More

    Patle Baalo ko Mota aur Ghana Karne ke 5 Aasan Upay Hindi Mein

    Hair - बालPatle Baalo ko Mota aur Ghana Karne ke 5 Aasan Upay Hindi Mein

    Baal jhadne tutne aur dandruff jesi pareshaniyo ke ilava baalo se judi ek aur pareshani hai jisse bahut se log pareshan hai aur vo hai baalo ka patla hona. Baal patle hone ki bahut se wajah ho sakti hai jese hairs ki care na karna, balo ko jaruri poshan na milna ya fir harmons ka santulan na hona. Baal patle hone par koi bhi hair style face ko suit nahi karta. Kuch log is pareshani se chutkara pane ke liye kai parkar ke hair treatment karwate hai jo mehnge to hote hai aur kuch samay tak hi asardar hote hai. Baalo ko tutne se bachane, balo ko mota aur ghana banane ke liye aap ghar par hi kuch upay kar sakte hai. Is lekh mein hum patle balo ko mota karne ke gharelu nuskhe janenge, natural home remedies for thin hair problems in hindi.

     

     

    Patle Balo ko Mota Karne ke Gharelu Upay

    Home Remedies for Thin Hair in Hindi

     

    1. Nariyal ka Tel (Coconut Oil)

    Nariyal tel lagane se baalo ko nami milti hai. Balo ko ghana banaye rakhne aur jhadne se rokne ke liye har roj balo mein nariyal ka tel lagaye. 2 chammach nimbu ka ras, 4 chammach nariyal ke tel mila kar lagane se patle balo ki samasya se chutkara milta hai.

    Nariyal ka tel aur castor oil mix kar ke 5 se 10 minute tak baalo ki malish kare aur malish karne ke baad 1 se 2 ghante ke andar sir dho le, is upay se bhi baal mote hote hai.

    Olive oil ek conditioner ki tarah kaam karta hai, baal majboot banana aur patle balo se chutkara pane ke liye hafte mein ek bar olive oil se hair massage kare.

     

    2. Aawla se Upay

    Aanwle ka paryog hairs ko healthy banaye rakhne mein kafi upyogi hai. Baalo ko mote, lambe, ghane aur kale banane ke liye aawla aur nimbu ka ras milakar baalo par lagaye. 2 chammach aawle ke ras mein 2 chammach nimbu ka ras mila kar sir par lagaye aur sukhne par halke gungune paani se dhoye. Aawle mein vitamin C aur antioxident bharpur matra mein hote hai isliye awle ka sevan karne se bhi labh milta hai.

     

    3. Pyaz ka Ras (Onion) 

    Pyaaj ka ras hairs problem mein ramban ilaj hai. Baal jhadte ho ya fir naye baal ugane ho sahi tarike se pyaaj ka upay karne se bahut fayda milta hai. Balo ko mota karne ke liye hafte mein 2 se 3 bar pyaaj ka ras baalo par lagaye.

     

    4. Aloe vera tips

    Aloe vera gel se sir par massage karne se bhi benefit milta hai. Ye hairs ko sundar aur shining look deta hai aur baalo mein jaan daalta hai. Patle balo ka ilaj karne ke liye aloevera gel sir par lagaye aur upay karne ke 30 se 45 minute baad sir dhoye.

     

    5. Methi Dana

    Balo ki samasyao ke upchar mein methi dana ka paryog karna utam upay hai. Thin hairs ko thick karne aur balo ki jado ko majbut banane ke liye 2 chammach nariyal ka tel 1 chammach methi ke paste mein milakar baalo par lagaye aur aadhe ghante baad sir dho le. Is gharelu upay ko 30 din karne se baal ghane hone lagte hai.

     

    Khane mein aese food khaye jisse balo ko jaruri poshan mile jese ki vitamin, omega 3 fatty acid. Ye sab nutritions hair growth mein madad karte hai.

     

    Patle Baalo ko Mota aur Ghana Karne ke Tips

    • Baal kabhi tight na bandhe.
    • Mote dant wali kanghi paryog kare.
    • Gile balo par kanghi ka paryog na kare.
    • Hair dryer ka istemal karne se bache.
    • Baalo ko bar bar color karwane se bache.
    • Hair gel ya kisi cosmetic beauty hair product ke paryog se bache.

     

    Dosto Patle Balo ko Mota aur Ghana Karne ke Upay, Home Remedies Tips for Thin Hair Problems in Hindi ka ye lekh aapko kaisa lga hame comment karke bataye aur agar aapke pass baalo ko mota karne ke gharelu nuskhe hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    4 COMMENTS

      • Isme pyaz ka ras lagane se baal to ugte hain lekin ye kitne age wale ko fayda karsakta hai meri age toa 37 hai

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles