapko apni problems ke solution sochne ka samay milega. Apne pasand ke logo ke sath samay bitane se bhi stress kam hota hai aur acha feel hota hai.
    6. Jab bhi aap stress mein ho tab sab kaam chod kar kuch der ke liye apni pasand ka music sunne. Tanav se bachne, man shant karne aur khush rahne ke liye music thearpy bahut fayda karti hai.
    7. Jin logo ko gussa jada aata ho unhe coffee. chay, dhumarpan aur sharab ke sath aesi cheho se parhej karna chahiye jo shareer ko utejeet karti hai aur savbhaav mein chidchidapan aata hai.
    8. Gusse par kabu pane aur mind ko control karne ke liye monday ko upvaas karna chahiye aur raat ko chaand ko argh de kar prathna karni chahiye ki aap apne gusse par control kar sake.
    9. Roj subh uth kar dharti maata ko 5 baar choo kar parnaam kare aur apne gusse par vijay paane ke liye pray kare.
    10. Apne dimag ko kisi pareshani aur tanav se dur karne ke liye aap ankhe band karke lambi aur gehri saans le aur sara dhyaan apni saanso par lagaye. 5 se 6 baar aesa karne se aap halka mehsoos karenge aur man shaant hone lagega.

    Man Shant Rakhne ke Upay : Gussa Kaise Control Kare

    • Agar aap koi kaam lambye samay tak karte hai to koshish kare ke beech beech mein kaam se kuch minute ka break le kar khud ko refresh kare, jisse kaam mein man lagega aur thakan nahi hogi. Chote chote break lene se concentration level badhta hai jisse kaam ache se ho pata hai aur kaam ka tanav nahi hota.
    • Stress se dur rehne ke liye rojana 6 se 8 ghante ki gehri neend jarur le. Raat ko der se sone aur neend puri na hone par shareer mein thakan hone lagti hai aur choti choti cheje tanav ka karan banti hai.
    • Kehte hai pareshaniya baatne se kam hoti hai. Agar aap kisi mushkil mein hai aur uske karan bahut tanav mein rehte hai to apne mata-pita, biwi-bacho ya fir kisi dost se apni problems share kare. Isse aapki samasyao ka solution dhundhne me aasani hogi aur man bhi halka hoga.
    • Jesa khayenge aan vesa rahega man. Isliye ghar par bna poshtik bhojan kare taaki aapka shareer aur dimag swasth rahe, ache vichaar aaye aur man shant rahe.
    • Pure din ki kadi mehnat ke baad jab shaam ko aap thake hue ghar jaaye to thande paani se nahaye. Raat ko sone se pahle nahane se stress kam hota hai aur neend achi aati hai.
    • Sir mein dard ho ya fir jada tanav ho to sir ki malish kare. Aur jab bhi kaam ki thakan ho ya tanav mehsoos kare tab apni body ko stretch kare, isse body relax hoti hai aur aaram milta hai.

    Is leekh mein hum ne jaana Gussa Kam Karne ke Upay, How To Control Anger in Hindi aur Man Shant Rakhne ke Upay.  

    Dosto gusse ko kaise control kare aur man ko shaant karne ke kya upay kare ka ye article aap ko kaisa laga hame comment karke bataye aur agar aapke pass koi upay, sujhav ya anubhav hai to hame bataye.

    Recent Articles

    44 COMMENTS

    1. Mujhe kabhi kabhi bhut gussa ata h or gusse me main khud ko nuksan pahuchati hu mere man me negative bate aati h or mere gusse se shamne wala v bhut paresan h but really ye sab main jaan kar nhi karti hu main khud nhi chahti ki meri wajh se shamne wala hurt ho main khud v khush raihna chahti hu or shamne wale ko v khush dekhna chahti hu jo ki main nhi kar pati.I am very sad.

      • Sweetu kai bar aesa hota hai ki mahol ke karan ham apna aapa kho dete hai aur gusse mein vo kar dete hai jiska baad mein pachtava hota hai. Aap sabse pahle ek cheej samajh le ki gusse mein ham apna hi nuksan karte hai. Aap apne man aur dimag ko kabu mein rakh sakte hai bas aapko iski practice karni hogi. Meditation aur yoga se shuruaat kare aur sath hi yha bataye hue upay bhi apnaye, aapko fayda milega.

      • I know me janti hu apki probelm mere sath bhi esa hi hota me me kiya bol jati hu guse me mujhe khud pta nhi chalta but apne ap ko control karna jruri h me bhi kbhi kbhi apne ap ki wajah se dusro ko hurt kar deti hu but ab mujhe esa lagta h ki hume jis jagah me gusa aaye ya jis baat me gusa aaye hume us jagah se dur ho jana chahiye kuchh time baat fir sab normal ho jayega kiyuki kbhi kbhi hume apne samne se khud koshish karni chahiye

    2. Mai gusse Mai apno ko b bhul jata hun …Mai andar se jaise fut padta hun …kuch Yaad b ne hota sir ke Maine gusse Mai kya bola aur kya kara.jub sant hota hun toh guilty feel karta hun bahut kar diya bol diya lagta hai..sir apne meditation karne ka try last 15 days se kar rha hun …par jub b Mai dhyan Mai baithne ke kosish karta hun mujhe koi antar atma ke sune ke awaj Sunayi de us se pehle koi kala saya mere ko dikhta hai mano wo dhyan karne he ne deta…sayad wo saya mere andar ka gussa hai…ye badh rhi hai gussa koi kuch mere ko ache k liye b bole toh Mai chid chida jata hun..gharwale baat karna chod diye hai dost b…Mai kya karu smajh ne aa rha hai..tell me the solution of my this deep problem..ajib byakhyan hai par sir I am facing ….

      • Ayush gussa cheej hi aesi hai apno ko bhi paraya kar deti hai. Dost meditation karna aasan nahi hai iske liye aapko kaafi practice ki jarurat hai, aap lagatar karte rahe jald hi sikh jayenge. Iske sath hi aap ek cheej aur kar sakte hai, jab bhi kisi dost ya family member se baat kare tab sab se pahle mind mein ye soche ki main isse bahut pyaar karta hu aur iski baate mere bhale ke liye hoti hai. Ye 2 baate apne mind mein hamesha rakhe, kuch hi dino ki practice mein aap dekhenge ki aap kisi par gussa nahi kar rahe hai.

    3. Dear Mr. Ayush jee.
      Jab bhi Meditation karne baithe to pehle apni sanso per dhiyan dena start karen.
      Aur 10 bar zoor zoor se sanse len aur choren.
      sirf yahi karen, dimag mei bahot se vichar ayenge jab aap meditation karenge magar aapko apne dimag ko msg ya order dena hoga koi baat nahi aani chahiye dimag me dheere dheere aapko aap koshish karen bandh ankho se apni nak nose ko dekhne ki kuch ap ko waha per ek roshni dikhaee degi, Sub se achcha time meditation subha ka hai.
      Rahi baat gussa ane ki to aap kumari brahma kumaries ke hindi speach suney aapko bahot madad milagi unko sun kar magar aapko follow bhi karna padega bahot si bato ko.
      ye baat yaad rakhe kisi se rishta kharab karna dunia ka subse asaan kaam hai kisi ko tedi nazro se dekh loo bas
      aur subse mushkil kaam hai kisi rishta banye rakhna.

      Jab bhi aapko gussa aye agar aap khare stand hai to baith jaye agar baithe hai to let jayeg
      Pani piyen, zoor zoor se sanse lene aur apne uper control karen.

      Best of Luck

    4. Me apne gusse pr kabu nii rkh pata hu bhut kosis krne ke bawjud bhi koi kuch ulta bol deta to me hath utha deta hu gussa aane pr chirchira sa ho jata hu saman todne forne lgta hu aisa lgta he ki jaan lelu sabki bhool jata hu apne aap ko janwaro ki tarah gusse se daat pisne lgta hu gusse mere jahan me chadh gyi plsss solution btaye

      • Vijay gusse mein kai bar khud par kabu nahi rehta isliye jjo hum karte hai use bhi control nahi kar pate. Dost aap ye article aur yha likhe hue comments padhe aapko solution milega.

    5. sir mujhe gussa bahut jaldi aa jata hai or gussa me mai utptang harkate krti hu jisse mere gharwale bahut paresan hai or mai prayer v roj subah sham krti hu pr v gussa aa jata hai mai kya kru sir plz btayiye

    6. Sir,mujhe bahut gussa aata h sabko galat galat jawab de deti hu sab mujhse pareshaan ho jate h me kya bolti hu pta bhi nhi chalta h me kya karu plz answer me

      • Megha ji sabse pahle to aap khud ko ye baat samjhayie ki gussa karne se sirf aapka hi nuksan hoga aur aapki wajah se aapke apno ka dil bhi dukhega. Gussa control karne ke tips janne ke liye aap upar article ko aur yha likhe comments ko padhe aur regular follow kare.

    7. Sir ,mujhe apna gusse par kabu pana hai gusse me main bohot galat chiz kar deta hu aur kisiko ko v nahi manta hu aur hath utha deta hu bohot afsos hota he mujhe bad main main itna gussa kyu karta hu aur aisi galat harkat kyu karta hu main. Khudka to nuksan karta hi hu aur samne wala ka v aur uske sath baki Sab ka v

        • Sir muje bohat gussa Ata ha dil krta ha k khud ko nuksan poncho apki bate padhti hun gussa control krne ki tb apki bato par v gussa ana suru ho jata ha Bina bat k gussa krne ka dil krta choti choti bat ko badha bana deti hu muje kisi ki bate nai achi lagti ek muje pregnancy nai ho rhi ma us krn v preshan rahti hun ma khud ko handle nai kr pati

          • Anju aksar hum kisi ek cheej ke bare mein bhut jada sochte hai aur fir agar vo hamare man mutabik na ho to hamare andar frustration bharne lagti hai jo aksar gusse ke roop mein bahar nikalti hai, aap apni pregnancy ki wajah se pareshan hai jis wajah se aap mein frustration adhik ho gyi hai aur aap gussa karti hai.Anju ji aap upar btaye hue tips aur yha likhe hue comments padhe aur regular follow kare.

    8. Mera jivan gutkha or negative vicharo se bhara pada he me dusaro ke hamesha negative sochta hu or last me jagada ho jata he abhi me depression ki goliya kha raha hu ,vese to sab thik hota he par me hamesha udas or bate nahi kar sakta muje lagta he ki kahi bato se jagda na hojae esliye hamesha moni baba bana rehta hu ,par dimag me to kisi ke prati or apne apke par negative vichhar chalte rehte he or pura din gutkha chabata rehta hu nokri me or gadi me sabke saath jate vakt,please muje bachaye davai bhi depression ki chal rahi he to bhi mera dimag shant or sthir nahi rehta,parivar ki chinta rehti he logo se baat ya milna bhi accha nahi lagta bas ghar mr akar so jata hu,please give me strength

      • Dost aap mein self confidence ki kami hai aur aap ka khud par vishwas bhi kam dikhayi deta hai, sabse pahle to aapko ye salah hai ki agar aap depression ki koi dawa kha rahe hai to bina doctor se consult kiye koi medicine na le. Dost jesa hum sochte hai vesa hi hame dikhne lagta hai, aap sabse pehle to apne aapna mood acha rakhne ki koshish kare uske liye aap apne pasand ke logo ke sath rahe, din ki shuruat yoga aur exercises kare aur medititation bhi kare isse aapka dimag shant hoga aur positive thoughts mind mein aayenge. Iske ilava upar btaye hue tips padhe aur regular follow kare.

    9. plz help me sir plz ….mai apne gusse ki wjah se apna rishta khrab kr ri hu sir …muje pta h mai galt krti hu but muje mera gussa bardass ni hota sir …choti choti baat pr rone lg jaati hu or jeene ka man ni krta h esa lgta h mr jau mai kya kru sir plzz aap kuch to meri help kro sir plz plz plz

      • Kavya ji aap janti hai ki aap galat kar rhi hai aur isse aap ke relations bhi kharab ho rhe hai. Kavya ji gussa aane par hum kuch aesa kar jate hai ya keh dete hai jo thik nahi par vo hamare control mein nahi hota isliye gussa shant hone ke baad sabse pahle aap apni galti maane aur jinke sath galat tarike se pesh aaye hai unse maafi bhi mange aur unhe btaye ki ab aap apne gusse ko control karne ke liye pryas kar rhi hai, isse aap ke relations kharab nahi honge. Aap upar article ko padhe aur yha likhe hue comments bhi padhe aur btaye hue tips ko regular follow kare.

    10. Hello sir mera kabhi kabhi apni gf se kuchh bat lekar jhagra ho jata hai jisse 2-3 days tak study v nhj kar pata hun claas bunk kar deta aur sabse badi problem ki i can’t live without her

    11. Sir meri ek problem h ki mere dimag me nagative think aati h or mera dimag hamesa ashant rehta h and or muze jhijhk feel hoti h jha bhi main jati hoo vhi muze jhijhk lgti h jha tk ki apne ghr walo se jhijhk feel hoti h or mera dimag me nagative think aati rehti h or mera headache hone lgta h please iska koi solution btao aapki bdi meherbani hogi please sir

    12. Mere dimak se soch khatam nahi hoti
      ek soch jhatam ho jaye to dosri suroo ho jati hai plg sir mai kya kro
      plg sir help me

    13. sir mai appni life mai kuch sahi karnai jawo tho wo galath hojahta hai mai gussah nahi karna chathi magar control nahi karpathi bahut kuch mainai khoya hai shaddhi bhi toot gayi bacha bhi nahi raha aur dusri shaddhi bhi ki magar wo mujai bahut takleef daita hai aur ye sab bitch mai mujai dimaag nahi chal raha hai sucide bhi karna chayi bahut zakaam bhi diya sharir ko anh sab mujai pagal boltai hai magar mai pagal nahi hu bas mujai galath baath accept nahi hothi jissay mai abhi love marriage ki hu wo mujai dusri ladhiyo ko tariff karkai paraishan karta hai ye sab mujsay bardash nahi hota kya karu

      • नरगिस जी आप गुस्सा कम करने के तरीके ऊपर लेख में पढ़े और यहाँ लिखे हुए कमेंट भी पढ़े आपको सॉल्यूशन मिलेगा.

    14. Sir, main apke tarike se khush hun use pdhte pdhte khud gusa km ho gya magar jb mujhe gusa aata h or main kuchh bhi bol deti sbko sb mujhse bahot naraj ho jate hain pr mai kya kru main Jan kr nhi krti Bs gusa aa jata h mujhe koi mere bare me galat bolta h to mujhe bura lga h or tension bhi hota h or sochti hun ki qu sb mujhse pyar nhi krte sb meri burai dekhte hain achhai qu bhul jate hain meri main plz sir mujhe ans dijiye na tension or gusa kaise km kru apni plz

    15. Me lecturer Hu r mera job aisa h ki mjhe control krna chaise gusse pr… But mjhse bardash ni ho Pata h.. Aaj me bht sad Hu ki me baccho ki wajah se khud pareshan Hu me unpar bht gussa kr aayi.. But ab feel ho rha h ki ye mera fault h but mjhe Galt bardash ni h

      • Radhika ji school college life mein students masti karte hi hai aur agar koi student kuch galat kar rha hai jo use nahi karna chahiye to aap usse baat kare, bacho ko datna koi solution nahi, aap unki counsling kar sakti hai.

    16. Sir mujhe bahut gussa aata hai Mai JB gussa hota hu to bahut khuch ho jata hai aur bad me bahut pachtata hu kui kiya aisa Mai sir koi solutions bataye sir

      • गुस्सा कम करने के तरीके ऊपर लेख में बताये गए है आप इन्हें पढ़े और साथ ही यहां लिखे कमेंट भी पढ़े।

    17. Hum ko gussa bhot hata hai baat baat phae hata control v bhot kharti hu magar Hum Ko control Ni Hota ..dil lo dimag mahe hata hai jai gussa ..hum ko upai bhata sakde koi v…

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles