More

    बवासीर के मस्से का इलाज की दवा और 10 उपाय – Bawasir in Hindi

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेबवासीर के मस्से का इलाज की दवा और 10 उपाय - Bawasir in Hindi

    Bawasir ke masse ka ilaj ki dawa aur upay in hindi: Bawaseer ko angreji me piles aur hemorrhoids ke naam se jante hai, isme guda ke pass wali nasso me sujan aa jati hai jisme se khoon aane lagta hai. Bawaseer ke shuruaati lakshan me blood ke halke dhabbe dikhna, dard, jalan aur khujli hona aam hai. Bawasir ke masse sukhane ke upay me kuch log kai tarah ki angreji dawa (medicine) ka sahara lete hai par bina tablet ke ayurvedic dawa aur gharelu upchar se bhi badi aur khooni bawaseer ka ilaj kiya ja sakta hai. Aaj is lekh me hum janenge masse khatam karne ki achuk dawa patanjali aur upay kaise kare, natural home remedies and homeopathic medicine for piles treatment at home in hindi.

     

     

    बवासीर के लक्षण – Piles Ke Lakshan in Hindi

    • Guda ke pass dard khujli aur jalan hona.
    • Maldwar me masse nikalna.
    • Masso se khoon aana.
    • Latering karte waqt masse bahar nikal aana.
    • Bar bar toilet ke liye jana par toilet naa aana.

     

    बवासीर के मस्से का इलाज और सूखने के उपाय

    Bawasir Ke Masse Ka ilaj Aur Upay in Hindi

     

    1. Masse khatam karne ka ilaj desi tarike se karne me nariyal ki jata achuk ilaj hai. Nariyal ki jata jala kar iski raakh bana le fir is rakh ko 3 gram le kar 1 cup lassi ya dahi me mila kar khaye. Is upay ko din me 3 bar karne par khooni bawaseer me aaram milne lagega.

    2. Kachi muli khana ya iska ras pine se har tarah ki bawaseer me aaram milta hai.

    3. Pet saaf naa hone aur kabj hone par isabgol ka sevan kare.

    4. Khooni aur badi bawaseer ka upchar me anjeer bhi fayda karti hai. 2 sukhi hui anjeer raat ko paani me bhigo kar rakhe aur subh khaye. 12 se 15 din is gharelu nuskhe ko karne se har tarike ki piles me rahat milti hai.

    5. Bawaseer agar bar bar ho to dopehar ke khane ke baad lassi piye aur isme thoda sendha namak aur ajwaine bhi mila le.

    6. Ek gilass gaay ke taaja doodh me 1 nimbu nichod le aur subh khali pet piye. Doodh me nimbu dalte hi turant piye. 5 se 7 din is home remedy ko karne par bawasir me aaram milne lagega.

    7. Bawasir ke masse ke liye malham bnane me 80 gram arandi ke tel ko garam kar le aur isme 10 gram kapur mila de. Ab masse saaf paani se dho kar is malham se masso par malish kare.

    8. Kela bawaseer ke rog me kafi faydemand hai. Paka hua kela kaat kar iske 2 hisse kare aur isme kattha chidak le. Ab ise raat bhar ke liye khule aasman ke niche rakh de aur subh khaye. 7 se 10 din kele ke is upay ko karne par bawaseer se rahat milne lagegi.

    9. Haldi me antiseptic gun hote hai jo ghav aur sujan dur karne me ramban hai. Bawaseer ke masse me bhi haldi faydemand hai.

    10. Yoga bhi bawaseer se chutkara pane me mdad karta hai. Bawaseer ke liye yogasan me kapalbhati aur anulom vilom pranayam din me 2 bar kare.

     

    बवासीर के मस्से की दवा – Bawasir Medicine Name in Hindi

    • Bawasir ki dawa patanjali se divya arshkalp vati le. Baba ramdev ki ye ayurvedic dawa din me 2 bar pani ya lassi ke sath 1 se 2 tablet le.
    • Homeopathic medicine se piles ka ilaj ke liye Ratanhia, Aesculus, Graphites, Nux Vomica, Hamamelis naam ki homeopathy dawa le sakte hai. Inhe lene se pahle doctor se salah jarur le.
    • 1 chammach desi ghee me aadha chammach haldi mila kar masso par lagane se masse sukhne lagte hai.
    • Bawasir ke masse sukhane ki desi dawa ghar par bana sakte hai. Shahad aur gaay ka ghee brabar mila kar masso par lagaye. Kuch hafte ye upay karne par masse sukhne lagenge.
    • Thodi si haldi sehund ke doodh me mila kar iski 1 boond masse par lagaye. Kuch din is upay ko karne se bhi masse  khatam hone lagte hai.
    • Angreji dawa se is rog me kuch der tak to rahat milti hai par ye bawaseer jad se khatam karne me asardar nahi hai.
    • Allopathy treatment me piles khatam karne ke liye operation ki salah di jati hai aur kai bar operation ke baad bhi bawaseer fir se ho jati hai.

     

    बवासीर में क्या नहीं खाना चाहिए – Bawasir Me Kya Na Khaye

    • Jada mirch masaledar, chatpta aur khatai khane se parhej karna chahiye.
    • Maas machli, baasi khana aur udad ki daal na khaye.
    • Aalu, bengan, seetafal aur dibba band khane se bhi dur rahe.
    • Jada coffee aur chai ka sevan naa kare.
    • Smoking aur sharab ke sevan se dur rahe.

     

    Dosto Bawasir ke masse ka ilaj ki dawa aur gharelu upay in hindi ka ye lekh kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass bawaseer ka ramban ilaj achuk dawa aur gharelu nuskhe se jude sujhav hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles