Cigarette Chodne ke Upay: Cigarette pina aur gutkha tambaku khane ki lat kisi bhi umar mein kise bhi wajah se lag jati hai aur ek baar aadat padne ke baad inse chutkara pana mjshkil ho jata hai. Shuruaat mein vyakti ko smoking karne par acha lagta hai par regular iska sevan karne par vyakti mansik aur sharirik roop se is par depend ho jata hai aur jarurat ke waqt cigarette/bidi na milne par vyakti bechani mehsus karne lagta hai, uska man kisi kaam mein nahi lagta aur savbhav mein chidchidapan aane lagta hai, yahi karan hai ki ek baar dhumrapan karne ki aadat pad jaye to ise chodna bahut mushkil hota hai. Is lekh mein hum janenge how to quit smoking tips in hindi.
Dhumarpan chodne mein kafi pareshaniyo ka samna karna padta hai par agar majbut iraada ho aur nirantar paryas kare to mushkil koi kaam nahi. Agar aap 10 dino tak pure iraade se yha likhe hue upay kare to jarur cigarette chod payenge.
Dhumrapan aur Tobacco ke Nuksan
Cigarette pine aur gutkha khane ke nuksan sab jante hai, aaj kal inke packets par bhi likha hota hai ki dhumarpan swasthay ke liye hanikarak hai aur isse cancer jese gambhir rog hone ka khatra hota hai. Pachan shakti kamjor hona, stamina kam hona, bhukh kam lagna jesi samasyae aksar aese logo ko pareshan karti hai jo regular tambaku ka sevan karte hai. Gutkha khane se muh nahi khulta aur muh ka cancer hone ka khatra hota hai.
Kuch log dhumarpan aur gutkha chodne ka paryas bhi karte hai par in pareshaniyo ke karan adhik samay tak apne iraade par tik nahi paate.
Cigarette Pina Kaise Chode – Plan Kare
Agar aap smoking quit karne ka man bana chuke hai to apne family members aur dosto ko btaye taki ve aap ki madad kare aur cigarette chodne ke liye sab se pahle apni willpower ko majbut kare, fir ek list bnaye jisme ye likhe aap kin kin moko par smoking karte hai aur daily cigarette pine ka aapka kya routine hai, jese ki khana khane ke baad, chai pite samay, office mein dosto ke sath, tension ke waqt ya fir party mein.
List bnane ke baad sabse pahle aap ye soche aese moko par aap cigarette pine ki bajay aur kya kar sakte hai. Ye sab pahle sochna isliye jaruri hai taki aap apna mind set kar sake nahi to baad mein mushkil ho sakti hai.
Dhumarpan chodne se pahle aapko in baato ka bhi pta hona chahiye ki baad mein kya kya pareshaniya aayengi aur aap kese unka samna karenge.
Cigarette Chodne ke Upay
How to Quit Smoking in Hindi
1. Smoking chodne ka ek tarika ye hai ki apne pass har samay chewing gum rakhe jisme chini na ke brabar hi ho aur jab cigarette pine ki talab ho tab chewing gum khaye.
2. Paani jada piye, khaskar tab jab aapko smoking karne ka man kare. Har roj 8 se 10 glass paani jarur piye, jada pani pine se sharir mein jama jehrile padarth bahar nikalte hai aur body detoxify hoti hai.
3. Koi bhi koshish tab safal hoti hai jab aap use ek vishwas ke sath kare jiske liye aap ka khud par bharosa hona jaruri hai.
4. Har roj cigarette aur bidi pine ke liye aap jitna paisa kharcha karte hai utne paise kisi pigi bank mein dale aur hafte ke last mein dekhe ki aap ne kitne paise bacha liye, ab un paiso se apne liye koi gift kharide. Aesa karne se aapki willpower aur badhegi.
5. Rojana yoga aur exercise kare, isse aapki iccha shakti badhegi aur smoking chodne ke baad hone wali pareshaniyo se ladne mein madad milegi. Har roj yoga aur exercise karne se cigrete pine ki wajah se jo nuksan hua hai use ubarne mein bhi madad milegi. Agar aap in sab ke liye waqt na de sake to kuch der morning walk ke liye jaye aur khuli hawa mein gehri saans le.
Cigarette Chodne ke Tarike in Hindi
- Ek dum se band karna
- Dhire dhire kam karna
- Cigarette, tobacco chodne ki medicine
- Expert Counseling aur friends help
Upar btaye hue tariko mein se aap ke liye kon sa tarika best hai ye aapki lifestyle aur savbhav par depend karta hai.
- Achanak se ek dum tambaku ka sevan band karne ke liye kuch log ek din decide karte hai jis din se ve cigrete aur gutka jesi chijo ka sevan band kar denge.
- Kuch log ek dum se nahi chod pate to ve dhire dhire smoking chodne ka tarika apnate hai, jese roj ki 4 cigarette se 3 karna fir 2 aur dhire dhire zero karna.
- Dhumarpan chodne ke baad dikhne wale lakshano se bachne ke liye kuch log medicine (dawa) ka sahara lete hai.
- Kuch log expert counseling, family aur friends ke support se chodne ka paryas karte hai.
Dhumrapan Chodne Ke Gharelu Nuskhe
1. Jab smoking karne ka man ho tab nimbu ka ras piye. Aap nimbu ki shikanji bana kar bhi pi sakte hai.
2. Do chammach daalchini aur 2 chammach shahad mila le aur jab smoking karne ki talab lage tab ise chaat le.
3. Thoda shahad mulli ke ras mein mila kar din mein do bar sevan kare, isse cigarette chodne mein madad milegi.
4. Jab cigarette pine ka man kare tab saunf khaye aur dhumrapan chodne ke upay karte samay agar aapka ji machlta ho to adrak ka ras piye.
5. Angur ka juice pine se sharir mein jama nicotine bahar niklta hai, nicotine level kam hone par aapko cigrate ki jada talab nahi lagegi.
Dosto Cigarette Chodne ke Upay, How to Quit Smoking in Hindi ka ye lekh aapko kaisa laga hame comment karke btaye aur agar aapke pass smoking gutkha tambaku chodne ke tarike hai to hamare sath share kare.
Mujhe cigarette chodana hai
Mujhe gutkha chodna hain mara muh nai khul raha hain koi best idea do sir plz help me
दोस्त गुटखा छोड़ने के उपाय और घरेलू तरीके की जानकारी ऊपर लेख में पढ़े।
Bhai kisi ke aage hath mat failao phele kud me takat paida karo chorne ki maine chora me thik ho gya mujse bhi yahi problem thi.
Mai cigrete chodna chahta hu plz help me.