More

    Exam Mein Top Karne ke Liye Padhai Kaise Kare- Jaruri Tips Hindi

    UncategorizedExam Mein Top Karne ke Liye Padhai Kaise Kare- Jaruri Tips Hindi

    Top Kaise Kare: Jo students exams mein top karte hai vo bhi normal bacho jese hi hote hai, unhe bhi class mein wahi teacher padhata jo aapko padhata hai, unka syllabus bhi sabke jesa hi hota hai. Ab question ye hai ki jab sab kuch ek jesa hi hai to topper aur average students mein kya difference hai. Dosto farak sirf itna hai ki top karne wale student ka padhayi karne ka tarika thoda alag hota hai, jis wajah se unke ache marks aate hai. Is article mein hum aapko aise hi kuch study tips in hindi batayenge jisse aap samaj sakenge ki exam mein top karne ke liye padhai kaise kare.

    Agar aap apni class main ek average students hai aur chahte hai ki ab aap ko bhi class ke topper students mein gina jaye to aapko thodi mehnat karni hogi aur apni padhai ke tarike ko thoda sudharna hoga.

     

     

    Exam Mein Top Kaise Kare

    Topper Banne ke Liye Padhai Kaise Kare

     

    1. Class Bunk Na Kare

    1. Agar aap class mein top karna chahte hai to har roj class attend kare, kyuki teacher class mein jo kuch bhi padhata hai vo basic se shuru karta hai aur ek bar kisi cheej ka basic clear ho jaye tab topic jaldi samjh aa jata hai.
    2. Sath hi ye bhi dekha gya hai ki class mein jo padhaya jata hai unhi topics mein se jadatar questions exam mein puche jate hai.
    3. Agar kisi wajah se aap school ya college nahi ja paye to apne classmate se us din ke topic ke notes le aur padhe.

     

    2. Technology Ka Sahara Le

    1. Aap apni padhayi ke tarike ko aur behtar bnane ke liye computer aur mobile ka sahara bhi le sakte hai.
    2. Internet par apne subject se related topic search kare aur use detail mein padhe. Aap videos dekh kar bhi sikh sakte hai.
    3. Mobile mein aapko har tarike ki application mil jayegi. Apne subject se related application search kare aur use study kare.
    4. Dhyan rahe study ke time aap sirf syudy hi kare kahi aesa na ho laptop par aap facebook ya koi aur website khol kar baith gaye ya mobile par wassup chat karne lage. In sab cheejo ko aap padhayi ke baad bhi kar sakte ho.

     

    3. Last Years ke Question Paper Solve Kare

    Ache number lane ho ya class mein top karne ka lakshay ho aap pichle kuch saalo ke question papers jarur dekhe. Isse aapko important topics ka idea hoga aur exam ke pattern ka bhi pta lagega. Question papers solve karke unke notes bana le jisse exam se pahle quick revision karne mein aasani hogi.

     

    4. Study Ke Liye Notes Banaye

    1. Books se padhte samay apne pass ek pen copy rakhe aur notes banaye. Ya fir aap heighlighter ki help se book par lines ko heightlight kar sakte hai.
    2. Notes mein topic ko detail me likhne ki bajay uske important points likhe. Isse next time wahi topic padhne ke liye aapko books se detail mein nahi padhna hoga, notes padhte hi aapko sab yaad aa jayega ki is topic ki kya details hai.
    3. Exams ke time quick study mein ye notes aapko jaldi revision karne mein bhi help karenge.

     

    Padhayi karne ka sabse bada lakshay hota hai exam mein ache numbro se pass hona. Dosto is lakshay ko hasil karne ke liye aap chote chote goal banaye jese weekly test mein ache number lana ya semester exams mein top karna. Chote chote lakshay aapko final goal tak le jayenge.

     

    5. Ratta Marne se Bache

    1. Agar aap kisi cheej ko yaad karne ke liye ratta marenge to aap kuch samay baad use bhul jayenge aur fir agli baar use padhne ka man bhi nahi karega.
    2. Ratta marne ki bajay aap us topic ke basic clear kare. Agar aap ko kisi topic ki basic knowledge hai to aap us topic par bina padhe aur yaad kiye bhi bahut kuch likh sakte ho.
    3. Agar aap janana chahte hai ki class mein top kaise kare to apne topper student se bhi jaruri tips le aur jane unka yaad karne ka tarika kya hai.

     

    6. Time Table Follow Kare

    Agar ache marks lane ke liye aap raat ko der tak padhte hai ya subh 4 baje uth kar padhte hai to uska koi fayda nahi. Aap ko apna time table set karna hoga aur har roj usike anusar padhna hoga. Time table mein sabhi subjects ko time de aur jis subject mein aap kamjor hai uske liye thoda extra time rakhe. Agar aap time table ko sahi tarike se follow karenge to aap sabi subjects ki preparation ache se kar payenge.

     

    7. Apne Aapko Distraction se Door Rakhe

    Distraction matlab dhyaan bhatakna. Agar aap apna lakshay paana chahte hai aur chahte hai ki class mein topper students mein aapka naam ho to kisi bhi tarah ki distraction se bache aur pura dhyan apni padhai par lagaye.

    Facebook, whatsup, girl friend, boy friend kuch aesi cheeje hai jo padhayi se aapko distract karti hai aur aapki concentration kharab hoti hai. Isliye jab bhi padhne baitho apna mobile phone aur laptop ka paryog na kare aur sirf padhayi par concentrate kare.

     

    8. Khud ko Appreciate Kare

    1. Kabhi kabhi aage badhte rahne ke liye hame motivation ki jarurat hoti hai. Agar ache numbers ya grade lena aapko motivate rakhne ke liye kafi nahi to padhayi mein man lagaye rakhne aur pahle se bhi behtar result lane ke liye khud ko koi gift ya reward de.
    2. Aage badhte rahne ke liye apni success ko celebrate karna bhi jaruri hai par vo celebration kuch samay tak hi hona chahiye. Apne celebration mein apne parents, classmates aur dosto ko bhi shamil kare.

     

    9. Exams ke Samay Tension Na Le

    1. Agar aap classes attend nahi karenge aur time table ko bhi sahi tarike se follow nahi karenge to aapka syllabus complete nahi ho payega aur aapko exams ke dino mein syllabus complete karne ki tension rahegi jisse aapki tyari par bura asar padega.
    2. Agar aap upar bataye hue tips ko sahi tarike se apnayenge to exams se pahle aap tension free rahenge aur relax mind se papper attempt karenge.

     

    10. Group Study

    • Group mein study karne ke 2 fayde hai, pahlaa ye ki aap kisi difficult topic ko bhi aasani se samajh sakte hai aur dusra ye ki group study karne se confidence badhta hai.
    • Group mein padhai karte samay sirf study based topics par hi discussion kare.
    • Aese students ko group study mein invite mat kare jo padhte samay yha wahan kii baate kare aur sab ko distract kare.

     

    Study Tips in Hindi

    Jab hum kisi subject mein weak hote hai to use padhne se katrate hai jese math. Par aapne apni class mein aese students bhi dekhe honge jinka sab se intresting subject hi math hai. Ye aapke liye bhi ho sakta hai, aap bhi apni kamjori ko apni takat bana sakte hai. Jis subject mein kamjor hai use padhne ke liye extra time de aur agar kuch pareshani ho to apne teacher aur classmate ki help le.

    Kuch students aese hote hai jo exams aane par padhai karte hai aur jese tese pass ho jate hai fir vo dusre bacho ko kehte hai ki hum to 1-2 hafte padh kar hi pass ho jate hai. Padhne ka ye tarika bilkul galat hai kyuki kam samay mein ki gayi study mein jadatar bache ratta marte hai jo ve jaldi bhul jate hai. Sahi tarike se ki hui padhai aap ko exams pass karne ke baad next class mein bhi kaam aayegi.

     

    Is article mein bataye gye study tips ko agar aap regularly follow kare aur man laga kar padhai kare to aap exams mein ache marks se pass ho sakte hai aur top bhi kar sakte hai. Topper student banne ke liye apni soch ko positive rakhe aur yahi soche ki aap bhi class mein top kar sakte hai, bas jarurat hai discipline aur mehnat ki.

     

    Dosto Exam mein top kaise kare, topper banne ke study tips in hindi ka ye lekh aapko agar acha lage to apne friends ke sath bhi share kare aur agar aap ke pass ache marks lene ke liye padhai karne ke tips hai to comment karke hamare sath share kare.

    Recent Articles

    14 COMMENTS

    1. Hello dosto me b. Sc microbiology ki padai kar raha hoon padai mere dimag mein aati nahi hai mujhe kuch yaad nahi rehta bataye me kya karu reply

      • Dost aksar kuch subjects aese hote hai jinhe padhne par bhi kuch samjh nahi aata isliye hum us subject ko padhna hi chod dete hai, par sahi tarika to ye hai ki us subject ko jada time de aur jo student us subject mein strong hai uski bhi madad le.

    2. Hello friends please mere mummy papa ke bich ladai ho gayi mere papa meri mummy ko manate hai par meri mummy manti nahi aur meri mummy papa se baat tak nahi kar rahi please friends reply narur likhna

      • Aap unse bat karo aur pucho ki aap dono baat kyu nahi kar rahe h mujhe mummy and Papa aise nahi chahiye ……..kuch dimag laga kar aur dil se kahna . Pop and mom ko realize hoga ki mere ye karne se bacche pe wrong effect par raha h.

    3. Hallo doston! main apne class ka topper hoon mere teachers aur parentr sath hi sabhi classmates chahte hain ki main district athwa state top karun kis tarah se exam prepare karun ki mai merit mai aa jaun?

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles