Meditation Kaise Karte Hai
Meditation aur dhyan lagana koi alag cheej nahi hai. Meditation ko hi hindi mein dhyan lagana kehte hai. Aksar hamara man kisi ek jagah nahi lagta aur hame samjh nahi aata ki kya kare aur hum bewajah pareshan hone lagte hai. Par agar hum meditation karne ka sahi tarika jan le to esi pareshaniya kabhi nahi hongi. Maditation karne se man shaant hota hai aur ekagrata(concentration) bhi badhti hai, iske ilava aap physically aur mentally healthy rehte hai. Is article mein hum janenge sahi tarike se meditation kaise kare aur meditation tips in hindi.
Meditation Kya Hota Hai
Dil, dimag aur man ko bhatakne se rokne ke liye kisi ek cheej par focus karne ko dhyan lagana ya meditation karna kehte hai.
1. Meditation karne ke liye hame apne aaspass ke shor se hat kar apne antarman ki aawaj sunte hai. Ab question ye hai ki hum apne antarman ki aawaj kaise sune. Dosto ye bahut aasan hai, agar hum bahar ki aawajo ko sunana band kar de to jo aawaj reh jayegi vo antarman ki hog aur isi aawaj ko sunana dhyaan lagana hai.
2. Bahar ki aawajo ko rokne ke liye hum apni aankhe aur kaan to band kar lete hai par kuch aawaje hamare dimag se bhi aati hai jese ki – mujhe kahi jana hai, mera ye kaam pending hai. Aesi kuch aawaje aapko dhyaan nahi lagane dengi. Par iska bhi ek upay hai, apni aankhe aur kaan band karne ke baad aapko 2 aur aawaje sunayi dengi, aapki dhadkan ki aur aapki saans ki. In 2 aawajo ke ilava ek tisri aawaj bhi hai aur hame usi aawaj par dhyaan lagana hai. Ye aawaj jhingur ki tarah hoti hai.
3. Shuruaat mein aapko ye aawaj bahut dhimi sunayi degi par jab aap dhyaan lagane lagenege tab dhere dhere ye aawaj tej hone lagegi. Ek baar is aawaj par focus karne par aap ko kuch aur aawaje sunayi dene lagengi jo aapko aanad dene wali hongi jesi ki barish ki aawaj, nadi ke pani ki aawaj. Jab aap dhyaan ki is awastha mein aa jayenge tab aap ko aatam anubhuti hone lagegi aur aapka mind relax ho jayega.
Meditation Kaise Kare – How to do Meditation in Hindi
1. Dhyaan lagane ke liye ek aesi jagah par baithe jo shor se dur ho aur aaramdayak bhi ho. Aapko jis position mein baithna acha lage aap us position mein baith jaye. Aap dono pairo ki palathi bhi maar sakte hai ya fir kisi chair par bhi baith sakte hai. Kisi karan wash agar aap baith nahi sakte to aap khade ho kar bhi dhyan laga sakte hai.
2. Apni dono aankhe aur dono kaan band kar lo. Kaan band karne ke liye kaano mein cotton ya fir ear plug daal sakte ho.
3. Dhyan lagane se pahle aankhe band karke 8 se 10 baar gehri aur lambi saans le aur saans dhere – dhere chode. Saans chodte samay 10 se 1 tak ki ulti ginti gine. Ginti sirf saans chodte samay kare saans lete samay nahi.
4. Ab aap apne antarman ki aawaj par focus kare. Shuruaat mein agar aapko awaj nahi sunayi de rahi to koi baat nahi apna man shant rakhe aur paryaas karte rahe, thodi der mein aapko aawaj sunayi dene lagegi.
5. Maditation karte samay kai baar aapki soch bhatkegi, par aap isse pareshan na ho agar dimag ki aawaje aapka dhyan bhatkati hai to dhyaan ko wapis antarman ki aawaj par concentrate kare.
6. Staring ke kuch din aapka dimag aapko dhyaan nahi lagane dega par jab aapko apne antarman ki aawaj sunayi dene lagegi tab baki sabhi aawaje khud hi band ho jayengi.
Meditation Tips in Hindi
- Kuch logo ke liye dhyan lagana boriyat sa ho jata hai, par agar aap meditation ko fun ke jese karenge to aap ko isme maja aane lagega.
- Humne kuch bade bujurgo se pucha ki dhyan kaise lagaye to jadatar ne hame yahi jawab diya ki dhyaan lagan ke liye apni dono aankho ke beech jo center point hota hai waha focus karo, par is kirya mein thodi der baad hi sir dard hone lagta hai aur hum kuch hi der mein isse thak jate hai.
