Sukhi aur balgam wali khansi ki dawa aur syrup ka naam in hindi: Khasi gale se judi ek bimari hai jo chati me jama cough, fefdo aur gale me infection hone ke karan hoti hai. Khansi 2 tarike ki ho sakti hai sukhi khansi aur balgam wali khasi. Sukhi khansi me gale me kuch atakne jesa mehsus hota hai aur cough wali khansi me gale se balgam nikalti hai.
- सूखी और बलगम (कफ) वाली खांसी की रामबाण दवा और घरेलू उपचार
- बच्चों की सर्दी खांसी का घरेलू इलाज और 10 उपचार
Khansi rokne ka treatment karne ke liye bajar me kai tarah ki angreji dawa maujood hai par bina doctor ki salah ke ye medicine nahi lena chahiye. Isse pahle humne khansi ka ilaj ke gharelu upchar aur achuk ayurvedic nuskhe jane hai. Aaj is lekh me hum cough aur sukhi khansi ki dawa patanjali syrup aur tablet ka naam janege, patanjali medicine and syrup name for cough and cold treatment in hindi.
खांसी होने के कारण – Khansi Ka Karan
- Sardi jukam ya viral infection hona
- Fefdo me infection ya cancer
- Gale me kharash jalan aur cancer ka hona
- Dhumarpan jada karna
- TB ya asthma hona
- Dhool mitti me rehna
खांसी की दवा और सिरप का नाम इन हिंदी
Khansi Ki Dawa Aur Syrup Ka Naam in Hindi
1. Sardi khasi dur karne ki tablet name me Codeine tablets ka istemal kiya ja sakta hai. Iske ilava Benzonatate aur Chlorpheniramine tablet kuch aesi medicines hai jo sardi aur khansi ke upchar me paryog ki jati hai.
2. Khansi rokne ke best syrup me Mucolytic, Codeine aur Diphenhydramine jese ghatak maujood hote hai jo cough wali aur sukhi khansi ka turant ilaj karne me kargar hai.
3. Balgam wali khansi ke liye syrup me pahla naam hai Benadryl Cough Syrup. Ye syrup cough ko jaldi khatam karta hai aur khansi rokne me mdad karta hai.
4. Dabur Honitus Cough Syrup khansi rokne ke liye ek best ayurvedic syrup hai. Isme shahad, tulsi aur saunth jese ghatak hote hai jo balgam aur sukhi khansi se chutkara dilwa sakte hai. Is syrup ko baccho ke liye bhi thik mana jata hai.
5. Allergy, asthma jese karano se hone wali khansi ka badhiya upchar hai Charak Kofol. Ye syrup chati me balgam jama hone se hone wali problem dur karta hai.
6. Khansi ki ayurvedic dawa me agla naam hai Himalaya Koflet Syrup. Chati me jama balgam nikalne, chati me dard aur gale me kharash jesi problem ko dur karne me ye syrup upyogi hai.
7. Khasi ki dawa patanjali se bhi le sakte hai. Divya Swasari Pravahi Patanjali Cough Syrup khansi rokne ki achuk dawa hai. Ye dawa gale me infection, jukham aur najla jese rog ke upchar me bhi mdad karta hai.
8. Khasi ki tablet aur syrup sukhi aur cough wali khansi ke liye alag alag hoti hai. Aap apni khansi ke lakshano ke aadhar par hi medicine le. Jada jankari ke liye apne doctor se mile.
Jane:-
सूखी खांसी और बलगम वाली खांसी का बढ़ियां घरेलू उपचार – Khansi Ka Gharelu Upchar in Hindi
- Khansi rokne ke liye aap bina medicine ke bhi ilaj kar sakte hai. Khasi se turant chutakara pane me bhi gharelu upchar badhiya hote hai.
- Adarak ka ek chota sa tukda muh me rakhe aur kuch der tak iska ras chuse. Is upay se kuch hi der me khansi aana band ho jayega.
- Thodi se dilichini aadha chammach shahad me mila kar chatne se sukhi khasi me aaram milta hai.
- Sukhi khansi ka ramban ilaj me tulsi, kali mirch aur adark se bana kadha piye. Iske ilava desi ghee me bana hua besan halwa khane se sukhi khansi se rahat milti hai.
- Gale aur chati me balgam jama hoti hai to gunguna pani peena chahiye. Isse cough bahar nikalne lagegi aur gale ko bhi aaram milega.
- Khansi, balgam aur gale ke kisi bhi rog ke turant ilaj me kacchi haldi ek achuk ayurvedic dawa hai.
- Purani khansi ho ya nayi kacchi haldi ka aadha chammach ras muh khol kar sidhe gale par dale aur kuch der tak chup baithe. Kuch hi der me ye ras laar ke sath gale se niche utar jayega aur samasya dur hone lagegi.
- Chati me jama balagam kaise nikale iske liye mulethi aur sukhe aanwle ko pees kar iska 1 chammach churan subh aur sham ko khali pet le.
Jane:-
खांसी में परहेज – Khansi Me Parhej
- Dahi, chawal aur kela khane se parhej kare.
- Tala hua aur tej masaledar khane ke sevan se dur rahe.
- Kuch bhi garam khane ke turant baad thanda na khaye piye.
- Thanda pani aur cold drink ka sevan bhi nahi karna chahiye.
- Freez me rakhi hui thandi chije khane peene se bhi bache.
और पढ़ें:-
Dosto khansi ki dawa (medicine) syrup aur tablet name in hindi ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aap ke pass cough wali aur sukhi khansi ka ilaj aur upchar se jude sujhav hai to hamare sath share kare.