More

    नाक से खून बहने पर 10 आसान उपाय – Nakseer Ka ilaj in Hindi

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेनाक से खून बहने पर 10 आसान उपाय - Nakseer Ka ilaj in Hindi

    Naak se khoon aana, nakseer ka ilaj in hindi: Garmi ke mausam me kai log naak se khoon behne ki samasya se pareshan hote hai, jise hum nakseer futna bhi kehte hai. Chote baccho me ye samasya adhik hoti hai aur bado me jo log high blood pressure se pidit hote hai unhe bhi aksar nose se blood aane ki pareshani hoti hai. Vese to naksir nikalna bada rog nahi par jab ye samasya bar bar hoti hai tab ye ek gambhir rog ka karan bhi ho sakta hai. Naak se bar bar khoon aana ya jada nakseer ka behna thik nahi hai. Kuch log nakseer ki medicine se iska ilaj karte hai par hum bina dawa ke gharelu nuskhe aur desi ayurvedic upchar se bhi nak se khun rokne ke upay kar sakte hai. Aaj is lekh me hum janenge nakseer rokne ke liye kya upay kare, home remedy for nose bleeding treatment in hindi.

    नाक से खून बहने का कारण – Nose Se Blood Aane Ke Reason

    • Naak me chot lagne se bleeding ho sakti hai.
    • High blood pressure ke karan bade logo ki naksir futne lagti hai.
    • Blood ko patla karne wali medicine ka jada sevan karna.
    • Sardi jukham, sinus infection ke karan ya flu hona.
    • Nak se koi nasha sunghna, sharab ka adhik sevan karna.
    • Sharir me vitamin B12, C, K ki kami se bhi bleeding hone lagti hai.
    • Garmi me jada bhagdod ki wajah se bhi naksir aa sakti hai.

    नाक से खून बहने और नकसीर का इलाज

    Nakseer Ka ilaj Aur Gharelu Upay in Hindi

    1. Naak se khoon behne par sabse pahle baith jaye aur aage ki aur jhuk jaye aur dhyan rahe ki sir ko aage ki aur jhuka kar rakhe taki blood wapis naak me naa chla jaye.

    2. Dono nathuno ko 5 se 7 minute tak daba kar rakhe aur koi rumal ya kapda apne naak par rakhe taki vo blood ko sookh sake.

    3. Nose se blood aane par lete nahi aur naa hi naak ko ragde.

    4. Nakseer aane par naak ki bajay muh se saans lena chahiye.

    5. Thanda paani dhaar bana kar sir par dalne se naak se khoon girna band ho jata hai. Garmi me tej dhoop ki wajah se nose bleeding ho rahi hai to sir par thanda paani dalne se khun band ho jata hai.

    6. Pyaaj kaat kar naak ke pass rakhne aur sunghne se khun behna band ho jata hai.

    7. Burf ko kapde me lapet kar naak par rakhne se bhi naksir band ho jati hai. Burf ka paryog ek dum se nahi karna chahiye.

    8. Gila toliya sir par rakhne se bhi naksir me aaram milta hai.

    9. Smoking, sharab aur kisi bhi parkar ke nashe ke sevan se dur rahe.

    10. Upay karne ke baad bhi agar naak se khoon girna band na ho to turant doctor se mile, iske ilava bar bar naak se khun aana, chote bacho ke naak se khoon behna aur naak me chot lagne par bina laparwahi ke doctor se milna chahiye.

    नकसीर का आयुर्वेदिक इलाज – Nakseer Ka Desi Ayurvedic ilaj in Hindi

    • Garmi ke mausam me ilaychi ko seb ke murabbe me daal kar khane se naksir me aaram milta hai.
    • Bel ke patto ka ras pani me mix kar ke peena kafi faydemand hai.
    • Ek chammach multani mitti raat ko aadha liter paani me bhigo kar rakhe aur agli subah is paani ko nithar kar pine se naak se khun girne ki pareshani se rahat milti hai.
    • Subh sham 15 se 20 gram gulukand doodh ke sath khane se purane se purani nakseer thik ho jati hai.
    • Fitkari powder ko gaay ke ghee me mila kar nose drop ke jese naak me dalne se nakseer rokne me mdad milti hai.
    • Nakseer rokne ke gharelu upay me sabse aasan tarika hai ice pack ka istemal karna, naak ke bahri hisse par ice pack lagaye.
    • Aanar ke patto ko pees kar ise sunghne se bhi naak se blood girna kaafi kam ho jata hai.
    • Thoda kapur dhaniya ke patto ke ras me mila kar naak me dale. Is home remedy se naak se khun behna jaldi rukta hai.
    • Aam ki guthali ka ras sunghne se bhi naksir me fayda milta hai.
    • 1 se 2 boond nimbu ka ras nathune me dalne par bhi naak se blood aana kaafi had tak ruk jata hai.
    • Ek chutki namak 1 gilass paani me mila kar is paani ko nose par spray kare. Is upay se bhi naak se blood ka girna kam ho jata hai.

    Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe

    Baba Ramdev Patanjali Ayurvedic Medicine

    Dosto naak se khoon rokne ke upay, nakseer ka ilaj in hindi ka ye lekh kaisa laga hame btaye aur agar aapke pass nose se blood aana kaise roke ke gharelu nuskhe upay aur ayurvedic upchar se jude anubhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles