गलत खान-पान की वजह से पेट में जलन और एसिडिटी हो सकती है। इसे आसानी से कम किया जा सकता है। यहां हमने पेट की जलन और एसिडिटी को जड़ से खत्म करने के घरेलू उपायों के बारे में बताया है। पूरी जानकारी प्राप्त करने के लिए पूरा लेख पढ़ें।
Acidity ka ilaj kaise kare: Hamare khane ki galat aadato ki wajh se hame aksar acidity, pet mein gas, jalan aur kabz ki shikaayat ho jaati hai. Khane ko pachane ke liye hamare pet mein acid banata hai, aur jab ye acid jarurat se jada banane lage to hame acidity ki shikayat hone lagati hai. Acidity ka upchaar foran karna bahut jaruri hai nahi to acidity ki wajah se shareer mein kai aur problem bhi ho sakti hai.
Bazaar mein asi bahut si medicines aati hai jo kuch minute mein acidity control karne ki baat karte hai jaise ki Antacid tablet, ENO, Gassofast. In davao ko lene ke baad aap aaram mehsoos karenge par ye ek temporary treatment hai. Allopathy, homeopathy, ayurveda upay aur gharelu nuskhe mein se kisi ko bhi aapna kar aap acidity ka ilaj kar sakte hai. Acidity ko Gastritis ya amalpeet ya amlata bhi kehte hai.
Acidity Ke Kaaran Kya Hai
- Jada masale wala chatpata khana khana.
- Smoking karna aur sharab peena ya fir koi nasha karna.
- Jada der tak khaali pet(bhukhe) rehna.
- Raat ka bhojan(dinner) der se karna.
- Jada chay peena, aur khali pet chay peena.
- Body mein garmi badh jana.
Acidity Ke Lakshan Kya Hai
- Pet mein jalan hona.
- Kadvi aur khatti dakaare aana.
- Pet mein gas banana ya fir kabz ki shikayat hona.
- Ulati hona ya fir khaali ubaak aana.
- Sir mein dard hona.
Ayurveda se Acidity ka ilaj : 10 Ayurvedic Treatment in Hindi
1. Amla: Acidity ke ayurvedic upchaar mein subh sham aawle ka churan ek gilass paani ke sath le aur uske 30 min baad tak kuch bhi khaye peeye nahi, ya fir aap ek chammach aawle ka ras bhi le sakte hai.
2. Aadrak: Acidity control karne mein adrak bhut hi faydemand hai. Ek gilass paani mein adrak ke chote chote tukde ubaal le aur fir use paani ko chaan kar gunguna piye. Aadark ki chay peene se bhi acidity mein fayda milata hai.
3. Aloe vera: Alovera ka sevan pet ke liye bhut acha hota hai, pet mein jalan aur acidity mein aloe vera juice peena ek utam gharelu ilaj hai. Rojana aloevera juice peene wale logo ke pet mein acidity nahi banti.
4. Mulethi: Mulethi ka kadha bana kar peene se acidity aur gale ki jalan mein aaram milta hai. Aap mulethi ka churan bhi isteemaal kar sakte hai.
5. Ashwagandha: Acidity ke ayurvedic treatment mein ashwagandha ek utam jadi booti hai. Ek gilass doodh mein ashwagandha milakar peene se acidity se chutkara milta hai.
6. Neem ki Chaal: Raat ko sone se pehle 1 gilass paani mein neem ki chaal ko bhigo de fir subh is paani ko chaan kar piye, ya fir neem ki chaal ka pees kar iska churan bana le aur ek gilass paani ke sath le.
7. Munaka: Munaka acidity ka upay karne mein kaafi kargar hai. Munaka ko ek gilass doodh mein daal kar ubaal kar piye ya fir doodh ke sath khaye. Gulukand bhi acidity se nijaat paane mein kafi sahayak hai.
8. Giloy: Giloy ki jad ke 5 se 7 chote tukde paani mein ubaal le fir halka garam hone par ghunt ghunt kar ke piye.
9. Yashti madhu powder aur daalcheenee powder ko shahad ke sath mix karke ek goli banaye kar chusse.
10. Ek – Ek chamach jeera, saunf, ajwain, aur sava ke beej paani mein ubaal kar chaan kar din mein 2 se 3 baar piye. Is paryog se pet ki samasyao se chutkara milega.
- Jane Pet ke Kide Marne ke Upay
- Jane Pet Saaf Kaise Kare
Acidity aur Pet Mein Jalan Ke Gharelu Nuskhe
20 Homeremedies in hindi
Kuch gharelu nuskhe(homeremedies) apnakar hum acidity ka ilaj kar sakte hai. Ayureveda aur gharelu nuskhe se upchaar karne ka koi side effect nhi hota aur bimari se bhi chutkara mil jata hai.
- Acidity se turant aaram paane ke liye 1 gilass paani mein 1 chamach baking soda mila kar piye.
- Rojana subh khali pet 3 se 4 gilass paani piye.
- Dopehar ko ek gilass Nembu ka sharbat(shikanji) peeye.
- Khali pet nariyal paani peena bhi kafi acha hota hai.
- Rajiv dixit ji acidity ke upchaar ke liye batate hai ki raat ko 10 graam kishmish bhigo kar rakhe aur subh khaye.
- Badam acid ko nutralize karta hai, isliye jab pet mein jalan ho to 3 se 4 badam khaye.
- Tulsi ke patte, elaychi aur laung ka sevan karne se pet me gas ki samasya, pet mein jalan aur acidity ka ilaj karne ke liye utam aushadhi hai
- Ek gilass paani ke sath thodi se ajwain khaye.
- Raat ko shahad ke sath ek chota chammach trifala churan khane se bhi fayda hota hai.
- Agar pet mein jalan ho rahi hai to koi thandi cheej khaye.
- Rojana lassi aur dahi peeye.
- Ek kela har roj khaye.
- Khana khane ke baad thoda gud khaye.
- Khan eke baad ek gilass pudina ka paani ubaal kar peeye.
- Subh khali pet ek gilass paani mein thoda sa nembu ka ras thoda adarak ka ras, jeera powder aur thoda shahad mila kar piye, is paryog se aap ko acidity se nijaat melegi aur pure din acidity se bache rahenge.
- Pet mein jalan ho to pattagobhi, gajjar, kaddu aur pyaaj se bani hui sabjiya khaye.
- Kachhe papita ka juice, Patta gobhi ka juice aur gajjar ka juice acidity aur pet mein jalan dur karne ka badhiya upchaar hai.
- Aananas(pineapple), cheeku, kharbuja aur tarbuj khane se pet ki jalan kam hoti hai.
- Agar aapko acidity, pet mein jalan ki shikayat hai to 1 se 2 don ka upvaas kare, isse acid muh tak aana band hoga. Agar bhukh lage to fruits khaye par koi bhari khana na khaye.
- Jo log lagataar ek hi jagah baith kar kaam karte hai unhe aksar pet aur chaati mein jalan ki chikayat hoti hai. Aise mein narreyal ka paani peena, paithe ki mithayi khana kafi labhdayak hota hai. Tamatar, chawal , chay, cigrate aur sharab se parhej kare aur khane mein rajama aur udad ki daal ko kabhi bhi chawal ke sath na le.
Acidity ke Gharelu ilaj ke liye Baba Ramdev Medicine
- Swami Baba Ramdev ji acidity ke upchaar ke liye Divya Avipattikar choorna ka isteemaal batae hai, jo sharer me acid ke balance ko thik karne ke sath hazma thik karta hai.
- Pet mein gas, pet mein jalan aur indigestion ki problem mein bhi Divya Avipattikar choorna ka paryog kar sakte hai.
- Ye dawa din mein 2 baar 3 se 4 chammach tak khana khane ke baad le sakte hai.
- Is dawa ko nariyal paani se ya halke garm paani se le.
- Jane Acidity ki dawa baba ramdev patanjali
Acidity mein Parhej aur Bachaav ke Upay
Aajkal bazaar mein milne wale fast food ka chalan badh raha hai aur yahi kaaran hai ki jaadatar logo ko masaledaar aur chatpata khana bahut pasand aata hai. Par jada teekha aur masaledaar khana khane se pet mein acidity aur jalan ki samsya hone lagti hai, aur kai baar to aisa lagne lagta hai jaise pet mein aag lag rahi ho. Agar aap ko acidity ya pet mein jalan ki samasya hai to sabse pahle aapko masaledaar, tala hua teekha aur chatpata khana chodna hoga.
- Muh mein banane wali laar(saliva)ko bahsar na thuke, isse andar nigal le. Saliva pet mein jaane se jada acid nahi bsanta aur acidity control mein rehati hai.
- Rojana 3 se 4 litre paani piye.
- Khana dhere dhere aur chaba chaba kar khaye.
- Excersise aur yoga kare.
- Chatpata aur masaledaar khane se parhej kare.
- Agar aapke shareer ka motapa adhik hai to apna wajan kam kare.
- Tel wale khadya padartho se door rahe aur khane mein ghee, makhan aur ubali hui sabjiya le.
Kisi bhi bimari ke ilaj se behtar hai aap usse bache, isliye aise khan paan se door rahe jo kisi bimari ka karne banti hai.
- Swasth Aur Sehatmand Kaise Rahe
- Dadi Maa Ke Gharelu Nuskhe aur Upay
- Rajiv Dixit Ayurveda Tips in Hindi
Dosto Acidity ka ilaj kaise kare: Gharelu Upchaar in Hindi ka ye leekh kaisa laga hame bataye aur agar aapke pass bhi koi sujhaav ya anubhav hai to hamare sath share kare. Homeremedies, ayurvedic, homeopathic upchaar aur desi ilaj ke sath sath is website par hum internet ki jankari hindi mein share karte hai.
I like this page
Sir mare gas our senea me jalan hoti hi me kafe parsan hu aap kuch uo paay kare 3year se parblam hi
Ramesh seene mein jalan door karne ke liye upar bataye hue nuskhe apnaye aur gas ka ilaj karne ke liye ye article padhe aur bataye hue upay kare :: http://sehatdoctor.com/pet-mein-gas-ka-gharelu-upchaar-home-remedies-in-hindi/
Sir mera pet me gaas or jalan rahta hey or eske sath mera pet gurgurata v he or chhati v keya kru sir …upar to bataya nahi gaya lakchan gurgurane ka …?
sir mere pet tight h or pet me jalan rahti h or wo jalan uper sine me bhi hoti h lekin pet me jyada hoti h or mere gale me bharipan sa rhta h jab mera pet shi hota h to gale me problem nhi hoti muje khatti dakar bhi jyada aati h
Sir mera 1 year pahle mera fatty liver huwa tha jo ki avi thik hey ab kavi kavi pet ke right side bharipan lagta hey kavi kavi ….kuchh upaye bataye sir
Or mai jab sota hu na sidha tabhi chhati or pet gurgurata hey sidha khara hota hu ya karwat le kr sota hu to kuchh nahi hota hey plss sir kuchh bataye ye keya hey .gaas ya acidity ya fir kuchh or
Pankaj Ji humne aap ke sabhi comments padhe hai, jo cheeje aapne batayi hai ye kai parkar ki bimariyo ke lakshan hote hai, jese aap ko pet ke right side mein bharipan mehsus hona appendix ki wajah se bhi ho sakta hai. Aapne fatty liver ke bare mein bhi btaya jo ab thik hai. Dost aap se yahi salah hai ki ek baar kisi doctor se mile aur bimari ka diagnose karwaye taki bimari ka sahi karan pta chal sake aur iska upchar sahi tarike se kiya ja sake.
sir mai subah udne me bad nibu pani pita hu uske bad nebu ka chay air upar lekhe kai upay kar cuka hu lekin subah petme Japan or ulti jaise lagta hi or kuch khane ka man nahi karts pura din ghabrahat pet me rahta hai din me bar bar bahar Jana pasta hai pet saf nahi hota 4 sal we paresan hu kuch upay batay
Murli pet ki bimariyo ke bahut se karan ho sakte hai, dost aap ek bar kisi doctor se mile aur bimari ko sahi diagnose karwaye taki aapki samasya ke karno ka pta chal sake tabhi sahi tarike se upchar ho sakega.
sir mujhe bhagandar hai or hamesha subah gas bana rahta hai sir pehle mai bahut drink kiya hu lekin an 2 deno she band kiya hu sir gas na bane kol upay batay
Murli aap ye lekh padhe aur bataye hue upay kare :: http://sehatdoctor.com/pet-mein-gas-ka-gharelu-upchaar-home-remedies-in-hindi/
mere pat m bhut jalan or gas banti hai kahatti dakar aati h meri age 26 h m ek hi jgha bethi rhti hun pat bhut fulta rhta h acid gale tak aa jata h mujhe had se jada ban rhi h plz mujhe koi upaye btaye ya koi davai btaye
Neha aap esa bta rhe hai ye acidity ke lakshan hi hai, aap upar likhe hue upay kare. Agar aaram na mile to doctor se checkup karwa ke bimari ke karno ka pta lagaye.
Dear Sir main pichle do mahine se acidity se paresan hun maine alopathy or ayurveda ramdev baba ka trifalla aloveera juice ka bhi sevan kiya per mujhe control ho kar bhi fir se suru ho Gya to mujhe Kya karna chahiy or ye acidity jyada time khali pet rahne se or raat ka khana let lene se hai to mujhe Kya karna chahiy ki ise nijat ho jau.
Mantu ji aap khane pine mein parhej rakhe, aesi cheee na khaye isse acidity banti ho. Iske ilava jada der tak khali pet na rahe aur upar likhe hue upay kare.
mujhe Acidity ki waja se sans lene me takleef hoti h kabhi gas kabhi ghabrahat hoti h koi upay btaye and bhook.nahi.lagti kamzori bht hogaye h kxh bhi digest nahi hota koi.ilaj.bta de
Rizwan aap yha btaye hue upay kare isse aapki acidity thik hogi aur acidity thik hone par bhook aur gas ka ilaj bhi ho jayega.
sir …mera beta 8saal ka uska pet beec beech mein dard karta hai aur subha sham thu thu ulti ati rehti hai kariban 7mehne se ho rha hai…humne sonograohy karwaya tha lekin usme kuch nhi aya ..kya aap sakte hai yeh thu thu ulti ulti ko kaise roke
Rajesh ye lakshan pet mein kide hone ke karan bhi hote hai, dost aap ye lekh padhe :: http://sehatdoctor.com/pet-ke-kide-marne-ke-upay-gharelu-ilaj-hindi-mein/
Sir mera nam Mansi h.. mujhe roz subha subha vomiting jese lgta h or vomiting Hoti h toh usme pitta nikalta h subha subha neend tut jati h Meri apne ap gbrahat k Karan ..or subha Kuch khanne ka maan nii krta :(..plZZ SIR ye bateye mere sth esha q hota h. .:(
Mansi ji iske bahut se karan ho sakte hai sahi karan janne ke liye aap doctor se consult kare aur checkup karwaye.
Pet me ges banta hai
Pet gas ke ilaj ke gharelu tarike yha padhe :: http://sehatdoctor.com/pet-mein-gas-ka-gharelu-upchaar-home-remedies-in-hindi/
Sir mjh ko fatty liver ka b problem hai aur mjh ko boht ziada gase hai haazmy ka b problem hai pait men jalan b hoty hai aur pait k right side k oper wale hisy men bojh b fell hoty hai
Fida aap liver ke gharelu nuskhe yha padhe :: http://sehatdoctor.com/liver-ke-upay-home-remedies-in-hindi/ aur pet ki bimariyo ke ilaj ke upay yha padhe :: http://sehatdoctor.com/topics/pet/
Sir humhe pet me humesa dard hota rahta hai aur jalan Aur gas bhi bahut banta hai please sir khuch upaye batao
Vikash ji pet mein jalan gas aur dard ka ilaj ke gharelu nuskhe yha padhe :: http://sehatdoctor.com/topics/pet/ agar in upayo se aaram na mile to doctorr se consult kare.
Pet me gas, pet fulna, pet me jalan ,pet me good good hona, khana nahi pach na , julab hona , batrum karte waqt jalan hona , jor laga padta hai , raat ko nind nahi aati hai , khana khane ka man nahi karta hai , bar bar dakkar aata hai , ulti jaise lagta hai , gabhrahat jaise lagta hai
Dost pachan tantar kamjor hone ke karan gas, dast jesi samasyaye aati hai, aap khane pine mein healthy cheeje khaye aur fast food khane se bache, iske ilava agar aap smoking, tambacoo ya sharab ka sevan karte hai to isse bhi parhej kare. Pet ki bimariyo ke gharelu ilaj ke liye ye articles padhe :: http://sehatdoctor.com/topics/pet/
peshab mein jalan ke upay yha padhe :: http://sehatdoctor.com/urine-peshab-mein-jalan-dard-ke-gharelu-nuskhe-upay-hindi-mein/
Sir fir mujhe jada kya khana hoga jise meri pachansakti thik ho jaye gi ???
Dinesh hum jald hi is par ek lekh likhenge, keep visiting.
Sir mujhe humesa pet me gas aur pet me jalan hota hai aur bar bar dakkar bhi aata hai jab ki me koi masale dar khana bhi nahi khata hu na to chay aur coffee pita hu na to smoking karta hu fir Q ho raha hai gas ,,, meine khoon check karaya , urine , stool, check kraya , liver bhi check kraya , sonu graphics bhi nikala ,….. Sab ki sab Normal hai Fir mujhe aaisa kya huwa hai Jo thik nahi ho raha hai ….plz mujhe kuch batao ????
Dinesh agar sabhi reports normal hai aur aap khane pine ka bhi dhyan rakh rahe hai to aapko ye pareshani nahi honi chahiye. Dost aap kisi ayurvedic chikitsak se mile aur salah le.
Sir. Ye kabz kya hota hai kya kabz ke wajah se mujhe gas ho raha or jalan ho raha hai pet me is ka karan Kabz hai ..??? Kabz ko kaise thik kare ??~
Dinesh kabz ko constipation kehte hai jis wajah se pet saaf karne mein bhut jor lagana padta hai aur kabz rehne par thik se pet clear nahi hota. Kabz ka ilaj ke gharelu tips aap yha padhe :: http://sehatdoctor.com/kabz-ke-gharelu-nuskhe-aur-upay-home-remedies-in-hindi/
Triphala Churan lena thik hai ???
Aap le sakte hai.
Meine triphla churan liya tha lekin mujhe raat ko nind nahi aa raha tha aur bechaini si lag raha tha ???
Dinesh aap yha likhe dusre upay padhe.
Jab hum kuch bhi kate hai to pet me khana pachanae ke liye acide humare khane ko pachata hai lekin jada acide Q banta hai ???
Dinesh ye galat khane pine se hota hai aur kai bar pet se judi koi bimari hone par bhi ye samasya aa sakti hai.
Sir ji mere kidni stone hai size 16 mm dard se bahut presan rahta hu koi kargar upaye bataye
Chetan ji pathri ke ilaj kr gharelu nuhske yha padhe :: http://sehatdoctor.com/pathri-ke-dard-ka-ilaj-home-remedies-for-kidney-stones-in-hindi/
पित्त का इलाज
Dinesh ji hum pryas karnege pit ke ilaj ke gharelu nuskhe ke liye jald hi ek lekh likhe.
Sir mere pet main jalan our dard rahta hai plz upay batty
Anish pet ki jalan ka gharelu ilaj upar likhe hue hai aap unhe padhe.
Hello,sir M rohit sir mere pet me jalan hoti hai or ek saal se adhik ho gya hai par avi tak mere pet se gas ka problem solve nhi ho paya h..ek to asa pblm h..jo mujhe kafi taklif creates krata h…mere pet ke bitch me jaha par nabhi h pet ke andar dard deta h..or asa fill hota h jaise lagta h kuch chubh raha h…sir kya karu..give me advice
Rohit pet ki jalan dur karne ke liye aap desi nuskhe kar sakte hai agar inse bhi aaram na mile to ek bar docyor se checkup karwaye aur jane is pareshani ke kya karan hai.
Par maine to doctor se kfi baar dikha chuka hu..par koi faida nhi.?maine ultrasound v krwya bt no effect…sir phle mere bitch pet me pain ku hota h.wah v nabhi ke andar..
Khana khate hi pet me bharipan mhsus hits h even paani pite hi or bhukh b lgti h ye kya problem h sir
Sar pet me gas ho gyi he or esi karn mughe bwasir ki problem ho gyi he so koi acha elaj btao
sir mene mota hone me liy teblet ka sewan kiya that
jisse mera pet Tait rhta he aur kbhi ulti me sath ubkari bhi aa jati h place koi upaye btaye.
Javed koi bhi medicine ke pryog se pahle doctor ki salah jarur le, aap jo dawa lete hai uska upyog band kare aur doctor se salah le.
sir mere pure pet or kamar me halka hlka jalan or dard hota h . mera fatty lever ki bhi problem h
Sir g main tejab se bhut jyada preshan hu 2 year se mere ko gahbrahat bhut hoty aw
Please mera ilaj kro
Sir me last 1 year se pet ki prob se paresan hu kabhi pet me jalan to kabhi pet phul sa jata h aur pet saf bhi nhi aata kabhi kabhi upkari bhi aati h koi upay bataye
sir ye mera 1/5 sal se ho rahe bahat tablet khai he par kuch nehi hua he ye puri tarha thik ho payega yaa nehi sir plz bataie
1 year se pet me jalan or dhire dhire hath me v hone lga hai kyu
पेट की जलन दूर करने के उपाय और घरेलू नुस्खे ऊपर लेख में बताये गए है आप इन्हें पढ़े।
Sir Main bilkul theek tha achank mere gale me dard or jalan shuru hui is ke bad mere stomach ki nali main jaln shuru hu sar main dard rehta hain dr ko dekhaya kheta hain tumhe allergy hain main bhot hi parshan hu gale ki wajah se.
अगर एलर्जी की वजह से गले में दर्द और जलन की समस्या है तो पहले आप टेस्ट करवाए और जाने किस चीज से आप को एलर्जी है ताकि आप उससे दूर रहे और आपकी परेशानी कम हो सके.
Sir mera pet tight rehta hai aur kabhi kabhi left side me jalan hoti hai sab test karwaya hai report me sab normal hai gas nhi nikalti hai koi ilaj btaye thank you sir.
sir main acidity se bhut hi pareshan huan muje khane khane main bhi taklif ho rahi hai muje skin ke dawai chalu hai par mare Pat main jalan si hoti hai or sine main jalan hota hai main dali anar khata Hun but acid pair bhi acidity hojati roj khake muje 3 ya 4 ghante ke bad 40 jana hota hai please upai bataye main roj 5 khante travel karta Hun