- Dhyaan lagane ka koi samay nahi aap kabhi bhi is kirya ko kar sakte hai.
- Sahi tarike se dhyan lagane ke liye apne shareer ko andar aur bahar se swasth aur nirmal rakhe. Body ko bahar se fit aur active rakhne ke liye har roj yoga aur vyayam kare. Shareer ko andar se swasth rakhne ke liye sabse pahle apne vicharo ko swasth kare, iske liye aachi books padhe aur ishwar ko yaad kare.
Jane Yoga Kaise Kare Sahi Tarika aur Niyam
Meditation Karne ke Tarike – Meditation in Hindi
Meditation kai tariko se kiya ja sakta hai. Dhyan lagane ka ek tarika to hum ne aap ko is leekh mein bataya hi hai. Aaiye dhyan lagane ke kuch aur tarike jante hai.
1. Meditation Kaise Kare- Dhyan lagane ke liye aap meditation music bhi sun sakte hai. Headphone ya fir speakers par meditation music chalaye aur fir music ki aawaj par concentrate kare.
2. Dhyaan lagane ke liye aap aankhe band kar ke ek strory imagine bhi kar sakte hai. Example ke liye – aap ye imagine kare ki aap kisi aesi jagah par aa gye hai jaha sirf pahad hi pahad hai, jahan bhi dekhe paid aur hariyaali dikh rhi hai samne ek nadi beh rahi hai, aasman mein pakshi chahak rahe hai aur halki halki barish ki bunde gir rahi hai. Aap aese imagine kare ki aap is mahol ko ji rahe hai aur sab kuch mehsoos kar rahe hai.
3. Dhyan lagane ke liye aap kisi cheeh par bhi focus kar sakte hai ya fir diwar par ek point bana kar uspe dhyaan laga sakte hai. Isliye tarike ke liye aapko ye janana ki jarurat nahi ki meditation kaise kare.
Meditation ke Fayde – Benefits of Meditation in Hindi
- Maditation karke hum apne mind ko relax kar sakte hai aur rojana ki problems ko face karne ke liye aapne aap ko fir se tyaar kar sakte hai.
- Gussa, mankisk tanav, aur kisi parkar ki tension se chutkara pane ka sab se safal upay dhyaan lagana hai.
- Rojana meditation karne se aap ka man shaant hota hai aur ekagrata badhti hai.
Man ki Ekagrata Kaise Badhaye
Aaj kal ke lifestyle mein hum log kabhi us cheej se khush nahi rehte jo hamare pass hoti hai aur har pal yahi sochte hai ki kaash mere pass bhi vo hota jo uske pass hai to main bhi kush rehta. Fir us cheej ko pane ke liye hum din raat ek kar dete hai aur isi chakar mein hum us cheej ka anand nahi le pata jo hamare pass pahle se hi hai.
- Example ke liye – Ek student ache numbro se pass hone ki sochta hai, vo pass ho jata hai par fir bhi kush nahi rehta kyuki pass hone ke baad vo ye sochne lagta hai ki job bhi mil jati. Job milne ke baad vo jada salary aur promotion ke bare mein sochne lagta hai. Thik isi tarah hum bhi aane wale kal ki khushiyo ke bare mein sochte hai aur aaj jo khushi hame mili hai uska anand nahi le pate.
- Dosto sach to ye hai ki jis khushi ke piche aap bhaag rahe hai vo kahi bahar nahi hai aur na hi vo aane wale kal mein hai, khushi to aap ke andar hai aur is khushi ko mehsoos karne ka aur man ki ekagrata badhne ka jariya dhyan hai. Humne hamesha apne bade bujurgo se suna hai aur pavitar grantho mein bhi padha hai ki parmatma bahar nahi hamare andar hi hai par hum ye baat samajh nhi paate. Dhyan yoga ki ek aesi kirya hai jo aatma ko parmatma se jodta hai.
- Health Benefits of Yoga in Hindi
- Rajiv Dixit ke Ayurvedic Treatment
- Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe Hindi Mein
Dosto is website par hum ne health care aur health tips ki bahut si jankariya share ki hai, par Meditation Kaise Karte Hai ki jankari ko share karne main hame bahut acha lag rha hai. Aap logo ki tarah hum bhi is website se har roj kuch naya sikhte hai.
Meditation Kaise Kare, How to do Meditation in Hindi ka ye lekh aapko kaisa laga hame jarur bataye aur agar aapke pass dhayan kaise lagaye se jude koi sujhaav ya jankari ho to hame comment kare. Aapki knowledge se aur logo ko bhi fayda ho sakta hai.
Mujhe meditation kaise kare bahut achha laga but kaya meditation se god ko bhi pa sakte hai .please reply me
Prahlad dhyaan lagana (meditation) ek esi cheej hai jo aap ko mind concentrate karne mein madad karta hai, uske baad insaan apne vichaaro ke sath aage badhta hai. Aadhyatmik gyaan paane ka sab se behtar rasta hai dhyaan lagana. Apne vicharo ko shudh rakhe aur dhyaan lagaye.
Meditation se hr cheez pa skte h
Dhanyavaad.mujhe ye article bohot pas and aaya.aapne isme simple step bataye hair uske lite thanks.
My name is amisha, i m 16year old… Meditation wale topic me aapne likha tha ki – “apni aankhe aur kaan band karne ke baad aapko 2 aur aawaje sunayi dengi, aapki dhadkan ki aur aapki saans ki. In 2 aawajo ke ilava ek tisri aawaj bhi hai aur hame usi aawaj par dhyaan lagana hai.” mujhse dhadkan aur saans ki aawaaj k ilava koi aavaj sunai hi nhi di mene boht koshish ki par esi koi aawaj nhi aayi bss sirf dhadkn ayr saas ki hi aawaj aayi
Amisha ye awaj sarrrrrrr type hoti hai aur practice karne par aap ise arur sun payenge.
aap bas focus kare awaj aye ya na aye
parantu aap ko kuch naya sa dikhai de jaise badal ya koi jyoti ya apka koi bhi est dev ki kalakirti murti
bas us par focus kare safalta jarur milegi ek din me dhyan nahi lagta thoda sa parisham karo
Tisri aawaj jhingur ki si hoti hai aur bahut tej sunai deti hai..
Jara dhyan se suniye
Mujhe mere pyar ko paane me ye medication kaam aayga or kaise
Nitin aap ye article ache se padhe aur soche ki meditation aap ko kaise help kar sakta hai.
sir aaj kal mera padhai me man nahi lag rha hai main hamwsha kisi dusre topic ke baare me sochta rhata hu padhne baithta hu tho
5 min bhi man ko shant nahi rakh pata khud ko dusro se heen samjne lga hu aur kafi demotivate ho chuka hu help me
Shubham aap ye article padhe aur follow kare :: http://sehatdoctor.com/padhayi-mein-man-kaise-lagaye-students-study-tips-in-hindi/
Great article…i really like it..superb
sir mujhe article bhut acha laga bt itna muskil hai yeh ki dimag control nai hota.koi sikhaye to shayad ho jaye…. self ke liye to bhut muskil hai.
Dost aap kisi yoga center ja kar kisi guru se meditation sikh sakte hai.
Thank you so much sr… mere saare swaalo k jwaab mil gye muje yahan pr
kab meditation karna chahiye? kone si time par.
Kitun ji subah ke samay meditation karna acha hai, isse aap pure din fresh aur energetic mehsus karenge.
Sir apka article bahut achha laga.but humare under ke jo 7 chakra jagrat kase kiya jata hai usake bare batao
Dost is bare mein to aapko koi yoga guru hi ache se bta sakte hai.
Apka article bahut acha laga par issi topic ko behtar se jaane aur samajhne ke liye ek baar sandeep maheswari ka you tube par meditation ke upar video bahut madadgar hoga for everyone. Try once
Mene ak book me parha tha k yoga boht powerful hai is se dunia ko hilaya ja sakta hai kea ye right hai.
Amir yoga se aap kisi bhi parkar ki bimariyo se bache reh sakte hai aur bimari hone par uska ilaj bhi kar sakte hai aur meditation karne ka agar sahi tarikacsikh le to ye sharirik aur mansik vikas mein kafi madadgar hota hai.
meri shadi abhi 6 mahine huye hai. Shadi k bad se mera guss bahut badh gaya aur gusse me samnewale ko kuch b bol deti hoon. Par me ye jan buzkr nhi karti pr muze koi samzta hi nhi.. Isliye me aur b dipressed ho jati hoon. Nagitive thoughts man me ate he.
pr ye upay padh kr muze kafi raht mili hai aur me inhe jarur try karungi.
This article will help me very much………..thanks a lot…..!
sir muje neend nhi aati bilkul bhi muse 4 saal ho gye main bahut presaan hu plss kuch kare.
नींद आने के उपाय और घरेलू तरीके के बारे में आप यहां पढ़े :: http://sehatdoctor.com/neend-aane-ke-upay-tips-for-good-sleep-in-hindi/