More

    Kidney Rogo ka ilaj aur Upay ke Ayurvedic Nuskhe Hindi Mein

    Disease - बीमारीKidney Rogo ka ilaj aur Upay ke Ayurvedic Nuskhe Hindi Mein

    Kidney ka ilaj kaise kare: Khane ki galat aadte, busy lifestyle, sankramit paani aur air pollution ke karan aajkal kidney (gurde) ke rog badhne lage hai, jiske treatment ke liye doctor kai bar dialysis ki salah dete hai aur samasya gambhir hone par kidney transplant tak ki nobat aa jati hai. Hamare sharir mein dono gurde blood saaf karte hai aur body ko detoxify karte hai jisse shareer ke sabhi ang sahi tarike se kaam karte rahe. Agar kidney ko koi infection ya koi aur bimari hoti hai to ye ache se kaam nahi kar paati jis wajah se body ko aur bhi kai bimariya hone ki sambhavna badh jati hai. Is article mein hum kidney infection, failure aur damage hone ke karan, lakshan aur upchar ke gharelu aur ayurvedic upay padhenge, kidney infection treatment in hindi.

     

     

    Gurdey Kya Kam Karte Hai – How Kidney Function

    Sharir mein khoon saaf karna, naya khoon banana, blood pressure, blood cells, paani aur calcium ka balance banaye rakhna kidney ka kaam hota hai. Kidney blood ko purify karke isme maujood vishale padartho ko peshab ke raste shareer se bahar nikalti hai. Body mein laal rakt koshikao ko banane wale harmons ko sahi rakhna bhi gurdo ka ek mukhay kaam hai.

     

    Kidney ki Bimariya Hone ke Karan – Causes of Kidney Damage

    1. Kam paani pina
    2. Cold drinks pina
    3. Peshab rokana
    4. Puri neend na lena
    5. Jada namak khana
    6. Smoking karna aur sharab pina.
    7. Khane mein vitamin aur minerals ki kami hona.

    Jin logo ko sugar, high blood pressure hota hai aur jinke parviar mein kabhi kisi ka kidney failure ya kidney se judi koi bimari hui ho unme kidney kharab hone ki sambhavna dusro se jada hoti hai.

     

    Kidney Kharab Hone ke Lakshan – Symptoms

    Kidney ke rog ko pehchanane ka sabse bada lakshan hai peshab(urine) karte samay dard hona ya peshab mein blood aana. Iske ilava kuch aur symptoms bhi hai.

    • Thand lagna.
    • Bhukh kam lagna.
    • Sharir mein sujan aana.
    • Sharer mein thakan aur kamjori aana.
    • Peshab mein protein ki maatra adhik hona.
    • Peshab mein jalan hona aur bar bar aana.
    • Blood pressure ka badha rehna.
    • Skin par rashes niklana aur khujli hona.
    • Munh ka sawad kharab hona aur muh se badboo aana.

     

    Kidney Function Test

    Kidney ke test se blood mein maujood creatinine aur ureia ki matra ka pta lagaya jata hai, isse kidney ki work capacity ke bare mein jankari milti hai. Agar kisi bimari ke karan gurdo ko thoda bahut nuksan ho jaye to test mein kuch nahi dikhta par jab dono gurde 50% se jada kharab ho jaye tab khoon mein creatinine aur urea ki matra adhik ho jati hai.

     

    Kidney Failure in Hindi

    Agar body mein 1 gurda kharab ho gaya ho aur operation karke use shareer se nikal diya jaye tab dusra gurda apni work capacity badhate hue apna kaam puri tarah karta hai. Kidney failure tab hota hai jab dono gurde kaam karna band kar de. Kidney failure 2 tarah ki hoti hai – acute aur chronic.

    1. Acute Kidney Failure: Isme kisi bimari ke karan jab dono gurdo ko nuksan pahunchta hai tab kuch samay ke baad hi gurde kaam karna kam ya band kaar dete hai. Agar is bimari ka upchar turant kiya jaye to kuch samay mein hi ise thik kiya ja sakta hai. Acute kidney failure mein patients ka ilaaj medicines aur parhej se kiya jata hai aur kabhi kabhi kuch marijo ko kuch dino ke liye dialysis bhi karwani padti hai.

    2. Chronic Kidney Failure: Isme kai parkar ki bimariyo ke karan dono gurde dhere dhere kaam karna band kar dete hai. Shuruaat mein medicine aur parhej se kidney ki working capacity badhane ki koshish ki jati hai par agar samasya control na ho aur gambhir ban jaye tab dialysis aur kidney transplant ka sahara liya jata hai.

     

    Nephrotic Syndrome Kya Hai

    Ye kidni ki ek bimari hai. Peshaab (urine) mein protein ka aana, cholesterol badhna, blood mein protein ki kami hona aur sharir mein sujan aana iske lakshan hai. Vese to ye bimari kisi bhi umar ke vyakti ko ho sakti hai par bacho mein iske lakshan adhik dekhne ko milte hai. Ek bar treatment karne ke baad sujan kam hona aur fir kuch samay baad sujan fir se dikhne lagna hi nephrotic syndrome ke symptoms hai.

     

    Kidney Transplant ke Khatre – Side Effects

    • Kidney transplant ke baad thoda bahut infection hona normal hai.
    • Kuch cases mein kidney transplant karwane ke bad blood cloting ki problem hone lagti hai.
    • Kidney pratyaropan ke baad sardi jukham hona aam hai.

     

    Kidney ka ilaj – Allopathy Treatment Tips in Hindi

    1. Kidney ki bimari badhne par iske ilaaj ke liye dialysis aur transplant jese treatment hote hai. Vese to hum 1 kidney ke sahare bhi jinda reh sakte hai lekin dono gurde kharab hone par transplant hi karwana padta hai.
    2. Dialysis mein kidney ko swasth rakhne ke liye machine ke dawara khoon saaf kiya jata hai aur transplant mein sharir mein naye gurde dale jate hai.
    3. Sarkari hospitals mein transplant karwane ke liye saalo intejaar karna padta hai lekin private hospitals mein turant operation karke kidney transplant kar dete hai lekin waha iska ilaaj kafi mehnga hota hai.

     

    Kidney ka ilaj Ayurveda Nuskhe se Kaise Kare

    1. Ayurvedic guno se bharpur ek podha hai jiska naam hai Kasani. Is podhe ki pattiyo ka sevan kidney, sugar, liver aur bawasir jesi bimariyo ke upchar mein ramban ka kam karti hai. Ye herbal podha aapko apne aas pass kisi nursery mein mil jayega. Kidney ke rogo ka desi ilaj karne ke liye aapko har roj kasani podhe ki pattiya tod kar chabani hai. Is podhe ka vansapati naam Cichorium intybus hai.

    2. Teen gilass paani mein 10 graam pipal ki chaal aur 10 graam neem ki chaal le kar ubaal le aur jab paani aadha reh jaye tab ise thanda hone ke liye chod de aur baad mein chaan le. Ab is paani ka ek chajthayi hissa din mein 3 se 4 baar piye. Is desi nuskhe ko ek hafta lagatar karne se createnine control mein aa jati hai.

    3. 250 graam Gokharu Kanta le kar ise 4 litre paani mein ubaal le aur jab paani 1 litre reh jaye tab ise chaan kar kisi saaf bottle ya jug mein bhar le. Ab 100 graam ki matra mein ye kadha subh shaam khali pet piye. Kadha pine ke baad 1 ghante tak kuch khaye piye nahi. Agar aap ki koi medicine chal rhi hai to use bhi chalne de. Agar aapka dialysis chal rha hai ya fir doctor ne aapko kidney transplant ki salah di hai to transplant se pahle ek baar ye upay jarur kare. Ye ayurvedic nuskha kaafi kargar hai aur ho sakta hai transplant ki jarurat hi na pade. Gokharu Kanta aapko pansari ki shop se mil jayega. 2 hafte lagatar is upay ko karne se aapko chamatkari badlaav dekhne ko milenge.

     

    Gurde ki Bimariyo ke Gharelu Upay – Natural Home Remedies for Kidney Diseases in Hindi

     

    1. Vitamin

    Vese to vitamin puri body ke liye faydemand hai par kuch khaas tarah ke vitamin gurdo ko healthy rakhne mein madad karte hai, jese vitamin D. Iske sevan se kidney ki bimariyo ke lakshano ko kam kiya ja sakta hai. Vitamin B6 kidney mein pathri ki aashanka ko kam karta hai aur vitamin C ke sevan se kidney ko kisi bhi parkar ke nuksan se bachaya ja sakta hai.

     

    2. Apple Cider Vinegar

    Is mein maujood antibacterial tatav kidney ko bacteria infection se bachate hai. Agar kidney mein pathri(stone) ho to apple cider vinegar ke istemal se pathri dhere dhere apne aap khatam ho jata hai. Iske ilava apple cider kidney se hanikarak tatv bahar nikalta hai jisse gurde swasth rehte hai.

     

    3. Baking Soda

    Ek research mein british researchers ne ye pta lagaya ki sodium bicarbonate kidney ke rogo se bachne ke liye kafi faydemand hota hai. Iski madad se blood mein hone wali acidity khatam ho jati hai jo gurde ke rogo ka karan hoti hai.

     

    4. Vegetables Juice

    Kidney se judi koi bimari hone par lauki, kheera, gajar aur patta gobhi ka ras piye, isse gurde ke rogo ka ilaj karne mein madad milti hai. iske ilava aaloo aur tarbuj ka ras bhi kidney ki samasyao ko thik karne ke liye acha hai. Jaldi aaram ke liye inka sevan din mein 2 bar kare.

     

    5. Munakka ka Paani

    Rojana raat ko sone se pahle kuch daane munakka paani mein bhigo kar rakhe aur subh is paani mein se munakka nikal kar sirf paani piye. Kuch din lagatar is upay ko karne se kidney ke rogo ka upchar jaldi ho jata hai.

     

    6. Paani Jaada Piye

    Gurdo ko swasth rakhne ke liye jaruri hai ki isme maujood hanikarak padarth bahar nikal diye jaye, uske liye jaruri hai aap paani ki maatra jada le. Paani mein nimbu nichod kar bhi le sakte hai isse vitamin C ki bhi purti hogi.

     

    Rajiv Dixit ke Upay Hindi Mein

    Khana khane ke turant baad peshab (urine) karne ki aadat banaye. Is niyam ko niranatar apnane se gurdey ki bahut si bimariyo se door reh sakte hai. Jo log kidney infection ya kidney ke kisi aur rog se pidit hai unke liye ye bahut faydemand upay hai. Gurde ki bimariyo se bachane ke sath sath ye liver, gathiya, kamar ke rog aur prostate ke badhne jesi samasyao se bhi bachata hai.

     

    Baba Ramdev Yoga aur Excersise Kare

    Agar aap kidni ki bimari se pareshan hai to exercises aur yoga karna shuru kare. Agar hafte mein 3 se 4 din bhi exercises ki to aapki kidney mein sudhar aa sakta hai. Kidney ka ilaj karne ke liye aap baba ramdev ke bataye hue pranayam aur yogasan kar sakte hai.

     

    Kidney ki Bimariyo se Kaise Bache (Parhej)

    1. Agar aapko kidney ke rogo se bachna hai to jaruri hai ki aap kisi bhi parkar ke infection se bache rahe.
    2. Healthy diet le aur fast food na khaye.
    3. Jada tanav na le aur din ki shuruaat exercises aur yoga se kare.
    4. Agar paani saaf na ho to ise ubaal kar piye.
    5. Bazzar mein milne wale dabba band khane se parhej kare.
    6. Body ka weight jada badhne na de.
    7. Agar ulti, dast ya bukhar hua hai to sharer mein paani ki kami na hone de. Isliye paani ki pryaprt matra le.
    8. Smoking, sharab ya koi dusra nasha na kare, isse blood circulation slow ho jata hai.
    9. Pain killer dawayio ka upyog kam se kam kare, kyuki ye dawaye kidni ko nuksan pahunchati hai.
    10. Thand aur dhul mitti se bhi infection ho sakta hai isliye bahar jate samay muh aur naak dhak kar rakhe isse bacteria aur thandi hawa aap ko bimar nahi kar payegi.
    11. Namak ka sevan kam kare.
    12. Aese sports na khele jisme kidney mein chot lagne ki aashanka ho.
    13. Saal mein ek bar doctor se body checkup jarur karwaye.
    14. Agar aapke shareer mein ek hi kidni hai to kisi bhi parkar ki bimari ke treatment ya operation se pahle doctor ko is bare mein jarur bataye.
    15. Healthy lifestyle ko apna kar hum gurde ki bimariyo se bache reh sakte hai.

     

    Kehte hai ilaaj se behtar hai bachav, isliye aapse yahi salah hai ki kidney ke rogo se bachne ke upay karte rahe taki aap dialysis aur trasplant jesi cheejo se door reh sako. Kidney ka ilaj natural ayurveda nuskhe se kaise kare, kidney infection treatment in hindi ka ye lekh aap ko kaisa laga hame comment karke bataye aur agar aapke pass gurde ki bimariyo ke desi nuskhe hai to hamare sath bhi share kare.

    Recent Articles

    2 COMMENTS

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles