More

    आंखों की रोशनी बढ़ाने के 7 आसान उपाय – Eye Sight Tips in Hindi

    Eye Health - आँखों की सेहतआंखों की रोशनी बढ़ाने के 7 आसान उपाय - Eye Sight Tips in Hindi

    Aankho ki roshni badhane ke upay in hindi: Aaj kal ke badal rahi lifestyle aur hamari kuch galat aadato ke karan hum apni aankho ki dekhbhal nhi karte jis wajah se aankho me kamjori aane lagti hai aur chashma lag jata hai. Aaj kal kam umar me hi chote bacho ke chashme ka number kafi bada hota hai. Aankhon ki kamzori ka ilaj karne aur chashma hatane ke liye kuch log medicine aur eye drop ka shara lete hai. Aap gharelu nuskhe aur ayurvedic upchar se ghar par chashma hatane ke upay kar sakte hai. Aaiye jane home remedies tips and natural treatment for eye sight in hindi.

    Aankho ki roshni badhane ke upay, आँखों की रोशनी बढ़ाने के उपाय

     

    Aankhon ki kamzori ka karan

    • Jada pass baith kar TV dekhna
    • Kam light wale room me padhai karna
    • Lambe samay tak mobile, computer aur laptop chalana

     

    Aankho ki Roshni Badhane ke Gharelu Upay

    How to Improve Eye Sight in Hindi

    Eyes se chashma hatane ke liye upay aur gharelu nuskhe karne se pahle apni aadto ko badalna behad jaruri hai jese ki TV pass se na dekhna aur lambe samay tak mobile aur computer na chalana.

    1. Aankhe swasth rakhne, najar tej karne aur eye infection thik karne me vitamin A  bhut upyogi hai. Isliye apne aahar me mulli jarur le, mulli me vitamin A adhik hota hai.
    2. Aawla aankho ke liye kafi faydemand hai iske niyamit sevan se aankho ki kamjori dur hoti hai. Apni diet me aawle ko kisi na kisi roop me pryog kare.
    3. Aankho ki roshni kaise badhaye tarike, ek gilass pani me shehtut ke patte aur gulab ki 8 se 10 pankhudiya daal kar rakhe aur baad me is paani ko chaan kar isse aankhe dhoye.
    4. Subh hari ghaas pe nange pair ghumne se bhi aankho ki roshni badhti hai.
    5. Saunf 20 gram aur choti ilaychi 10 gram le aur pees le. Is mishran ka 1 chammach har roj doodh ke sath lene se aankho ki roshni tej karne me mdad milti hai.
    6. Gulab jal dalne se bhi aankho ki roshni badhti hai. Gulab jal achi quality ka hi istemal kare.
    7. Aankhon ke liye tips in hindi, aankho ki roshni bdhane ke liye 1 chammach gay ke ghee me ¼ chammach kali mirch powder daal kar har roj khana chahiye.

     

    Aankhon se chashma hatane ke upay

    • Chashme ka number kaise kam kare, iske liye akhroat ke tel se aankho ke aas pass malish kare. Is upay ko har roj karne par aankho se chasma hatane aur khujli dur karne me fayda milta hai.
    • Eye sight improve karne ke liye is upay ko ramban ilaj keh sakte hai. Sone se pahle raat ko pairo ko ache se dho kar sarso ke tel se malish kare. Is nuskhe ko har roj karne par aankho ki kamjori dur hoti hai, kabhi roshni kam nhi hoti aur chashma utarne me mdad milti hai.
    • Aankhon ki bimari ka ilaj karne ke liye aur chasma hatane ke liye sone se pahle raat ko mitti ke bartan me thodi trifla bhigo de aur agli subah is pani ko chan kar isse aanikhe dhoye.

     

    Aankho ke liye kya khaye

    • Aankho ko swasth rakhne ke poshak tatav gajar me bhi hote hai. Eye sight badhane ke liye gajar ka juice, gajar ki sabji aur kachi gajar khaye.
    • Najar tej karne me angoor khane se bhi fayda milta hai. Aangoor se raat ko dekhne kin ajar tej hoti hai. Angur ke ilava papita, nimbu aur santra khane se bhi eye sight tej hoti hai.
    • Agar aapki aankhe kamjor ho gyi hai to aahar me hari sabjiya jada khana chahiye. Palak ka juice pine se bhi fayda milta hai.

     

    • Dosto aankho ki roshni badhane aur chashma hatane ke liye kya kare iske kuch gharelu tarike humne is lekh me jane. Agar aap aankho ke liye ayurvedic dawa lena chahte hai to baba ramdev patanjali store se le sakte hai. Koi bhi dawa shuru karne se pahle uske sevan ka sahi tarika jarur jane taki ilaj sahi disha me aur sahi tarike se ho sake.

     

    Tags: आंखों की रोशनी बढ़ाने के लिए उपाय, आंखों की रोशनी बढ़ाने का तरीका, आँखों की कमजोरी, चश्मा हटाने के उपाय, चश्मे का नम्बर, चश्मा हटाना, चश्मे का नंबर कैसे कम करें, चश्मा उतारने के उपाय, आँखों के लिए क्या खाये, aankho ki roshni badhane ke upay in hindi, aankhon ki kamzori ka ilaj, aankhon ke liye tips in hindi, aankhon se chashma hatane ke upay, chasma hatane ke gharelu upay in hindi, eyes se chashma hatane ke liye kya kare.

    Recent Articles

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles