More

    डेंगू के लक्षण और 10 आसान उपाय – Dengue Ke Lakshan in Hindi

    Dengue - डेंगूडेंगू के लक्षण और 10 आसान उपाय - Dengue Ke Lakshan in Hindi

    Dengue ke lakshan aur bachne ke upay in hindi: Dengue hone ka sabse bada karan machhar hota hai. Dengu halka hone par maspeshiyo jodo me dard aur tej bukhar ki samasya hoti hai par jab ye rog gambhir ho to achanak se blood pressure kam ho jana, blood me platelets kam hona aur dawa lene ke baad bhi bukhar kam na hona jesi samasya aati hai. Agar jodo me tej dard, tej bukhar aur sharir par rashes dikhe to pahle hi din dengue ka test karana chahiye. Aaj is lekh me hum bado aur chote baccho me dengue ki pachan aur gharelu upchar janenge aur sath hi ye bhi padhenge ki dengue hone par kya khana chahiye aur kya na khaye. Aksar dengue bukhar sirf iske symptoms dekh kar nahi pahchan me aata isliye doctor ki salah se jaruri test karwa lene chahiye. Aaiye jane dengue fever treatment and home remedies in hindi.

    प्लेटलेट्स कितने होने चाहिए – Platelets Kitne Hone Chahiye

    • Ek swasth vyakti ke sharir me 1.5 se 2 lakh tak platelets hote hai.
    • Agar platelets 1 lakh se kam ho jaye to ye dengue ke karan ho sakta hai.
    • Vese ye bhi jaruri nahi ki jis marij ko dengu ho uske platelets kam ho.
    • Platelets agar 20 hazar ya usse bhi kam ho jaye to marij ko platelets chadhane padte hai.
    • Body me platlets bleeding rokne ka kaam karte hai par agar inki ginti teji se kam ho jaye to bleeding ho sakti hai.

     

    डेंगू के लक्षण और उपाय

    Dengue Ke Lakshan Aur Upay in Hindi

     

    1. Dengu ke lakshan turant samne nahi aate iske lakshan lagbhag 3 se 15 dino me dikhai dete hai par agar starting me hi is rog ki pahchan ho jaye to ise badhne se roka ja sakta hai.

    2. Aakho me dard hona, kamar dard, thand lagna, sir dard aur tej bukhar aana is rog ke shuruati lakshan hai.

    3. Blood me dengue ka virus failne ke kuch der bad hi jodo me dard hone lagta hai aur marij ko bukhar aane lagta hai.

    4. Heart rate ka kam hona aur achanak se blood pressure kam hona bhi dengue symptoms me parmukh hai.

    5. Body par rashes hona, manspeshiyo me dard, kamjori, chakar aana, pet me dard, dast aur bhukh nahi lagna bhi is bimari ki ek pahchan hai.

    6. Upar btaye gye lakshan dengue ke rog ka pahla charan hai. Aksar dawa aur upay karne ke bad rogi ka bukhar utarne lagta hai aur vo acha mehsus karne lagta hai. Par agar aesa sirf 1 din hi hota hai aur agle din fir se bukhar aane lagta hai to ye dengu ka agla charan hai.

    7. Dengu ke dusre charan me bukhar pahle se adhik hone lagta hai, pure sharir par lal chakte dikhne lagte hai aur platlets teji se kam hone lagte hai.

    8. Is rog ke badhne ka sabse bada karan hai iske lakshano ki jankari na hona. Aksar log ise normal fever samajh lete hai aur jaruri treatment nahi lete jis karan ye bimari badh jati hai.

    9. Agar aap ko upar btaye gye lakshano me se kuch lakshan bhi dikh rahe hai to turant jaruri test karwaye aur ilaj shuru kare.

     

    डेंगू बुखार का घरेलू उपचार – Dengue Fever Treatment in Hindi

    • Marij ko agar normal bukhar hai to iska upchar aur dekhbhal ghar par kar sakte hai.
    • Doctor ki salah se paracetamol aur crocin ki medicine le sakte hai par aspirin tablet bilkul bhi na le inse platelets kam ho sakte hai.
    • Bukhar agar 102 se bhi jada hai to rogi ke sir aur sharir par thande pani ki patti rakhe.
    • Din me 2 bar ghi ya shahad me giloy ka ras mila kar sevan karne se sharir me khoon ki kami dur hoti hai.
    • Aloe vera, papite ke patte, genhu ka javara aur giloy, in sabko mila kar inka ras nikal le. Ye ras dengu ke upchar me ramban kam karta hai.
    • Kacche papite ka juice peene se body me platlets badhne lagte hai.
    • Dengue hone par kya kare me sabse jaruri hai marij ki body me pani ki kami na ho. Isliye rogi ko pani, nimbu pani, taje falo ka juice aur nariyal pani pilate rahe.
    • Is rog me aaram karna bhi dawa ka kam karta hai. Aese me bhojan bhi aesa khaye jo aasani se pach jaye.
    • Dengue ke marij ko kya khana chahiye, halka khana khaye, haldi, ajwaine, adarak aur hing ka paryog adhik kare.
    • Mirch masaledar khane se parhej kare aur pet bhar khana na khaye.

     

    डेंगू से बचने के उपाय – Dengue Se Bachne Ke Upay

    • Chote baccho ka immune system kamjor hota hai aur ve bahar khule me khelte hai to baccho ka khas khayal rakhna chahiye jese ki baccho ko pure kapde pahna kar hi bahar jane de.
    • Ghar ke aas pass ganda pani na jama hone de aur ghar ke andar bhi saaf safai ka dhyan rakhe.
    • Macharo se bachne ke liye ghar me coil ya spray ka istemal kare.
    • Ghar par tulsi ka podha lagaye, tulsi ke podhe ki khushbu se dengu ke machar bhag jate hai.

     

    Dosto dengue ke lakshan upay aur gharelu upchar in hindi ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass dengue hone par kya kare aur marij ko kya khana chahiye se jude sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles