More

    Dadhi Jaldi Badhane ke 5 Aasan Upay aur Gharelu Tarike Hindi Mein

    Beard - दाढ़ीDadhi Jaldi Badhane ke 5 Aasan Upay aur Gharelu Tarike Hindi Mein

    Dadhi Jaldi Badhane ke Upay: Men ka saaf suthra aur clean face jada attractive lagta hai par aaj kal dadhi badhana aur ghana karna young ladko mein bahut popular hai. Kuch ladke khud ko mature dikhane ke liye bhi muchh aur dadhi badhate hai. Kuch boys ki dadhi ke baal jaldi ug jate hai, kuch logo ki dadhi ke baalo ki growth slow hoti hai aur kuch ladko ko ye shikayat hoti hai ki unke pure face par dadhi nahi aati. Beard grow karne ke liye normally shaving karna bhi ek upay hai par pure face par dadhi na aane ki problem shave karne se dur nahi ho pati. Chehre ke baal ugane ke liye kuch log cream aur oil istemal karte hai. Kya Kyu Kaise ke is lekh mein hum much dadhi badhane, sundar stylish dadhi pane aur ghana karne ke gharelu tarike aur desi nuskhe janenge, faster beard growth natural tips in hindi.

     

     

    Dadhi Jaldi Badhane ke Upay aur Gharelu Nuskhe

    Faster Beard Growth Tips in Hindi

     

    Dadhi muchh ke baal aana aapki age, harmons aur genetic karno par depend karti hai aur agar aap ko ye shikayat hai ki chehre par dadhi nahi aati, bahut kam aati hai ya fir pure chehre par dadhi nahi aati to yha likhe gharelu upay padhe aur sahi tarike se follow kare.

     

    1. Aanwla se dadhi kaise badhaye

    Dadhi ke baal ugane ke liye aanwla kafi faydemand hai. Dadhi Ghana karne aur badhane ke liye har roj 15 se 20 minute tak aanwle ke tel se chahre ki malish kare aur baad mein thande paani se dho le. Chehre ki massage karne se dadhi ke balo ko poshan milta hai aur blood circulation bhi improve hota hai.

     

    2. Dadhi much ugane ke liye Sarson ki Patti

    Sarson ki patti ko pees kar paste bana le aur isme 1-2 bunde aanwle ka tel mila kar dadhi par lagaye. 15 se 20 minute ke liye is paste ko lga rehne de fir dho le. Jaldi beard grow karne ke liye is upay ko hafte mein 2 se 3 baar kare.

     

    3. Daalchini aur Nimbu

    Nimbu ka ras daalchini powder mein mila kar paste bana le aur dadhi wale hisse par lga kar 15 minute ke liye chod de aur iske baad thande paani se dho le. Is nuskhe se dadhi ke baal ghane hote hai aur chehre ki nami bhi bani rehti hai.

     

    4. Shaving se dadhi kaise laye

    • Agar aapki dadhi ke balo ki growth dhere ho rhi hai to shaving karna acha upay hai. Natural tarike se dadhi badhane ke liye hafte mein 2 se 3 baar shave kare.
    • Dadhi jaldi badhane ke liye ulti shave karna bhi effective tarika hai. Isse dadhi ki growth teji se hoti hai.

     

    5. Triming

    Triming karne se chehre ke anchahe balo se chutkara to milta hi hai par iske sath trimming karne se dadhi ghani bhi hoti hai.

     

    Chehre ke Baal Ugane ke Gharelu Tarike

    Baal ugane ke liye protein jaruri nutrition hai. Teji se dadhi badhane ke liye khane mein protein wali cheje khaye. Daal, anda, machli, hari sabjiya, soyabean mein protein adhik hota hai. Protein ke ilava vitamin B bhi baal jaldi badhane mein asardar hai.

    Chehre ki skin ko healthy aur fresh bnaye rakhne ke liye achi neend le, har roj 7 se 8 glass paani piye aur khud ko tension free rakhne ki koshish kare.

     

    Dadhi ko Ghana Banane ke Upay

    • Dadhi muchh badhne ke baad ise stylish sundar ghana banane ke liye conditioning treatment ka sahara le sakte hai, isse dadhi ke baalo ko trim karne ki jarurat nahi hogi.
    • Baal badhane aur dadhi ko sahi directon mein grow karne ke liye aap castor oil ka paryog kar sakte hai, ise aap dadhi ugane ka oil bhi keh sakte hai. Castor ka tel ke ilava aap nariyal tel, jaitun ka tel bhi istemal kar sakte hai isse dadhi ke balo ko poshan milta hai.

     

    Dadhi Badhane ke Tips in Hindi

    Smoking karne ka bura asar facial growth par padta hai, isse dadhi aur munch Ghana karne mein mushkile aa sakti hai. Cigrete pine aur tambacoo khane se blood circulation slow hota hai aur ye body ke nutritions ko bhi sokh leta hai aur hair loss hone lagta hai. Agar aap dadhi badhana chahte hai to smoking se dur rahe.

    Sundar dadhi much pane ke liye sahi tarike se iske dekhbhal karna bahut jaruri hai, isliye apni skin ko clean rakhe.

     

    Dosto Much aur Dadhi Jaldi Badhane ke Upay aur Nuskhe, Faster Beard Growth Tips in Hindi ka ye lekh aapko kaisa lga hame comment karke bataye aur agar aap ke pass chehre ke baal ugane ke gharelu tarike hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    4 COMMENTS

      • रोहित दाढ़ी मूंछ आने के घरेलू नुस्खे और उपाय ऊपर लेख में बताये गए है आप इन्हें पढ़े.

    1. Mera naam rohit h meri age 22 h meri abhi take dadhi much nahi aayi h uske liye mujhe kya karna h ya koi cream ho ya oil h to mujhe bta do plz

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles