Bukhar ki dawa ka name in hindi: Sharir ko hone wali kai bimariyo aur infection ke shuruati lakshan me sir dard, sardi jukham aur bukhar hona aam hai. Typhoid, malaria, dengu aur chikungunya kuch aese rog hai jinme tej bukhar ki shikayat hoti hai. Bukhar chahe kisi bhi wajah se hua ho iske ilaj ke liye sabse pahle hum bukhar utarne ki tablet lete hai. Dosto isse pahle humne viral fever thik karne ke liye gharelu nuskhe aur ayurvedic upchar ke bare me jana hai, aaj is lekh me hum bukhar ki desi aur ayurvedic dawa ke bare me janenge, treatment and fever medicine name in hindi.
Bukhar tej hone par kya kare
Dawai lene aur treatment ke baad bhi agar bukhar kam na ho rha ho to turant doctor se mile aur check up karwaye kyuki aaj kal nye nye rog ke naam samne aa rhe hai, isliye kisi bhi parkar ke gambhir rog se bachne ke liye aur tabiyat bigadne se pahle doctor se milna chahiye.
Bukhar ki Dawa aur Gharelu ilaj
Fever Medicine Name in Hindi
Turant bukhar kam karne ke liye angreji dawa paracetamol, crocin aur aspirin tablet ka istemal kiya jata hai. Ye tablet bukhar aur sir dard kam karne me mdad karti hai par uske karano ka ilaj nhi karti. Kuch log body pain hone aur koi bhi pareshani hone par in tablets ka sevan karte hai. Bat bat par bina doctor ki salah liye dawa lena sharir ke liye thik nhi hai.
1. Bukhar ki Ayurvedic Dawa
1. Bukhar utarne ki goli lene ki bajay aap kuch gharelu upay bhi kar sakte hai. Lehsun bukhar dur karne ke liye ayurvedic dawa ki tarah kaam karta hai.
2. Lehsun ki 5 kaliya ghi me daal kar taave par seek le aur thande hone ke baad inhe khaye.
3. Sardi aur jukham ki wajah se agar fever aaya ho to adarak aur shahad ke pryog se aap gharelu dawai tyar kar sakte hai.
4. Thodi adarak pees kar isme se ras nikal le aur thoda shahad mila le. Sardi se aaye bukhar ko dur karne ke liye is desi dawa ko subah aur sham din me 2 bar khaye. Iske sevan ke baad paani na piye.
2. Bukhar ka Ramban ilaj
- Dhaniya ki chai bukhar thik karne me kafi upyogi hai. Isme antibiotic gun hote hai jo bukhar kam karne me mdad karte hai. Is upay ko karne ke liye dhaniya ke thode se daane le aur ise ek gilass pani me ubal kar isme doodh aur shakar dale. Iske sevan se bukhar me aaram milne lagega.
- Tulsi ke patto me anti-biotic aur anti-bacterial gun maujood hote hai jo bhukhar ka ilaj me fayda karte hai. Tulsi ke 15 se 20 patte 1 liter paani me ubaal kar isme thoda laung powder milaye aur tab tak ubaale jab tak paani aadha na reh jaye. Tulsi ka ye kadha bukhar me ramban dawa hai, iske sevan ke baad paani na piye. Ye upay sir dard, sardi jukam aur khansi ke upchar me faydemand hai.
3. Tej Bukhar Me Kya Karna Chahiye
- Bukhar tej hone par body ka temperature kafi badh jata hai jise kam karne me sir par paani ki patti rakhne se aaram milta hai. Bukhar utarne ke liye is gharelu tarike ko kafi samay se pryog kiya jata hai.
- Sir dard dur karne ki desi dawa
4. Bukhar Me Kya Khaye Kya Nhi Khaye
- Bukhar kisi bhi wajah se hua ho paani adhik pina chahiye.
- Aahar me halka khana hi le jo aasani se pach sake.
- Fever hone par normal chai ki bajay tulsi, adarak aur laung ki chai piye.
- Fast food aur adhik masaledar khane se parhej kare.
- Smoking aur sharab se bhi dur rahe.
Bukhar ka ilaj Baba Ramdev in Hindi
- Baba ramdev bukhar ke liye dawa me bukhar utarne ki sab se achi ayurvedic dawa hai giloy. Kisi bhi tarah ka bukhar ho giloy ka kadha bana kar piye kuch hi der me bukhar kam hone lagega.
- Patanjali se giloy ki tablet bhi le sakte hai. Chote bacche ko iski ek goli de. Iski jada jankari aap ko patanjali store se mil jayegi.
- Dengu, chikungunya ke upchar me bhi giloy ramban dawai hai.
- Dengu ka Ayurvedic ilaj
Viral Fever Treatment in Hindi
Viral fever hamari body me immunity ko kamjor karta hai jis wajah se body ko infection hone ka khatra adhik rehta hai. Viral infection teji se ek insan se dusre me failta hai. Bacho me ye bhut teji se failta hai.
- Gale me dard, sir dard, khansi, jodo me dard, thakan, dast lagna, ulti aana, aankhe laal hona aur maatha garam hona viral fever ke lakshan hai.
Viral Fever Gharelu Medicine in Hindi
- Viral bukhar kaise kam kare me haldi aur saunth ka powder se dawa bana sakte hai. 1 chammach kali mirch churan, 1 chammach saunth, 1 chota chammach haldi powder aur thodi si chini 1 cup pani me daal kar ubaal le. Jab paani aadha reh jaye tab ise chan kar thanda karke piye. Is desi nuskhe se viral bukhar me kafi aaram milta hai.
- Upar btaye gye tulsi aur dhaniya ki chai bhi viral bukhar ko khatam karne me upyogi hai.
- Methi ke daane raat bhar ke liye ek cup paani me bhigo kar rakhe aur subah ise chaan kar har ghante piye . Is upay se bhi bukhar me aaram milta hai.
- Nimbu ka ras aur shahad bhi viral bukhar ka asar kam karte hai.
- Sardi Jukam ka ilaj Kaise Kare
- Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe
- Baba Ramdev Ayurvedic Upchar
Dosto Bukhar ki dawa ka naam aur gharelu upay, Fever medicine name in hindi ka ye article kais alga hme btaye aur agar aapke pass bukhar utarne, kam karne aur thik karne ki ayurvedic dawa, tablet, desi ilaj aur gharelu nuskhe hai to hamare sath share kare.
Sir Melo kuch important puchna h plss mujhe jaldi se jaldi iska jawab de do. Too much gold capsule se kya breast increase ho Jate h ya nhi.
हमें इस कैप्सूल के बारे में जानकारी नहीं, घरेलू उपाय और नुस्खे से ब्रैस्ट बढ़ाने के टिप्स आप यहां पढ़ सकती है :: http://sehatdoctor.com/breast-size-badhane-stan-bada-karne-ke-upay-tarike-tips-hindi/
Sir 2 din se bukhar nhi utarraha hai. dawa bhi le liya hu.
दवा लेने के बाद भी बुखार ठीक नहीं हो रहा तो डॉक्टर से मिल कर जाँच करवाए और बुखार आने के कारण जाने तभी आप सही तरीके से इलाज कर सकेंगे.