More

    मानसिक तनाव और चिंता दूर करने के उपाय – Tension Kaise Dur Kare in Hindi

    Uncategorizedमानसिक तनाव और चिंता दूर करने के उपाय - Tension Kaise Dur Kare in Hindi

    Mansik tanav dur karne aur chinta se mukti ke upay in hindi: Aaj ki bhagdod bhari life me baccho se le kar bado tak har kisi ko kisi na kisi karan tension hoti hi hai. Agar aap mansik tanav aur chinta ko dur karne ka tarika jante hai to aap bahut si samasyao ko aane ke pahle hi rok sakte hai. Jo log jadatar tanav me rehte hai ve dhire dhire udaasi aur depression me jane lagte hai. Kai bar hum kisi choti si baat ko soch soch kar use bahut bda bana lete hai aur fir usse tension hone lagti hai. Aap ek baat ko hamesha dhyan rakhe ki aap jitna jada tension lenge aap ki pareshani utni hi badhti jayegi aur aap ka man jitna shant rahega aap utna hi acha mehsus karege. Sab logo ke liye tanav khatam karne ke upay alag ho sakte hai kuch log mansik shanti ke liye mantra, yoga aur dawa ka sahara lete hai. Aaj is lekh me hum janenge chinta aur mansik tanav ko kaise dur kare, tension dur karne ka upay in hindi.

    टेंशन दूर करने के लिए योग – Tension Dur Karne Ka Yoga

    • Tanav se mukti pane aur mood acha rakhne ke liye din ki shuruat yoga aur exercise se karna chahiye.
    • Man ki ekagrta badhane ke liye har roj kuch der meditation kare.
    • Morning aur evening walk par jaye aur kuch der dod lagaye.
    • Yoga karna hai to yoga guru ki dekh rekh me pranayam aur yogasan ka sahi tarika sikhe.

     

    मानसिक तनाव दूर करने और चिंता से मुक्ति के उपाय

    Mansik Tanav Dur Karne Ke Upay in Hindi

     

    1. Apne kaam ke beech me chote chote break lene se kaam ka tanav kam hota hai. Kaam ke dauran aaram lene se concentration badhti hai. Aaram karne ka sabse acha tarika hai body ko stretch karna, isse sharir ki manspeshiyo ka tanav bhi kam hota hai.

    2. Hamari soch aur vichar hamare mood aur kaam par seedhe asar karte hai. Positive soch hone se tension dur rehti hai aur agar kabhi tanav ka samay aaya bhi to aasani se aap apna tanav dur kar sakege.

    3. Tension free rahne ke liye aur man ko shant karne ke liye music sunna kafi asardar hota hai. Isse dimag aur man shant hota hai.

    4. Koi bhi chinta hone par sabse pahle isse dhyan hatana chahiye iske liye aap apni family aur dosto ke sath samay bitaye aur masti majak se apne aaspass ka mahol khushnuma kare. Mahol acha hoga to mood bhi acha hoga.

    5. Apne bacho aur wife ke sath samay bita kar apna mood acha kare. Mansik shanti se aap samasya ka samadhan aasani se kar payege.

    6. Agar aap ke ghar me koi paltu janwar hai to mood kharab hone par paltu janwaro ke sath samay bitane se mood acha ho jata hai ye hame khushi aur pyar dete hai.

    7. Sharir swasth hoga to man bhi shant rahta hai aur mood acha rehta hai. Bajar ka fast food khane ki bajay poshak tatvo se bharpur bhojan kare aur pani bhi adhik piye.

    8. Tension se hone wali bimari me sir dard karna aur neend na aana parmukh hai. Aese me sir ki malish karna acha upay hai isse sir ka dard dur hota hai, achi neend aati hai aur tanav bhi kam hota hai.

    9. Aap jab bhi tanav ya chinta me ho to thande ya garam pani se naha kar khud ko fresh kare. Sharir ki manspeshiyo aur man ko shanti dene ka ye ek aasan tarika hai.

    10. Hum din bhar apne kaam me busy rehte hai aur shahar me shorshrabe ke beech rehte hai. Mansik tanav se mukti pane ke liye apne aap ko nature se jode. Hafte ya mahine me ek se do bar shahr se dur nature me apna waqt bitaye.

     

    मानसिक शांति के उपाय – Tension Se Kaise Bache Tips in Hindi

    • Dosto past me ho chuki kisi ghatna ki wajah se agar aap tanav me hai to isse aapko pareshani ke ilava kuch nahi milega kyuki jo ho chukka hai use aap badal nahi sakte. Par agar aap ko apni kisi galti ka ahsas hua hai to uska pachtava kar ke man shant jarur kar sakte hai.
    • Aksar hum apne future ke liye pareshan rehte hai aur sochte hai kal kya hoga. Dosto future me jo hoga vo aapke aaj ke karam aur mehnat par kafi nirbhar karta hai. Isliye aane wale kal ki tension lene ki bajay saaf man se apna kaam karte rahe aur moka milne par logo ki mdad bhi kare.
    • Agar aapse jane anjane me kisi ka bura hua hai ya koi galti hui hai to use sawikar kar maafi mange aur GOD par vishwas rakhte hue jivan me aage badhe.
    • Bahut se log chinta aur tanav dur karne ke liye dawa, cigrete aur sharab ka sevan karte hai. Ye sab tension dur karne ki bajay tension badhati hai isliye inse bachna chahiye.

     

    Dosto mansik tanav dur karne aur chinta se mukti ke upay in hindi ka ye lekh kais alga hame btaye aur agar aapke pass tension kaise dur kare aur mansik shanti ka tarika se jude sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    2 COMMENTS

    1. apka helath point of view se sahi hai lekin iske mental level par bhi rokne ki jarurat hai , halanki iske upar mai bhi ek post likha hun yadi permission ho to link post kar raha hun

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles