More

    स्वपनदोष का इलाज और रोकने के 5 आसान घरेलू उपाय

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेस्वपनदोष का इलाज और रोकने के 5 आसान घरेलू उपाय

    Swapandosh ka ilaj aur gharelu upay in hindi: Raat ko neend me viray apne aap nikal jaye to ise nightfall kehte hai. Ye ek parkar ka mansik rog hai. Nojwan ladko me nightfall ki samasya hona koi badi samasya nahi aur agar mahine me 1 se 2 bar swapandosh ho jaye to ye pareshani ki baat nhi par agar ye hafte me 2-3 bar se adhik ho to ye ek badi pareshani ban sakti hai. Aese me swapandosh rokne ke upay karne bahut jaruri hai kyuki jada bar nightfall hone par iska bura asar sharir par padta hai aur sath hi manisk tanav bhi aata hai.

    Shadi hone bad vese ye samasya dur ho jati hai par jin logo ko ye samasya shadi ke bad bhi rehti hai unhe turant iske upay karne chahiye. Aaj is lekh me hum kuch aese desi nuskhe aur ayurvedic upchar janege jisse swapamndosh se chutkara pane me mdd milti hai. Aaiye jane gharelu nuskhe for nightfall in hindi.

    Swapandosh ka karan

    1.  Sambhog karne ke bare me adhik sochna
    2. Neend ke samaya sapne me sambhog karna
    3. Raat ko bhojan late khana
    4. Pet ke bal sona
    5. Pet me garmi ki samasya hona

    Swapandosh ke nuksan

    • Sharir me kamjori aane lagna
    • Kisi bhi kam me man na lagna
    • Vyakti me aalas aane lagta hai.
    • Body stamina kam hona
    • Sambhog ke dauran ling jaldi niskiray hona

    Swapandosh ka ilaj aur upay in hindi

    • Night fall se bachne ke liye aesi chije khaye jisse sharir thanda rahe.
    • Raat ko sone ke liye halke aur dheele kapdo ka chunav kare.
    • Ling ke aas pass balo ko jada badhne na de.
    • Sone se pahle raat ko doodh na piye, isse sharir me garmi aati hai aur swapandosh jaldi hota hai.
    • Sone se pahle apne dono pair ghutno tak thande pani se dhoye aur din me bhi thande pani se nahaye.
    • Ek week me 1 bar aap hasthmaithun kar sakte hai.
    • Raat ko jada heavy bhojan na khaye aur sone se 2-3 ghante pahle hi dinner kar le.
    • Pet ke bal na soye hamesha seedha sone ki aadat bnaye.
    • Swapandosh rokne ke upay karne se pahle jaruri hai ki aap apna tan aur man dono saaf rakhe.
    • Guptang ki ache se safai kare.
    • Achi books padhe taki raat ko neend me ache vichar aaye.
    • Subh jaldi uth kar yoga parnayam aur exercise karne ki aadat dale.
    • Pet me kabj ki samasya na hone de.
    • Raat ko dinner ke bad peshab jarur kare.

     

    Swapandosh rokne ke gharelu upay in hindi

    1. Har roj pani ke sath 2 kaliya lahsun ki nigal le.

    2. Rojana 2 kele bhi khaye aur halka garam doodh piye.

    3. Mishri aur sukha dhaniya mila kar pees le aur har roj is mishran ka aadha chamach pani ke sath le. Is nuskhe se nightfall problem se jaldi chutkara milta hai.

    4. Aanar ke chilke sukha kar pees le aur iska powder bna le. Ab din me 2 bar is powder ki 5-5 gram matra me le.

    5. Adarak ka ras 5 gram, safed pyaj 10 gram, desi ghee 3 gram aur desi shahad 3 gram ki matra me le aur sab ko mila kar sone se pahle iska sevan kare. Swapandosh ke upchar me is upay se bhut fayda hota hai.

     

    Sawapandosh rokne ke liye yoga

    Swasth aur sehatmand rehne ke liye pranayam aur yoga karna bahut faydemand hai. Rogo ka ilaj karne ke sath sath yoga napunsakta aur sawapandosh ke ilaj me bhi upyogi hai. Aap iske liye niche bataye yoga kar sakte hai.

    • Vijroli kriya vidhi
    • Ahsvini mudra

     

    Dosto sawapandosh ka ilaj aur upay in hindi ka ye lekh aap ko kais alga hame btaye aur agar aap ke pass nightfall rokne ke upay aur gharelu nuskhe se jude sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles