Umar badhne ke sath sath sir, dadhi aur munch ke baal safed hone lagte hai par aajkal hum dekhte hai ki bahut se nojawano ko kam umar mein hi mooch aur dadhi ke hair white hone ki samasya se jujhana pad rha hai, jis wajah se vo choti age mein hi mature aur jada umar ke dikhne lagte hai. Shave ke baal chupaye nahi ja sakte hai isliye ya to inhe kale karne ke nuskhe karne hoge ya fir inhe hatane ke upay karne honge. Kuch log dye aur color ka paryog kar ke baal black kar lete hai, jiske side effects bhi ho sakte hai. Is lekh mein hum janenge natural tarike se munch aur dadhi ke baal kale kaise kare, home remedies for white beard and mustache treatment in hindi.
Mooch aur Dadhi ke Baal Safed Hone ke Karan
- Jada mansik tanav lena aur bahut jada sochna.
- Smoking karna aur sharab pina.
- Aesi cheeje adhik khana jo body mein jada garmi banate hai.
- Kuch logo ko ye samasya genetic karno se bhi hoti hai.
Dadhi aur Munch ke Safed Baal Kale Karne ke Upay
White Beard and Mustache Treatment in Hindi
1. Kadi Patte ka Pani
Kadi patta aapke ghar ki rasoi mein mil jayega. 100 se 150 ml paani mein thode kadi patte dal kar ubaal le aur jab pani aadha reh jaye tab ise thanda hone par piye. Har roj is ilaj ko karne se shave ke baal kale hone lagenge.
2. Pudine ki Chai
Pudine ki chai mein dadhi ke baalo ko natural dikhane aur khoi hui rangat wapis lane ke sabhi gun maujood hote hai, ache results ke liye iska sevan rojana kare.
3. Nariyal ka Tel aur Kadi Patta
Nariyal ke tel (coconut oil) mein thode kadi patte daal kar ubaal le aur thanda hone par is tel se munch aur dadhi ki massage kare. Rojana is upchar ko karne se dadhi ke baal kuch dino mein kale hone lagenge. Is tel ka paryog aap sir ke white hairs ko black karne ke liye bhi kar sakte hai.
4. Aawle ka Ras
- Agar aapki dadhi pak rahi hai to har roj aawle ke ras ka sevan kare. Iske ilava kadhi patte ke paani mein thoda aawla powder daal kar bhi iska sevan kar sakte hai.
- 25 graam nariyal ke tel mein 20 se 25 graam aawla powder mila kar garam kar le aur thanda hone par dadhi ki malish kare. Is gharelu upay ko sir ke baalo par bhi paryog kar sakte hai.
5. Gaay ka Makhan
Har roj gaay (cow) ke makhan se agar munch aur shave ke baalo ki malish ki jaye to white baalo ki pareshani se chutkara milega.
6. Aalu aur Daal ka Paste
Aaloo mein natural bleaching ke gun hote hai. Daal ke paste mein aaloo ka paste mix kar ke mooch aur dadhi par paryog karne se aapko shave ka natural color dikhne lagega.
7. Fitkari aur Gulab Jal
Fitkari ko barike pees kar powder bna le aur har roj isme thoda gulab jal mila kar apni dadhi aur munch par lagaye aur 15 se 20 minute ke baad chehre ko dho le. Ek mahina lagatar is upay ko karne se munch aur dadhi ke baal naturally kale ho jayenge.
Safed Munch aur Dadhi se Kaise Bache
Agar aap kam umar mein white beard aur mustache ki problem se bachna chahte hai to aap ko kuch baato ka dhyan rakhna jaruri hai.
- Dadhi aur mooch ki is samasya se bachne ke liye khane mein hari patedar sabjiyan, fruits, daal aur protein se bharpur foods ka sevan kare.
- Kuch log baalo ko kala karne ke liye dye aur color ka istemal bhi karte hai. Dosto agar aap aesa karte hai to isse bache kyuki dye aur cosmetic colors mein chemical hhote hai jo ek baar to baal kale kar dete hai par uske bad baal jada safed aane lagte hai.
- Fast food, sharab, smoking, chai ke sevan se parhej kare.
Dosto Dadhi aur Munch ke Safed Baal Kale Karne ke Upay, White Beard and Mustache Treatment in Hindi ka ye article kaisa laga hame comment karke bataye aur agar aapke pass hairs black karne ke gharelu nuskhe hai to hamare sath share kare.
Hi sir
Mujhe money transfer or recharge karne wali achi sites bataayin please
Naresh aap ye article padhe :: http://sehatdoctor.com/online-mobile-recharge-karne-ke-best-tarike-in-hindi/
Hello sir kadi patte kya cheeze hai aur yeh kahan multi hai
Dost ye aap ko kisi general store ya fir pansari ki shop se mil jayenge.
Sir akela nariyal ka Tel dhadi PE lagane par bal or jayda safed to nahi Ho jateee Maine dhadi PE 1 ,2 bar colour lga liya tha wo Puri dhadi safed Ho hai ab Mai. Nariyal ka tail dhadi par lagata Hu isse dhadi aur jayda safed to nahi Ho jayegi sarso ka tail lagau ja nariyal ke tail se massage karu
Dost gharelu nuskhe ke side effects na ke brabar hote hai, aap ayurvedic vaid se salah kar ke upay kar sakte hai.
Sair ge 32 hai mera dari ke bal aadhe Sfed ho gaye hai kaya karu
दोस्त दाढ़ी मूंछ के सफ़ेद बालों का इलाज के घरेलू नुस्खे ऊपर लेख में बताये गए है आप इन्हें पढ़े और सही तरीके से करे.
Hello sir
Mera sir ka bal adha safed hote ja rha main kya karu samajh me ni ata hai upay batayen
सफ़ेद बालों का इलाज के घऱेलू नुस्खे आप यहां पढ़े :: http://sehatdoctor.com/safed-baal-kale-karne-ke-upay-white-hair-treatment-in-hindi/
Sir aalu aur daal ko ubaal kr pest banaenge
Sir main ek mahine se gulaab jal aur phitkari use kar raha hu aur wo dhaadhi ke baal kaale na karke safed kar raha haii plz reply the solution
Dost agar aap ko upay se fayda nhi mil rha to ayurvedic chikitsak se mil kar salah le aur upay ke bare me vistar se jane.
Sir i want to know that isse toh koi side affects. nhi hai na phitkari aur gulaab jal se phir kaise baal safed ho rahe haii
Dost gharelu upay se side effect ke chances naa ke brabar hi hote hai par agar aapko koi shanka ho to is upay ko naa kar ke dusre upay try kare.
Kya sach me daadhi ke baal kaale hote hai ya bus aise hi upay hai. meri age hai 26 aur daadhi ke baal bahut teji se safed ho rahe hai kya karu.
meri age 29 ki hai main dubai me rahta hu mere dhadi ke baal bahut white ho gaye hai kya main pudine ki chai (Green Tea) pine se faida hoga.
Sir hum log kya khaye kya na khaye jisse hamare baal waqt se pehle white hone se bach jaye.