More

    काला पिलिया का 5 देसी इलाज जो जड़ से ख़तम करता है

    Disease - बीमारीकाला पिलिया का 5 देसी इलाज जो जड़ से ख़तम करता है

    काला पीलिया की एक खतरनाक बीमारी है, जो लोगों को मौत के घाट उतार देती है, इसलिए इस बीमारी के तत्काल इलाज की जरूरत है, आज का लेख इसी बीमारी पर आधारित है। इस लेख में हम कला पीलिया के घरेलू उपचार के बारे में बताने जा रहे हैं। जिससे काला पीलिया जड़ से खत्म हो जाता है। इसके उपचार के बारे में जानने के लिए इस लेख को अंत तक पढ़ें।

    Kala Piliya ka Desi ilaj: Jaundice hone ka parmukh kaaran paachan kirya thik se na hona hai jisse shareer mein khoon banana band ho jata hai aur body mein khoon ki kami ho jaati hai. Piliya ki bimari ko kabhi bhi halke mein nahi lena chahiye ye bimari jab kala piliya ka roop le leti hai tab jaanleva bhi ho sakti hai. Isliye jaise hi aapko jaundice ke lakshan dikhne lage turant iska upchaar(treatment) shuru kar de.

    Piliya 3 parkar ka hota hai, Hepatitis A, viral Hepatitis B aur Hepatitis C (kala piliya).

     

    Piliya Ke Kaaran (Causes)

    • Piliya bahar ki khuli hui cheeje khane, fast food aur dushit khana khane se ho sakta hai.
    • Viral infection ki wajah se.
    • Shareer mein khoon ki kami se.
    • Liver mein kamjoori aane se

    Piliya ke lakshan (Symptoms)

    Shuruat mein iske lakshan dikhayi nahi dete par jab ye bimari badhti hai tab rogi ke naakhun aur aankhe peele dikhane lagte hai aur peshaab ka rang bhi peela ho jata hai.

    • Bukhar aana
    • Bhukh na lagna
    • Jee machalna aur ulti aana
    • Sir mein dard hona
    • Jada komjoori aana aur thakan mehsoos karna.
    • Aankho mein dard hona.

    Kala Piliya ka Desi Ilaj : Jaundice ka Gharelu Upchaar in Hindi

    Jaundice mein desi, ayurvedic aur ghar mein rakhi hui kuch cheejo ka isteemaal karke hum kala piliya ka treatment kar skate hai. Is leekh mein hum kuch aasan gharelu nuskhe bata rahe hai jinke upyog se piliya mein jaldi aaram milega.

    1. Mulli ke Patto ka Ras: Mulli ke taja hare patto ko pees kar unka ras nikal le aur chaan kar piye. Isse rogi ki aante saaf hoti hai, jigar ki kamjoori kam hoti hai aur bhuk bhi lagti hai.

    2. Pyaaj: Jaundice ke gharelu upchaar mein pyaaj ka paryog bhut acha hota hai. Pyaaj ko cheel kar isko barike kat le fir isme nembu ka ras, peesi hui kaali mirch aur thoda sa kala namak milakar har roj subh sham iska sevan kare.

    3. Ganne ka Juice: Piliye se grast rogi ko saaf aur taaza ganne ka ras peena chahiye. Ganne ke juice se peelia mein jaldi fayda milata hai.

    4. Chane: Raat ko sone se pahle chane ki daal bhigo kar rakhe aur subh bhigi hui daal mein se paani nikal kar usme gud mila kar khaye. Kuch din lagatar is upay ko karne se piliya mein aaram milta hai.

    5. Nembu: Piliya mein nembu ka ras bhut fayda karta hai. Piliye se peedit rogi ko din mein 2 se 3 baar 15 se 20 ml nembu ka ras peena chahiye. Chahe to nimbu ki chikanji bhi pi sakte hai.

    6. Badam: 10 badam giri, thode se choti ilaychi ke daane aur 2 chuhare le aur raat ko sone se pahle insab ko milakar kisi mitti ke bartan mein bhigo de. Subh is mishran ko paani se nikal kar isme thoda sa taja makhan aur mishari mila kar ek mishran bana le. Is mishran ka lagatar sevan karne se piliya ki bimari thik hoti hai aur pet ki garmi bhi dur hoti hai. Is gharelu nuskhe ka paryog karte samay kisi garam cheej ko khane se parheej kare.

    7. Dahi aur Fitkari: 250 gram dahi aur 10 gram fulayi hui fitkari ko mila kar din mein 2 baar khaye. Dahi aur chach ka isteemaal jada kare aur roti ka sevan kam kare.

    8. Peepal: Peepal ek parkar ki jad hai jo aapko kisi bhi pansari ki shop se mil jayegi. Is jad ke 3 nag le aur paani mein pure din tak bhigane ke liye rakh de, jab ye jad fool jaye tab isme se paani nikal de aur nembu ka ras, kala namak aur thodi se peesi hui kaali mirch daal kar rojana iska sevan kare.  Har roj is jad ka ek nag badhate jaye aur jab ye 10 ho jaye tab iska isteemaal band kar de. 1 hafte mein hi aapko piliya se nijaat milne lagegi. Piliya ka desi ilaj ke sath ye ayurveidc nuskha purani kabz aur purana bukhar ke upchaar mein bhi bhut upyogi hai.

    9. Gobhi aur Gajar ka Juice: Piliya ke rogi ko gobhi air gajjar ka ras brabar maatra mein nikal kar 1 gilass pilaye. Kuch din is juice ko peene se piliya jaldi thik hota hai.

    10. Lehsun: 3 se 4 kaliya lehsun ki pees kar doodh ke sath peene se ye bimari jad se khatam ho jati hai aur jigar majboot hota hai,

    11. Tamatar: Tamatar jaundice ko thik karne ka natural gharelu upchaar hai. Subh khaali pet 1 gilass tamatar ke juice mein thodi kaali mirch aur namak mila kar peene se piliye mein chamatkari fayda milta hai.

    12. Imli: Raat ko sone se pahle kachi imali ko paani mein bhigo kar rakhe. Subh usi paani mein bhigi hui imali ko pees kar paani chaan le aur paani mein thodi kaali mirch aur kala namak mila kar peene se piliya 1 se 2 hafto mein thik hone lagta hai.

    13. Neem: Neem ke patto ko dho kar inka ras nikale aur din mein 2 bar 1 bada chamach rogi ko pilqaye. Is upay se liver ki kamjoori dhere dhere khatam hoti hai aur kala piliya mein bhut sudhaar aata hai.

    14. Saunth: Peesi hui saunth aur gud ko mila kar thande paani se lene se piliya ki bimari se chutkara milata hai.

    15. Amla: 1 chamach shahad mein 10 gram taaje aanwle ka ras mila kar peene se 2 se 3 hafte mein piliya se chutkara mil jayega.

    Parheej, Roktham aur Bachav ke Upay

    • Jaundice ke lakshan dikhate hi rogi ko doctor ke pass jakar salah leni chahiye.
    • Ghumna firna kam karke jada aaram karna chahiye.
    • Garam cheje khane se parheej kare.
    • Fruits ka juice peena chahiye khass kar neembu aur santre ka.
    • Peliya hone par aisa bhojan khana chahiye jise rogi aasani se pacha sake aur liver ko takat mile jaise khichadi, daliya, ubale hue aaloo, glucose, gud, papita, chiku, muli, lassi aur carbohydrate wali cheeje khana chahiye.
    • Piliya hone par maida, mirach masala, tale hue khane, mithayia aur udad ki daal ka sevan nahi karna chahiye.

    Kisi bhi bimari ke treatment se acha hai aap usse bache, isliye aisi jeevanshelly  aur daily routine se dur rahe jo kisi bimari ki wajah banti hai.

    Dosto kala piliya ka desi ilaj – jaundice treatment in hindi ka ye leekh kaisa laga hame jarur bataye aur agar aapke pass piliya ke upchaar ka koi sujhaav ya fir anubhav hai to hamare sath bhi share kare.

    Homeremedies, baba ramdev medicine tips, ayurvedic, rajiv diit treatment, homeopathic upay aur desi ilaj ke sath is website par hum internet ki jankari hindi mein share karte hai.

    Recent Articles

    60 COMMENTS

    1. Sir mere ko hapetitis ho gya h 9 point ho gya me Kya karu doctor se ilaj karva rah hu h ab 4.66 bacha h sir pheer bhi peeli ankhe ho jati h

        • Sir me kuch Dino tak theek rah mujhe pher se pet kafi jayda kathor hone laga h khana nahi pach rah h, ankhe bhi peeli nahi h n hi nakhoon, halka sa bhookhar rah rah h sarir garm bhi ho rah h chest ke upar. Sir dard bhi kabhi kabhi garm rahta h

          • Aap ek baar doctor se mile aur checkup karwaye. JJo problem aap bta rhe hai iske bhut se karan ho sakte h to jaruri h kimpahle bimari ko sahi se diagnose kiya jaye.

        • sir mujhe meri maa ke pet se hi pilia hai p.g.i me dignos karaya tha unhone bataya jeens me piliya hai barabar bana rahta hai kareeb4.0 point kya ye kabhi sahi nhi hoga ya kisi prakar ka khatra to nhi hoga ya mai kaise kya karu bahut pareshan rehta hu age 34 hai kya kare

    2. Hello sir mere ek chhota bhai hai jiska age 19 y hai usko hepatitis b positive 7.2 ho gaya hai aur jaundice pilya bhi hai eska kuchh gharelu ilaj aur parhej Batiye aur keya roti khana thik hai

    3. hello sir mujhe bar bar piliya ho.jata hai report me bar bar dikhta hai.per mujhe uske Lakjad kuch bhe nhy hote jese ki bhook.kam lagna bhook khoob lagati hai.munhe Aur Aanke hath nakhoon peele ho jana Nakhon aur Aankhe bhe peeli.nhy hoti meri.ji per hamesha report me piliya aata hai me bahut pareshan hu kya karo 10 Saal ho gaye hai sahi hojata hai for ho jata hai Ab 2.3 hai kya karo kuch bta plz plz.

      • Ahil aap ko jarurat hai ek healthy life style ki, acha khan paan aur niyamit vyayam ko apne daily routine mein shamil kare. Sath hi upar bataye hue upay kare fayda hoga.

    4. hello sir g ye hepatitis a Jo hai mujhe 3-4 roj se hai lekin isme na pila na ulti hai ha thora bahut gas dhekar bale hai aur kamjori thakan aur bokharhai .isliye me doctor ke pass gya to usne 12 sirinch blood nikala test karne ke liye.uske badh pani lagaya lekin aram thora hai .blood ka report 25 Aug ko dega ki kya hai

      • Rajabul ji abhi aap test report ka intejaar kare, bimari ke diagnose hone par hi uska sahi tarike se upchar sambhav hai. Tab tak aaram kare, khane pine ka dhyan rakhe aur doctor ne jo medicine di h use lete rahe. Agar aap ko lagta hai ki piliya hi hai to yha bataye hue upay kar sakte hai.

    5. sir jaundice hai or 6.1 h doctor se dawa le raha hu phir bhi aankh peeli hai or peshaab ka rang bhi peela hi hai ab aap koi upay btaiye

    6. Sir mere dost ka acsident ho geya tha toh uske pear (foot) mejayda chot lagi us ki pear ki ungli toot gyi. Toh uska opretion ho tha. par uske khoon test me kala piliya aa gya.toh Dr. Bol rahe he pehle kala piliya sahi hoga toh opretion hoga. Par us ke paer ki ugli bahut jyada galgi hai. Toh kia kre

      • Umesh 2 saal bahut lamba samay hota hai aap doctor se mil kar salah jarur le aur agar gharelu nuskhe karne hai to upar likhe hue tips padhe.

    7. sir mujhe 2 mnths se piliya hai doctor ko bi dikhaya aur hospital m admit bi tha pr abi tak koi arar ni huaa

    8. I m harsh sir mujhe 3 mahine se piliya hai or mera weight 82 tha or jauindis 3.9 tha .10.10.2016 ko 2.45 aaya tha mujhe koi pareshani to nahi hoti but last month my weight is 68 & now 67 pet main halki si right side chubhan hoti hai main kya karun I m very tired

    9. Hello sir meri patni ko Kala piliya hai .our ab usne Bache ko janam diya hai.abhi baby bilkul svasth hai our Mai jeh janana chahta hu kya mujhe Bache ke test karvane chahie ya nahi Bacha 5mahine ka hai or thik thak hai

      • Harjeet sabse pahle to ye janna aruri hai ki aap ko ye samasya bar bar kyu ho rhi hai aur piliya ka ilaj ke liye aap desi nuskhe kar sakte hai.

    10. hello sir,
      mai PRAMOD KUMAR .. Sir mujhe jondish 4months ho gaye hai…mai pahale 2months hemayopetic ka elaj kiya to mera bilrubin kabhi 1.6 hota hai to kabhi1.1 hota hai to kabhi 1.78 hota hai esliye Maine ye dawa chor kar ab mai dusre doctor se mila to unhone mujhe Liv-52DS,SURBILIN SYRUP,sylobin140,dawa bole khane ke liye aur bole bilkul aram karne ke liye.mai dawako 10days kha ke check karaya to 0.9 ho gaya phir dwa 5days khane ke bad mera 0.8tha to doctor bole ab dawachor do sirph Liv-52 khate rahna 1months mai dawa khane ke baad LFT karwaya to reporte normal hai lekin mera bilirubin usme 1.16 hai to doctor bole thik hai aur mai chahta hu ki ye ghatkar 0.5 jaye aur mera ak eye halka pila hai aur pesab bhi halka pila ho ja raha hai.aur left side pet mai dard rah raha hai to doctor bole ki ACLOCK RD khawo thik ho jayega…to ab bataiye mujhe kya karna chahiye….sir i kindly request to u…sir help me…I hope that u help me

      • Parmod aap ko yahi salah hai ki jis doctor se treatmenr le rahe hai is bare mein unse discuss kare kyuki vo behtar jante hai ki aapko kya treatment diya ja rha hai.

    11. Mujhe hepatitis A 2 year pehle hua thha.Abhi hepatitis A thik ho gayi..par paachan sakhti thodi kamzoor hai..Liver function normal hai..par kuch oily,masala food khane seh bahhut gas hota hai..chai pinne seh sir chakkar hota hai..mujhe actually thodi thand seh allergy hai homeopathy dawai khane seh gas hota hai..Allopathy medicine seh bhi indigestion hoti hai..cold allergy ke liye madhu ya mulethi powder lene seh gas ho jati hai..Liver tonic seh bhi gas..lekin bahhut slowly slowly pachan sakhti thik ho rhi hai..Pachan sakhti ko kaise strong kaaru..bash kam masala kam oil wali khana digest hoti hai

    12. Sir mujhe bilirubin 2.3 h par me bahot dino se aapke diye hue nuskhe bhi kar rha hu or doctor ka treatment bhi chal rha h sir me thik nhi ho pa rha hu abhi mujhe sirf bas nhi lagti h or halki si kamjori bas h plz sir koi esa upaye batao ki me jaldi thik ho jau sir plz

    13. Sir black piliye ke liye kya krna chahiye or aapke ye jo gharelu nuskhe karne fayeda milega kya wese to doctor bhi treatment chal raha h koi upaye denn plz.. Pisaab ki nali daimege ho gyeenn hai operation nhi hora hai isi wajha se plz sir rply fast

    14. sir mujhe ek hafte se halka bukhar jaisa ho raha hai aur kamjori bhi hai dawa kh raha hu par fayda nahi hai pet bhi bhari bhari lagta hhai weakness bhi hai par eshab pila nahi hai kya ye jondice hai plz iska samadhan batayen.
      thanks

    Comments are closed.

    Recent Articles