More

    Dadhi aur Munch ke Safed Baalo ka Upchar 7 Gharelu Nuskhe

    Beard - दाढ़ीDadhi aur Munch ke Safed Baalo ka Upchar 7 Gharelu Nuskhe

    Umar badhne ke sath sath sir, dadhi aur munch ke baal safed hone lagte hai par aajkal hum dekhte hai ki bahut se nojawano ko kam umar mein hi mooch aur dadhi ke hair white hone ki samasya se jujhana pad rha hai, jis wajah se vo choti age mein hi mature aur jada umar ke dikhne lagte hai. Shave ke baal chupaye nahi ja sakte hai isliye ya to inhe kale karne ke nuskhe karne hoge ya fir inhe hatane ke upay karne honge. Kuch log dye aur color ka paryog kar ke baal black kar lete hai, jiske side effects bhi ho sakte hai. Is lekh mein hum janenge natural tarike se munch aur dadhi ke baal kale kaise kare, home remedies for white beard and mustache treatment in hindi.

     

    Mooch aur Dadhi ke Baal Safed Hone ke Karan

    • Jada mansik tanav lena aur bahut jada sochna.
    • Smoking karna aur sharab pina.
    • Aesi cheeje adhik khana jo body mein jada garmi banate hai.
    • Kuch logo ko ye samasya genetic karno se bhi hoti hai.

     

    Dadhi aur Munch ke Safed Baal Kale Karne ke Upay

    White Beard and Mustache Treatment in Hindi

     

    1. Kadi Patte ka Pani

    Kadi patta aapke ghar ki rasoi mein mil jayega. 100 se 150 ml paani mein thode kadi patte dal kar ubaal le aur jab pani aadha reh jaye tab ise thanda hone par piye. Har roj is ilaj ko karne se shave ke baal kale hone lagenge.

     

    2. Pudine ki Chai

    Pudine ki chai mein dadhi ke baalo ko natural dikhane aur khoi hui rangat wapis lane ke sabhi gun maujood hote hai, ache results ke liye iska sevan rojana kare.

     

    3. Nariyal ka Tel aur Kadi Patta

    Nariyal ke tel (coconut oil) mein thode kadi patte daal kar ubaal le aur thanda hone par is tel se munch aur dadhi ki massage kare. Rojana is upchar ko karne se dadhi ke baal kuch dino mein kale hone lagenge. Is tel ka paryog aap sir ke white hairs ko black karne ke liye bhi kar sakte hai.

     

    4. Aawle ka Ras

    • Agar aapki dadhi pak rahi hai to har roj aawle ke ras ka sevan kare. Iske ilava kadhi patte ke paani mein thoda aawla powder daal kar bhi iska sevan kar sakte hai.
    • 25 graam nariyal ke tel mein 20 se 25 graam aawla powder mila kar garam kar le aur thanda hone par dadhi ki malish kare. Is gharelu upay ko sir ke baalo par bhi paryog kar sakte hai.

     

    5. Gaay ka Makhan

    Har roj gaay (cow) ke makhan se agar munch aur shave ke baalo ki malish ki jaye to white baalo ki pareshani se chutkara milega.

     

    6. Aalu aur Daal ka Paste

    Aaloo mein natural bleaching ke gun hote hai. Daal ke paste mein aaloo ka paste mix kar ke mooch aur dadhi par paryog karne se aapko shave ka natural color dikhne lagega.

     

    7. Fitkari aur Gulab Jal

    Fitkari ko barike pees kar powder bna le aur har roj isme thoda gulab jal mila kar apni dadhi aur munch par lagaye aur 15 se 20 minute ke baad chehre ko dho le. Ek mahina lagatar is upay ko karne se munch aur dadhi ke baal naturally kale ho jayenge.

     

    Safed Munch aur Dadhi se Kaise Bache

    Agar aap kam umar mein white beard aur mustache ki problem se bachna chahte hai to aap ko kuch baato ka dhyan rakhna jaruri hai.

    1. Dadhi aur mooch ki is samasya se bachne ke liye khane mein hari patedar sabjiyan, fruits, daal aur protein se bharpur foods ka sevan kare.
    2. Kuch log baalo ko kala karne ke liye dye aur color ka istemal bhi karte hai. Dosto agar aap aesa karte hai to isse bache kyuki dye aur cosmetic colors mein chemical hhote hai jo ek baar to baal kale kar dete hai par uske bad baal jada safed aane lagte hai.
    3. Fast food, sharab, smoking, chai ke sevan se parhej kare.

     

    Dosto Dadhi aur Munch ke Safed Baal Kale Karne ke Upay, White Beard and Mustache Treatment in Hindi ka ye article kaisa laga hame comment karke bataye aur agar aapke pass hairs black karne ke gharelu nuskhe hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    18 COMMENTS

    1. Sir akela nariyal ka Tel dhadi PE lagane par bal or jayda safed to nahi Ho jateee Maine dhadi PE 1 ,2 bar colour lga liya tha wo Puri dhadi safed Ho hai ab Mai. Nariyal ka tail dhadi par lagata Hu isse dhadi aur jayda safed to nahi Ho jayegi sarso ka tail lagau ja nariyal ke tail se massage karu

      • दोस्त दाढ़ी मूंछ के सफ़ेद बालों का इलाज के घरेलू नुस्खे ऊपर लेख में बताये गए है आप इन्हें पढ़े और सही तरीके से करे.

    2. Sir main ek mahine se gulaab jal aur phitkari use kar raha hu aur wo dhaadhi ke baal kaale na karke safed kar raha haii plz reply the solution

    3. meri age 29 ki hai main dubai me rahta hu mere dhadi ke baal bahut white ho gaye hai kya main pudine ki chai (Green Tea) pine se faida hoga.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles