More

    Chehre ke Chote Bade Daano ka ilaj ke 10 Aasan Upay Hindi Mein

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेChehre ke Chote Bade Daano ka ilaj ke 10 Aasan Upay Hindi Mein

    Chehre ke Daano ka ilaj in Hindi: Infection aur allergy hone se kai bar tvacha par chote chote daane aur laal rang ke chakte nikal aate hai. In daano mein khujli hone ke karan ye dhire dhire badhne lagte hai. Kai bar ye dane apne aap thik ho jate hai par kai bar inhe thik karne ke liye treatment ki jarurat padti hai. Chickenpox jesi bimari aur pimples ki wajah se bhi kai bar body par daane nikal aate hai. Kuch log sharir pe hone wale daano ke ilaj ke liye dawa aur cream lete hai, aap ghar par hi kuch desi nuskhe apna kar aur kuch gharelu upay se bhi twacha ke chote aur bade daano se chutkara pa sakte hai. Aaiye jane homemade skin care tips in hindi.

    Agar aapko daane nikalne ke sath sath sir dard, garden mein akdan aur bukhar bhi ho rha hai to aap doctor ya ayurvedic chikitsak se milkar salah le.

    Chehre ke Daano ka ilaj aur Upay

    Skin Care Tips in Hindi

    1. Coconut oil daano ki samasy khatam karne mein faydemand hai. Nariyal tel istemal karne se pahle ise halka garam kar le fir daano par lagaye.

    Is upay se dhire dhire twacha par hone wale daano ka rang kam hone lagega aur isse skin ke daag dhabbe aur nishan bhi saaf hote hai. Nariyal tel ke paryog se skin bhi soft hoti hai.

    2. Agar pimples, dry skin ya fir allergy se tavacha par daane nikal rahe hai to aap shahad ke pryog se in daano ko khatam kar sakte hai. Shahad ka lep in daano par dawa ki tarah kaam karta hai. Sunburn ya fir loo lagne se agar daane nikal aaye hai to shahad ka paryog na kare.

    3. Skin problems aur allergy dur karne mein aloevera gel kafi upyogi hai. Aloevera ke patte ko beech se kaat le aur iske gel ko tvacha par ragde aur halke se massage kare. Iske baad kuch der ke liye ise aese hi chod de fir skin wash kare.

    Agar laal daano ki wajah se tvacha par jalan ya khujli ho rhi hai to is upay se is samasya se bhi rahat milegi.

    4. Tea tree oil aapko bazaar mein aasani se mil jayega. Laal daano ki samasya dur karne mein ye oil behad faydemand hai. Din mein kam se kam 2 bar tea tree oil ko daano par lagane se daane khatam hone lagte hai. Aap raat ko sone se pahle bhi is oil se massage kar sakte hai.

    5. Tamatar ke gudde ko ache se pees kar ise daano wali jagah par lagaye aur kuch der ke liye aese hi chod de aur baad mein hata de. Is gharelu nuskhe se daano ki wajah se hone wali pareshani kam hone lagti hai.

    6. Tvacha par dhool mitti ke kan jam jane aur dead skin ki wajah se bhi aksar dane nikal aate hai. Aese mein nimbu ka ras lagane se tavacha ke rom chidar khul jate hai aur daane khatam hone lagte hai.

    Laal daane khatam karne ke liye nimbu ka ras skin par tab tak laga rahne de jab tak ye sukh na jaye. Is upay ko karne ke liye nimbu ka ras ek katori mein nikal kar rakhe aur cotton ki madad se pryog kare.

    Aap nimbu beech se kaat kar sidhe bhi tavacha par lga sakte hai.

    7. Face ke dane hatane ke upay: Dane chahe chehre par nikale ya body par kahi aur, papite ka face pack bana kar paryog karne se khatam hote hai. Iske liye papite ke gude ko pees le aur ek paste bana le. Ab jis jagah aapko daane nikale hai wha ye paste lagaye.

    Papite ke gun laal daane ka ilaj karne mein kafi upyogi hai. Aap is paste mein nimbu ke ras ki kuch boonde bhi mila sakte hai.

    8. Neem ki pattiyon ko paani mein ubaal kar tvacha ko dhone se bhi fayda milta hai, aap ubli hui pattiyo ko pees kar iska paste bhi istemal kar sakte hai.

    9. Laal daane hatane ke liye kaccha doodh bhi asardar hai. Iske liye aap jab bhi skin saaf kare kacha doodh istemal kare. Aap cotton ki madad se bhi daano par doodh lga sakte hai.

    10. Tavacha par hone wale daane hatane mein chandan ka tel ramban upay hai. Thoda olive oil chandan ke tel mein mila kar paste bana le aur daano par lagaye. Kuch der ise laga rehne de aur fir kisi saaf kapde ya paani se ise saaf kar le.

    Aap raat ko sone se pahle bhi is mishran ko laga sakte hai aur subah nahate samay saaf kar sakte hai.

    Tvacha Par Hone Wale Laal Dane ke Tips

    • Agar aapke sharir par kahin daane nikale hue hai to dhoop mein nikalne se pahle us skin ko ache se cover kar le kyuki suray kid hoop se daano mein khujli aur dard ki pareshani hone lagti hai.
    • Baking soda paani mein milaye aur scrub bana kar daano par lagaye aur thodi der baad ise saaf kar le. Is upay se bhi daane khatam hote hai.
    • Dahi ke paryog se aap chehre par daane ke samasya ka ilaj kar sakte hai.
    • Khire ka paste daano par lagane se bhi is problem se rahat milti hai.
    • Tulsi ki pattiya bhi daano ka upchar karne mein faydemand hai.

    Sharir aur chehre ke daane dur karne ke jo upay yha bataye gye hai ye aapki jankari ke liye hai. Agar aapki skin adhik sensitive hai to koi bhi upay karne se pahle ayurveda chikitsak ki salah jarur le.

    Aur Padhe:

    Chicken Pox ke Daag ka ilaj

    Dadi Maa ke Gharelu Nuskhe

    Baba Ramdev Ayurvedic Upchar

    Dosto Tvacha ke Daano ka ilaj aur Upay, Skin Care Tips in Hindi ka ye lekh aapko kaisa laga comeent kar ke bataye aur agar aapke pass sharir pe nikalne wale ya chehre par hone wale daane hatane ke gharelu nuskhe ya koi sujhav hai to hamare sath bhi share kare.

    Recent Articles

    7 COMMENTS

    1. Mere chehre pe chote chote dane ho rakhe hai na khujli hoti hai na or kuch bas vo skin me hai ja nhi rhe agar koi treatment ho to btana.

      • त्वचा के छोटे छोटे दानों को हटाने का इलाज के उपाय और नुस्खे आप ऊपर लेख में पढ़ सकते है.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles