More

    गर्मी लू और पेट के रोगों से बचने के 10 आसान उपाय हिंदी में

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेगर्मी लू और पेट के रोगों से बचने के 10 आसान उपाय हिंदी में

    Garmi se bachne ke tarike aur gharelu upay in hindi: Garmiyo ke mausam me aksar hum tej dhoop loo aur humas se pareshan rehte hai. Garmi me hamari body ka temprature badh jata hai jisse pet se judi aur kai dusri bimariyo ka khatra badh jata hai. Paseena jada aane se bhi sharir ka taapman badhne lagta hai jisse chakkar, ulti, kamjori, sir dard, bukhar aur bhukh kam lagna jese rog hame gher lete hai. Aese me jaruri hai ki ghar se bahar nikalne se pahle garmi se bachne ke upay kiye jaye. Aaj is lekh me hum janenge garmi loo aur rogo se bache rahne ke liye kya gharelu nuskhe kare.

    गर्मी से बचने के उपाय, Garmi se bachne ke upay in hindi

     

    Garmi se bachne ke tarike aur upay in hindi

    1. Garmi ke dino me loo se bachne ke liye dhoop me nikalne se pahle choti ilaychi muh me rakhe. Ilaychi muh bar bar sukhne se rokegi aur muh ki badboo bhi dur karti hai.

    2. Dhoop me rehne se paseena aata hai aur jada paseena aane par sharir me pani ki kami ho jati hai. Isse bachne ke liye jaruri hai aap din bhar me khub pani piye. Iske ilava nimbu pani garmiyo me aap ko thandak dega aur pachan acha rakhega.

    3. Body me energy bnaye rakhne ke liye fruit juice piye. Iske ilava aap ghar par bnaye kuch energy drink bhi pi sakte hai. Jese aam ka panna, shikanji, mattha, nariyal pani aur jaljeera. Cold drink ki jagah aap in drinks ka shara le to jada acha hai.

    4. Pani me imali ke baaj pees kar kisi kapde se chaan le. Ab is pani me thodi shakar mila kar piye. Is upay se garmi aur lu se rahat milegi.

    5. Aam ka panna garmi se bachne aur body temprature control karne me upyogi hai. Is me jink aur sodium ki matra adhik hoti hai. Ise peene se haeja aur khoon kim kami jese rogo me bhi aaram milta hai.

    6. Aawle ka juice peene se bar bar pyas nhi lagti aur sath hi kai parkar ki bimariyo se bachav bhi hota hai.

    7. Loo aur garmi se bachne ke liye belgiri ka sharbat ramban kaam karta hai.

    8. Pet ki bimari, pit aur ghamoriya se bachne ke liye jaljeera peena chahiye.

    9. Tvacha ki dekhbhal ke liye multani mitti aur chandan ka powder mila kar lagaye. Isse chehre ko thandak milegi.

    10. Gulab ki pattiya pani me bhigo kar is pani se chehre ko dhoye. Isse aap ki tvacha mulayam hogi.

     

    Garmi aur loo se bachne ke liye kya khaye

    • Nariyal me kai parkar ke poshak tatv maujood hote hai. Garmi aur loo se bachav ke liye nariyal khaye aur nariyal pani piye.
    • Garmi ke mausam me pachan accha rakhne ke liye loki ka juice, loki ka rayta, loki ki sabji, ubla aaloo, kheera aur dahi khaye.
    • Garmiyo me pudeena pet ke rogo se bachne aur ilaj me upyogi hai. Pudeena pani me pees kar isme namak, nimbu aur bhuna hua jeera mila kar piye. Pet ki marod aur khatti dakar me ye upay kargar hai.
    • Kharbuja aur tarbuj ko garmiyo ka fruit mana jata hai. In falo me pani adhik matra me hota hai jisse sharir me pani ki mani nhi aati aur sath hi sharir ko thandak bhi milti hai. Kharbuje me anti oxident, minerals aur vitamins hote hai jo garmi se hone wale rogo ko dur rakhne me mdad karte hai.
    • Bahut se log garmi se bachne ke liye cold drink aur ice cream ka sevan karte hai jo ki sehat ke liye acha nhi hai. Agar ghar par bnaye gharelu drink ka shara le to jada acha hoga.

     

    Dosto garmi se bachne ke upay aur tarike in hindi ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass garmiyo me tej dhoop, loo aur pet ke rogo se bachne ke liye kya kare isse jude sujhav ya gharelu nuskhe hai to hamare sath sanjha kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles