Calcium ki kami ke gharelu upay ilaj aur lakshan in hindi: Aksar jada sharirik mehnat, gym aur sports khelne se jodo aur haddiyo me dard hone lagta hai jo dawa se thik bhi ho jata hai. Par kai bar bina kisi karan ke haddiyo aur manspeshiyo me dard hone lagta hai aur ye goli lene par bhi thik nhi hota joki body me calcium ki kami hone ke lakshan me se ek hai. Calcium hamare sharir me haddiyo ke vikas aur danto ki majbuti ke liye bahut jaruri hai aur agar iski kami ko dur na kiya jaye to haddiya kamjor hone lagti hai jis karan haddi tutne ka khatra rehta hai. Aaj is lekh me hum janege calcium ki kami ko pura karne ke liye kya kare aur calcium badhane ke upay kaise kare.
कैल्शियम की कमी के कारण होने वाले रोग – Calcium Ki Kami Ke Lakshan
- Haddiya, nakhun aur dant kamjor hona aur dard karna.
- Jodo me dard rehna, manspeshiyo me khichav aana ya ethan hona.
- Mahilao ko periods me kaafi jada dard hona bhi calcium ki kami ke symptoms hai.
- Dil ki dhadkan badhna aur baicheni mehsus hona.
- Bar bar haddi me fracture hona aur haddi ka jaldi na judna.
- Baccho me calcium ki kami hone se unki haddiyo ka puri tarah vikas nhi ho pata.
कैल्शियम की कमी दूर करने के घरेलू उपाय और नुस्खे
Calcium Ki Kami Ke Gharelu Upay Aur Nuskhe in Hindi
Calcium ki kami ko dur karne ke liye bajar me calcium ki goli bhi milti hai par dawa ke ilava kuch gharelu nuskhe aur upay bhi hai jo sharir me calcium badhane me asardar hai.
1. Aawla me calcium bharpur matra me hota hai jo sharer ki rog pratirodhak shamta ko bhi bdhata hai. Ise kacha bhi kha sakte hai ya fir paani me ubal kar bhi iska sevan kar sakte hai.
2. Til bhi sharer me calcium ki kami puri karne me mdad karte hai. 1 chammach til me 80 se 90 mg tak calcium hota hai. Til pees kar iska powder bna kar kha sakte hai ya fir ise salad me mila kar bhi kha sakte hai.
3. Calcium ki kami ka ilaj me doodh sabse accha aur aasan upay hai. 1 cup gungune doodh me 1 chammach bhune til ka powder mila kar sevan kare.
4. Vitamin D sharir me bhojan se calcium sokhne me mdad karta hai, isliye calcium ki kami ko pura karna hai to aese food bhi khaye jisme vitamin D adhik ho jese doodh, paneer, makkhan, anda aur machli.
5. Ek gilass pani ubaal kar isme 1 chammach jeera milaye. Ab pani thanda hone ke baad ise piye. Din me 2 bar is upay ko karne par body me calcium ki kami dur hone lagti hai.
6. Giloy kai rogo ke upchar me ramban kaam karti hai. Calcium badhane ke liye giloy ke patte ya jad ko sukha kar powder ke rup me iska sevan kare.
7. Calcium badhane ki ayurvedic dawa lena chahte hai to ashwagandha ka paryog kar sakte hai. Isme antioxidents bharpur hote hai jo calcium ko kami pura karne me upyogi hai.
8. Wheatgrass jise hum gehu ka javara ke naam se jante hai isme calcium, vitamin aur kai parkar ke poshak tatv maujood hote hai. Har roj wheatgrass juice peena kafi faydemand hai.
9. Agar sharir me calcium kaafi matra me kam ho jaye to ise badhane ke liye doctor ki salah se calcium ki tablet le sakte hai.
10. Anjeer me bhi calcium bharpur hota hai. Dopehar aur raat ka khana khane ke baad 2 anjeer khaye.
कैल्शियम बढ़ाने के लिए क्या खाएं – Calcium Badhane Ke Liye Kya Khaye
- Hari sabjiyo me calcium ki matra adhik hoti hai isliye apne aahar me palak, brokli, bhindi aur gobhi khaye.
- Dahi me doodh ki tarah calcium adhik hota hai. Har roj 1 cup dahi ka sevan karne se calcium ki kami puri hoti hai.
- Dry fruits me akhroat, kaaju aur badam khane se bhi fayda milta hai. Badam ko bhigo kar khana chahiye.
- Doodh, doodh se bani chije, malai, aanaj, santre ka juice, machli aur soyabean calcium badhane wale food hai.
- Subh breakfast me soya doodh bhi pi sakte hai. Iske ilava soya doodh se bane panner jise tofu kehte hai isme bhi calcium adhik hota hai.
- Calcium ki kami hone par kya nahi khaye iski bhi jankari hona jaruri hai. Aese me tala hua khana, sharab aur smoking se parhej karna chahiye.
- Jada caffeine, cold drinks aur jada namak khane se bhi parhej kare.
Dosto calcium badhane ke gharelu upay aur nuskhe in hindi ka ye lekh aapko kaisa lga hame btaye aur agar aapke pass calcium ki kami kaise door kare tarike aur lakshan se jude sujhav hai to hamare sath share kare.