More

    दांत दर्द का देसी इलाज,5 मिनट में राहत हिंदी में

    Disease - बीमारीदांत दर्द का देसी इलाज,5 मिनट में राहत हिंदी में

    यहां इस लेख में हम दांत दर्द का घरेलू उपचार बताने जा रहे हैं। यह घरेलू उपाय तेज दर्द में सिर्फ पांच मिनट में राहत देता है। दांतों के दर्द के पांच घरेलू उपचार की जानकारी प्राप्त करने के लिए इस लेख को अंत तक पूरा पढ़ें।

    Dant Dard Ka Ilaj: Dard koi bhi ho asahaneey hota hai par jaadh aur dant ka dard(teeth pain) aisa hota hai jo kai baar bardasht se bahar hota hai aur ye jaadh mein kuch fasane, keeda lagane ya fir dant ke sadane se ho sakta hai.

    Kai baar kuch galat khane se to kai baar danto ki theek se safayi na karne ya jaadh mein keede lagane ke karan danto mein dard hone lagta hai. Danto mein dard ka kaaran koi bhi ho iski peeda hamare liye behad kashtkari ban jati hai. Dant aur jaadh dard mein hame badi kathnayi ka samana karna padta hai. Yahan par hum aapko dant dard mein kuch aasaan aur desi upaayo ke bare mein bata rahe hai jisse hum dant ke dard ka gharelu upchaar kar sakate hai. Jaane home remedies for tooth pain in hindi.

    dant ke dard ka gharelu upchaar

    Danto Ka Khayal Kaise Rakhe

    1. Jada thandi cheejo ke sevan ke turant baad garm paani ya garm cheej ka sevan karna ya fir jada garm cheejo ke sevan ke turant baad thanda paani ya thandi cheejo ke sevan karne se dant jaldi gir jate hai ya tut jate hai.
    2. Danto aur jaadho par halke hatho se brush karna chahiye, brush ko kabhi bhi danto par kas kar nahi ragadna chaahiye. Agar aap ungali se manjan karte ho to kabhi bhi tarjani ungali (anguthe ke paas wali pehali ungali) se manjan na kare, hamesha madhyam (sabse badi) ungali se hi manjan kare. Kyunki tarjani ungali mein ek prakaar ka vidyut pravaah hota hai jiske danto mein aane par dant sheeghr hi kamajor ho jaate hai.
    3. Kuch bhi khane ke baad achi tarah se kulla jarur kare tatha kuch bhi garm cheej khane aur peene ke turant pashchaat thandi vastu ka sevan na kare.
    4. Raat ko sone se pehle achi tarah kulla karke muh ko saaf jarur kare, ya fir danto ko brush ya munjan kare.
    5. Jo mouthwash hum muh saaf aur fresh karne ke liye isteemaal karte hai usme alcohol hota hai jiski wajah se kai baar hame saanso ki badboo ki samsya bhi hone lagti hai. Aap muh se bacteria bahar nikalnev ke liye papermint oil ko paani mein daal ka russe kulla kare.
    6. Cold drink peena bhi hamare danto ke liye thik nhi hai, cold drink peene se hamare daant kamjor hone lagte hai.

     

    Dant Dard Ka Ilaj – 5 Minute Mein Daant Ka Dard Dur Kaise Kare

    1. Heeng dant dard se turant mukti dilata hai. Heeng ko mausami ke ras mein dubo kar danto mein dard ki jagah par rakhe, mausami na hone par heeng mein nembu bhi milaya ja sakta hai. Isse sheghr hi aapko dard se chhutkara mil jayega.

    2. Dant ya jaadh mein tej dard hone par adarak ka chota tukda kuchal kar dard wale dant mein rakh kar muh band kar le aur dheere-dheere adarak ka ras chusate rahe. Aapko dard mein foran raahat mahasus hogi.

    3. Fitkari ko tave ya lohe ki kadhayi mein paani ke saath aag par rakhe. Jab paani ubal jaye aur fitkari fool jaye to tave ko aag par se utaar le aur fitkari ko pees kar baareek churan bana le. Ab jitna fitkari ka paudar bane uska 1/4(ek chauthayi) bhaag pisi hui haldi usme mila kar lakdi ki seenkh ki nok se dant ke dard wali jagh par aur suraakh ke bheetar ye mishran bhar de. Ye bahut hi laabhkaari prayog hai. Isse aapko dant aur jaadh dard mein kuch hi minute mein aaraam milne lagega.

    4. Pyaaj dant dard ke liye uttam gharelu ilaj hai. Jo log har roj kacha pyaaj khate hai unhe teeth pain ki shikayat kam hoti hai kyuki pyaaj mein kuch aise aushadheey gun hote hai jo bacteria ko nasht kar dete hai. Agar aap ke dant mein dard hai to pyaaj ke tukde ko dant ke paas rakhe ya fir pyaaj ko chabaye. Thodi der mein aapko aaraam mehasus hone lagega.

     

    Home Remedies for Tooth Pain in Hindi, Dant Dard Ka Ilaj Kaise Kare

    Home Remedies for Tooth Pain in Hindi

    1. Jaamfal ke patto ko achi tarah chaba kar uska ras muh mein failaa kar thodi der tak rakh kar thuk dene se aur jaamfal ki chhal ko paani mein ubaal kar usse kulla karne se har tarah ke dant ke dard mein aaraam milta hai.

    2. Til ke tel me peesa hua namak mila kar ungali se danto ko roj ghisane se dant ka dard dur hota hai.

    3. Dant dard ka ilaj karne mein laung ka isteemaal bhi kar sakte hai. Laung danto ke sabhi bacteria ko nasht kar sakta hai. Aise mein laung ko danto ke dard ki jagah par rakhna chahiye, kuch hi der mein aapko dard mein aaraam milega. Lekin laung mein dard kam hone ki parkirya thodi dhimi hoti hai isliye iske asar karne ke liye aapko thoda dhairy rakhna padega.

    4. Jaamun ke vriksh ki chhaal ka kaadha bana kar usse kulla karne se danto ke masudho ki sujan kam ho jati hai aur hilte dant bhi majabut hote hai.

    5. Aksar jaadh mein keeda lagane par behut teej dard uthta hai. Aise mein amarud ke patte ka kaadha bana kar usse kulla karne se dant aur jaadh ki bhayanak tees aur dard door ho jaata hai. Paani mein amarud ke patte daal kar itna ubaale ki vo paani ubaale hue doodh ki tarah gaadha ho jaye.

    6. Agar aapka koi dant gir ya tut gya hai aur usme se khoon beh rha hai to namak ke paani ke kulle kare ya fir katthe or haldi ka churan lagane se gire hue dant se blood nikalna band ho jata hai.

    7. Lehasun mein antibiotic gun paye jaate hai jo aneko prakaar ke sankraman se ladne ki shamta rakhate hai. Lehasun mein alisin hota hai jo dant ke paas ke bacteria, jerms aur jeevaanu ko nasht kar deta hai. Isliye 1 faank lahasun ko sendha namak ke saath pees kar danto mein dard ki jagah par lagayenge to aap ko dard mein aaraam milega.

    8. Dus gram baayvidang aur 10 gram safed fitakari thodi koot kar 3 kilo paani mein ubaale. Jab ye paani 1 kilo bach jaye tab isse chhaan kar botal mein bhar kar rakh le. Tej dard hone par din mein 2 se 3 baar is paani se kulla karne se 2 din mein hi aaraam aa jaata hai. Kuch jada din kulla karne se dant patthar ki tarah majabut ho jaate hai.

     

    Dant ka Kida Khatam Karne ke Upay

    Teeth mein agar kida lag gya ho to ek pyaj ke tukde ko kide wale dant par rakh kar 10 se 15 tak dabaye. Is upay ko din mein kai baar kare, isse kida mar jayega. Iske sath aapm pyaaj ke ras se kulla bhi kar sakte hai.

     

    Baba Ramdev Payria ka ilaj

    Danto mein payriya ho gya ho to uska treatment turant shuru kare kyuki ek daant pure jabade ko kharab kar sakta hai. Pyria ke upchar ke liye baba ramdev pyaaj ko utam ayurvedic aushadhi batate hai. Pyaaj ke ek tukde ko tave par garam karke 8 se 10 minute ke liye danto ke beech daba kar rakhe. 10 minute mein muh mein jo laar iaktthi hogi use meh mein charo aur ghumaye aur bahar thuk de. Is upay ko 10 din tak rojana 2 se 3 bar karne par pyria jad se khatam ho jayega, masudho ko majbuti milegi aur dant ke keede bhi mar jayenge.

     

    Dosto home remedies for teeth pain in hindi aap ko ye lekh kaisa laga hame jarur bataye aur apne anubhav hamare sath share kare. Aur agar aap ke pass bhi dant dard ka ilaj karne ke gharelu upay ya desi nuskhe hai to yaha hamare sath share kare.

    Recent Articles

    144 COMMENTS

    1. आप के द्वारा दी गई जानकारी काफी लाभप्रद है भविष्य में इस प्रकार की जानकारिया अपने पाठको के लिए प्रकाशित करते रहिएगा

      • Pooja dant dard me aksr thanda paani se ya thandi cheeje khaane pine se aaram milta hai par ye aaram kuch minute ka hi hota hai, meri salah aapko ye h ki kisi dentist se checkup ksrwaye aur pta kare ki dard ki wajah koi infection hai ya fir kida lag gya hai. Dant dard se aaram paane ke liye aap is lekh me bataye hue upay bhi kar sakte hai.

      • Aap sensodyne toothpaste use kar sakti ho dhyan rahe toothpaste gel me hi Lena hai ye sach me kaam karta hai mene use kiya hai aur kar raha hu only 50 rs for 40grms

        • Govind thanks for suggestion, par dost kuch dentists ka kehna hai ki sensodyne toothpaste ka paryog dnto ke liye thik nahi, isliye iske paryog se pahle ek bar dentist se bhi salah le.

    2. main gutkha bahot jyada khata hoon, kya isi karan se mere dant mein dard hota hai, mujhe pahle kya karna chahiye, ye upaay apnau ya phir kisi dentice ke paas jau

      • Shahid sab se pahle aap kisi bhi tarah ke tambaacoo khaane wali cheeje band kare ye sab aapki sehat ke liye bhi thik nahi. Aap dant dard ke upay ke liye in nuskho ko apnaye aap ko jarur aaram milega. Fir bhi agar aapko aaram na mile to kisi dentist se checkup karwaye aur dekhe ki koi infection to nhi.

    3. Namaskar
      Mere Dato me sadan lag gai hai last second uper vale dat me doctor kahte hai cap lagane padegi kya eske alava kois dusra natural upay bhi hai kya

      • Mukesh danto par cap lagane ka maksad hota hai ki dant ko sadan, kida lagne ya kisi infection se bachaya ja sake. Cap lagana to dant ki halat par depend karta hai. Aap is article mein bataye hue tips apnao aap ko isse bhi fayda milega aur dant majboot bhi honge.

      • Vishnu dard se chutakara pane ke liye aap is lekh mein barate hue upay karo aapko kuch der mein hi aaram milega aur sath hi aap ye bhi malum kare ki ye dard kisi infection ki wajah se to nhi.

    4. 4 din se achanak mere dand me aur masudo me dard suru ho gaya hai bahot pareshan hu kya karu isme se ek do upay try kiya but kuch der ko hi rahat milta hai

      • Mishra Ji aap ek baar kisi dentist se check up karwao kahi koi infection ya cavity to nahi. Aur is article me btaye hue upay niyamit roop se karo aaram mil jayega.

    5. Mene danto me rifil karvaya lekin jaha par Dr. Ne rifil kiya tha vaaha dard hora hai or dr. Ne jha injact kiya tha vaha bho dard ho raha hai

      • Shubham danto mein filling karne ke liye pahle danto ki safayi ki jati hai uske baad temporary filling hoti hai jiske through danto mein medicine lagayi jati hai, ek baar jakham bharne ke bad hi parmanent filling ki jati hai. Agar aapne aaj hi treatment liya hai to doctor ne jo medicine di hai unhe lo dard kam ho jayega aur agar dard aise hi rahe to dubara se daant check karwaye.

      • Shubham agar dant nikalwaya hai to kuch samay dard hoga kyuki dant nikalne ke karan wha jakham ban jata hai. Agar 4-5 din ke bad bhi aapko dard ho to ek bar doctor se dubara checkup karwaye kyuki kai bar dant ka koi barik hissa reh jata hai jo pareshan karta hai.

    6. Meri bitiya 5 saal ki hai
      Uske dant main keeda lag gaya hai
      Nikalwa bhi nahi sake
      Dard ke mare bahut roti hai raat ko
      Plz koi upchar batay ki dard turant theek ho jay or keeda bhi mar jay

    7. मुझे कैविटीज हो गया हैं। मुझे क्या करना चाहिये।मैंने डॉक्टर से भी दिखवा ली।

      • Amit aapko ye btana chahiye tha ki doctor ne kya salah di hai. Agar cavity jada hai aur infection hone ka dar hai to dentist se mile aur unki salah le kar ise nikalwa de agar ye bina oprate kiye thik ho sakti hai to yha bataye nuskhe apnaye.

      • Gongutri ji aap sabse pahle doctor se checkup karwaye aur diagnose karwaye ki ye dard kyu ho rha hai, aur upar bataye hue upay kare dard mein aaram milega.

      • Sarla kale dot to bahut wajho se ho sakte hai aap dentist se checkupm karwaye aur pta kare ki ye kya hai, agar kida hai to aap upar bataye hue upay kare.

      • Jafar ho sakta hai ki koi infection ho gya ho ya ye bhi possible hai ki dant nikalne ke baad koi tukda reh gya ho, aap dentist ke pass jaye aur dubara check karwaye.

    8. Cavity hai 1 dot jitni jadh mei side mei. Feeling no pain . But ek hole hoo gya hai kafii chota hai. Neem ki daatun krne se nikal jayega kya…

      • Anu aap khane pine ki esi cheeje na khaye jo danto ke liye thik nahi jese meetha, cold drink. Neem ka datun bhi kaafi asardar hai, iske sath aap dusre upay bhi kar sakte hai.

    9. Mere chaaro daad me kida lag gya h…or daad me khadda ho gya h or bahut dard hota h..koi upaay btaye…or aisa khana btaye jis se daad k khadde me khana na jaye

    10. My 5 month pregnant hu aur mere danth bahot ziyada dard h doctor ko phi dikhya aur bahot sare gharelu nuske b kite fir bahot ziyada dard hai jab bhi doctor ko bataya do din me dard wapas ajata hai

    11. Sir mera dant me gadha ho gaya aur bahut dard hota hai kuch bhi khane ke bad gadhe me jane ke bad bahut dard hota hai kiya karu

      • Rajendra dard se chutkara pane ke liye aap upar bataye hue nuskhe apna sakte hai aur gadha bharne ke liye aapko isme filling karwani hogi jiske liye dentist se mile.

    12. Sir, muje Dant Sadan Gaya Hai Usme me bahut dard horaha Hai.dr. ko dikhaya usne Kaha RCT krvani padegi. Sir Kya kru Rct krau ya niklvadu dant. Rct me dard hota hai?

    13. Mera ek daat mai keeda laga hua hai jab paani pieta hu tau usme dard hota hai aur saath mai aakho k paas jo nas hai unme bhi dard hota hai or neeche wale ek daat mai jo beech mai hai uspe apne aap hi jalan machne lagti hai naahi mai kuch thanda ya garam bhi nahi peeta

    14. Mujhe 2 din se teeth pain ho rha hai jisse headache bhi ho rha hai samajh NH aa rha hai bectiria hai ya Koi air reason hai pain hai. Plz help me

    15. kuch dino pahale mere daant me asahniya dard hua or sujan bhi aa gai thi dentist ko dikhaya to usne kaha ki aap ke daant me jagah ban gai hai use bharna hoga per mene esa nahi kiya aaj fhir mere daant me dard ho raha hai kya daant bharwana jaruri hai plz koi upaye batayen

    16. Mere uper ke second last daant Mein kida lag Gaya hai Dr ne bataya Ki jada kid nahi hai lekin aage root canal karna padega pani ya kuch khane ke baad bahut dard hota hai kida jad se khatm karne ka upay bataiye

    17. Mera danto me ek jhanjhnhat si dard hoti or agr meeta kha deti hu to dard or badh jati h Maine sensodayne bhi use kr rhi hu par thik nai ho rhi hai kya krna chahiye

    18. Meri dadh me sujan aa gyi h bahut tej dard ho rha h
      poora face sujaa hua h ek side ka
      jaldi upay btaye mai dard ni sah paa rha

    19. apne jis language ka use karke likha hai usaka padna bahut mushkil hai
      ya to english me liye “How to ………….”
      ya fir Hindi Me “Unicode…. दांतों का दर्द दूर करने के उपाय “

    20. mere dat ko dono tarap khokla he aur bhut dard hota he khana tak nahi kha sakta he dard keise kom ho jaiga kirpa karke bataye.

    21. Hello Sir

      sir mai shahid mujhe daat me dard nahi feeling hota hai mgr jab v khata hoo kuch vto kaam ke samne dard hota hai bahoot hi jyada kha nahi sakta hoo koi option hai to bataiye kya kro

    22. mere daat ke bich me kirchi nikal gai he mujhe lagta he shayad kida pad gaya he thodi thodi der me dard hota he or garam thanda bhi bhoot lagta he

    23. Mujhe aj subha se jaadh k last wale masude m dard hora h ……Ye dard akkal jaadh nikalne ki wajha se horaha h kya or akkal jaadh ka dard kitne din rahta h

    24. Sir my age is 32 . MERE DAATHO MAI BAHUT DARD HO RAHA HAI GINGER, lah sun , boiled water with salt mix saare up aaye kar liye phir bi dard ho raha hai kya karu.

      • Kishan ji danto ko kide se bachane aur swasth rakhne ke liye datun kar sakte hai aur dusre natural nuskhe bhi apna sakte hai, agar aap toothpaste hi paryog karna chahte hai to koi ayurvedic hi le.

    25. Sir maine akal daant 2 din pahle nikalvaya hai aur jab mai neeche aur upper ke daant ko jor se dabata hoon to akal daant ke 2 daant ke bagal me halka dard hota hai

      • Sandeep ji dant nikalne ke bad jakham ho jata hai jise thik hone mein kuch samay lagta hai, aapke dard ki wajah ye ho sakti hai. Aapn doctor ki di hui medicine lete rahe aur fir bhi aaram na mile to apne doctor se consult kare.

    26. Mere Dat Aage se thoda sa tut gya tha jo Ki bahut Dard karta hai dr k pas bhi gya tha bt bich bich me dard start ho jata hai ……abhi ap boliye hme kya karna chahiye

      • Dost dant aadha tut gya hai to baki bacha aadha dant hilta hoga ya fir dant tutne ki wajah se masudo mein jakham ban gya ho to ye dard ho rha ho, sahi jankari to dentist checkup se hi bta sakte hai ki ye pain kis wajah se ho rha hai aur kese isse chutkara paya jaye.

    27. Ji..Ap sahi bol rhe hai bt Ye bhi sahi hai ki chot jo hai wo Aandr tk lgi thi isi liye kala bhi pd jata h..bt hilta n hai.
      Kya yesa nahi ho sakta ki us tute Dat pr Dusra Dat joda ja sake

    28. Meri wife 4month pregnent he or uski akal dadh bahot dard kr rhi he abhi koi aas paas koi clinic b ni he plz mujhe bataye ki me kya kru ki dard na ho raat araam se nikal jay

    29. Meri wife k dant ne sadan ki wajah se Dard ho rha hai par hing aur nimbu rkhne PR Dard se aram nahi Mila. Ab kya karna chahiye .

    30. mere ded ki dat ki dard ab kan tok pohos gyi hee kus upay boliye jo mere ded DAT ki dard se joldi rahot paye …. please reply quick

      • दोस्त दांत दर्द का इलाज के घरेलू और आयुर्वेदिक नुस्खे ऊपर लेख में बताये गए है आप इन्हें पढ़े और अपनाये और अगर इन उपायों से आराम ना मिले तो डॉक्टर से संपर्क करे.

    31. Bhai mere dad kide ne khtam kr di h to m kya Kru Usme msala bharva lu ya usko nikalna du meri age Abhi 21 h to ghar Wale kh rhe h ki Kam Umar me dad nikalwayi nhi jati kuch btayega aap mujhe

    32. Hello sir
      Jb mai koi thand ya gram jaise thand pani ya cooldrink pita hu to mere daanto me bhut tej jhanjhanahat hoti h.kbi kbi nrml pani b lgta h .sir koi upay btaiye iskA.isse kaise bache.

    33. sir Mera niche k 4 dant ghis gya Hai doctor ne bataya calcium ki kami ke karn aesa Hua Hai ab ispe cap lagana padega.
      Mai abhi uae me Hu yah cap lagana bahut mahenga Hai abhi dard jyada ho rha Hai abhi pain killer se thoda aaram mil jata Hai and india me cap lagwane ka Kitna kharch aayega bataye

    LEAVE A REPLY

    Please enter your comment!
    Please enter your name here

    Recent Articles