More

    Daad khaj khujli ka gharelu ilaj ke 10 Aasan Aur Ayurvedic Nuskhe

    Home Remedies - घरेलू नुस्खेDaad khaj khujli ka gharelu ilaj ke 10 Aasan Aur Ayurvedic Nuskhe

    Daad khaj khujli ka gharelu ilaj in hindi (दाद खाज खुजली का घरेलू इलाज): Daad khaj khujli ek skin problem hai. Is bimari mein skin par chote chote laal rang ke dane hone lagte. Bar bar kharish khujli karne se jalan aur nishan jesi pareshaniya bhi hone lagti hai. Khujli ko eczema bhi kehte hai jo jadatar gale, haatho, pairo, kamar, chehre aur body ke private parts ke aaspass hoti hai. Skin ke lambe samay tak geela rehne aur dry skin par itching hone ki samasya adhik hoti hai. Khujli ka treatment ke liye anti fungal cream aur kuch dwa bhi aati hai par aap ghar par kuch aasan se gharelu upay aur desi nuskhe karke bhi khujli dur kar sakte hai, natural home remedies tips for itching treatment in hindi.

    Daad hone par kai bar funsiya bhi nikalne lagti hai jisme pas bhar jati hai. Sahi samay par aur sahi tarike se agar itching ka upchar kare to ise badhne se roka ja sakta hai aur is se chutkara bhi paya ja sakta hai.

    खारिश खुजली का इलाज करने के लिए सब से पहले सॉफ सफाई का विशेष तौर पर ध्यान दे, सॉफ सुथरे कपड़े पहने और शरीर को भी सॉफ रखे। खुजली जादा हो रही है तो इसे हाथ से ना खुज़ाए किसी मुलायम कपड़े या रूई का प्रयोग करे। इस लेख में हम दाद खाज खुजली का उपचार के घरेलू उपाय, आयुर्वेदिक नुस्खे दवा और देसी तरीके के बारे में जानेंगे।

    Khujli ke Karan : Itching Causes

    Jadatar khujli skin ki allergy ki wajah se hoti hai par iske ilava kuch aur bhi karan hai jisse body par itching hone lagti hai.

    • Skin infection
    • Skin dry rehne se
    • Tension jada lene se
    • Mausam mein badlav
    • Dhool mitti ki wajah se
    • Adhik samay tak gila rehne se
    • Kisi medicine ya cream ke side effects se
    • Balo mein russi aur jue padne se sir mein khujli hone lagti hai.

    Kharish Khujli ke Lakshan

    • Skin ka rang laal hona
    • Skin par chote chote dane nikalna
    • Jada kharish hona aur jalan mehsus hona

    Daad khaj khujli ka gharelu ilaj Upay aur Desi Nuskhe

    Home Remedies for Itching Treatment in Hindi

    1. Agar aap daad khaaj aur khujli se pareshan hai to sabse pahle nahate samay shampoo aur sabun ka paryog band kare aur nahane ke baad nariyal tel lagaye.

    2. Kheera pees kar iske ras se massage karne par bhi khujli dur hoti hai.

    3. Aloevera ke patte ka gudda lagane par bhi itching se aaram milta hai.

    4. Agar kharish karne ke baad daano se paani niklta hai to ise bhigne se bachaye.

    5. Agar aapko khujli bar bar hoti hai to ek hafta lagatar subh tamatar ka ras piye.

    6. Jada kharish hone par desi ghee gunguna kar ke parbhavit jagah par malish kare.

    7. Nariyal ke tel mein kapur daal kar ache se mix kar le aur is tel se itching wale hisse par massage kare.

    8. 2 se 3 chammach gulab jal aur multani mitti milakar iska paste infected area par lagane se bhi khujli thik hoti hai.

    9. Ek chammachh paani mein ek chammach dettol mix kar ke rui ki madad se khujli wali jagah par lagane se bhi khujli dur hoti hai.

    10. Neem ke patto ko paani mein ubaal kar us paani se nahaye, is upay se kitanu khatam ho jayenge. Iske ilava neem ke patto ka ras pine se bhi aaram milta hai.

    Daad Khatam Karne ke Gharelu Nuskhe (दाद खत्म करने के घरेलू नुस्खे)

    1. Meetha, Namak aur chatpta khane ka sevan kam se kam kare.

    2. Daad khaj ka ilaaj aanar ke patto se kiya ja sakta hai, aanar ke patte pees kar daad par lgane se daad thik hota hai.

    3. Lehsun ki kaliya pees kar daad par lagane se is samasya se nijat milti hai.

    4. Kele ko pees le aur isme thoda nimbu ka ras mila kar daad par lagane se bhi daad thik hone lagta hai.

    5. Nimbu ka ras daad par lgane se bhi daad saaf hota hai. Din mein 2 se 3 baar is upay ko kare kuch dino mein hi daad gayab ho jayega.

    6. Daad khaaj se chutkara pane ke liye haldi ka lep bana kar lagaye. Raat ko sone se pahle aur ek baar din mein is gharelu tarike ko kare.

    7. Gajar kadukas karke isme thoda sendha namak dale aur garam kare. Is mishran ko daad par niyamit roop se lagane par daad jad se khatam ho jata hai.

    8. Ajwaine ke paani se daad ko dhone par bhi daad mein aaram milta hai, iske ilava ajwaine ko garam paani mein pees kar lgane se bhi aaram milta hai.

    9. Daad khatam karne ka tarika aap kachhe aaloo ka ras pi kar bhi kar sakte hai. Iske ilava doodh aur gulukand ka sevan karne se bhi fayda milta hai.

    10. Puarana daad hai to anti fungal cream ka paryog karne se bhi aaram milta hai.

    Daad Khaaj Khujli ke Ayurvedic Upay (दाद खाज खुजली के आयुर्वेदिक उपाय)

    • Daad khaj khujli ka ilaj jad se karne ke liye dahi mein neem ke patte pees kar lagaye.
    • Gande ke fool mein anti viral aur anti bacterial gun hote hai, gande ke patto ko paani mein ubaal le aur din mein do se teen baar parbhavit jagah par lagaye.
    • Tave par trifla rakh kar bhun le aur pees kar iska churan bana le, ab is churan mein desi ghee, thodi fitkari, sarso ka tel aur paani milakar ache se mix kar le aur marham bana le. Pakne wale daad par ye marham ramban dwa ka kaam karti hai.

    Agar aapki skin jada sensitive hai to koi bhi upay karne ya dawa lene se pahle doctor ya ayurvedic chikitsak ki salah jarur le.

    Dosto Daad Khaj Khujli ka Gharelu ilaj aur Upay, Itching Treatment Tips in Hindi ka ye lekh aapko kaisa lga hame comment karke bataye aur agar aap ke pass दाद खाज खुजली का इलाज के घरेलू उपाय, देसी नुस्खे, आयुर्वेदिक दवा ki koi jankari hai to hamare sath share kare.

    Recent Articles

    12 COMMENTS

      • Kajal khujli thik karne ke gharelu upay upar lekh mein btaye gye hai, iske sath aap khujli hone ke karno ka bhi pta kare taki upchar karne mein madad mile.

    1. Sir mujhe chote chote dane hue the pair pe par ek rat me wo faal gya h or uspe khujli b ho rai h kya karu. Na wo dad h na baal todh or dane se bada h smjh nai aa raha par bhut lal ho gya h or khujli ho rai h

    2. sir maine apni purani daad me tigbodarm laga raha hu daad thik to gyi thi but daag nhi gye or creme bnd krne pr fr ho jti h to abhi usme bde bde dane bhi niklne lge isko jad se khatam krne wali koi dawa bataye plese

    3. Sir Mujje 2 sal se kujli hai skin pe lal rang hoti hai kujli bahut hota hai aur jalan hoti hai kiya karu pls sir kuch upaye bataye.

      • दाद खाज और खुजली का इलाज के घरेलू नुस्खे व् उपाय ऊपर लेख में बताये गए है आप इन्हें पढ़े.

    4. mere face, pair, gale par, eyes par daad ho gya hai jisme khujli bhi hoti hai dane bhi hai bahut medicine le chuka hun thikk hoke fir se ho jati hai.. sir kuch bataiye ga kya medicine lu.

      • दाद और खुजली का इलाज के लिए घरेलू नुस्खे उपाय और आयुर्वेदिक दवा की जानकारी ऊपर लेख में पढ़े.

    5. Sir mere sharir ke kuch bhag par khujli ho gayi hai aur khujli karte karte rusi jaisa niklta hai sir kya problem hai.

    6. Sir mere private jagah par dane ho rhe hai khujli bhi bahut hoti hai. Main kya karu sir plzz btao mujhe bahut presan hu.

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles