Pet ke Kide Marne ke Upay: Kai baar hame achanak pet mein bahut tej dard hone lagta hai, fir doctor se milne aur checkup karwane ke baad pta chalta hai ki pet mein kide (stomach worms/bug) hai. Ye shikayat jadatar chote bacho mein hoti hai. Pet mein keede padne se hamara pachan tantar kamjor hone lagta hai, bhukh kam lagti hai aur sharer mein kamjori aane lagti hai. Agar sahi samay par iska treatment na kiya jaye to ye kide fefdo tak pahunch jate hai jisse asthma ka rog hone ka khatra hota hai. Is article mein hum janenge pet ke keede ka gharelu ilaj kaise kare, Home remedies for stomach worms in hindi.
Chote bacho ki physical growth agar kam ho jaye aur aksar pet dard ki sahikayat ho to ye mumkin hai ki bache ke pet mein keede hai aur aap bache ko nahi kido ko bhojan karwa rahe hai. Ye kide puri tarah parjivi hote hai jo hamari anto mein rehte hai.
Pet Mein Kide Kyu Padte Hai – Reason
Bacho (kids) aur bado ke pet mein keede hone ke bahut se karan ho sakte hai jese kam paka hua khana khana, gosht aur sankramit paani pina.
- Saaf safayi na rakhne se ye kide aanto mein panap sakte hai.
- Khud ko saaf na rakhna bhi ek karan ho sakta hai.
Pet Mein Kide Hone ke Lakshan Kya Hai – Symptoms
- Jeebh safed aur aankhe laal hona.
- Gaalo par dhabbe padna.
- Shareer mein sujan aana.
- Toilet mein khoon aana.
- Ulti aana aur ji machalna.
- Gupt ang par khujli hona.
- Wajan kam hona.
- Pet mein dard hona.
- Mulayam aur chikna mal aana.
- Dast lagna (loose motion).
- Muh se saans ki badbu aana.
- Agar bacha raat ko sote samay apne dant peese ya kitkitaye to iska matlab hai ki uske pet mein kide hai
Pet ke Kide Marne ke Upay
10 Home Remedies for Stomach Worms in Hindi
- Pet ki kide nikalne ke liye aadha chammach haldi taave par bhun le aur sone se pahle paani ke sath le.
- Lassi/chach mein kala namak aur pisi hui kali mirach daal kar piye. Is upay ko 4 se 5 din lagatar karne se pet ke kide khatam ho jayenge.
- Lehsun pees kar usme sendha namak milaye aur chatni bana le. Din mein 2 bar is chatni ko chatne se fayda milega.
- Ek glass gungune paani mein 1 chammach karele ka ras mila kar piye.
- Rojana 2 se 3 chammach aanar ka juice piye.
- Chote bache ke pet mein kide ho to aadha chammach pyaaj ka ras pilaye. Ye natural medicine 2 se 3 din tak lene se pet ke kide nasht ho jayenge.
- Bina chile gulukand ka paist bana le aur isme thoda nimbu ka ras mila kar sevan karne se pet ke keede mar jate hai.
- Tulsi ki pattiyo ke sevan se bhi is bimari mein fayda milta hai. Din mein 2 bar tulsi ke patto ka ras piye.
- Subh khali pet gajjar khane se krimi rog ka ilaj kiya ja sakta hai. Gajjar ke sevan se na sirf kide marte hai balki dubara paida bhi nahi hote.
- Mulli ka juice pine se bhi pet ke keede mar kar mal dawara bahar nikal jate hai. Is gharelu nuskhe ko lagatar 3 din kare.
Pet Ke Kide ka Ayurvedic Upchar
- Neem ki pattiyo ko shukha kar pees le aur churan bna le. Ab 2 chutki churan shahad ke sath chat le. Is ayurveda medicine se pet ke kide mar kar mal ke sath bahar nikal jayenge.
- Rojana subh tamatar ko beech se kaat kar uspar thodi haldi aur sendha namak daal kar khane se is bimari ke upchar mein fayda milega.
- 1 hafta kaddu ki sabji ke 8 se 10 beej khaye.
- 2 graam surjane ki fali ke beej ka powder thande paani ke sath lene se kide saaf ho jate hai.
- Kache papite ka doodh 4 chammach, 1 chammach shahad aur 4 chammach ubla paani mila kar sevan kare. Ye dawa ek antioxidant ka kaam karti hai.
- Aadha graam ajwaine churan mein thoda kala namak milakar raat ko sone se pahle garam paani se lene se bacho ke pet ke keede saaf ho jayenge.
- Kache kele ki sabhi 1 hafta lagatar khane se pet ke kide saaf ho jate hai.
- Aadha chammach aawle ka ras 2 se 3 din tak pine se bhi keede khatam ho jate hai.
- Dahi mein shudh shahad mila kar 4 se 5 din subh aur sham khaye.
Jane Appendix ka ilaj Kaise Kare
Jane Pet Saaf Karne ke Desi Nuskhe
Stomach Worms se Bachne ke Upay – Health Tips in Hindi
Pet ke kido se bachne ka sab se acha tarika hai ki aap saaf safayi paar jada dhyan de. Kuch bhi khane se pahle haath dhoye, khane ko hamesha dhak kar rakhe sadak ke aas pass milne wale fast food aur kate huye fal na khaye.
- Pet ki anto mein kide badhne se rokne ke liye khud ko saaf aur garam rakhe jisse kido ke ande nasht ho jayenge.
- Kapde aur towel ko paryog karne se pahle unhe ache se saaf kare.
- Apne nakhun hamesha chote rakhe.
- Sabji banane se pahle achi tarah dho le.
- Barish ke mausam mein ubla hua paani piye.
- Agar ghar mein koi paltu janwar hai to use saaf rakhe.
- Meetha, toffi, chocolate khane se parhej kare.
Dosto Pet ke Kide Marne ke Upay, Home Remedies for Stomach Worms in Hindi ka ye leekh aapko kaisa laga hame comment kar ke bataye aur agar aap ke pass pet ki bimariyo aur keede khatam karne ka koi gharelu aur desi ilaj ho to hamare sath bhi share kare.
nice information…!!!
anal fissure bimar kaise khatam karu. Plz… help
Very nice article bohat achi information hai thank u
Pet le kide baar baar ho jate HAIN.. dwai b khila di..Fir b PTA nhi kyun ye kide badh jate HAIN baar baar
Anshu ji aap upar lekh padhe aapko solution milega.
Mere friend ko kyi salo se pet me kide the or use pta nhi tha ..kya ab in kido ko khatm kiya ja skta h.wo boht paresan h.usko karib 10-12 salo se ye problem h
दोस्त पेट के कीड़े ख़तम करने के लिए घरेलू उपाय और नुस्खे ऊपर लेख में पढ़े और तरीके से नियमित रूप से करे।
Konsa tarika sabse jyada asardar h ..uski aankhe lal rhti h or sar dard krta h
तरीके सब अच्छे है आप को जो करना आसान लगे आप वो करे.
Mujhe dkaar bhut aati h aur ji machalta hai.
To Sir mere pet me kide kafi bin yani 4 5 saal ho gay mujhe malum nhi Hua ab malum hu ki kide hai plzz iska upay batny ki kast kary jaldi khatam ho aur dubara na ho.
घरेलू नुस्खे और उपाय से आप पेट के कीड़ों का इलाज कर सकते है, आप ऊपर लेख में बताये गए उपाय पढ़े.