More

    रोग प्रतिरोधक क्षमता बढ़ाने के आसान उपाय – Immunity Badhane Ke Gharelu Upay

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेरोग प्रतिरोधक क्षमता बढ़ाने के आसान उपाय - Immunity Badhane Ke Gharelu Upay

    Immunity badhane ke gharelu upay aur nuskhe in hindi: Aksar kuch log bahut jaldi bimar pad jate hai khaskar mausam badalne par ve jaldi hi infection aur mausami bimariyo ki chapet me aa jaate hai, iska sabse bada karan hai sharir ki rog pratirodhak chamta kamjor hona. Body ka immune system strong na ho to sharir rogo se ladne ki takat kho deta hai aur hum bahut jaldi bimar ho jate hai. Bacho ki immunity bado ke mukable jada strong nahi hoti. Kuch log rog pratirodhak chamta badhane ki dawa se is samasya ka ilaj karte hai par hum immunity badhane ke liye gharelu nuskhe aur upay se aasani se ghar par ilaj kar sakte hai. Aaj is lekh me hum janenge body immunity kaise badhaye aur kya food khaye, ayurveda treatment and home remedy for body immunity increase in hndi.

    Hawa me kai parkar ke virus aur bacteria maujood hote hai jo saans lene par hamare sharir me pahunch jaate hai par hamara immune system inhe khatam kar ke hame rogo se bachata hai, par jab immunity weak ho jati hai tab ye virus sharir me badhne lagte hai. Sardi jukham khasi aur bukhar hona iski ek pehchan hai.

    Body Immunity Weak Hone Ka Karan

    • Dard nivarak dawao ka adhik sevan karna.
    • Bahut jada tension me rehna.
    • Sharir ki saaf safai ka dhyan na rakhna.
    • Khane peene ki galat aadte hona.
    • Puri neend naa lena.
    • Smoking aur sharab ka jada sevan karna.
    • Body ko jaruri poshan na milna.
    • Vajan bahut jada ya bahut kam hona.

    इम्युनिटी बढ़ाने के लिए घरेलू उपाय और नुस्खे

    Immunity Badhane Ke Gharelu Upay Aur Nuskhe

    1. Green tea aur black tea immune system ke liye ye dono hi faydemand hai. Har roj inke 1 se 2 cup peena aapki immunity ke liye ramban ilaj ho sakta hai. Dhyan rahe iske jada sevan se nuksan bhi ho sakta hai.

    2. Kacha lehsun rog pratirodhak chamta badhane ke upay me gharelu dawa ka kaam karta hai. Isme vitamin A, E, jink aur sulfar hota hai jo immune system boost karne me upyogi hai.

    3. Body ko infection se bachane ke liye vitamin C bahut faydemand hai. Aawle, aur nimbu me vitamin C bharpur matra me hota hai.

    4. Ayurveda me rog pratirodhak chamta bdhane ke liye ashwgandha, shilajeet, shatavri, tulsi, mulethi, haldi aur giloy ka pryog kiya jata hai jo ayurvedic dawa ki tarah kaam karte hai.

    5. Yoga aur exercise sharir ko swasth rakhne aur rogo se ladne ki shakti bdhane me kaafi mdadgar hai. Iske sath sath ye body ko detox karne ka kaam bhi karte hai.

    6. Motapa jada hona ya fir weight kam hona bhi kamjor immunity ka ek karan hai. Isliye weight ka control me rakhna bahut jaruri hai.

    7. Vitamin D se body ko rogo se ladne ki takat milti hai aur sath hi ye haddiya majbut karne, dil ke rogo ko dur rakhne me bhi asardar hai.

    इम्युनिटी बढ़ाने के लिए क्या खाये – Immunity Badhane Wale Food

    • Dahi khane se immunity power badhti hai. Iske ilava ye pachan shakti ko thik karne me bhi achuk hai.
    • Falo me santra, ananas aur khatte fal me vitamin C hota hai jo body me acche cholesterol ko bdhata hai aur blood pressure ko bhi control karne me mdad karta hai.
    • Hari pattedar sabji me palak ko sabse acha food mana gya hai. Palak me folic acid hota hai jo body me naye cell banane aur purane cells thik karne ka kaam karta hai. Iske ilava isme iron, fiber, vitamin C aur antioxidant hote hai jo sharir ko swasth bnate hai.
    • Dry fruit me vitamin A bharpur matra me hota hai jo immunity increase karne ke liye jaruri poshak tatav hai. Iske sath sath inme iron, fiber, jinc aur minerals bhi hote hai.
    • Badam me vitamin E adhik hota hai jo tvacha ko swasth banane me mdadgar hai, iske ilava isse dimag ko tanav se ladne ki shakti milti hai. Har roj 8 se 10 badam khane se sharir ki rog pratirodhak shamta bhi badhti hai.
    • Immunity boost karne me mashroom khana bhi faydemand hai.
    • Broccoli me vitamin A aur C paya jata hai, ye immune system ko majbut karne wala food hai. Iske sevan se body ko calcium aur protein bhi milta hai.

    बच्चों में रोग प्रतिरोधक क्षमता बढ़ाने के उपाय – Bacho Ki Immunity Kaise Badhaye

    • Maa ka doodh immunity majbut karne me achuk hai, jo chote baccho ko infection, allergy, dast, bukhar se bachata hai.
    • Baccho ko aahar me hari sabjiya khilaye. Hari sabjiyo me vitamin A, C, E aur jaruri poshak tatv hote hai jo immunity boost karne me upyogi hai.
    • Puri neend naa milne par bhi rog pratirodhak shamta kamjor hone lagti hai. Baccho ka immune system majbut ho iske liye unhe 10 se 12 ghante ki neend chahiye.

    Dosto Immunity badhane ke gharelu upay, Rog pratirodhak chamta kaise badhaye in hindi ka ye lekh kais alga hame btaye aur agar aapke pass body immunity badhane ke liye kya kare gharelu nuskhe ilaj aur dawa ke sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    3 COMMENTS

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles