More

    सफेद बाल काले कैसे करे 10 आसान उपाय और घरेलू नुस्खे

    Hair - बालसफेद बाल काले कैसे करे 10 आसान उपाय और घरेलू नुस्खे

    Safed baal kale kaise kare upay in hindi: Balo me chamak lane aur baaln sundar bnane ke liye aksar bahut se log hair gel aur colors ka paryog karte hai. Attractive dikhne ke liye beautifull face, fit body ke sath sath beautifull hair hona bhi ek aham baat hai. Agar aap ke baal jhadne lage hai, bal safed ho gye hai ya fir balo me russi ho gyi hai to sundar face bhi thoda feeka dikhne lagta hai. Samay se pahle hairs white hona aaj kal aam hai. Baal jab safed hone lagte hai tab agar shuruaat me hi upa kar liye jaye to is samasya ho samay rehte hi badhne se rok sakte hai. Kam umar me hi agar baal safed hone lage to jaruri hai ki balo ki dekhbhal kare aur chemical wale hair product istemal karna band kar de.

    Safed baal chupane ke liye adhiktar log dye ya colos ka pryog karte hai par inse kuch samay tak hi bal kale dikhte hai aur fir se safed hone lagte hai. Jada color aur dye lgane se baal jada safed hone lagte hai. Agar aap ko white hairs se chutkara pana hai to pahle baal white hone ka karan janna jaruri hai taki sahi tarike se upay kiye ja sake.

    Balo ke safed hone ka karan

    1. Tension jada lena
    2. Aaahar me poshan ki kami
    3. Dye aur color ka jada istemal karna
    4. Pollution bhi safed baal ki ek vajah hai
    5. Balo ki dekhbhal nahi karna
    6. Sharir me protein ki kami hona

     

    Safed baal kale kaise kare upay in hindi

    Agar aap white hairs ko black karne ke liye bar bar color lgane se pareshan ho gye hai to yha btaye gye kuch upay aur gharelu nuskhe padhe jo baal kale karne me kafi upyogi hai.

    1. Ek pyaj ko kaat kar pees le. Ab pyaj ke paste ko nhane se 15 minute pahle balo par lgaye. Har roj ye upay kare kuch samay me aapke baal kale hone lagege.

    2. Chakundar balo me conditioner ka kam karta hai. 1 chammach heena aur chakundar ka paste bna kar balo par lgaye aur 30 minute baad hair wash kar le. Is upay ko hafte me 2-3 bar kare. Is upay se hairs ko bargendi rang milta hai.

    3. Thodi kali mirch aur 1 chammach nimbu ka rads mila kar balo par lgaye aur 20-25 minute baad gungune pani se dho le. Is upay se bhi baal kale hone lagte hai.

    4. Safed baal kale karne ke liye mehnadi lgana ek natural tarika hai. Mehnadi lgane se baal soft aur black hote hai.  Ek lohe ki kadhai le aur raat ko sone se pahle chai patti ke pani me mehndi bhigo mkar rakh de. Ab suubh ise sir par lgaye aur 2-3 ghante bad dho le. Agle din balo ko shampoo jarur kare.

    5. Kaccha papita pees kar iska paste hafte me 2-3 bar 10-15 minute ke liye lgaye. Is upay se baalo ka jhadna rukega, dandruff dur hogi aur baal kale hone lagege.

    6. Aam ke patte pees kar iska paste balo par lagaye aurf 15-20 minute baad dho le. Is upay se baal mulayam lambe aur kale hone lagte hai.

    7. Ashwagandha aur bhringraj safed balo ko kala karne ka ayurvedic nuskha hai. In dono ko nariyal tel me mila kar baalo  ki jado tak ache se lagaye aur 1 ghante baad gungune pani se dho le.

    8. Safed balo ke liye aawla powder bhut acha ilaj hai. Lohe ki kadhai me aawla powder daal kar iska aste bna le aur 2-3 din ke liye aese hi chod de fir color ki tarah balo par lagaye. Is upay se baal kale hone lagte hai.

    9. Shahad me adrak pees kar balo pe lagane se bhi balo ka safed hona band hoga.

    10. Sukha aawla aur shikakai ko pees kar chan le aur pani me bhigo kar raat bhar ke liye chod de. Agli subh is me se pani nichod kar is pani se balo ki ache se malish kare aur 30 minute baad dho le.

     

    Hair care tips in hindi

    • Balo par hair gel jese hair product ke istemal se bachna chahiye.
    • Sarso ke tel se har roj balo ki massage kare.
    • Balo me russi na hone do.
    • Aaawla khane aur aawle ka juice peene se baal kale rehte hai.
    • Gaay ke desi ghee se har roj balo ki malish kare.
    • Tamatar, nimbu ras aur dahi mila kar nilgiri tel me mix kar hafte me do bar balo ki malish kare.
    • Makkhan balo par lagane se baal safed nahi hote.

     

    Dosto Safed baal kale kaise kare upay in hindi ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aap ke pass white hairs ko black karne ka tarika ya gharelu nuskhe hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles