More

    बाल लंबे करने के नुस्खे: 5 Gharelu Nuskhe for Long Hair in Hindi

    Hair - बालबाल लंबे करने के नुस्खे: 5 Gharelu Nuskhe for Long Hair in Hindi

    बाल लंबे करने के घरेलू नुस्खे हिंदी में, Gharelu Nuskhe for Long Hair in hindi

    Baal lambe karne ka oil (tel), shampoo aur kai tarah ke hair beauty products aajkal bajjar mein milte hai jo teji se balo ko lamba aur ghana karne ka dawa karte hai, magar ye product mehange to hote hi hai aur sath hi inke side effect bhi ho sakte hai. Aaj is lekh mein hum janenge ghane balo ka ilaj, baal lambe karne ke gharelu upay aur tarike kaise kare, natural ayurvedic home remedies tips and treatment for long hair in hindi.

    Balo ke liye nuskhe aur gharelu upay karne ke sath sath ek baat ka dhyan dena jaruri hai ki aap healthy aur fit rahe kyuki aksar kuch bimariyo ke karan bhi baal jhadne aur ganjepan jesi samasya aane lagti hai. Iske liye jaruri hai ki apne khane pine ka dhyan rakhe aur apni diet mein healthy food khaye. Kai bar kuch rogo ke ilaj ke liye hum medicine (dawa) lete hai, bina doctor ki salah ke medicine lene se bache kyuki kuch dawao ke sevan se bhi hair fall problem aane lagti hai.

     

    बाल लंबे करने के घरेलू नुस्खे और उपाय

    Gharelu Nuskhe for Long Hair in Hindi

     

    1. Pyaaj ke ras mein pisi hui kali mirch aur pisa hua nimbu ka beej mila kar balo ki jado par malish karne se hair fall kam hota hai aur baal lambe ghane hote hai.

    2. Ghane balo ke gharelu nuskhe mein hara dhaniya ka nuskha bhi asardar hai. Ise karne ke liye hara dhaniya ka ras balo par lagaye.

    3. Dadi maa ke nuskhe for long hair karne ke liye 20 – 20 gram shikakai aur sukha aanwla mila kar pees le aur ½ kilo paani mein bhigo kar raat ko rakh de. Subah is paani ko ache se masal le aur saaf kapde se chaan kar sir par isse malish kare. Ab ½ ghante baad sir dho le aur coconut oil se hairs ki massage kare. Lambe balo ke gharelu nuskhe mein is nuskhe ko karne se baal lambe ghane aur mulayam hote hai.

    4. Balo ko lamba karne ke ayurvedic upay mein brahmi, jatamansi, aamla aur bhringraj kafi upyogi hai. In sab ko mila kar pees le aur inka ras hafte mein ek bar balo par lagane se baal ghane lambe aur kale hote hai. Aajkal bajar mein kuch baal lambe karne ke ayurvedic shampoo milte hai un mein bhi in aushadhiyo ka paryog kiya jata hai.

    5. Baal badhane ke liye protein ki aavashyakta hoti hai, ande mein protein pryapt matra mein hota hai. Balo ko badhane ke ilava do muhe balo ka ilaj karne mein bhi ande ka paryog utam upay hai. 2 chammach olive oil ko ek ande mein milakar balo par lagaye aur ½ ghante baad dho le.

     

    बाल लंबे कैसे करे, Baal lambe kaise kare

    1. Balo ko conditioning karne se balo ki jade majboot hoti hai jisse baal jhadna aur tutna rukta hai aur baal lambe hone lagte hai. Long hairs pane ke liye conditioner aap gharelu tarike se bhi bna sakte hai. 1 anda tod kar ismein 1 cup hair oil milaye aur istemal kare.

    2. Dahi aur mehandi se bhi ghar par conditioner bana sakte hai. Isse baal soft hote hai. Mehandi aur dahi ka paste lagane ke ek se dedh ghante baad hair wash kar ke oil se hair massage kare aur kuch ghanto baad baal dho le.

    3. Baal bandh kar ghar se bahar nikale, garmiyo mein paseene ke karan balo ki nami kho jati hai isse balo mein rukhapan aa jata hai. Aese mein balo ki dekhbhal na karne par dandruff aur hair fall jesi samasya aane lagti hai, isliye garmi ke mausam mein ghar se bahar jate waqt balo par koi kapda bandh le.

     

    बाल लंबे करने का तेल, Baal lambe karne ka oil in hindi

    Baal badhane ke liye nariyal ka tel, til ka tel, sarso ka tel, olive oil aur badam ka oil kafi upyogi hai. Kisi bhi hair oil ke paryog se pahle use halka garam kare. Aaiye jane ghar par baal lambe karne ka tel kaise paryog kare.

    1. Baal lambe karne ke gharelu tarike mein nariyal ka tel paryog karna ek acha tarika hai. Raat ko sone se pahle nariyal ke tel se balo ki jado ki ache se massage kare aur agle din subah ko hair wash kar le. Aap chahe to coconut oil se massage karne se pahle isme vitamin E capsule tod kar mila sakte hai.

    2. Til ke tel mein vitamin B, E, protein aur magnesium adhik hota hai jo kai tarah ki hair problems se chutkara pane mein asardar hai. Ise aap normal oil ke jese bhi laga sakte ho ya fir raat ko bhi hairs ki massage kar sakte hai.

    3. Olive oil (jaitun ka tel) hairs aur skin problems ke treatment mein kafi upyogi hai. Olive oil balo ko dandruff se bachata hai aur baal badhane ki parkriya tej karta hai.

    4. Balo ke liye gharelu tel mein badam ka tel bhi kafi acha mana jata hai. Badam ka tel ek parakar ka balo ko ghana karne ka oil hai.

    5. Baal lambe karne ka shampoo istemal karna chahte hai to ayurvedic herbal shampoo hi paryog kare, inmein kai parkar ki ayurveda jadi butti hoti hai jo teji se baal lambe karne mein madad karte hai. Aap baba ramdev patanjali store se bhi ye le sakte hai.

     

    Balo ke liye gharelu upay in hindi

    • Gile balo par kanghi na kare.
    • Balo ko garam paani se na dhoye.
    • Healthy food khaye taki hairs ko jaruri poshan milta rahe.
    • Hafte mein kam se kam ek baar hair oil se balo ki malish kare.
    • Hairs par colors, gel aur chemical wale dusre hair beauty product ke experiment karne se bache.

     

    लंबे बालों के लिए घरेलू नुस्खे jo upar bataye gye hai ye aapki jankari ke liye hai. Agar aapki skin jada sentive hai to koi bhi upay karne se pahle kisi ayurvedic chikitsak ki salah se ye nuskhe karne ke tarike vistar mein jane.

     

    Dosto बाल लंबे करने के घरेलू नुस्खे हिंदी में,  baal lambe karne ke gharelu nuskhe hindi me ka ye lekh aapko kais alga hame comment kar ke bataye aur agar aap ke pass gharelu nuskhe for long hair in hindi ya fir baal lambe karne ka oil, shampoo se jude koi anubhav ya sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles