Pet fulne aur bharipan ka gharelu ilaj in hindi: Pet bhari rehna, marod uthana, pet ke kisi hisse me dard rehna kuch aese aam lakshan hai jo pet me gas banne ke sanket dete hai. Kuch logo ki aksar ye bhi shikayat hoti hai ki kuch bhi khane ya peen eke baad ve pet me bharipan mehsus karte hai aur sath hi pet dard ki shikayat hoti hai. Kai bar pet se gas bahar na nikalne ke karan gas pet ki aanto me jma hone lagti hai jisse pet fulne aur bharipan ki shikayat hoti hai. Kuch log is problem ke treatment ke liye medicine ka sahara bhi lete hai par medicine lene ke baad bhi bimari se raht nahi milti. Aah is lekh me hum janege pet fulne aur bharipan ka ilaj gharelu nuskhe aur upay se kaise kare.
Pet bharipan ke lakshan
- Dakar na aana
- Pet ki gas bahar na nikalna
- Pet ke kisi hisse me dard hona
- Kuch bhi khane peene ke baad pet me taklif hona
- Pet me infection sujan ya garmi hona
Pet bhari hone aur fulne ke karan
- Pet me healthy bacteria kam hona
- Pet saaf na hona aur kabj rehna
- Pet ki aanto me gas jma hona
- Bhojan karte wat jada pani peena
- Ek hi jagah lambe samay tak baithe rehna
- Khane peene ka samay aur tarika sahi na hona
Pet fulne aur bharipan ka gharelu ilaj in hindi
1. Hamare pet me kai ache bacteria hote hai jo pet ko swasth rakhne aur bhojan pachane me madad karte hai. Kai bar antibiotic ka jada upyog karne ya kisi rog rog ke karan pet me healthy bacteria kam hone lagte hai jisse khana pachane me pareshani hoti hai aur pet me bharipan ki shikayat hone lagti hai.
2. Dahi ke sevan se pet ko healthy bacteria milte hai jo pet ko healthy rakhte hai. Subh khali pet dahi khane se jada fayda milta hai. Iske ilava aap apne bhojan me bhi dahi shamil kar sakte hai.
3. Seb ka sirka, fruits aur gajar ki kanji me bhi ache bacteria hote hai. Lagatar kuch din inke upyog se bhi pet ko rahat milne lagti hai.
4. Saunth, ajwaine, kali mirch aur kala namak barabar matra me le kar pees le aur iska churan bana le. Chach ya gungune pani ke sath ye churn lene se pet fulna thik hone lagta hai.
5. Pet se gas na nikalne ki vajah se pet fulne aur bharipan ki pareshani hoti hai. Nimbu pani gunguna peene se gas banni band hoti hai aur gas pass bhi hone lagti hai.
6. Pudine ke istemal se bhi pet me gas ki samasya dur hoti hai. Pudeene ki chai peena bhi acha upay hai.
7. Pet me afara hone ya kuch khane peene ke bad bharipan mehsus hone ki samasya me ek gilass pani me nimbu aur sendha namak mila kar piye.
8. Ajwaine, adarak ki chai, adarak, jeera, pudeena, papita, nimbu pani, saunf ke beej, kela aur kaddu kuch aesi chije hai jo pet fulne ki samasya ke samadhan me upyogi hai.
9. Khane me lehsun aur adarak ke sevan se pet fulne me aaram milta hai.
10. Bhojan ke dauran apni daal sabji me desi ghee mila kar khane se aanto me mal nahi chipakta.
Pet me bharipan ke gharelu upay
- Khana khane ke turant baad chai peena aur khana khate waqt jada pani peena kuch aese chote chote karan hai jisse pet me bharipan aur marod ki samasya aati hai.
- Kuch log bhojan karte samay sath me cold drink peete hai jis karan pet me jada gas banti hai aur khana pachne me bhi dikkat aati hai.
- Aksar hum shadi ya kisi function me ek sath kai chije kha lete hai. Ek ke bad ek bemel chijo ka sevan karne se pet me kharabhi hone lagti hai.
- Agar pet thik se saaf nahi hota aur kabj hoti hai to triphla churn ka paryog kare.
- Aese fruits aur food khaye jinme fiber adhik matra me ho.
- Thanda pani peene ki jagah gunguna pani peene ki aadat banaye.
- Jada namak aur meetha khane se bhi bachna chahiye.
- Din ki shuruat yoga aur exercise se kare.
Dosto Pet fulne aur bharipan ka gharelu ilaj in hindi ka ye lekh kais alga hame btaye aur agar aapke pass pet bhari hone aur gas ki samasya ke samadhan ke liye gharelu nuskhe aur upay hai to hamare sath share kare.